Google AdSense EFT ( Electronic Funds Transfer) method se payment kartha hai. EFT payment process sabse jyada secure aur fastest method hai. Adsense payment lene ke liye publisher ko address verify karke bank account information deni hoti hai. Iske steps bahut hi aasan hai lekin kuch new users ko confusing ho jati hai aur unhe guide ki jarurat hoti hai. Is post me main Google Adsense Se Payment Lene Ki Puri Jankari Hindi Me bta raha hu.
Google Adsense se payment lene ke liye aapko 4-5 steps follow karne honge uske bad hi aapko payment mil sakega. Google ke country ke according payment process hoti hai, aap India se hai to humari ye post read kare Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai.
- Google Adsense Guide in Hindi: Adsense Tutorial List
Main google adsense payment process ke bare me already bta chuka hu but yaha iske 4-5 steps ko explain karke btaunga taki aapko sabkuch clearly samajh aa sake aur aapko adsense se payment lene me koi problem na ho.
Table of Contents
- Google AdSense Se Payment Kaise Lete Hai Puri Jankari Hindi Me
- 1. Provide your Tax Information (not required in all locations)
- 2. Confirm your Payee Name and Address
- 3. Verify your Address
- 4. Select your Form of Payment
- 5. Add Bank Account Information
- 6. Meet the Payment Threshold
- 7. Wait 2-3 Weeks for Payment
Google AdSense Se Payment Kaise Lete Hai Puri Jankari Hindi Me
Agar aapko abhi ya next month adsense payment milne wala hai to ye guide aapki payment lene me help karegi.
1. Provide your Tax Information (not required in all locations)
Ji haa, ab aapko adsense se payment lene ke liye tax-related information provide karni hogi lekin ye all countries me require nahi hai. Aapki location par depend karta hai. Adsense me tax information submit karne ki jankari ke liye ye psot padhe.
2. Confirm your Payee Name and Address
Google adsense se payment lene ke liye aapko apna sahi payee name aur address use karna hoga. Adsense account name aur address aapki bank account name and address details se match hona chahiye.
Ye bahut important hai aur iske bina aap adsense payment nahi le sakte. So only real name and address ke sath hi adsense account banaye taki aapko payment lene me problem na ho.
3. Verify your Address
Jab aapki adsense earning payment threshold se jyada ho jayegi to google aapko address verification PIN send karega. Payment lene se pahle aapko ye PIN code adsnese verification page me add karna hoga.
Agar aapko iski adhik jankari nahi hai aur apa janna chahate hai ki adsense me address verify kaise karte hai to ye post read kare.
- Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
- AdSense Account Me Without Pin Code Address Verify Kaise Kare
4. Select your Form of Payment
Jab aapki adsense earning payment threshold limit cross kar jaye to aap apni payment form select kar sakte hai. Aapke liye konsa payment form available hai ye aapki location par depend karta hai. Google wire transfer, checks, and cash payment karta hai.
Agar aap India se hai to aapke liye Wire Transfer Process sabse better hai.
5. Add Bank Account Information
Address verify karne aur payment threshold reach karne ke bad aapko adsense account me bank account details add karni hoti hai. Isme Bank Name, Bank Account Number, IFSC Code, SWIFT BIC Code etc. details add karni hoti hai.
Isme ye posts aapki help karengi.
- Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
- SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
6. Meet the Payment Threshold
Jab aapka earnings balance month ki 21 tarikh se pahle payment threshold se jyada ho jata hai to payment period shuru ho jate hai. Aap chahe to payment hold par rakh sakte hai aur jab chahe payment le sakte hai. Iske liye aapko payment threshold limit set karni hogi.
New user se mistake se payment threshold $100, $500 etc. set ho sakti hai. Agar aapki payment threshold ki limit aapki earning se jayda hai to aapko payment nahi milega.
For example, Agar aap payment threshold limit $500 set kar dete hai aur aapki earning $200 hai. Ab India me minimum payment threshold limit $100 hai ab aapko $100+ hone ke bad bhi payment nahi milega.
Aapko $500 ke bad hi payment milega. So ek bar adsense payment settings me ja kar confirm kar le ki aap payment setting sahi se set ki huyi hai.
7. Wait 2-3 Weeks for Payment
Above all steps ko follow karne ke bad aapko 2-3 week tak wait karna hai. Google har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai. Mostly, adsense publisher ko 22 to 25 tak payment mil jata hai but kai par date aage piche ho jati hai
Google adsnese payment aapko kitne time me milega ye aapki location par depend karta hai. Kai bar new user aur kuch adsense publisher ko 8-10 tak payment nahi milta to wo confuse ho jate hai.
Agar aapek sath kabhi aesa ho to tension na le aur 2-3 week wait kare uske bad apni bank branch ja kar bank manager se inquiry kare.
