Google Core Algorithm Update August 2024 (Solution in Hindi)

Google Core Algorithm Update August 2024 ke bad bahut se blogger ki site ka traffic down hua hai. Iski kya wajah hai? google ne is update me algorithm me kya-kya badlav kiye hai aur is update se down huye website blog traffic ko recover kaise kare? Is post me is sabke bare me detail se update solution ki jankari di gaiy hai.

Google Core Algorithm Update August 2024

Google Core Algorithm Update August 2024 ke bad bahut se bloggers ka traffic down hua hai, kuch blogger ka traffic to 50% to 90% tak down ho gaya hai. Ye sab august 2024 ki starting se ho raha hai. Isi wajah se har blogger google core update august 2024 ke bare me janna chahata hai.

Ek user ne SMI Forum par sawal pucha ki “Mera traffic bahut achha increase ho raha tha lekin 1 August se Google algorithm update ke bad continue traffic down ho raha hai. Plz btaye ke kaise is update se site ko recover kiya ja sakta hai.

Is post me main aap sabhi ko is update me huye badlav aur iski wajah se down huye traffic ko recover karne ke bare me details se btaunga.

Google kabhi bhi apni algorithm update ke bare me details se nahi btata hai, isiliye internet par google algorithm update ka solution milna mushkil hai.

Lekin google algorithms update aane ke kuch time bad kuch SEO expert pata laga lete hai ki is bar google ne apne algorithm me kya changes kiye hai aur iska solution kya hai? Isi wajah se main is bare me late post likh raha hu.

Google Core Algorithm Update August 2024 (Changes and Solution in Hindi)

Google ka ye new coe algorithm update august month ki starting me hi deploy kiya gaya tha aur ab ye puri tarah se rolling out ho chuka hai. Ab hum bat kar sakte hai ki is update me google ne kya kya changes kiye hai aur iska solution kya hai.

Sabse pahle main aapko bta du ki ye is saal ki third algorithm update hai. Google company se jude huye Danny Sullivan ne apne twitter account se is update ko confirm kiya hai.

August ki shuruaat se hi bahut se bloggers ki sites ka traffic up down hona shuru ho gaya. Kisi ka traffic badha to kisi ka kam ho gaya.

Google Core Algorithm Update August 2024 Kya Hai?

Google humesha apne search engine ko better banane ke liye search algorithms me changes karta rahta hai, isi ko google algorithm update kahte hai.

Google Core Algorithm Update August 2024 bhi baki algorithm update ki tarah hi normal update hai. Bas fark sirf itna hai ki is update ke bad kuch blog or website ka traffic 50% se jyada down ho gaya hai.

Google apne user ke dwara search ki gayi queries ka sahi aur satik jawab dene ke liye algorithm update lata hai or har update ke bad google search results pahle se behtar result dikhata hai.

Google kabhi bhi apni algorithm update ke bare me officially announcement nahi karta ki usne is update me kya kya changes kiye hai aur webmaster ko iske solution ke liye kya karna chahiye.

Lekin fir bhi kuch SEO expert pata laga lete hai ki google ne kya kya change kiye hai aur iska solution kya hai. Hum is post me Google Core Algorithm Update August 2024 me hone wale changes or unke solution ke bare me btayenge.

Google Core Update Ki Wajah Se Kin-Kin Website Ka Traffic Down Hua?

SEO expert ne is bare me researching ki to unhe kuch points mile, maine bhi confirm kiya or mujhe bhi kuch points mile jo google ne is update me update kiye the.

Hum aesi websites ka review karna tha jinka is core update ke bad traffic down hua hai. Is researching me kafi time laga aur mujhe nimn 4 point mile jinki wajah se aapki site ko google ne penalize kiya aur traffic down hua.

In 4 reasons ki wajah se aapki site ki search rank decrease huyi aur traffic down ho gaya. Inme se koi bhi point google ka btya nahi hai, sabhi point meri researching par based hai.

At last, Jin jin website or blog me ye 4 issue hai unka google core algorithm update august 2024 ke bad traffic down hua hai.

Google Core Update Se Down Website Traffic Ko Recover Kaise Kare?

Google ne twitter par queries ka response diya hai ki “Agar aapki site ko google ne penalized kiya hai aur ise fix karne ka aapke pas koi tarika nahi hai to aapko kuch bhi nahi karna chahiye.

Lekin agar aapke pas issue ko fix karne ka tarika hai to aapko chup nahi rahna chahiye balki issues ko fix kar apni site ka traffic recover karna chahiye.

Google core algorithm update august 2024 ki wajah se jin website ka traffic kam hua hai matlab unki search rank down huyi hai. Traffic recover karne ke liye hume site ki search ranking recover karni hogi.

Aur search ranking recover karne ka simple sa tarika hai, us issue ko fi karna jiski wajah se search rank decrease huyi hai. Ab search rank kis wajah se decrease huyi hai wo main already upar bta chuka hu.

