Google Adsense Me Ad Balance Feature Ka Istemal Kaise Kare

Introducing “Ad Balance” new feature in Google AdSense: Is post me main aapko google AdSense ke new feature Ad Balance ke bare me btane ja raha hu. Ad balance option ko apply karke aap AdSense se adhik earning kar sakte ho. In simple words, AdSense ke is feature ko enable kar ke aap apni site par Low CPC Ads ko cut kar only High Paying Ads show kar sakte ho or pahle se jyada paise kama sakte ho. Ye AdSense feature aapko AdSense earnings control karne ka great user experience offer karta hai or ye bhi btata hai ki aapki site par ads kaisi performance kar rahe hai jisse aap easily specifically High CPC Ad unit show kar apni AdSense revenue increase kar sakte ho. Aayiye jante hai ad balance feature kya hai iska istemal kar ke apni AdSense income boost kaise kare.

google AdSense ad balance

Google adsesne kafi time pahle hi apna user interface change kar chuka hai or AdSense ke new user interface ka look pahle se jyada nice or user-friendly hai. Kyuki ab aap AdSense ke homepage par hi eastimated earning ke sath Page Views, CPC, RPM, CTC, Impressions, Ad units, Sites, Platform and other many reports dekh sakte ho.

Iske 10 day bad hi AdSense ne publishers ke liye ek new feature Ad Balance launch kiya tha. Shayad aapne AdSense par ye feature dekha bhi hoga agar nahi bhi dekha hai to koi bat nahi aaj main aapko is feature ke bare me or ise use karne ke bare me detail se bta raha hu. Aap is feature ki help se high paying ads allow kar apni AdSense earning ko increase kar sakte ho.

Ye ad balance feature best performing ads ko focus karne ke liye banaya gaya hai. Iska istemal kar aap easily pata kar sakte ho ki aapki site par kitne percent ad units se earning ho rahi hai or kitne ads bekar me hi aapki website par show ho rahe hai.

Humare blog ya website par jo ad network show hote hai un sabhi se earning nahi hoti kyuki kuch ads ki CPC bahut hi low hoti hai or unse na ke barabar earning hoti hai. Adsense ke is features se aap un low paying ads ko cut kar only high paying ad units show kar sakte ho.

Suppose, aapki site par 70% potential ads display karne se 100% eastimated earning hoti hai to aapko site par 100% ads show karne ki kya jarurat hai. Aese me aap ad balance feature ka istemal kar 70% ads set kar sakte ho or baki ke 30% bekar ke low paying ads ki jagah apne content par valuable and high profit ads display kar sakte ho.

  1. Increase Revenue: Low paying ads cut kar only High paying ads display karne se aapki AdSense earning boost hogi.
  2. Minimum User Disturb: Extra and no revenue wale ads ko block karne se bekar ke ads site par show nahi honge or users ko advertisement se hone wali problem kam hogi.
  3. Isse aapki site par add low paying ads show hone band ho jayenge. Jisse aap aasani se pata kar sakte ho ki kis place par ad better work nahi kar rahe hai.

Iska matlab aapki earning increase hogi or aapki site par bekar ke extra no revenue ads bhi show nahi honge. Yani aapko ek tricks se 2-2 benefits hai so aayiye ab main aapko btata hu ki google AdSense ad balance feature ko use kaise karte hai.

Q. Mere Ad Unit Remove Karne Par kya Hoga?

Ans: Aapke ad limit set karne ke bad aapki site par only high paying ads show honge or baki low paying ads ki jagah blank ad ya space show hoga. Low ads ki jagah blank ad ya space show hoga.

Google Adsense Ad Balance Enable Kar Earning Increase Kaise Kare

Step by Step Full Guide in Hindi: Google AdSense ad balance feature ko best-performing ads focus karne ke liye design kiya gaya hai taki aap apne content par high value ad display kar sako or advertiser sahi content par advertising kar sake. Isse advertiser apni choice se content par high value ads show kara sakte hai.

Publisher ko isse great user experience milega or unki earning bhi increase hogi. Now, aapke dimag me ise use karne ke question aa raha hoga so mai nsidha matter par aata hu.

