Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks

Google chrome browser duniya ka no.1 browser hai. pichle kuch salo se google chrome top par hai. iski wajah hai. chrome me bahut ache feature. isme itne sare features hai ki sabke bare me bahut kam log hi jante hai. aaj mai aapko google chrome ke ayse hi kuch featre ke bare me bta raha hu. jinse aap kam time me shortcut chrome se work kar sakte ho.

google chrome tips
Google chrome me kuch ayse features bhi hai jinhe hum offline bhi use kar sakte hai. jaise games, video, music, typing etc. ji ha dosto chrome me aysi seriveces bhi hai jinhe aap shayad hi jante ho.  actually hum chrome browser ko log sabse jada pasand karte hai. isliye aapko bhi iski kch jankari honi chahiye. jisse aap bhi google chrome ko enjoy kar sako.

Google Chrome Interesting Tips & Tricks

kisi time internet exproler duniya ka first number ka browser hua karta tha. but google chrome ke market me aate hi isne marketing badhani start kar di. pichle 2-3 year se google chrome world ka no.1 browser par barkarar hai. is post me mai aapko iske kuch feature ke bare me bta raha hu. aapko pasand aaye to post ko share jarur karna.

1 – Google Chrome Game

jab chrome network se connect nahi hota to koi bhi site ya searching karne par offline chrome me dynasore dikhayi deta hai. real me ye ek game hai. jo chrome user ke liye network problem hone par time pas ke liye banaya gaya hai. Space key dabate hi ye game start ho jata hai. its amazing, bahut hi acha feature hai. aap try kar ke dekh sakte hai. game chalane ke liye apne pc me se internet connection disconnect kijiye or google chrome ko open kar ke kuch bhi search kare. isme aap khud ka high score bhi bana sakte hai.

2 – Paste and Search Option

google chrome browser me kuch ayse featurs hai jinki help se aap time bacha sakte hai. yani jab aapke pas time kam ho or bahut jada kaam karna ho to aap in feature ko use kar sakte ho.

google chrome paste tips

 

  1. jab hum kisi website par visit karte hai to uske kch topics ko search karne ke liye hume use copy karke fir new wondows me search karna padta hai. but chrome browser ki help se aap ise aasan kar sakte hai. aapko jo bhi topic search karna hai use select kare or mose ka right button dabaye . ek popup windows show hogi. usme “Search google for ‘xxxxxxxxxxx'” likha hoga. us par click kare. topic direct new windows me search ho jayega.
  2. jab aap kisi link ko select karke mouse ka right button dabaoge to image 2 jaisi popup windows show hogi. usme “Go to xxxxxxxxxxxxxxx” par click kare site automatic new windows me open ho jayegi.

3 – Unit Converter

kya aap jante hai ki google chrome se unit converter ka kaam bhi kiya ja sakta hai. ji ha aap chrome ko nit converter ki tarah bhi use kar sakte hai. aapko jis unit ko convert karne hai use chrome search bar me type kare. answer typing karne ke sath hi show ho jayega. exam:- 1 kilometers to meters, 1 kilometers to meels. yani jis unit ko convert karna hai uske bich me “to” lagana hai.

kilometers to meters

 

4 – Chrome Calculator

chrome browser ko calculator ki tarah bhi istmal kar sakte hai. same nit converter ki tarah

chrome calculter

 

5- Chrome Notepad

Notepad ki jarurat har compter users ko hoti hai. hum kuch bhi typing karne ke liye notepad use karte hai. jo ki lagbhag har pc me hota hai. magar chrome ne iska shortcut tarika diya hua hai. aap chrome ko notepad ki tarah bhi istmal kar sakte hai. chrome me notepad open karne ke liye search bar me “data:text/html, <html contenteditable>” enter kare. notepad open ho jayega. abaap isme offline typing kar sakte hai. blogging karne walo ke liye ye bahut acha feature hai.

chrome notepad

 

6 – Chrome Video Player

VLC player, GOM player me to aap humesha movies, video songs dekhte ho. kya aapko pata hai ki chrome me bhi video chalayi ja sakti hai. yes, aysa ho sakta hai. aap chrome me video play kar sakte ho. iske liye video file ko open kijiye or kisi bhi video file ko mouse se tha kar chrome me daliye video play ho jayega.

chrome video player

 

7 – Chrome Music Player

Bilkul video player ki tarah chrome me music bhi chala sakte hai. same wese hi kisi bhi songs ko mose se utha kar chrome me paste karo. chrome mpe player start ho jayega.

To friends aapko meri ye post kaisi lagi comment me jarur btaye. sath hi hume social media Facebook, Google plus, Twitter par follow bhi kare. or agar aapko koi sawal puchna ho to comment me puch sakte ho. mujhe aapki help karne me khushi hogi.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (17)

  1. Avatar for Praveen kumarPraveen kumar

    Chrome me bar bar add ate rahte h kaise think kre

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ad blocker use karo.

  2. Avatar for bibi ameenabibi ameena

    Very good tips hai app ki mai bhi bahoot kush huwi hu par ye jo app ne tips diye hai to kya app ne ye khud try kiya hai ya nahi iam degree student my name is bibi ameena you want to meet me so, i will also already ready to meet you but first tell your name.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Oh its my pleasure. But I’m shocking to see that you don’t know my name. Apa post ke first me hi mera name check kar sakte ho.

  3. Avatar for Shiv shankar ramShiv shankar ram

    Sir aapne aesa comment box kaise lagaya hai kya aap mujhe aesa comment box ki coding bhej denge badi kripa hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mera blog WordPress par hai. maine ye comment box nahi lagaya hai. WordPress par aysa hi comment box hota hai.

  4. Avatar for devdev

    bhyi mene abi tak yahoo bing me apna blog nhi add kiya he uske liya mughe kya krna chahiye kese karu or ha mera blog plz dekhkar bataiye ki ispar traffic ayega ya nhi kya meri site ange jaa skegi plz sir aap dekh kar bataiye apke hunar se mjghe b thoda andaza lag jayega.

  5. Avatar for Ruth McDonaldRuth McDonald

    Hello, I read your blog on a regular basis. Your writing style is witty, keep doing what you’re doing!

  6. Avatar for VICKYVICKY

    HELLO SIR MAINE STATS ME DEKHA TO USME TODAY MONTH JAISA DIKHA TA HAI LEKIN USPE CLICK KIYA TO VIEWS NAHI DIKHA DETA TO ME KYA KARU SIR.

  7. Avatar for VICKYVICKY

    HELLO SIR HAMARI BLOG ME KITNE VIEWS HAI WO JANNE KE LIYE KYA KARNA HAI

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ke dashboard me jao ot stats par click karo, today, yesterday, last month, all time sabkuch pata chal jata hai.

  8. Avatar for Amit SharmaAmit Sharma

    Namaskar Sir kya aap batayege ki aap apne blog par suporrt me india kaise lagaya hai.
    Plz tell me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Supportmeindia.com meri site ka domain hai. Agar aap images ki bat kar rahe hai to image bana kar blog post me upload karo. Fir uski coding ko copy kar ke jaha lagani hai. Waha code paste karo.

  9. Avatar for BijendraBijendra

    Sir ek misstic ho gayi he pc ki hard disk format ho gayi he uska data recover kese hoga plz solv
    Bese mene kosis karke dekha tha sir 1GB data free me recover kar sakte hein par me full data free me chahta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe iski jankari nahi hai. aap kisi computer engineer se pata kare.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...