Google Adsense Native Ads Kya Hai Kyu or Kaise Use Kare

Google adsense publisher ke liye ek good news hai ab aap apni site par native ads use kar sakte ho. I mean ab aapki site par aapke content se related advertisement hi show honge. Ab aapke visitors ko unrelated ads dekhne ki problem nahi hogi. Google adsense Matched Content, In-feed Ads, and In-article Ads three type ke native offer karta hai. Yaha main aapko un 3 types ke native ads ke bare me details se bta raha hu. To chaliye jante hai ki Google Adsense Native Ads Kya Hai or Google Adsense Native Ads Ka Istemal Kaise Kare.

Google Adsense Native Ads

Google adsense native ads ke abre me sun kar har ek adsense publisher ye jarur sochega ki ye kya hai or inhe kyu otr kaise use kare. Yaha humare pas 3 question ban jate hai. 1. Google Adsense Native Ads Kya Hai?, 2. Google Adsense Native Ads Kyu Use Kare?, and 3. Google Adsense Native Ads Kaise Use Kare? Is post me main aapko in sabhi ads ke bare me step by stpe bta raha hu taki aapko sabke bare me jankari ho sake.

Native ads ka sabse achha or sabse jyada fayda hota hai User Experience yani aapki site par ads se readers ko jo problem hoti thi wo kam ho jati hai. Kyuki native ads me bilkul aapki site ke content se milta julta ad show hota hai. Google Adsense Matched Content Ads native ads bahut pahle hi launch kar chuka hai or shayad aap iska istemal bhi kar rahe ho. Agar aapko is bare me jankari nahi hai to aap humari Adsense Matched Content Kya Hai or Blog Par Kaise Use Kare.

Google Adsense Native Ads Ki Puri Jankari Hindi Me

Har ek adsense publisher adsense se achhi earning karna chahata hai but aap aesa tab tak nahi kar sakte jab tak aapko adsense ke features ki sahi se jankari nahi hogi. Aapko iske bare me jitni jyada knowledge hogi aap utne hi better tarike se adsense ads ka istemal kar sakoge or aapki utni hi jyada earning hogi.

Google Adsnse Native Ads ka istemal karne se pahle bhi aapko inke bare me achhe se jaan lena chahiye. Jaisa ki main upar bta chuka hu ki adsense 3 native ads offer karta hai. Jinme se 1 ko wo kafi time pahle enable kar chuka hai or baki 2 ko abhi enable kiya gaya hai.

Three Type Adsense Native Ads:

  1. Matched Content
  2. In-feed Ads
  3. In-article Ads

Google adsense native ads ka istemal karne ke 3 big benefits hai. Jo is parkar hai.

  1. A Great User Experience: Naturally, native ads ko aapki website par high quality advertiser elements, high resolution images, longer title and description ads dikhane ke liye banaya gaya hai taki aapke visitors ko or jyada attract kiya ja sake.
  2. A Great Look and Feel Across Different Screen Sizes: Adsense native ads ka look mobile, dekstop and tablet all devices me fit hoga.
  3. Easy to Use: Native ads me text and displat ads ki tulna me jyada design feature diye gaye hai matlab aap native ads ko apni site ke design ke anusar easily design kar sakte ho iski simple tool hogi.

Yaha main in sabke bare me details se btaunga taki newbie user ko aasani se samajh aa sake.

Google Adsense Native Ads Kya Hai

“Ek content ka piece jo bilkul website content ke jaisa hota hai magar ye paid hota hai or advertiser ke dwara apni company ki service ya product ka promotion karne ke liye site owner ko provide kiya jata hai.” Ise native ads kahte hai.

Native ads bilkul aapke content se related hote hai jisse aapke visitors ko bahut kam problem hoti hai. Ye bilkul aapki site ke design match hote hai jo ki great visitor experience ke liye better hai. Normally, humari site par jab koi user visit karta hai to use content to apni pasand ka milta hai but ads nahi jiski wajah se wo site ko leave kar jate hai ta fir us ads me interest nahi lete hai.