3 Steps to Use Ad Balance Featore in Google Adsense:

Step 1:

First apna AdSense account open kare or check kar le ki aap AdSense ka latest user interface istemal kar rahe ho. Agar aap old version use kar rahe ho to “TRY THE NEW ADSENSE” option par click kare new version open ho jayega..

  1. Left side sidebar me My ads par click karo.
  2. Ab aapko drop down menu me Ad Balance ka option dikhayi dega is par click karo.

AdSense ad balance feature

Step 2:

Ab ad balance ka feature aapke samne hoga or top par ye message show hoga.

Focus on your best-performing ads. Only show the ads that make you the most money, improving the overall visitor experience of your site at minimal cost to you. Use the slider to reduce the number of ads and see the impact this has on your revenue.

Yani aap is feature ka upyog kar sirf wohi ads show kar sakte ho jisse aapko jyada earning hoti hai or baki low paying ads ko reduce kar sakte ho. Aap yaha par ads slider ko slide kar pata kar sakte ho ki kitne percent ads se aapki kitni earning ho rahi hai.

Ad balance

Step 3:

Main aapko already bta chuka hu ki aapki 100% eastimated earning 70% ads display karne se hoti hai to aapko baki 30% ads ko site par show karne ki koi jarurat nahi hai. So aap yaha green and blue slider me se ads ke blue slider par check kare ki aapki kitne % se kitni percent earning ho rahi hai.

Uske bad aapko jis hisab se ad show karne hai waha par ads slider set kare. Main aapko suggest karunga ki aap minimum utni hi ads limit set kare jisse aapki 100% earning ho rahi hai baki aapko jo best lage kar sakte ho.

  1. Ad fill rate slider par ad limit set kare.
  2. Setting save karne ke bad APPLY par click kare.

set ad balance

Aapke ad balance set karne ke bad ise proper work karne me 1 week tak lag sakta hai so apply karne ke bad kuch time wait kare or fir apne blog par ad perform check kare. Aap dekhenge ki site par only high paying ads hi show ho rahe honge.

Yaad rahe low CPC ad ke place par koi ad show nahi hog. Agar aapki site par good and high keywords nahi hai to aapko space ya blank ad kiproblem hogi. Yani aapki site par low CPC ads ki jagah high CPC ads nahi only high CPC ad hi show honge.

Example, aapki site ke page par 5 ad unit add hai or page ko open karne par 3 low paying ads show nahi hote hai or 2 high paying ads show hote hai to sirf 2 hi ad show honge or baki place par blank ad ya space show hoga. So do this carefully.

I hope you may like this post and get helpful information about AdSense so please share this article on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (134)

  1. Avatar for Prince RajPrince Raj

    Verry Nice Post Sir,
    Thanks You Sir Adsense Ki Itni Acchi Information Dene Ke Liye,
    Sir Mere 3 Questions Hain.
    ______________________________________________

    Q- 1. Agar Adsense Par Page Views kam Ho Our Impression Zyada Ho To Isse Koi Nuksaan To Nahi ?

    Q-2. Mene Jabse Apne Blog Ki Theme Change Ki Hai Tab Se Uspar Agar Koi Ek Visitor Aata Hai
    To Blog Stats Me Sabhi Page Par 3.4.5 Tak Views Badh Jaata Autometicaly,
    Our Home Page Views 18 Ya 28 Ho Jaata Hai,

    Ye Kyu Ho Raha Hai Sir ? Isse Koi Nuksaan To Nahi Hai ?

    Theme Change Karne Se Pehle 50 Se 100 Views Milte The But Ab 2.000 Se 5000 Tak Views Ho Raha Hai.

    Q-3 Aapki Website Ki Notification Mujhe Spam Folder Me Milti Hai Our Me Aapki Post Time Par Read Nahi Kar Paata Iska Kya Karu Sir !
    ______________________________________________
    Advance Thanks You Sir !

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. No problem
      2. Aap traffic ke liye analytics use karo.
      3. Aapne more par click karke unspam kar sakte ho.

  2. Avatar for Shahrukh vashiShahrukh vashi

    Sir mere blog par add show kiu nahi ho rahe he…
    Mere blog 6 months ho gaye he. Or approvel bi mil gaya he. Other products me site b save kiya he waha se code le kar themes HTML me save b kiya leki abhi take mail AdSense ki or se koi mail nahi aya he..

