Hi friends, Ummid karta hu aapko search engine se acha traffic mil raha hoga. Agar nahi to aapke blog par dofollow backlinks kam honge. Agar aap apni site ki search performance increase karna chahate hai to aapko apni site ki pagerank increase karni hogi or pagerank increase karne ke liye aapko inbound links par focus karne ki jarurat hai.
Is time YouTube online video dekhne ki sabse jyada popular site hai. Jiski google pagerank 9 hai. But aap YouTube partner bane begair YouTube se backlinks receive nahi kar sakte. Mera matlab iske liye aapko YouTube par apni site verify karni hoti hai.
- Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tarike
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye & Full Guide in Hindi
Agar aap blogging karte ho to shayad aapke pas YouTube account bhi hoga. But kya aap jante hai ki aap YouTube se bhi apni site ke liye dofollow quality backlinks receive kar sakte ho. In this post, Mai aapko iske bare me details se bta raha hu.
- Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
- Youtube Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare
Youtube par apni site ko verify karne se pahle aapki site google webmaster tool me already verify honi chahiye. Or agar aapne abhi tak apni site google search console me verify nahi ki hai to pahle Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai post padh kar apni site ko GWT me verify kar le.
Youtube Se Dofollow Backlinks Kaise Receive Kare Blog Ke Liye
Ek bar apni site ko google webmaster tool me verify karne ke bad aapko site YouTube par verify karni hai. Youtube par site ko verify karne ke liye aap https://www.YouTube.com/verify link ko use kar sakte hai. Ya fir aap ye step follow kare.
Sabse pahle aap YouTube.com par ja kar apni gmail ID se log in kare. Uske bad Channel Settings >> Advanced par jaye. Ab Associated website me apni site ka link add karke verify kare.
- Channel par click kare.
- Advanced par click kare.
- Ab yaha par apni site ka link add kare.
- Add par click kare.
Jaise hi aap add option par click karoge. Aapko “success” ka message dikhayi dega.
Finally save par click kare. Bas ab aapki site YouTube par verify ho chuki hai. Ab aap ko 1-2 bad se YouTube se dofollow backlinks milne shuru ho jayenge. Googlebot aapki site ko index karne me 24 hours ka time lega. Uske bad aap alexa.com site par backlinks check kar sakte ho.
Agar aapko is article me helpful information mili ho to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
rushikesh sonawane
sir thank you for new information Mera sawal ye he ki, mene facebook page banaya. Aur log facebook se post ko visit bhi karte he.kya hame facebook se do follow link mil jayega. Aur kya iska benifit hoga.
Jumedeen Khan
Nahi but traffic to badhega.
Manoj Singh
ek nayi information bahut badiya jume deen bhai thank
Sheikh Abdulla Ahmed
Main abhi submit kar di hopefully within 24 hours bank link aaa jayega. Thanks Jumedeen bhai for this helpful article.
Sindhzz tricks
Superb Article Bro
Aman
Thank u bhai for sharing this article…thank u so much…bhai ek bar meri site dekhkar kar batao na kya problem hai…
Gaurav
Sir, mai appke blog pe naya hu or mujhe Aapke blog bhut achha laga, mera blog h techotweet.com jisne mai backlinks badhana Chahta hu, kya YouTube ki is post ki tarah kahi air se b backlinks mil skte h jinki page rank high ho
Jumedeen Khan
Haa bilkul mil sakte hai apa try karke to dekho.
vivek
bro maine apni site ka url dal kar add par click kiya to wha par panding likha hua aaraha hai,agr ye sucessfull ho bhi jata hai tab iske bare me mujhe pata kaise chalega
Jumedeen Khan
Link ke samne success likha hua show hoga.
vivek
bas YouTube me site ko verify karte hi backlink milna suru ho jayega ..ya jab YouTube video par view badhaega.tab backlink milega hme.plz bataye
Jumedeen Khan
Bas jo is post me btaya hai wohi karna hai.
