Google AMP Kya Hai Accelerated Mobile Pages Ki Puri Jankari

Yaha main aapko Google AMP yani Accelerated Mobile Page (AMP) ke bare me puri jankari bta raha hu. Jaise Google AMP Kya Hai? Google AMP Kaam Kaise Karta Hai? Website or blog me Google AMP Kyu Use Kare? Google AMP istemal karna SEO ke liye sahi hai ya galat. AMP Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) etc. Agar aap Google Accelerated Mobile Pages ke bare me janna chahate hai to is post me aapko Googlr AMP ki full information milegi. Main har point har matter ko clearly samajhaunga taki aapko iske bare me achhe se samajh aa sake or aap AMP ko sahi se jan sako. Google AMP Kya Hai Ye Kaise Kaam Karta Hai Iske Kya Fayde Hai?

Google AMP Kya Hai Accelerated Mobile Pages Ki Jankari

Hum jante hai ki desktop computer laptop ki tulna me android mobile smartphone ka istemal sabse jyada hota hai. Website or blog par bhi mobile traffic jyada hota hai or 70% internet users mobile phone device istemal karte hai. Aese me google ne sites ko mobile devices me fast load banane ke liye Google AMP ki shuruaat ki taki sabhi sites ko mobile me fast load kar users ko attract kiya ja sake.

Aapki site me sabkuch behtar hone ke alawa uska fast loading hona jaruri hai. Google ke anusar user har us site ko ignore kar dete hai jo 2 second se jyada time me load hoti hai. Slow loading speed ki wajah se mobile user website page nahi padh pate hai or slow internet connection wale users ko to isme bahut problem hoti hai.

Isiliye google ne AMP open project start kiya taki mobile devices me bhi site pages ko quickly load kiya ja sake. Google AMP aapki site se extra cntent ko hata kar sirf jarurat ke content ko load karta hai. Google ke anusar ye aapki site ko 85% faster bana deta hai. Aayiye jante hai iske bare me bahut kuch ya fir sabkuch.

Google AMP Kya Hai Ye Kaise Kaam Karta Hai Ise Kyu Use Kare

Google Accelerated Mobile Page (AMP) Full Guide: Yaha main aapko google AMP ke bare me wo sab jaruri janakri de raha hu jo aapko pata honi chahiye. Fir bhi agar koi matter mujhse chchoot jata hai to uske bare me aap comment me puch sakte hai. Google AMP Kya Hai Ye Kaise Kaam Karta Hai KI Puri Jankari.

Jab se AMP full version me lauch hua hai websites owners or bloggers ke liye isne tahlka sa macha diya hai. Ki kahta hai ki ye SEO ke liye sahi hai or aapki site ke traffic ko badhaa deta hai to koi ise bad btata hai. Isiliye hume AMP ko istemal karne se pahle iske bare me jan lena chahiye taki hum decide kar sake ki ye humare liye behtar hai ya nahi.

I know bahut sare people google accelerated pages (AMP) use karte hai magar ye bhi sach hai ki bahut sare log iska istemal nahi karte hai.Iske 2 reason ho sakte hai ya to unhe AMP ke bare me pata nahi hai ya fir unhe isse koi benefit nahi mil raha hai. Jo bhi hai sab is post ko padhne ke bad clear ho jayega.

Google AMP Kya Hai

Google AMP ek open standard project hai jise google or twitter ke dwara Accelerate Mobile Pages ko fast load karne ke liye banaya gaya hai. Ye site pages ki HTML, CSS, JavaScript coding ko minify kar use fast loading banata hai. Koi bhi publisher iska istemal kar sakta hai.

Simple words me AMP ek aesa project hai jo site page se extra content ko remove kar sirf jaruri content ko show karta hai. AMP ki full form Accelerated Mobile Pages hai. Is project ko February 2024 me launch kiya gaya tha. Ye Facebook Instant Articles ka competitor bhi hai.

Google AMP JavaScript ka na ke barabar istemal hota hai. Isme sirf CSS and HTML coding use hoti hai wo bhi minify ki huyi taki web pages ko jayda se jyada fast poading banaya ja sake. Sath hi ye site se sidebar widgets, header widgets and other all extra content ko remove kar deta hai.