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Adsense guideline follow karne wala content likho.

  3. Avatar for Juhi RaniJuhi Rani

    Sir kya Adsense page RPM ka bhi paisa deta hai ?

    Agar haa ! To fir mere balance me sirf estimate earning hi kyu add hoti hai ?

    Or page RPM income kaise prapt kare ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi page RPM ke paise nahi milte.

  4. Avatar for deepakdeepak

    bhai mera 6% per 100% Estimated earning show kr rha he.. to kya me 6% set kr du…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar try karke dekh lo agar benefit mile to acha warna fir se 100% set kar sakte ho.

  5. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Sir maximum kitna ads unit bana sakte hai …agar ads unit 20 se jyada ho jaye to kya ..cpc par koi fark padta hai…

    Aur sir ek baT aur. Blog ke sabhi post me ek sath 3_4 ads kaise lagaye jisase har post me alag se paste na karna pade….

    Aapne aapni post me kewal ek hi ads lagane ka jikra kiya hai…

    Sir jarur bataye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jitni jarurat ho utne banao no problem. par jyada ad banane ki jarurat nahi hai aap ek hi ad ko kia jagah use kar sakte ho.

  6. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Sir maine ads balance lagaya uske kuch samay bad hta diya

    Abto mere blog par koi bhi ads nhi dikha raha hai…ab kya karu sir.

    Plese sir help me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      o worry kuch time bad ad show hone lag jayenge.

      • Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

        Sir 12 ghnte se jyada ho gaye…ads balance hataye hue lekin abhi bhi show nhi ho rahe hai…kb shuru hoga jo 1 ya 2 dollar kamayi hi rahi thi wo bhi band ho gayi …

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Isme 24 hours ka time lagta hai.

  7. Avatar for DevDev

    SIR, 7 din ho gaye hai abhi nhi mere balance me estimated earning ad nahi huyi hai….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Add ho jayegi, aapki earning kisi or ke account me nahi aapke account me hi add hogi.

  8. Avatar for DevDev

    sir mere blog par adsense ke ads lage huye hai. mera balance 0.20 $ hai. Par aaj mere estimated earning mein today so far mein 0.22 $ earnina hua aur pure mahina ka 0.44 $ earning bata raha hai. par yeh mere balance mein add nahi huye woh wahi 0.20$ show ho raha toh mein kya karo .
    Sir pls help me…….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wait ho jayega.

  9. Avatar for niteshnitesh

    Bhai mera ad balanced feature maintenance me hai yh sabhi ka kya kyuki yh problem de rha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap kam se kam 100 par set kar sakte ho or agar aapko sabhi ad dikhane hai to aap ise default rahne do.

      • Avatar for niteshnitesh

        Bhai problem ye hai ki mera ad balanced feature show nahi ho rha yh message show ho rha hai “Your Ad balance settings have been reset and your revenue isn’t affected.

        Our engineers are working on it. Please check back again soon.” Ye kya sabhi ka show ho rha hai ya sirf mera

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Kuch error hai aa pthode din bad try kare show ho jayega.

  10. Avatar for PoojaPooja

    Sir, meri youtube adsense may month ki total earning 120 he or balance me 2 month se 0.19 dikha raha he. Aaj 11 tarik he lakin balance update nahi ho raha. Balance update hoga tabi pin mere ghar pe aayega so please sir muje ache se guide kr de. Kri koi mistake to nahi ho rahi. Or agar balance add nahi ho raha he to me kya kro. Please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Balance 15 to 1 tarikh tak update ho jayega. Aapko kuch bih karne ki jarurat nahi hai.

  11. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    sir mere me 53% me 100% earning show ho rahi hai to kya use 53% par set karke apply karu ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte ho but yaad rahe ki isse low CPC ads ki jagah space show hoga.

  12. Avatar for uttamuttam

    achha mene 55% set kiya hai

  13. Avatar for MonuMonu

    Sir mere Adsense me ek month phle 167$ the uske Baad mera adsense account suspend ho gya 10 fab ko vapas active ho gya . And mere home page par 3.98 & h Jo ki last month BHI etni hi thi
    Mera payment hoga ya nhi
    Please reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aapke account me balance hai to payment hoga.