Manoj
Sir mai appka blog ko follow karta hu aur mai v apna khud ka blog hindimapada.blogspot.in banaya h lakin mara blog ka home page ma sirf ak hi post show ho rha h maina savi settings kar ka dakh li lakin ya thik nhi ho pa rha h to kya app mujha isska kuch solution da sakta h
Manoj
Jumedeen Khan
Aapke blog ki theme me problem hai aap theme change karo post show hone lag jayegi.
Madan Verma
bahut badiya Information di hai bhai.
Satish Kushwaha
good information
sunil bhargav
kya main html section me jaane ke baad sabse last me code paste kar sakta hu,
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. aap jaha chao kar sakte ho.
Manoj verma
Sir aap ka what’s up no. Ya Facebook massenger no mil sktsa h ? Plz
Jumedeen Khan
ahi mai whatsapp use nahi karta hu.
Manoj verma
Sir maine ek facebook page bnaya h jisme 2 hapte me 250 logon ne like h.but vo face id se bnaya h ab mai kya usse paise kaise kma skata hu. Hoske to iska videos bna ke bhej dijiye
plz tell me
Jumedeen Khan
facebook page se paise nahi kama sakte.
Prince Akashii
Very nice article Bahut bsdhiya jankari di hai aapne
Hello sir
Koi badhiya tempkate ke bare me batao jo main apne blog me upload karu
Jumedeen Khan
Sabse badiya template aap khud hi design karo.
Prince Akashii
Sir wo to hame hi design karna padta hai but sir
Starting me kon sa lagaun jo thoda badhiya ho aur baad me main use design karke aur badhiya bana saku
To aapki najar me kon sa template badhiya hai
Sir naam bata de to bahut badhiya rahega
Jumedeen Khan
Bro meri nazar me aap gooyaabetemplates.com site se template use karo.
Vikas
Very Nice post
Hello sir
2 Question hain
1. Agar hamare blog ka backup koi lekar apne blog me upload kar lega to hsmare blog ki post bhi uske blog me aa sakti hain kya ya kya kya ho sakta h uske blog me
2. Aap kisi bhi post me jo example dete ho jaise tempkate edit karne ka
To usme kuchh code delete karna aur add karna hota h
Aur aap post me edit ksrke bhi dikhate ho
To jo screenshot me images upkoad karte ho wo konse blog ki images hoti hain jisme aap edit karke screenshot upload karte ho blog par
Kya aap support me India wale blog ko edit karke example dete ho ya koi dusra blog me edit karke example dikhate ho
Jumedeen Khan
1. aapne sahi kaha. Aap pane blog ka backup kisi or ko kyu dete ho. Agar doge to problem to hogi hi wo aapki sari post apne blog me uploadf kar sakta hai.
2. are bhai blogger par koi bhi extra blog bana kar kar sakte ho.
nahi mai dusre blog ka example deta hu.
Vikas
Thank you sir
For very well knowledge
surendra rsdp
bhai aap meri site ko ek baar googleweblite.com me open karke dekhe ki mai site me footer me koi hacking script toh nahi hai kyu ki aaj maine meri site ko googleweblite me open kiya toh footer me bhut saari link juri hui hai
Jumedeen Khan
Surendra agar aapko apni site par koi problem lag rahi hai to aap apni site ko googleweblight me nahi kproxy.com par check karo.
jeet makwana
Aap mera blog dekhe please muje kya kya change karne hoge ? Please help me me abhi uska template change kar duga aap kounsa use karte he please uski link dijiye download karne ki
Jumedeen Khan
Aap ye post padho Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
deepeshpandole
hello jume deen sir kya aap bata sakte ho ki website ki loading speed kaise badaye
Jumedeen Khan
Bro mai iske bare me post karne wala hu. Plz thoda sa time de do.
vikram
sir mujhe ek bahot badi problem ho gai hai please meri madad karo …main jab google me meri websiti ko search karta hu to search engine me post ke title ki jagah post ka url show ho rha hai.
sir maine aapke kahne par template bhi change kar ke dekh liya . or maine robot.txt bhi add nhi kiya hua hai
sir please mujhe batao ki main kya kru main bahut pareshan hu…sir please meri help karo
Jumedeen Khan
Template change karne ke bad aapko kuch nahi karna hai. Kuch day wait karo. Google ko aapki site ko fir se index karne me time lagega.