Adsense native ads se ye problem kam ho jayegi because native ads bilkul aapke content se multe-julte honge or user aasani se content or ads me fark nahi kar payenge. Isse na sirf aapki earning jyada hogi balki aapki site par user ko ads se hone wali pareshani bhi kam hogi jisse aapki site ko jyada log like karenge.

Google adsense matched content, in-feed ads, and in-article ads 3 native ads offer karta hai. Jo is parkar hai.

1. Matched Content Ads:

Adsense matched content ads me aapki hi site ke articles show hote hai. Jab koi aapki site ke page ko open karta hai jo google us page se related yani match hone wale kuch articles ki list show karta hai taki user ko uski jarurat ki jankari mil sake or wo aapki site par jyada time spend kare. Isse site ki bounce rate me fayda hota hai.

Matched content ads me site articles ke sath ads bhi show hote hai jo bilkul article ke jaise hi hote hai. Agar koi user in ads par click karta hai to bhi aapki earning hogi. Yani matched content ads se aap site ki bounce rate kam karne ke sath income bhi kar sakte hai.

Actually, marche content ko google bahut pahle launch kar chuka hai so main isko istemal karne or isse earning karne dono ke bare me already post likh chuka hu. Aapko iski jankari chahiye to aap ye psot padh sakte hai.

2. In-feed Ads:

In-feed ads ko main aapki website blog ke feed ke liye banaya gaya hai. For example, aapke blog ka layout or pagination page jisme aap 5-7 or 10 posts ki list show karte ho. In articles ki list me aap in-feed ads laga sakte ho. Isme iamge ads ke sath title and description bh ishow hoti hai.

Google adsense 4 type ke in-feed ads offer karta hai. 1. Image Above, 2. Image on day side, 3. Title Above, 4. Text only. Mostly sites me isi type ka layout use kiya jata hai. Aap apne site ke feed ke hisab se ads style choose kar sakte hai. In-feed ads all publisher ke liye available hai.

Adsense In-feed ads

3. In-article Ads:

In-article ads ko better advertising experience ke liye create kiya gaya hai. Isse content me show hone wale unrelated ads se hone wali problem solve hogi. Bahut se adsense publisher ko ye shikayat rahti hai ki unke content me content me add keywords se related ads  show nahi hote.

Agar aapke sath bh iyahi problem hai to aap in-article ad istemal kare isse google aapke content content se matched ads hi display karega. Bilkul aapke content se milte-julte ad show honge.

Sabse achhi bat aap in-article ad ko bilkul apne content ke jaise design kar sakte ho. Like, font-size, font, title color and size, description etc.

Is ads ka istemal sirf between article, yani article paragraph ke bich me hi karna hai. Aap is ad unit ko sidebar ya widgets me use nahi kar sakte.

Google Adsense Native Ads Kaise Use Kare

Adsense native ads ke bare me janne ke bad aapke man ye ab ye sawal jarur aayega ki native ads ka istemal kaise kare. No worry, native ads istemal katrna bahut hi aasan hai, agar aap pahle bhi ad unit create kar chuke hai mostly matched content as to aapko isme koi problem nahi hogi.

To Create Native Ads on Adsense:

  • Sign in to your adsesne account.
  • Ab left navigation menu me My Ads par click kare.
  • +New Ad Unit option par click kare.
  • Ab aapko jis type ka ad create karna hai wo category select kare.

Select adsense ads category

Ab jo windows open hogi usme aapko ad look design karna hai. Ad design karne ke bad aap save option par click kare or jo code mile use copy kar apne blog me add kare.

Aapke native ads code blog me ad karne ke bad native ads ko proper work karne me 20-30 minutes lag sakte hai so ab aap kuch time wait kare or 20 to 30 minute me aapki site par native ads show hone shuru ho jayenge.

Ye ad format new hai so agar aapke adsense account me ye ad format available nahi hai to thoda wiat kare kuch time bad enable ho jayega.