  14. Avatar for shubham Vermashubham Verma

    Sir mere adsesne account me estimated earning nahi bata raha hai ek month ho gaye hai
    Please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger use karte ho ya youtube blogger ho to kya aapki site par ad show hote hai.

  15. Avatar for babubabu

    jumedeen ji sir mera YouTube channel
    se Adsense account approv ho chuka hai par
    jab maine Adsense account approv ho ne ke bad
    video monitize karne ki KOSHISH ki to ” for earn money chang ya check Adsense setting” aa raha hai

    to bataiye sir please

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye option AdSense change karne ke liye hai. Aap bad video monetize karo ise aese hi rahne do.

  16. Avatar for imranimran

    hello bhai adsesne ne mujhe 4 feb ko payment send kari hai pr abhi tk account m nhi ayi hai payment ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Payment sedn akrne ke 5-7 day task wait karo aa jayega.

    • Avatar for gautam nagrajgautam nagraj

      galat imran bhai

      galat adsense kabhi 4 feb ko payment send nahi karta, adsense har month ki 21st ko payment send karta hai jokin 23rd tak aa jati hai or agar 23rd ko nahi aati to 25th ko to aahi jati hai bhai.

      to adsense ne aapko 4th feb ko payment kaise send ki

      muze adsense ne payment 21st feb ko sent ki jo ki muze aaj 23rd ko mil chuki hai

  17. Avatar for Sohan singhSohan singh

    Hi sir mere blog par ads kyu nahi dikh rahe 2 din pehle to dikh rahe the
    Mera YouTube channel or blog dono ke alag alag AdSense account the to mene dono ek hi AdSense account se connect kar diya uske bad ads dikhne band ho gay
    Ab mene dono ko firse alag alag AdSense account se connect kiye jaise pehle the to bhi ads nahi dikh rahe.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google ek se jyada AdSense account use karna allow nahi karta aap ek hi AdSense use karo or usi se site par ad lagao site ka link site managemet me add karo uske bad google aapki site ka review karega or ad show hone lag jayenge. Isme 2 to 5 day ka time lagega.

  18. Avatar for nasirnasir

    jume deen bhai….mere AdSense account me (-minas)151page view dikha rhe hai…aur -impression aa rha hai ye kyun aa rhe hai…….pls help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iksa maltab aapki site par pahle se 151 pageviews kam huye hai.

  19. Avatar for imranimran

    bhai jab hum apni website AdSense m submit kre to kiya hume or website ki ads huta deni chahiye ya nhi apni website s

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi iski jarurat nahi hai. Aap ek hi AdSense par kei site use kar sakte or apni new site ko AdSense me add kar sakte ho.

      • Avatar for imranimran

        bhai mera mtlab hai ki mene apni website pr infolinks and adcash jesi company ki ads laga rakhi hai apni website pr

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes other sites ki ads hata deni chahiye mostly jinke sath AdSense use nahi kar sakte.

          • Avatar for imranimran

            kiya aap un ads website ke naam bata sakte ho jinke sath hum AdSense use kar sakte hai

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Infolinks, adnow etc.

  20. Avatar for Sageer khanSageer khan

    Assalamualiakum JUME deen khan bhai maine ek naya blog banana hai usme 30 post bhi publish Kardi hai. Adsense ke liye login bhi kar Diya lekin Adsense approval nahi ho raha hai bataye mere pas video bhi hai login ki ab apko konse network par send karu pls help immediately

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      W/a
      First aap blog par traffic badhao tab AdSense approve hoga.

  21. Avatar for harihari

    Top Referrals trafic kya hai google isse sahi trafic maanta hai ager kisi domain se facebook.se laa rhe hai toh

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jis site se aapko sabse jyada referral traffic milega wo aapki site ka top referral traffic hoga. facebook.com se mile to best hai. facebook.se sapm traffic hai.

  22. Avatar for rameshramesh

    Sir. Mobile me mere bloge ke add show nhi ho rhe h.PC me show hote h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ka link btaoge to hi main check kar paunga.

      • Avatar for rameshramesh

        Pls ap check krke batae ki mobile PR add show kiu nhi ho rhi h..

