Agar aap janna chahate ho ki google apps kya hai or ye kaise kaam karta hai to Google Apps Referral Program Kya Hai or Ye Kaam Kaise Karta Hai post padhiye. Is post me aapko google apps ke bare me earning, payment and working ki puri jankari milegi.
Google Apps For Work Par Account Kaise Banaye – Referral Program
Google apps google ka aysa feature se jisse aap ghar baithe kahi bhi kisi bhi device se online work kar sakte ho. Mobile Se Paise Kaise Kamaye 5 Best Android Apps
Option 1:
Go to Sign up for google apps page or niche diye step follow karke option select kare.
- Apna first or last name enter kare
- Apna email add kare. aap yaha par custom email address yani yourname@yoursite.com domain add kar sakte hai.
- Apne bussiness ko koi name de.
- Kitne memebers work karenge, wo tay kare. agar sirf aap hi work karte ho to 1 employee select kare.
- Apna country select kare.
- Apne mobile number add kare.
- Next par click kare.
Option 2:
- “Use a domain name I have already purchased” par tick kare.
- Apna domain add kare.
- Next par click kare.
Option 3:
- apne domain ke sath koi bhi custom email address select kare.
- apna nerw poassword choone.
- Aap robot na ho kar ek person ho ke 3 no terms par tick kare.
- Finaly accept and sign up par click kare.
Bas ab aapka google apps account ban kar ready hai. Google apps ko aap only 30 days tak free use kar sakte hai. Uske bad aapko har mahine $5 google ko pay karna padta hai.
- Android Mobile Ki Screen Record Karne Ke Top 7 Free Apps
- 2024 Me Sabse Jyada Pasand Kiye Gaye Top 5 Android Apps
Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko apne friends ke sath share jarur kare sath hi facebook, twitter, google plus social networking sites par bhi share kare.
ravindra
google apps refferal program par earning ke liye link reffer ke alwa or kya work karna padta hai
or account detail kase miti hai
ravindra
sir me janana chaatu hu ki google apps refferal program me refferal link se new customer ke sign up karne par $7.50 mil jaate hai yaa koi or work bi karna padta hai
wa account blance ki detail kase milegi
please answer sir
Jumedeen Khan
Ha ye sahi hai but aapko or work karna hoga tohi aapko ye paisa milega.
Moti
Sir Whatsapp me kon kon online he sabka eksath kaise pta lgaye koi tarika he kya?
Jaise fb me list aati he wese list aaye aisa koi tarika?
Moti
Sir ab aapse aakhri umid he help kar do muje post ke bich me ads lagane he Blogger me mene net pe search karte bhut tarike try kiye data post body vala bhi kiya ads show nhi ho rhe he kuch help kro plz
Jumedeen Khan
Moti mai jaldi hi iske bare me post karunga. Aap mujhe 2-3 day bad facebook par bol dena.
Moti
Sir muje Blogger me lagane he koi bdiya tarika btao?
Moti
Sir aap post ke bich me adsense ads kese lagate he abhi ?
Jumedeen Khan
WordPress plugin se iske bare me mozedia par btaya hai.
Moti
Sir aapne apne blog par kitni post dali he ab tak or daily traffic kitna aata he abhi?
Jumedeen Khan
Moti aap monthly income report check kar sakte ho. Yer secret bate hoti hai jo koi bhi blogger share nahi karta.
Moti
Sir YouTube video ke seo ke bare me btao kuch jisse jyada view aa ske?
Jumedeen Khan
Ok iske bare me jald article likhunga.
sheetal
me bhi pase kamna chahti hu
Jumedeen Khan
ye post padho Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Moti
Sir aap muje choti si eski coding bta do thodi bhut me bhi janta hu
Jumedeen Khan
template me h2 ka color red kar do.
Moti
Aapne most popular post ka wiget lgaya he na usme uska colour red kaise kiya he bro muje bhi karna he me bhi yhi template us kar rha hu
Jumedeen Khan
Iske liye aapko WordPress ki coding aani chahiye. agar coding aati hai to kahi bhi kiska bhi color change kar sate ho.
Moti
Sir espe account to bna diya he lekina ab aage kya karna he ye btao?
Jumedeen Khan
Iske bare me mujhe jyada jankari nahi hai. Aap google terms padh lo.
zishan ali gulzar
sir mera blog me search console me 70 file submitt he,, 3 din pahle tk 49 index huwa tha,,,but aaj chek kiye to only 6 index show kr rha he,,jisse mera traffic ekdm low ho gya he,,,,,,maine 2 din pahle ek nya domain add kiya hu ur use purana domain ka nam change krne ke liye search consile me apply kiya hun ur kuchh post me bhi edit kiya hun,,,ye sb karn he kya ya koi dusra karan he
Jumedeen Khan
Aapne domain change kiya hai. Isliye ye problem aa rahi hai. aap new domain ka complete set up kar lo. post index ho jayegi.
zishan ali gulzar
sir kuch setting karne ke liye apna page open karte hai to page view bad jata he ise kaise off kare, i mean aisa koi upay he jisse hm jb apna blog open kare to wo pageview na bade
Jumedeen Khan
Nahi blogger me admin ke bhi pageviews traffic me jud jate hai. Isko alag nahi kar sakte.