1. Mobile first-indexing

Mobile first-indexing ab ranking factor ban chuka hai ye google officially announcement kar chuka hai. Jin website ka mobile version nahi hai, jo mobile friendly, mobile responsive nahi hai unki search rank down hogi.

Is mahine me bahut si website apne brand name ke sath bhi google mobile search me rank nahi kar rahi hai. Iski wajah unka mobile version, mobile responsive nahi hona hai.

Ek simple mobile design, mobile friendly site ki google me baki site ki tulna me behtar rank position hogi. Site ko mobile friendly banane me ye article aapki help karenge.

2. Content Quality

Internet ki duniya me content king hai aur jis site ka content jitna behtar hoga usko google utni hi achhi rank dega. Google chahata hai ki wo apne har ek user ko sahi aur clear information provide kare.

Isiliye google aesi website or blog ko top rank deta hai jin par unique, clear, useful, helpful or original content share kiya jata hai. Content quality ka matlab sirf content ko SEO friendly banana nahi hota hai.

Balki aap jo article apni site par share kar rahe hai usme unique content hona chahiye, adhuri ya galat jankari nahi honi chahiye. Aapke btaye steps clear aur aasani se samajh me aane wale hone chahiye.

Aap sirf kuch keywords ka istemal karke apni post ko google me rank nahi kara sakte, aesa pahle hota tha lekin ab google bahut progressing kar chuka hai, wo aasani se pata leta hai ki aapki post me kya hai.

Aapka content behtar hoga to user usme jyada interested honge aur aapki site ki bounce rate improve hogi or jis site par visitor jyada time spend karte hai use google bhi like karta hai.

Content is core update ka main target tha or google ne apne users ko better experience or info provide karne ke liye content quality ko importance di hai.

For example, aapki post ka title health se related hai aur aap us post me blogging keywords use karke rank karana chahate ho to google us post ki rank down kar dega.

3. On-site Linking

Website par quality content hone ke sath sath internal linking or external linking bhi jaruri hai. I know aap pahle se linking istemal karte hai lekin ab jarurat hai apni site se bad links ko remove karne aur internal linking increase ki, isse aapki site ki search rank 100% boost hogi.

Aapko pani site se saare bekar ke external links remove karne hai aur sirf valuable external links rakhne hai. External links jin par aapko believe nahi hai unhe nofollow karna hai.

Broken links ko find karne ke liye aap humari ye post read kar sakte hai, Website Blog Me Broken Links Check Kaise Kare.

Internal linking kel iye aap koi plugin ya manually method use kar sakte hai. Ye main confirm kar chuka hu or iski wajah se google update ke bad meri site ka traffic double ho gaya hai.

4. Website Speed

Website speed or page loading time bhi ab google search ranking factor ban chuka hai, ab aapki site ka speed up hona jaruri hai warna aapki site par achha content hone ke bavjud site ki search ranking down ho jayegi.

Pahle poor loading speed wali site ko bhi no.1 rank di jati thi lekin ab aesa nahi hai, ab google site ke content ke sath sath uski loading speed ko bhi focus karta hai or uske anusar site ranking decide karta hai.

Apni site ki speed performance check karne ke liye aap GTMetrix, Pingdom tool or Google Page Insights tools ka istemal kar sakte hai.

Apni site ki speed test kare aur page loading ko under 2 second me load karne ki koshish kare, google ke according user under 2 second me load hone wali site ko jyada like karte hai.

Overall, google ne core algorithm update august 2024 me content quality ke sath user ko better experience provide karne ke liye site ki mobile and other device me loading speed ko bhi mahatv diya hai.

Best design or beautiful feature site ko speed up karna mushkil hai lekin aapko google rank chahiye to site ko speed up karna padega, isme ye article aapki help karenge.

Note:- Aap in 4 issues ko agar aapki site apr hai to fix kar le, aapki site ki search rank aur traffic recover ho jayega. Aapke issue fi karne ke turnat bad result nahi milega, site traffic or rank recovering me thoda time lagega.

Google apni algorithms update ke bare me officially nahi btata ki usne kya badlav kiye hai lekin hum thodi researching karke pata laga sakte hai ki aakhir google ne kya changes kiye hai aur is update se mili penalty ka solution kya hai.

Ek blogger ko itna SEO aana hi chahiye ki wo apni site ko google penalty se recover kar sake aur agar aesa nahi hai to aap professional bloggers or SEO expert ki guideline follow karke site traffic recover kar sakte hai.

Lekin koi bhi guideline follow karne se pahle ye achhe se confirm kar le ki kya wakai aapki site ka traffic inhi wajah se kam hua hai, kyuki site traffic down hone ki wajah kuch or bhi ho sakti hai.