        Or Facebook PR apne blog ki koi post ka link dalta hu or fb se us post ko open krta but to populer post recent post fb like page show nhi hote kevl vahi post show hoti h ..pls help kre app

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapke blog par desktop or mobile dono me ad show nahi ho rahe.
          ye aapke blog ki template problem hai.

          • Avatar for rameshramesh

            sir
            pr mere pc me show kr rhi h.maine dusre browse me bhi open kya h wha bhi show kr rhi h…fir kya problam h

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aapne site ke home page par total 3 ad lagaye huye hai ek sidebar me or 1-1 first and second post se pahle koi bhi show nahi ho raha only space aa raha hai.

          • Avatar for rameshramesh

            Sir
            Ye add kaise show ho kya kru …mere PC me add show hoti h ..dusre PC or mobile me nhi show hoti ..kuchh hello kre

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Main aapko already bta chuka hu ki aapke blog par desktop version me bhi ad show nahi ho rahi hai. Jab tak google aapki site ak review comlete na kar le blank ad hi show honge.

  23. Avatar for kuldeepkuldeep

    mere blog me adds pr kitne clik huye ye me kese chk kru ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense par report check karo home par hi report show hoti hai ki kitne clicks huye hai.

  24. Avatar for JayJay

    Maine Google custum search engine par search kiya but koi results show nhi ho raha hai. Please aap mujhe uss post ka link de do.

  25. Avatar for JayJay

    Bahot useful post hai brother! Accha laga ye post. Aapse ek question tha ki Adsens k new interface ki help se search box kaise laga sakate hai?
    Aor aapki traffic and earning report wala post kyu nhi likh rahe hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me main post kar chuka hu search box me sawal search karo.

  26. Avatar for Rita SharmaRita Sharma

    hello sir.mere AdSense account pe koi earnings show nhi hoti hai.or estimated revenue kam hi hota ja rha hai..mjhe estimated revenue ka mtlb smjhae or ye kam kyu ho rha hai..phle 3.87 tha ab 2.74ho gya hai
    mjhe ye btae ki earnings k lie kya krna hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      estimated revenue ka matlab hota hai अनुमानित आय yani ye sirf anuman hota hai. Earning kam isiliye hoti hai ki kei par advertiser ke commission kam dena hota hai but jyada de dete hai. Use bad me kam kar diya jata hai.

  27. Avatar for md qureshimd qureshi

    khan sir AdSense ke saath kon sa ads network use kar sakte hain.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ke sath infolinks best hai.

  28. Avatar for Shashi k. tiwariShashi k. tiwari

    nice post sir.
    mai new blogger hu maine hindiuse.in website bnya hai aap please mere site ko chek kar ke btaiye usme kya improvment kar sakta hu .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good blog but logo size kam karo.

  29. Avatar for vitthalani yashdeepvitthalani yashdeep

    mera AdSense account subha se 60 click dekha raha hai aur mobile app main 120
    to account frozen ho gaya hai kya
    is ko solution hai koy?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi kei par AdSense pe problem ho jati hai or sahi report nahi dikhata. Don’t aapki earning ho rahi hai aap kuch time bad check kar lena.

      • Avatar for Vitthalani yashdeepVitthalani yashdeep

        Ho gaya hai start jab comment kiya tabhi ho gaya hai

        Aur aapko achi earring bhi huyi hai

  30. Avatar for vinod singhvinod singh

    mujhe abhi tak ad balance ke bare me nhi pata tha. i hope yeh nya feature jarur helpful hoga. isko share karne ke liye thanks.

  31. Avatar for YashYash

    Hello, sir
    Sir Maine 2 month ago YouTube ke through AdSense ko approve kiya tha..
    Or sir mene ek website banayi hai..jisme mujhe ads lagana hai..Jo blogger par bani hai..
    Sir problem ye h ki AdSense or website dono alag-alag E-mail she hai..to kya me AdSense ads blogger par laga skta hu…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      yes laga sakte ho no problem

  32. Avatar for rajraj

    bhot helpfull article he bhai kya YouTube par high payng ads chalenge or low cpc ad, blank ya space mein aayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes YouTube par bhi ye trick work karegi.

