Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap

Google duniya ka number one search engine hai. Or is bat me koi shaq nahi hai ki sabhi google ko pasand karte hai. But kahte hai ki har kisi me achai ke sath burai bhi hoti hai. Theek wese hi google me bhi kuch aysi burai hai. Jinke bare me jan kar aap google se real me nafrat karne lag jaoge. Google ke bare me ye bate btate huye mujhe bhi bura lag raha hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baate

Internet ne aaj duniya ke bahut se kaamo ko aasan bana diya hai. Jisme sabse jyada google kaam aata hai. Har ek internet user google ko jarur use karta hai. Har koi chahata hai ki kash wo bhi google ke barabar fomus hota.

Google me job milna bahut mushkil hai. Or ye kaam bilkul wesa hi hai jaise 7ve aasman par pahuchna. Kyuki ye duniya me har jagah no.1 hai. Ab shayad hi koi hoga jo world number one ke sath work karna pasand na kare.

Agar aap soch rahe ho ki google me work karne ki sellary kitni hogi to hum india ke Sundar Pichai ke bare me hi jan lete hai. Google ne unhe 2024 me 100 million dollar ka package diya tha. Yani lagbhag (6,600,000,000 indian rupees) 660 करोड़ रुपये banate hai.

Yani hakikat me google ka member banna sapno me raja banna jaisa hai. But google ke bare me aysi kuch bate hai jinke bare me sun kar aapka dimag chakra jayega. Google ke senior member junior member ko chota or apne aapko bada samajhte hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baat Sun Kar Nafrat Karenge Aap

To chaliye aaj mai aapko bta raha hu google ke bare me 6 secret bate jo wastav me google ka raj hai or google unhe kisi ke sath bhi share karna nahi chahata hai.

  1. Overqualified: Google ke ek member ke anusar google company me “Overqualified” yani bahut adhik padhe likhe or kabil logo ko bhi chote kaam ke liye rakh liya jata hai. Ayse chote work karte huye ek jarurat se jyada kabil or intelligent aadmi ko sharm jarur mahssos hoti hogi.
  2. Office Politics: Ji ha dosto google company me rajneeti bhi chalti hai. Agar aap sahi boss ke under work karoge to aapka promotion tay hai. Or agar aap aysa nahi karte ho to aapke sath sahi व्यव्हार nahi kiya jayega. Or ho sakta hai aapko tang aa kar google hi chodni pad jaye.
  3. Recalcitrant engineer: Recalcitrant ka matlab hota hai अड़ियलऔर घमंडी yani google me ayse engineer bhi hai to bahut jyada adiyal hai or apni bat par ad jate hai. Unhe apne aap par bahut ghamand hai. Wo sochte hai ki wo duniya me sabse jyada hoshiyar hai. Unhe lagta hai ki wo baki logo se kahi jyada behtar hai. Socho ayse logo ke sath work karna kitna mushkil hoga.
  4. Non-Existent: Aap google company ke liye kitna bhi bada or kitna bhi important work karo. But usme aapka koi fayda nahi hai. I mean aapka or aapki mehanat ka koi vajud nahi hai. Aapke kaam or invention se sirf google ka name hoga aapka nahi. Aapko koi prashidhi nahi milegi. Isi wajah se google ke kei karmchari google company ko chod chuke hai.
  5. Middle Management Problems: google me Middle Management Problems problem bhi bahut jyada hai. Yaha par seniors log apne under kaam karne walo ke sath acha bartav nahi karte hai. Unke liye har kaam me unke name or unki reputation jaruri hoti hai. Wo log worker ko inspire karne ki jagah unhe choti choti galti par saja dete hai.
  6. Engineering Degree Important: Google me product engineering degree par bahut dhyan diya jata hai. Fir chahe kisi engineer ko designing nahi aati ho. Isi wajah se google designing me dusro se piche hai or isi ki wajah se bahut se product jaise Wave, Orkut, Knol Friend connect, Google video, Buzz and Dodgeball band kar diye gaye.

To friends ab aap hi btaye ki kaisa laga aapko google ke bare me ye bate sun kar. Kya wakai me aapko bhi google se nafrat ho rahi hai. Agar ha to comment me apne vichar jarur share kare ki aap is waqt google ke bare me kya soch rahe ho.