Google Adsense Native Ads Kyu Use Kare

Upar btayi jankari ko read karne ke bad aapko samajh aa gaya hoga ki adsense native ads ka istemal kyu kare but agar nahi bhi aaya hai to yaha main aapko native ads ko use karne ke fayde bta deta hu.

  1. Increase User Experience: Kyuki native ads me aapki site ke content se related ads hi show honge jisse user aapki site ko jyada pasand karenge.
  2. Increase adsense revenue: Unrelated ad show hone se user usme kam interest lete hai. Native ads me user jyada insterest lenge or jyada click karenge jisse aapki jyada kamai hogi.
  3. Avoid Unrelated Ads: Kai bar site par unrelated show hone se audience ko problem hoti hai native ads se wo problem solve ho jayegi.
  4. Awesome Look and design: Adsense ads ke site design se match na hone par site ka look bekar ho jata hai. Kyuki native ads ko aap apni site ke design ke anusar look de sakte ho isse aapki site ka look kharab nahi hoga.
  5. Awesome In-feed ads: Normally, hum site feed me text an displat ad unit istemal karte hai jo ki humari site ke feed se bilkul match nahi hota. But in-feed ad bilkul humari site ke feed ke jaisa hoga jisse hume jyada fayda hoga.

In sabke alawa adsense publisher ki sabse badi problem hoti hai site par unwanted advertisement show hona jisse na sirf humari site ka look kharab hota hai balki ad pasand na aane par kai users humari site par visit nahi kar pate hai. Google adsense ke native ads ke istemal kse ye problem door ho jayegi.

Isi liye main is update ko adsense ki behtreen or sabse achhi update kahunga. main kafi time se iske bare me soch raha tha agar hum apne content se bilkul milta julta ads show kar pate to kaisa hota or aakhir wo update aa hi gayi.

Post Summary,

Finally, ab aapko google adsense native ads ke bare me puri jankari ho gayi hogi. I hope ab aapko native ads istemal karne me koi problem nahi hogi. Wastav me google adsense ki ye bahut hi achhi update hai. Sirf mujhe hi nahi aap sabhi ko bhi ye pasand aayega.

Native ads site par user experience banaye rakhne or advertisement se earning karne ka sabse achha tarika hai jiska bahut se website owners ko intjar tha or aaj un sabki ichcha puri ho gayi. Ab aap apna adsense account open kijiye or native ad unit create karke apne blog par use kijiye or results check kijiye.

Ab hum humare content se related ads show karke humare useer ki problem khatm kar sakte hai. Sath hi content se milta-julta a show karke apni adsense earning bhi increase kar sakte hai. Agar aapko is bare me koi bhi sawal puchna ho to aap comment me puch sakte hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par dusre adsense publisher ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (81)

  1. Avatar for Tushar KumarTushar Kumar

    Sir Appki Blog Support me India se Online Earning Kaise hoti hain kyunki jyada Google Adsense ke Ads nahi lage Appke site pe so please bataye sir…!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ads and affiliate market se.

  2. Avatar for ranjot singhranjot singh

    Bhut hi achhi jankari share ki hai aap ne sir

  3. Avatar for Tahir abbasTahir abbas

    Aapke tips ko follow kiya mera Adsense Account fully approved ho gaya. Thanks

  4. Avatar for Anuj MishraAnuj Mishra

    Good information, padh ke achha laga,ye mere kam ka hai

  5. Avatar for JayJay

    Bro infeed ads ko mai blog ke home page ke post k beech me lagana chahata hu. Aur infeed ads bana liya ab iss code ko kaha paste karu ki Home page par post ke beech me infeed ads show ho. Please details me bataaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog layout widgets me. Blogger par apa chahe jo nahi kar sakte. Agar aapki template me layout widget feature hai to hi kar sakte ho.