  33. Avatar for Lalit BanjaraLalit Banjara

    Such a amazing article Jumedeen Khan

  34. Avatar for Rajpal SinghRajpal Singh

    Thanks, ye bahut hi badiya tareka bataya hai AdSense earning badhane ka or sath me user experience bhi badh jayega.

  35. Avatar for rohit kumarrohit kumar

    iske appy karne ke baad agar hme ye na pasand aaye toh ise pahle jaisa kr skte hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte hai.

  36. Avatar for Shaikh MuneerShaikh Muneer

    Koi mujhe pucche Adsense se related har new features ki jankari hindi me padhne kaha milegi to mai sabse phele supportmeindia ka naam leta hu qki ye sach hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you and welcome Shaikh Muneer.

  37. Avatar for rohaanrohaan

    @Jume Deen Khan

    Great article Bro !

    Aise AdSense ke kai features se bahut newbies anjaan hai achaa hua aap sabhi ko reveal karte ja rahe ho

  38. Avatar for Wasim AkramWasim Akram

    Aasslamualikum Bhai Mera YouTube account band ho gaya hai Mujhe apki help chahiye mera mera email mohdws@gmail.com.

  39. Avatar for surajsuraj

    Which plugin should I use to display AdSense matched content below the post content and below the social button like you? Hope you will reply asap, by the way you write awesome content.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ad injection plugin use kare or iski bottom widget me matched content code paste kare.

  40. Avatar for Ashvin ChaudharyAshvin Chaudhary

    Great post again Mr Jume Deen Khan.

    Thanks for great post

  41. Avatar for radhe gourradhe gour

    sir me apni website ki theme me hindi font change karna chahta hu lekin change nahi ho raha hai sirf english font change ho rahe hai hindi font me koi change nahi ho raha hai .
    kya esa koi plugin hai jisse hindi font change ho jaye ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ki CSS coding me google hindi font ka code ya blog body me font ki javasript add karo.

  42. Avatar for Taufeeq UmarTaufeeq Umar

    Its really amazing and helpful information, thank you very much for sharing this great blog here with us.

  43. Avatar for HarryHarry

    SIR POST MEIN TEXT AD LAGANE SE BENEFIT HOGA YA DISPLAY ADS

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dono se, display ads par CPCP jyada hoti hai.

  44. Avatar for junaid siddiqijunaid siddiqi

    Dear sir apne mujhko koi reply nahi kiya hai ki apko mere guest post mill ha ya nahi mene apko 2bar apni guest post ko send kiya hai agar apko mere guest post mil gaye hai to aap unko publish kab kroge sir jaldi reply please
    Or mujhko or guest post likhni hai mobile or computer tick ki to please jaldi she app unko publish kar de me kam se kam 20 guest post ko apne blog par publish karna chahta hu jisse mere YouTube or blog ka traffic increase ho thanks…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Junaid maine aapki post check ki hai or abhi reply bhi kiya hai check kar lena.

  45. Avatar for Vijay panaraVijay panara

    Sorry bro mera question off topics hai Bhai mere blog ki bounce rates bahut jyada hai is ko kaise thik kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Quality and long content likho taki user aapki post ko jyada time tak read kare.

  46. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bro apke matched content ke ads me aapke blog ka url kaise add holua hai?

  47. Avatar for kuldeep vishnoikuldeep vishnoi

    abhi mere blog ki speed bahut kam isse fast kaise kare…

  48. Avatar for deepak sahoodeepak sahoo

    sir plez uc union ke bareme ek post likhiye plez

  49. Avatar for Abhishek KumarAbhishek Kumar

    sir aapne bahut acchi jaankari di lakin mere ek saval h

    sir mere blog ko lagbhag 3 month pure hone waale is par total 40 post h aur toatl page views ki sankhya 14000 ho gyi h to kya ye sahi h ya mujh se koi galti ho rahi please sir meri blog ko dekhar answer jarur de

  50. Avatar for Qasim ButtQasim Butt

    Bhai Great post …good job bhai mene godaddy se domain lene ki koshish ki magar wo signup ke waqt kehty hePlease verify your payment …Hala ke mera sub kuch sahi dala gha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke godaddy account card me koi produkt add hai use delete karo ya mujhe us error ka screenshot dikhao.