zishan
sir maine aapka ek post pda seo ke bare me tha jsime likha huwa tha, ki blog me ek hi artical me dhyan dena chahiye tb mujhe ehsas huwa ki maine bhi bahut badi galti ki he qki maine apna blog me ek chiz pe dhyan nhi diya,, jaise sayari, blogging, quotes, sara chiz ek hi blog me rkha he sayd isliye m era traffic nhi bad rha he,,,
sir mai ab soch rha hun ki do blog bna lun,, to sir jaise maine apna post me jo bloggin ke bare me post kiya hun use apna purana blog se delete karke nya blog me dalu to koi problem to nahi he na,,,sir mujhe bhi blogging se aapke jaisa paisa kamana he aap meri madad karo na mujhe bahut kuchh samajh me nhi ata he, aapka contac number kaha se milega,,
Jumedeen Khan
Nahi aysa kuch bhi nahi hai. aap kisi bhi topic par post likh sakte ho. But aapko ek main topic rakhna chahiye. Jaise mera blog blogging ke liye jana jata hai. wese hi aap ek main topic bana lo uske sath aap dusre topic par post kar sakte ho. Traffic ke liye blogging seo ko follow karo.
Ravi Kumar sahu
achha bhaiya aisa koi shorner link ka website nahi jo pahele 5sec tak add na dikhaye,
bahut sare website maine dekhi wo pahele apne 5 sec ka add dikhati hai,uske bad scip karo, aur to aur 1000 click pe 1-2& pata nahi aadmi ko itna bebkuf kyu banati hai,,,,
examples—- aapki site ko open hone me 4 sec uske bad uske add ko dekho 5 sec phir scip karo 3 sec total hue,
4 5 3 yani pure 12 sec koi bhi post ko padhne ke 12 sec mujhe nahi lagta koi bhi insan apni 12 sec dega,
Jumedeen Khan
Ravi ye sab bevkufi bhari bate hai. Reader post padhne me 12 sec to kya 12 minutes se bhi jyadAa time ruk sakta hai.
zishan
sir mera google AdSense me 1000 impression pura hone ka msg aya he iska kya mtlb,,,,, likha huwa he – AdSense achievement
Lifetime ad impressions:1,000Congratulations! On March 12, 2016 you reached a lifetime ad impressions achievement
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aapne google AdSense ko use karte huye 1000 impression ka first step pass kar liya hai. Ye AdSense ki taraf se aapko badhai hai.
Ravi Kumar sahu
bhaiya kya adfly avi work kar rahi, hai, isse paise avi mil rahi hai kya, aur iska link savi social site par share kar sakte hai,
Jumedeen Khan
Adfly work kar raha hai. but ab aap facebook par referral links share nahi kar sakte.
zishan
seo se v traffic effect padta he kya , achha seo rahne blog traffic milta he
Jumedeen Khan
Blogging me SEO wese hi hai jaise human ki reed ki haddi seo ke begair aapki site hildul bhi nahi sakti. Aap supportmeindia ki seo se relatewd post padho. seo ki puri jankari mil jayegi.
zishan
koi post search consol me index hone ke bad google search me show karta he, kya
Jumedeen Khan
Yes, but jaruri nahi hai. google bina search console me add kiye bhi aapki post ko index kar sakta hai.
zishan ali gulzar
blogspot me jada traffic milta he ya WordPress me
Jumedeen Khan
Dono par
zishan ali gulzar
google search me hindi word me jada traffuc milta he ya english hindi me,, jaise maine apna blog me post hindi se karta hun to english word hindi se jada traffic milega ya hindi word se,,,, ur agar post hindi me likhu ur title english word hindi se dalu to kuchh fayda hoga
Jumedeen Khan
Search engine se jyada traffic hinglish or english word se hi milta hai. aap post hindi font me likho but uska title hinglish me hi rakho.
Neha Sharma
Thank you sir. Aapki yeh post mujhe bahut fayada karegi.
Sandeep kum
Mera Alexa rank me no data kyo dikha raha hai
Jumedeen Khan
2-3 din se ye problem sabhi ke pas aa rahi hai. ye alexa ki problem hai apne aap solve ho jayegi.
Ravi Kumar sahu
thanks bhaiya mujhe ye samjh me nahi aaya “Bas ab aapka google apps account ban kar ready hai. Google apps ko aap only 30 days tak free use kar sakte hai. Uske bad aapko har mahine $5 google ko pay karna padta hai” kya hai mujhe paise dene padege
Jumedeen Khan
Google apps google ke sabhi apps ka ek store hai. Jisme aapko new customer add karne hote hai. Jisse aapko ek customer add karne ke $7.50 milte hai. Google apps ek paid apps hai but hum ise 30 day ise free use kar sakte hai. iska matlab hai ki aapko google apps use karne ke 1 month bad $5 paymet karna padega.
saddam husen
very nice aapne bahut hi acche tarah se acount banane ke liye smjhaya hai.. keep it up bro..