In easy steps ko follow karoge to aapko google adsense payment lene me koi pareshani nahi hogi aur na hi koi confusing hogi.
I hope ab aapko adsense se payment lene ke bare me kisi se kuch puchna nahi padega agar abhi bhi aapko apne sawal ke jawab nahi mila hai to aap comment section me apna sawal puch sakte hai.
Ye bhi padhe,
- Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips
- Top 10 Simple Tips Google AdSense Earning Increase Karne ke Liye
Ye post achhi lage to ise other adsense publisher aur blogger ke sath share jarur kare.
Imran Ahmad
Sir mera sawal yeh hai kya hum AdSense dwara bheji gaee pin ko submit karne ke baad bhi AdSense account me jo hamara address hai use change kar sakte hai jisse voh humare bank Address ke saman ho jaye
जुमेदीन खान
हां कर सकते हो
Bharat Singh
hello JMD,
1 mera aapse ek sawaal hai. aap itni acchi tareh article kaise likh lete hai. kya aap ek writer hai. agar ha to aapne ye sab kaise or kaha se sikha.
2 isse pehele aap kya the. kya karte the.
3 kya hindi grammer ka gyaan ho to article likhne mein asaani ho sakti hai.
krpya karke mere in tin question ka jawaab jarur diziyega.
Thank You
Jumedeen khan
Blogger se pahle main ek student tha, yes aapki grammar jitni achhi hogi aap utna hi achha likhoge.
Ashok kumar
payement threshold kitna set kare in india.
Let maine $500 set kar diya,sayad mai $100 kama pau to kya 5 month ke bad total $500 mil jayenge.
Jumedeen khan
Yes mil jayega.
Satyam Patel
Hi Sir!
Mera ek sawaal hai mera Adsense se February ka payment nhi aaya aur naa hi koi Adsense ki taraf se mail aaya jabki mere adsense me 810$ the aur naa hi koi policy Violation thi to iske liye maine Adsense se contact ki lekin abhi tak koi sahi jawaab nhi mila bas wo bol rhe hai ki abhi humaari team is par kaam kar rhi hai. ye aisa pichale ek Month se bol rhe hai to aap mujhe bataaye ki kya karna chahiye?
Kya mai apna Google Adsense account Cancel karunga to mujhe wo payment mil sakte hai?
Jumedeen khan
Nahi, aapko adsense account cancel nahi karna hai, aap wait kare google team aapki problem solve kar degi aur sath hi aap bank me achhe se pata kar le ki aapke account me payment aaya hai ya nahi.
Afridee
Bhai payment threshold $100.00 set kiya hua Hai.Isse koi problem to nahi Hai?
Jumedeen Khan
No problem.
Shahid Afridee
Mere bank account me abhi tak balance nahi aaya Hai.Jabki AdSense ki taraf Se mail aaya tha ki 5 working days Ke andar payment ho jayega aur aaj 8 din ho chuke Hai.And is bare me Maine aapko FB par bhi Screenshot send kiya and bahut sare message kiya but aap reply Kyu nahi dete ho Bhai.
Jumedeen Khan
Shahid aap mujhe mail karke btau ki aapne pahle isi bank detail se payment liya hai ya first time payment le rahe ho.
sameer
1-Bhai g Kya hum apne name me kuch changing kar ke adsense par kai account bana sakte hain.
2-suppose agar hamara adsense account suspend hota hai to Kya hum apni earning ko dusre adsense account me bhej sakte hain.
3-Kya eak person apne youtube channel ke liye alag aur blog ke liye alag adsense account create kar sakta hai.
plz guide me.
Jumedeen Khan
1. Yes bana sakte ho.
2. Nahi.
3. Nahi aap dono par ek hi adsense use kar sakte ho. Wese different ID se bana sakte ho.
Mohan
Sir aapne apne blog page per Adsense, blogging, earn money, etc ka jo options lagaya hai vo kaise aur kaha se lagate hai
Please rasta dikhaye
Ager Mai blogspot. com istemal karta hu aur aage chalker domain name lena chahu to hamare blog per kis Tarah ka asar hoga
Jumedeen Khan
Maine is sabke bare me blogger category me sabkuch btaya hai aap wo post check kare.
sameer
Bhai Kya adsense par eak person 3-4 account bana sakta hai. Bana sakta hai to kaise. Sameer
Jumedeen Khan
Nahi, ek person sirf ek hi account bana sakta hai.
SUMIT KUMAR GUPTA
sir kya adsense ka ads post ke bich me lgana adsense ke policy ke khilaf hai
Jumedeen khan
Nahi, laga sakte ho.