  51. Avatar for shubhra deyshubhra dey

    Bhai mene aaj hi hosting lia hai aur hosting lekar WordPress install kia hai par jab http://higibigi.com/wp-admin/ type karta hu to not found dikhata hai ya fir dikhata hai This domain is no longer parked by Godaddy bhai plz help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne sahi se WordPress install anhi kiya. Sahi se install karo or domain settings me hosting ka DNS record add karo.

  52. Avatar for Rajan SinghRajan Singh

    Bro mujhe blogging ke baare jyada knowledge nahi hai isliye ek sawaal tha apse,

    Mai yah puchna chahta hu ki kya aap apne posts me Tags ka istemal karte hai?

    Kyonki mai jab bhi koi post likhta hu to usme niche ek option hota hai

    “Tags
    [ . . ]
    Separate Tags with Commas”

    aur jab kisi post me mai tags dalta hu to wo posts me show karta hai

    lekin apke post me tags show nahi karta to kya aap tags ka istemal nahi karte aur tags use karne ka koi phayda hota hai

    ise na use kare to koi loss to nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      main bhi karta hu magar maine tag hide kar rakhi hai. Bilkul tag bhi category ki tarah important hai. Aap post main category 1-2 or tag jyada use kar sakte ho.

  53. Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

    Jume deen bhai jab mai YouTube se banaye gaye AdSense account ke adds apne blog me lagana chahta hu lekin jab mai apna Domain AdSense account me jodta hu to ye likh kar aata hai.

    “We apologise for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it.”

    maine 15-16 din pahle bhi try kiya tha lekin yahi likh kar aa raha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap firefox browser ki cookies, cache and history delete karke try karo ho jayega.

      • Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

        Maine apne Chrome, Firefox dono ki cookies, cache and history sab delete karke try kiya lekin to bhi yahi aa raha hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Abhishek ek bar karne se nahi hota to dubara try karo fir bhi na ho to mujhe mail karo main kar dunga.

      • Avatar for Draveen SentinelDraveen Sentinel

        bhai 0 cpc ka kya matlab hai ? 5-7 dino se cpc automatically zero ho gaya hai . maine koi changes nahi ki hai ad placement me fir bhi aisa kyonki …any suggestion to get it back..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Draveen invalid clicks ki wajah se aesa ho raha hai. Aapko 5-10 clicks mil rahe hai to no problem or agar jyada clicks mil rahe hai or earnings zero hai to problem hogi. Aesa hai to mujhe screenshot send karo.

          • Avatar for Draveen SentinelDraveen Sentinel

            Bhai mai apko puri baat batata hu.Mere 12 Blogs hai usme se kuch english me hai kuch hindi me hai aur kuch tech se related hai toh kuch comedy se related.Aur haal me hi maine 5 channel create kiye hai YouTube par jisme ek hi channel par mai focus kar raha hu aur subcribers kul 400 hai.

            Jaise hi channel ko maine AdSense se connect kiya tabhi se ye problem ho rahi hai earning bilkul zero ho gayee hai YouTube ki views se bhi paise nahi mil rahe hai aur blog se bhi.Aur ye ek baar aur hua tha tab maine sahi kar diya tha fir ye repeat kar raha hai.

            Aur iske baare me main shoutmeloud.com ke forum par bhi kitane logo se pucha lekin ko proper response nahi.Fir maine soncha mai aapse bhi puch ke dekh leta hu aap bhi ek pro blogger hai aur kafi time se blogging kar rahe hi to shayad aap bhi is situation se cross kiye honge.So please help me to rectify …

            Screen Shot Of Adsense Report..

            http://www.hindiwiki.com/wp-content/uploads/2017/01/Adsense-Website-Disable-1.jpg

            Au kabhi earning ho bhi rahi hai to 100 clicks par kewal 0.03-0.08 aur sabse ajeeb baat hai cpc zero hone ke baad bhi earning ho rahi hai. Mujhe toh kuch samajh hi nahi aa raha hai ye ho kya raha hai ? Jab cpc zero hai to earning bhi nahi honi chahiye fir bhi kyon ho rahi hai…?