  6. Avatar for JayJay

    Bro maine ek template download kiya aur usko apne blog me lagaya. Aur mai AdSense use karta hu. Lekin mere home page par post ke beech me AdSense ads show ho raha hai. Mai ye jaanana chahata hu ki , ye jo home page par AdSense ads show ho raha hai kya wo mera ads hai?? Ya phir uska jaha se maine template download kiya.

    Kya template dene wale website apni AdSense earnings increase karne ke liye aisa kar sakte hai ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ads ki pub-id check karo agar wo aapke adsense ads wali id se match hoti hai to wo aapka hi ad hai warna nahi.

  7. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    sir mera blog blogger me hai to me google in-artical ads me mere blog me kaise lagavu… pls sir help me…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Very simple jaha aapko ad lagana hai waha ad code paste karo. Check layout, usme layout widgets ka option hoga.

  8. Avatar for Akhilesh KumarAkhilesh Kumar

    Achha hai but iska cpc bahut low hota hai, kyunki mai apne website par iska prayog kar raha hu to cpc bahut hi low araha hai.

  9. Avatar for Suraj yadavSuraj yadav

    Hello, sir pls mujhe btaye feed ads kaise post ke niche lgaye wordpress template me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog feed me widget use karo iske bare me google me search karo ki “How to show ads after 2 posts in wordpress”

  10. Avatar for vivekvivek

    Hello sir bhut din bad mai aapki blog par comment kar raha hu plz mujhe aap ye Bata skte ho Aapke blog par abhi abhi Jo link ads 4-5 line ka show kar raha hai use aapne Kaise Banaya hai please batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main responsive link ad use karta hu google apne hisab se show karta hai.

  11. Avatar for kavyakavya

    Hello sir Sry mujhe fir dubara wahi comment karna pad rha hai kyuki sir jis comment ka apna reply kiya tha mey usski coding save karna bhul gai aur mujhe vo comment nhi mil pa rha please ek bar aur mujhe help kary aur ye be batay ki coding kha paste karni hai. Please Help me . ya fir mujhe vo post batay jis par maine comment kiya tha.

    Resources with a “?” in the URL are not cached by some proxy caching servers. Remove the query string and encode the parameters into the URL for the following resources

  12. Avatar for Yasir KhanYasir Khan

    Hello JDK Bro!!!
    1. Apko daily ki average CPC kya milti hai?
    2. Kya multi topic blog ki cpc kam milti hai?
    Meri daily ki average CPC $0.05 mil rahi hai.
    Kya ye mere blog ke hisab se thik hai?
    Thanks waiting for your answer. 🙂

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aesa kuch nahi hai. Hindi blog ke liye sahi hai.

  13. Avatar for rohaanrohaan

    Badhiya jaankari hai padh kar acha laga !

  14. Avatar for mithunmithun

    Bahut hi badhiya jankari share kiya bhai aapne

  15. Avatar for Deep Shikha SinghDeep Shikha Singh

    waise bhi jitane bhi Problogger hai wo native ads hi use karte the. But ab Google ka native ads aa gaye to sabhi Blogger native ads use kar sakte hai aur isse ho sakta hai thoda Income bhi Increase ho jaye.

    thanks

  16. Avatar for satendrasatendra

    bhai agar humko site se google ke sabhi ads hide karne ho show nahi karwane ho kuchh time ke liye koi trick hai. ya one by one ads ko remove karna hoga. koi trick ho to plz tell me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Satendra aap ad show karne ke liye har post me ads code add mat karo or iske liye plugin ya aesi method use karo jisse ek jagah code add karne se ad sabhi posts me show ho. Jab aapko ad nahi dikhane ho to aap wo ad code remove kar sakte ho.

      • Avatar for satendrasatendra

        aise hi use karta hun quick adsense plugin se.
        maine ye soch raha tha ki google adsense hi koi aisa tarika ho jo ads ho hidi kiya ja sake.
        ya jaise youtube me disable monetization karke kar dete hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Google is tarah ki service nahi deta aap plugin ke feature use karo ye hi better hai.