Yani aap Google AMP use karoge to aap Facebook Like Box and other sidebar ads widgets jaisi jaruri widgets use nahi kar sakoge.

Google AMP Kaam Kaise Karta Hai

Google AMP site ko speed up banane ke liye optimize karne jaisa hai. Jab koi user AMP use karta hai to uske page ko mobile device me open karne par uska sirf jaruri content ho load hoga. Jise hum is parkar se samajh sakte hai.

Kisi bhi website jis par AMP enable ho uske web pages content google AMP cache file me store ho jata hai or jab koi user uski site ke page ko open karta hai to google cache file me store data ko available kara deta hai. Jisse content fast load hota hai.

Normally, cache service me pages ka all content share kiya jata hai magar google amp me sirf uska main page ya main content hi share kiya jata hai.

For example, agar aapki site par main content, header, sidebar widgets, facebook widgets, subscriber widgets, popups, footer widgets, ads widgets etc. content hai to amp use karne ke bad mobile device me aapki site open karne par iska sirf main content show hoga baki header, sidebar widgets, facebook widgets, subscriber widgets, popups, footer widgets, ads widgets etc. sab remove ho jayega.

Google amp use karne or na karne par aapki site ke pages ke URL is tarah honge.

  • Without AMP: http://example.com/page-url/
  • With AMP: http://example.com/page-url/amp

Agar aapko pata karna hai ki kisi site par AMP use ho raha hai aapki site par AMP work kar raha hai ya nahi to aap page ke link ke bad /amp type kar browser me link open kare.

Google ke anusar is project se aapki site 85% fast load hogi or har user or search engines fast loading sites ko jyada pasand karte hai.

Google AMP Se SEO Me Kya Fayda Hota Hai

Jab bhi aap AMP use karne ke bare me sochoge to aapke dimag me ye sawal jarur aayega ki aapke AMP istemal karn se aapko SEO me kya fayda hoga or iske kya kya SEO benefits hai.

Google ke anusar site jitni fast loading hogi uski search rank bhi utni hi achhi hogi. Matlab aapki site ki search ranking kuch had tak aapki site ki loading speed par depend karti hai. Google ke according site 2 second me load honi chahiye.

Jo site 2 second me load hoti hai use na sirf google search engine like karta hai balki audience bhi fast load hone wali site ko jyada pasand karte hai.

Website ya blog ko fast loading banane ke liye site ki optimizing karni hoti hai. Iske liye aapko HTML, CSS, Javascript etc. important programming language ki knowledge honi chahiye. Actually, is sabki jankari kisi web developer ko hi ho sakti hai so aap site ko speed up banane ke liye google AMP ka istemal kar sakte hai.

Main guarantee nahi deta magar google ke anusar ye aapki site ko 80% faster bana deta hai. Halanki main iske liye suggest nahi karta or agar aap coding basha jante hai to main aapko site optimize karna suggest karunga.

Finally, AMP use karne se aapki site mobile me fast load hogi or site fast load hogi to aapki site ki search rank increase hogi or search rank increase hogi to aapki site ko jyada organic traffic milega or aapki site ka traffic badhega.

Apni Site Me Google AMP Kyu Use Kare

Agar aap chahate hai ki aapki site par mobile traffic jyada ho to google amp aapke liye behtar option ho sakta hai. Isse aapki site ki speed fast hogi or aapki site pages ki search rank increase hogi.

Jisse aapke site pages google me top par show honge or aapko jyada se jyada organic traffic milega. Har wo user jise coding language nahi aati hai or wo nahi janta ki site ko fast load kaise banaya jaye to uske liye google AMP behtar option hai. Is project ke istemal se aap bina kisi coding ke kuch hi minutes me apni site ko fast loading bana sakte ho.

Jinki website pahle se speed up hai unke liye ye jyada important nahi hai fir bhi aap ise try kar sakte ho. Agar aapko fayda mile to use kare or agar nahi mile to use na kare.