            Kahi koi kuch kar toh nahi raha hai mere saath taki mera account band ho jaye ? Im waiting

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Draveen is simple issue, Shoutmeloud forum par kisi ne care nahi kiya hoga. Google is bare me already bta chuka hai. Aap is link par click kar check kar sakte hai. I’m seeing clicks with no earnings
            1. Aap authorization feature use karte ho but aapne authorization me apni site verify nahi ki hai to aapke ads par click honge but earning nahi hogi.
            2. Aapki site par CPM ad show ho rahe hai. Aese ads par advertiser $0.05 to $0.50 tak pay karte hai.
            3. Ya aapki site par very low paying ad show ho rahe hai jinpar click karne se na ke barabar earning hoti hai.
            4. Aapke aese clicks mi lrahe hai jinhe google system invalid samajh raha hai.
            5. Ya fir google system artificially mistake aapke adsesne apr reprot show kar raha hai. Aese me google aapko koi pay nahi karega.
            6. Aapke ads par user invalid clicks kar rahe hai ya user ke ad par click karne se galat click ho raha hai. Aese me advertiser koi charge nahi dete.
            7. Ya fir aapke AdSense par system sahi se work nahi kar raha hai.

            In sabhi solution ka matlab ye hai ki aapke ads par kcuh clicks hote hai but invalid clicks se jo charge lagta hai usse aapki earning 0 ho jati hai. CPC zero hone ki wajah aapko 1000 impressions par $0.5 to $0.50 milna hai.

            Ab aap ya to iski google AdSense team ko report send karo ya isko avoid karo or inme se koi error ho to use fix karo.

  54. Avatar for Shubhra DeyShubhra Dey

    Agar ad remove na karu to kya hoga bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  55. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    sir mene ek article publish kra or 5 minut baad 7,10 visitor online a gye us article pr. 4,5 din tak us article par 50 to 80 online rehte the. Us article mai 4,5 word galat the to mene us article ke 4,5 word thik kare. Usdin traffic to thik tha par next day 45% traffic down ho gya us article pr. Dubara ranking increase krne k liye kya karu us article pr ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke reader us post ko ek bar hi read karenge traffic bana rahe iske liye aapki site par jyada user hone chahiye. Aap blog ka traffic badhao post ka bhi badh jayega.

  56. Avatar for Ranjeet buk raiRanjeet buk rai

    ye YouTube pe bhi kaam karega kya ¿

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes.

  57. Avatar for ARVIND PANDEYARVIND PANDEY

    Bhai mai sirf 3 ads ek page par use karta hu, par mere 66% par show kar rha hai .
    Kya mere ads positioning sahi nahi hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      50% Tak sahi hai aap ad balance feature try karke dekho or check karo ki kitna fayda ho raha hai.

  58. Avatar for Dev VaishnavDev Vaishnav

    Sir ye mere 72% me hua na ki 70% me esase koi problem to nahi hai na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      70% jaruri nahi hai jitne percent se aapki earning ho rahi hai utna hi set karna hai.

  59. Avatar for Shubhra DeyShubhra Dey

    Bhai WordPress par shift hone se pehle kya blogger ke saare post se AdSense remove karna padega…
    Agar ha, to kaise kare bhai itne post se ad code remove, aur agar ad code remove na korke me shift karu to kya hoga…
    Plzzzz sugest me bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ye aapko manually hi karna hoga. WordPress pa shift hone ke bad aap plugin se ek sath sabhi post me add laga lena.

      • Avatar for RISHI MISHRARISHI MISHRA

        Dear Jumedeen khan sir,
        mare pass ek blog hai uska address hai http://yourkick.blogspot.in hai mane aapke post padh kar google ma apne blog ko add karva liya hai but sir mare blog ko koi bhe search karta hai to vo milta nhi hai google per syad mare blog ka address blogspot per hai isliya. Sir mare pass paise nhi hi ki ma domain buy kar saaku plz aap mujko itna baatado ki jaise aapke site jab koi search karta hai to aapke site ke sare page google per khuljaate hai sir kya koi blogspot.in ka blog se possible ke uske bhee page ek deen google per khulne laaga ke yaa fhir domain buy karna hooga…

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapka blog google me aa raha hai bas aap SEO friendly post likho uske bad aapki post top me aayegi.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...