  17. Avatar for Bitu KumarBitu Kumar

    Google Adsense ne bhi native ads ative kar diya mujhe isse kaafi khusi hai

  18. Avatar for KavyaKavya

    Hello sir mey apny blog ka traffic hmesha seh histas par check krti ho par sir jabse maine apny new blog ko histast seh joda hai vo traffic shi dikha rha tha par sir jabse maine apny new blog mey htttps lagwaya hai jabse histats par new blog is traffic nhi dikha rha Kya aap bta skty hai Kyu.

    2. Sir Google analytics ko chodkr koi aur achi site ka name batay jaha seh mey apny blog ka traffic track Kar sakho aur vo site https ko be support krti ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Uske liye aapko site url me http ki jagah https add karna hai tab traffic show hoga. Wese etraffic ke liye sabse better tool analytics hai.
      2. Aap jetpack plugin use kar sakte ho.

  19. Avatar for shahid afrideeshahid afridee

    Bhai jab aapka blog open karte hai to sabse upar internet ki puri jankari hindi me likha hua aata hai aur jab koi label open karte hai,to har problem ka solution hindi me likha hua aata hai.So mai bhi apne blog me isi tarah kuchh likhna chahta hu kaise likh sakta hu..
    Ek baat aur mai abhi tak ye nahi samajh paya ki aapne apne blog post ke bich me jo 5 line ka link ads use kiya hai use kaise banaya please help….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap isi type ki theme template use karni hogi.
      Shaid adsense responsive code me aapko ad format me auto ki jagah rectangle likhna hai jiske bare me maine psot me btaya bhi hai. Aap aa pfir se link ad ki bat kar rahe ho to main aapko fir se kah du ki main aesi koi bhi trick nahi btaunga jisse adsense policy ka violation ho.

  20. Avatar for Kunal JadhavKunal Jadhav

    Sir mera blog check karke 2 baate bataye..

    1- Muje Blog Template Change karne chaiye ya nahi..

    2- Mera blog post likhne ka tarika kaisa hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Mere hisab se ye template bhi achhi hai.
      2. must.

  21. Avatar for PariharParihar

    sach a one more great article

  22. Avatar for Rohan MirajeRohan Miraje

    such a great and informative article bhai. bhai maine aapko mail kiya hai uska abhi koi reply nahi aaya..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main jaldi ho mail check karke reply kar dunga.

  23. Avatar for satendrasatendra

    hello jumedeen bahi ek help chahiye. Mera pahele hi ek adsesne disable ho chuka hai invalid activity se. But is baara nahi khona chahta To isliye maine jo ye link apko diye adsense screen shot hai step by step answer dena ki kuchh galata to nahi ho raha hai. main ads par clcik nahi karta or apni site ko bhi opera mini me open karta hun jisme ads show hi nahi hote. to link ye hai. dakh kar zaroor bataye plz.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi issue nahi sab theek hai or aap apni site ko kisi bhi browser me open karo no problem bas khud ya kisi se ad par click mat karwana or nxt time aesi problem ho to Invalid click forum me report karna account recover ho jayega.

  24. Avatar for rahulrahul

    Sir agar gtmetrix par site ke dono score 50 se kam ho to site ke SEO par kya effect paedga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab aapki site ki speed slow hai or SEO ke liye site ki speed achhi honi chahiye speed slow hai to ranking kam hogi.

  25. Avatar for Yasir Khan SaqlainiYasir Khan Saqlaini

    Kitne traffic par ham ads laga sakte hain native

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No limit aapke adsense me ye ad unit hai to laga sakte ho.

  26. Avatar for ANIRUDDHA CHOUDHURYANIRUDDHA CHOUDHURY

    well explained bahut achhe se samjhaya… ab adsense kaafi improve ho gaya hai… native ads dekhne me kaafi attractive bhi lag rahe hai…

  27. Avatar for Shivaay singhShivaay singh

    Thanku you sir ,for this post .
    Koyn ki jab maine aaj apne site par ads lagane ki liye AdSense me log in kiya . To mujhe waha yah 2 or option dekhaye diye ads ke. Tab main confuse ho gya kab kya karu..
    Fir aapki yah post padi to sab samajh aa gya . Thanku so much again.