Google AMP Use Karne Ke Fayde or Nuksan

Google AMP ki ye sabse jyada important information hai. Kyuki isi jankari ke bad hume decide karna hota hai ki AMP use karna chahiye ya nahi.

Google AMP ke fayde or nuskan ke bare m janne ke liye aap ye article read kare, Google AMP Istemal Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons).

Ye thi Google AMP ki jankari jise padhne ke bad aapko Google accelerated Mobile Pages (AMP) ke bare me sabkuch pata chal gaya hoga. Agar aapka is bare me koi sawal ho to aap niche comment karke puch sakte ho.

Final Thoughts,

Google AMP website ko speed up banane or site ki search rank boost karne ka sabse aasan tarika hai. Agar aap without coding knowledge apni site ko teji se load karna chahate ho to AMP project isme aapki help kar sakta hai.

Abhi bahut sari website or blog par AMP istemal hota hai. Google chahata hai ki aapki site mobile me fast load ho or aap bhi yahi chahate honge. So sochiye or decide kijiye or agar aapki site par mobile traffic jyada hai to aapko is bare me jaldi hi decision lena hoga. Ho sakta hai isse aapko kafi benefit mil jaye.

I hope ye jankari aapko pasand aayegi or is post me aapko useful and helpful information mili hogi. Agar haa to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 21 )

  1. Sachin

    how to hide Content table on amp page plz reply.

    • जुमेदीन खान

      CSS का इस्तेमाल करो

  2. Avtar Singh

    kya amp setup karne ke baad use baad me hta sakte hai ya nahi

    • Jumedeen khan

      Yes hata sakte ho.

  3. Suraj Barai

    Toh kya use karna chahiye amp blog me. Har blogger chahta hai ki unka blog ka speed fast ho.

    • Jumedeen khan

      Yes, kar sakte ho lekin main blog ko manually speed up karne me believe rakhta hu.

  4. kashif

    sir meri site me PageSpeed Insights received a 500 response from the server. ye message google page speed tool me show ho raha hai aur iski wajah se website ke amp page google me sho nahi ho rahe hai please koi solution bataiye

    • Jumedeen Khan

      Website ke server ke work na karne par error 500 aata hai. Aap apni hosting provider se contact kare wo aapki problem solve kar denge.

  5. Dhavaltricks

    Wow fantastic sir ye information bilkul sahi hai or work bhi karti hai ye lajawab hai bro

  6. Dharmendra Yadav

    hi sir नमस्कार मेरे google map submission में kuchh problem जो की एक error fault है, वो वेबसाइट एक php program पर बनाई गयी है, उसमे error fix problem है, submission pending दिखा रहा है .

    • Jumedeen Khan

      Aapne jo url submit kiya hai wo mujhe btao.

  7. Govind Prajapati

    Please Sir help me
    Jab mai apni site ke post ka title same to same Google me search krta hu to wo show nhi hota h matlab meri websit search me nhi aati h
    Jab kmtrue.com search krta hu tab hi post show hoti h

    • Jumedeen Khan

      Aap apni post ke title ke dono or (“) laga kar search karo or apni site ki posts ko social media par share kiya karo.

  8. gopal sharma

    Nice Post ! sir me ye janna chahta hu ki AMP kaha use karte h iska koi particular code h kya? or har blog me AMP ka use karna padega ya sirf particular site me.

    Thanks!

    • Jumedeen Khan

      Main iske bare me jaldi hi post likhunga kuch din bad latest post check kar lena.

  9. Deepesh

    Sir outbound link kya hai blog post me eski setting kaise kare

  10. Mohit Jangir

    बहुत अच्छी जानकारी है ये आपको बहुत-बहुत धन्यवाद इस जानकारी को शेयर करने के लिए

  11. Ram bharat singh

    बहुत ही अच्छी जानकारी दी है आपने थैंक्स फॉर शेयरिंग दिस आर्टिकल

  12. Aryan

    Nice information dear
    Ek bat batao bhai CDN blogger me use karna chaiye ya ni

    • Jumedeen Khan

      CDN har site ke liye important hai.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...