Pankaj Mahajan
Bhai agar mujhe domain ke bina site banani h blogger me to usse koi fark to nhi padega kisi bhi prakar ka? Ya fir meri globle ranking me koi fark to nhi padega?ya fir meri site me kam visitor to nhi ayenge?
Jumedeen khan
Padega aur wese bhi aaj competition itna hai ki domain wale bhi success nahi ho rahe hai so I suggest you domain le kar blogging karo.
पंकज महाजन
भाई अगर बिना डोमेन के मुझे ब्लॉगर में ब्लॉग बनाना है तो क्या फिर एडसेंस अप्प्रूव हो जायेगा क्या?
Jumedeen khan
Yes ho jayega.
पंकज महाजन
भाई मेरा एक सवाल है की जब आपने पहली बार ब्लॉग्गिंग करनी चालू की थी तो आप सीखने के लिए ब्लॉगर में कितने साल तक ब्लॉग्गिंग की ।
और आपने कितने साल बाद डोमेन ख़रीदा और कितने साल बाद वर्डप्रेस में आये ।कृपया बताइये अपना अनुभव ।
Jumedeen khan
Ye sab maine ek hi din me kiya tha.
Pankaj
Mazak kr rhe ho ap
Jumedeen khan
No Bro that is true.
Pankaj mahajan
Bhai main apne pc me jab bhi koi card reader ya koi bhi pendrive ya fir koi bhi mobile lagata hu to my computer Windows7 me show nhi hoti na hi pen drive na hi koi bhi card reder na hi koi bhi mobile or mobile me charging bus hoti h or mobile me usb wala option bhi nhi ata jab usb cable connect krta hu tab or card reader lagane me bus light jalti h lekin my computer me kuch bhi show nhi krta …or fir maine pc ko format bhi kiya fir bhi ye problem thik nhi hui fir maine motherboard ki driver wali cd se sabhi driver bhi install kare fir bhi ye problem thik nhi hui to batao bhai kaise hogi meri problem theek. Help kro
Jumedeen khan
Aap nearby computer repair shop par apna PC check karwaye.
Pankaj mahajan
Bhai shop me to koi bhi kar dega main soch rha tha ki bina paise lage kaam ho to wo acha h ..chalo thanx suggetion ke liye…
Pankaj Mahajan
https://www.supportmeindia.com/apna-adsense-account-approved-kaise-kare-4-5-din-me/ bhai is article me aapne kaha h ki AdSense fully approved me sub domain nhi dal sakte domain hi dalna padega or aapne mujhe kaha tha ki bina domain ke bhi AdSense approved ho jayega.. i m confused plz help kro
Jumedeen Khan
Right bro but agar aap blogspot ke subdomain se apply karoge to ho jayega. Kyuki google us par allow karta hai.
pankaj mahajan
Bhai agar main coding se website banata hu jaise html use karke to bhi AdSense se paise kama sakta hu kya?
Jumedeen Khan
Yes.
Aryan
You have ad crawler errors, which can result in lost revenue.
Our crawler was unable to access the pages listed in the ’Blocked URLs’ column to determine the content and display ads. Click the ’plus’ icon beside each domain to see an expanded list of affected URLs. When our crawler can’t access your content we won’t show ads, resulting in lower revenue and coverage. Follow the link in the ’Error’ column to learn how to correct these errors.
गूगल adsense में ये error आया है. उसके निचे मेरे ब्लॉग की लिंक है और कुछ url है जिन्हें ओपन करने पर page not found आ रहा है. इसका स्क्रीनशॉट मैंने आपके एडमिन ईमेल पर भेज दिया है. इस error को कैसे remove करे प्लीज बताइए.
Jumedeen khan
Iska solution me already bta chuka hu. ye post check karo.
AdSense Crawler Errors Ko Fix Kaise Kare
Aryan
Hello sir maine aapke fb account me ek screenshot bheja hai.. jara dekh ke bataiye kya problem hai.
Jahid Anowar
Very Informative Post, Thanks For Sharing Jumedeen Ji.
kunal jadhav
mera adsens 3 mahino se approve bhi nahi hua Traffic, page views, privacy policy, sitemap sab thik thak hai….. To sir ek bar mera template dekhar bata sakte hai ki uspar adsens approve hoga ya nahi
Jumedeen
Aapko google se jo mail mila hai wo mujhe mail karo.
sudesh kumar
bhai mera blog blogger par hau or mene cloudfare se https setting ki par mera blog me secure likha nahi aa raha plz check karke batiyye
Jumedeen
Apne blog me sabhi URL me http ki jagah https set karo.
Golu Rajput
BHai post Bdiya he
Or me new hu to Ye mere bohot kaam ayengi
Arun gawande
Jume Deen Bhai mere website per 6000 se jyada views hain lekin adsence se abhi tak Meri earning 1$ Bui nahi hui kyo
Jumedeen
Depend on your niche and users.