  28. Avatar for JituJitu

    Mr. Jumedeen Khan Sir,
    Sir Mujhe Yeh Janana Hai ki Agar mai ek shayari ka blog banata hu toh mai kiya shayari kisi side se copy kar sakta hai agar mai uss shayari ka credit likh do ki yeh shayari maine iss wesbite se li hai toh iss main kiya promlam aa saktai hai kiya adsense iss pr block ho sakta hai kiya hum credit de kar shayari ko copy kar saktey hai yaa nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes problem hogi kyki uske liye us site owner ki permission jaruri hai warna wo aapki google ko report karega or copyrighting hogi. Aap khu se likho wo sabse better hai.

  29. Avatar for Deepak kumarDeepak kumar

    Sir Adsense use karne ke liye pancard hona jaruri hai kya
    or payment ke liye PayPal hona jaruri hai kya kya ham direct apne bank me payment Le sakte hai without any online wallet

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi, yes aap direct bank account me payment le sakte ho maine is sabke bare me btaya hua hai aap please humari adsense wali posts read kar le.

  30. Avatar for Shahid AfrideeShahid Afridee

    Bhai aap kon sa ads ka baat kar rahe hai,Mai aapke is post ke bich me laga hua link ads ke bare me puchh raha hu Aur agar ye galat hai to aapne apne post me Q laga rakha hai.

  31. Avatar for md shahidmd shahid

    sir mere blog ke home page me 4 post show ho raha hai jab ke sitting me 6 post on the main page set kiya hai laikin phir bhi 4 post show horaha hai 6 post kaise show hoga or page navigation bhi 1 show horaha hai mai kaise theek karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ki template change karke dekho 6 hi show hone lag jayegi.

  32. Avatar for Qasim ButtQasim Butt

    Bhai Mujhe message aya tha ke mera adsense account approved hogeya he, mene adsense ka homepage khola to wo bhi keh rahe the your account is activated now and get started to make money fr maine waha se ek ad unit banaya but uss ad unit ke agge new likha araha he ?? Active nahi likha araha ? Issme bhi de lagti he kia ? Or kitni ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap us ad code ko apne blog me 2-3 palce par add kaor uske bad 20 to 30 minute me ad show hone lag jate hai.

  33. Avatar for Shahid AfrideeShahid Afridee

    Bro aap apne blog post me Jo 5 -10 line ka link ads use kar rahe hai is tarah ke ads hum Kaise bana sakte hai kya aap hame step by step bata sakte ho plz….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine bas experiment kiya tha aesa karna violation hai abhi mai wo use nahi kar raha hu. Sorry bro aesi trick nahi bta sakta jisse aapka adsense block ho sakta hai.

  34. Avatar for DeepakDeepak

    Thanks Jume Dean Bhai me pichle kuch dino se en me confus tha thanks

  35. Avatar for rovin singhrovin singh

    hello sir me apki site par guest post karna chahta hu kya ap use publish karenge.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aapko guest post karni hai to aap guest post policy padh kar mujhe mail karna chahiye bajaye yaha comment ke

  36. Avatar for AliAli

    Sir Aap ne Adsense Links ads ka size kaise edit kiya ? Please kya aap bata sakte ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Very simple but ye adsesne policy violation ha or isse aapka adsesne block ho jayega so ise bhool jao.

  37. Avatar for shahid afrideeshahid afridee

    Bhai aap plz meri help kar do,maine in article ads ko select karke new ads banaya lekin wo ads display ads ban gaya so aap apne blog post me jo ads laga rakha hai,is tarah ke ads kaise banate hai kya aap hame details me bata sakte hai.Jaise ki font size kya rakhe background colour title colour description colour etcc… kaise kare bata sakte ho plz…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke ad unit create karne ke bad wo dislay ad hi show hoga kuch time bad proper work karne lag jayega. Aap mobile me check kar sakte ho.