Is post ko apne friends jo blogging karte hai (or jinka traffic down hua hai) ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (28)

  1. Avatar for MD qureshiMD qureshi

    Bahut shukriya Bhai mujhe is post ki bahut jarurat thi

  2. Avatar for Vikas SainiVikas Saini

    bro.. 1 Exact Match Domain ko rank karne me kitna time lagta hai ? And Domain Ko rank karane ke liye minimum kitni Quality posts honi chahiye ? Kya New website ko 1 month me rank karana sambhav hai ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap ek quality post se bhi domain ko rank kara sakte hai, iske liye aap ek achhi post likho aur uske liye backlinks banao.

      • Avatar for Vikas SainiVikas Saini

        bro.. kisi ne bola ki new website sandbox me jati hai so kitna bhi SEO kar lo 1-3 Month pahle rank nahi kar sakti…

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Sahi bola hai lekin adhura bola hai, google sandbox low-value aur spamming content wali site ko scan karta hai, means all site ki rank 2-3 month tak down nahi hoti low-value aur spammer ki hoti hai, agar aapki site par high quality content hai to google aapko rank dega.

  3. Avatar for Arunesh KumarArunesh Kumar

    thanks, sir for the great information.

  4. Avatar for Ravi BanjareRavi Banjare

    kafi samay se aap ki post ka intzar kar raha tha kafi helpful jankari thi thanks

  5. Avatar for saeed bachsaeed bach

    sir aisa koie free templat nahi hai jis se ham website ki speed badha sake aor apne website ko google algorthm ke is naye update ke sath barabar kare
    plese sir reply me.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Bahut hai researching karo, lekin aapko ek better theme choose karke use manually SEO friendly banana hoga.

  6. Avatar for RohaanRohaan

    Badhiya jaankari Di hai, par mera ye manna hai ki aapko ise karne ke liye kuch nhi karna chahiye aur sirf content ko better se best banane or update karna chahiye, is core update se mere website ka bhi traffic down hua tha lekin ab sab thik hai,

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      read post carefully, I already explain it.

    • Avatar for Hajari prajapatHajari prajapat

      Please bhai thoda detail de btaiye, aapne kya kiya traffic recover krne ke liye

  7. Avatar for Mukesh GuptaMukesh Gupta

    Badhiya jankari share ki mujhe isi ki talas thi thanks.

  8. Avatar for Anoop BhattAnoop Bhatt

    बहुत हेल्पफुल जानकारी शेयर की आपने गूगल अल्गोरिथम के इस अपडेट के बारे में और इससे यह आईडिया भी लग गया की क्या सही करने की जरूरत है

  9. Avatar for AshishAshish

    Mere blog me daily 1000 ke aas pas traffic tha lakin is algorithm ke karan traffic 600 ho gaya hain. Jaha Pahle 3-4$ daily ki earning thi vo currently 1 dollar ho gayi hain. Thank you so much bhai is information ke liye. I hope mai ab apne blog ki traffic gain kar paunga. Thank you so much

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      your most welcome.

  10. Avatar for Saad JamilSaad Jamil

    1:-Haan Jumedeen bhai bohat achi jankari di aap ne thank you.
    2:-Ye puchna thaa ki mein apni blog per premium template use kar raha houn 12$ ki maya name se hai lakin aik baat jo Sochne ki hai Ye template maya ke naam se 12$ ki muje aik person ne free mein mail karke provide ki kya koi problem tou nhi hogi es se site per aap meri website aik baar dekh lo and muje btao please!!

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      First aap unrelated sawal forum par pucho, aapka sawal post se related nahi hai. Agar wo person aapke sath theme licence share karta hai to koi problem nahi hogi.

  11. Avatar for SumitSumit

    mobile first indexing website kaise create kare….

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Post me iske bare me article add kiya gaya hai wo read karo or apni site ko fully mobile friendly banao.

  12. Avatar for Kavish jainKavish jain

    My Organic Traffic Increase Again Slowly Slowly…

  13. Avatar for Faisal EkbalFaisal Ekbal

    Bahut Achhe Se Samjhaye Hai Jumedeen Bhai Thanks

  14. Avatar for manjeet singhmanjeet singh

    My website speed on Google insight

    Mobile – 72%
    Desktop- 88%

    is enough?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap images ko jetpack plugin se load kar rahe ho jo content ko world wide to speed up karta hai lekin India me 200+ ms me open karta hai. Aap cloudflare use kar rahe ho so isse jetpack se achha to cloudflare hi aapki site ki image, css, js ko fast load karega.

  15. Avatar for Akash YadavAkash Yadav

    Sir maine aapke bataye hue saare tarike follow kiya lekin fir bhi meri website ki loading speed 5 sec hai please help me ise kam kaise kare?
    Aap ek bar meri website jarur check kare

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. Google font ko blog css me implement karo.
      2. google custom search widget ko direct use mat karo.
      3. avoid google translate tool widgets.
      4. optimize image and use cdn
      5. Don’t load multiple ads or image on homepage.

      • Avatar for Akash YadavAkash Yadav

        To Sir Google Custom Search ko kaise use karu jisse speed par effect na pade

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Aap wordpress search ko google custom search me replace karke use karo.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...