  38. Avatar for gufran khangufran khan

    Great information tbhi to apka website ham jaise new blogger ke liye sabse best hai
    1- link ads ko sidebar me use kia ja sakta hai kya
    2- apke link ads ka size kya hai
    3- feed ads ko blogger me kaise lagaye home page par jaha blog ka layout page jisme 5-10 posts ki list show hoti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Yes
      2. Responsive
      3. Iske liye aap layout page me hi ad code paste karna hoga. Like wordpress me aap after 2,3 post widgets ya ad dikha sakte ho.

  39. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir maine apne blog par link ads aur text & image ads lagaye hai but wo mobile aur pc dono me content area ke bahar show ho rahe hai. isko kaise sahi karu?

    maine aapki website mobile me open kar ke dekha usme aapka ad sahi show ho raha hai. plz mujhe bataiye ki mai kya karu ki mere ads content area ke bahar na jaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main responsive ad unit use karta hu aap bhi kar sakte ho.

  40. Avatar for shahid afrideeshahid afridee

    Der jdk bro, S…
    1. Kya aap native in-article ads use karte hai agar ha to mujhe bataye.
    2. Global options ka show selected display ads ko tik kiya hua rahne de.
    3. Aapne ads create karte samay kon sa font choice kiya hai or kya aap mujhe bata sakte hai ki mere blog se milta julta kon sa font sahi hoga.
    4. Title me mai black colour hi select karu kya.
    5. mere blog ke liye background colour kon sahi rahega.
    6. description colour ka kya matlav hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Abhi nahi but future me try karunga.
      2. Yes
      3. arial ye sabse better hai or agar font aapki site se matched hai to wo choose karo.
      4. Yes
      5. white
      6. Yani description text ka color like black, light etc.

  41. Avatar for ReeteshReetesh

    Bohot achhi jankari bro mujhe bhi native ads pasand h and me bhi jarur lagaunga

  42. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    1- sir meri website par visit kariye aur usme dekhiye ki kya kya kamiya hai. aur mai kaisa kar raha hu.

    2- ads placement thik se kiya hai ki nahi maine?? zara aap dekh lijiyega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko between post or header me bhi ad lagane chahiye.

  43. Avatar for AsadAsad

    wesy yeh baat to hai jo ads article ke andar show hoti hen wohi best hoti
    sir nice post!

  44. Avatar for anandanand

    Appki website ki Alexa Rank day by day kam kyu ho rahi hai???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iski wajah site par kam active rahna or regular post na karna hai.

  45. Avatar for SahiLSahiL

    Verry Nice sir but sir ek page katna ads allow hai mujhe ads ke bare me kuch janna hai maine header me ek ads lagaya hai side bar me 2 bunner ads chota small screen or ek post title ke niche or post ke end me or ek bich me jo ki link ads hai tho ye ads policy thik hai ya change karu please answar

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap chahe jitne ad laga sakte ho but content ke hisab se ye nahi ki ek hi paragraph me kai ad laga do, Mostyl 3-4 ad unit use karna better hota hai isse jyada use karne se site speed slow hoti hai.

  46. Avatar for Sahil KumarSahil Kumar

    Thanks Bhai, Mujhe to In-articles Ads pasand aai.

    Bhai aap ne link ads ko bada kaise kiya hai? Kya is par koi post dal sakte hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap copde style me width and height set kar sakte ho.

  47. Avatar for sachin jangirsachin jangir

    bahoot jaldi jankari dene ke liye thank you bhai.

  48. Avatar for ShabdbeejShabdbeej

    bhaut badhiya ! google ki is badlav ka hi intezaar tha
    ab ye to time batyaega ki ye wakai faydemand hai ya nahin
    nice post as always ! 🙂

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...