In bato ko sun kar mai to kabhi bhi google company ke sath work karna nahi chahunga. Kyuki jaha humari kabilat ki izzat na ho or acha kaam karne par name na ho wo kaam mere liye bekar hai. Kyuki mujhe paiso se nahi logo ki duao se pyar hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath shatre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (56)

  1. Avatar for VakilVakil

    Hii jumedeen bhai kya hum blogger me sirf 100 post hi write kar sakte hai …… please bataiye……

  2. Avatar for Ajeet GuptaAjeet Gupta

    I hate google company

    बेईजती से अच्छा है कि बेरोजगार रहलो इससे अच्छा मेरा देश है प्रधानमंत्री जैसे बड़े व्यक्ति अपने छोटे से छोटे सहयोगी को पूछते है

  3. Avatar for Gulzar Ali UmraniGulzar Ali Umrani

    Ap Ne Sahi Kaha Magar Choti Choti Companiyon Me Hi Aysa Hota Hai To Ye 1 Naminet Company Hai Is Me To Kafi Lafra Hoga Mgar Hamein Kya Hain..
    Ham Paid Q Gine Hamey To Aam Khane Hain..
    Matlab..
    Wo log Lar Jhagar K kam kre ya Pyar Se..
    Hame To GOOGLE Sab Kuch Saport Krta Hai Na..
    No Tenson.. N0 Problem..

  4. Avatar for Devendra singhDevendra singh

    Me google se ghar baithe paise kamana chahta hu per kaise kmau

  5. Avatar for Amit kumarAmit kumar

    Jumedeen Bhai Ji main idea main hammer VPN she free net chalane ki koshish karta hoon to vah chalta hi nahi please help me bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye proxy trick hoti hai ye 100% work nahi karti hai. Agar kaam kare to acha warna avoid karo.

  6. Avatar for LovejeetLovejeet

    Sir meri website par jakar dekhe mene
    mene WordPress site bnai hai use sb search ingine me add kar diya par jab me post ke same word copy kar ke google search me paste karta hoon to post ka titel ane ki jagah esse ah jata hai internet archive-myhindiblog me kya kru ki post ka sahi titel show ho google me or meri site par visit kare plzz or comment kre 1 post par plzz koi v galti ho to btana comment karke

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Love jeet aapki post me koi kami nahi hai bas aap ye step follow karo.
      1. aap on page seo par dhyan do.
      2. abhi aap new blogger ho traffic badhane me time lagta hai.
      3. SEO firendly post likhoge or jab aapki site par traffic badhega to post jaldi search me aa jayegi.

  7. Avatar for TriptiTripti

    Sir mere bhaiya ne mujhe apna wifi paswd diya hai mere phone me wo acha nahi chal raha yu samaj le aap ki chal hi nahi raha pls.help
    aur maine wo paswd apne lappi me lagaya to chal gya but ek din kyuky uske baad to wo wifi nahi aa raha bahut dhunda maine to

  8. Avatar for Nadeem BarkatiNadeem Barkati

    Assalamo Alaikum:
    Jume Deen Bhai, Bata Sakte Hain Aap Mywapblog.com pe jo site hum banaye hain us me mau sdsense add karna chahta hun aur us me jo email hai blogger wali site already bata rahi hai AdSense to kaise ab add hoga ye web?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap direct apne domain se AdSense account banao.

  9. Avatar for priya daspriya das

    thanks u so much sir, mojhe apki post bhout atcha lagti hai . Sir, ak question apse hai ..

    Q) app kab se yah kam kor rahe hu i mean blog kabse kar rahe hu.??

    thanks..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      It’s my pleasure July 2015 se

  10. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    hii ,jumedden bhai ,aapne sahi kaha hai ap din raat ya koi or blogger bhi kitani saari mehnat karta hai apna blog website banane me or article likh kar logo ki help hoti hai.or suchha dost to vahi hota hai jo apne dosto me kya kami hai or use aapka dost sudar le .mager aapke relation vale ko bhi samjana chaiye ki such me hume koi na koi kami jaroor hai .usse sudarne ki koshish jaroor karna chaiye.

    mera ek sawal; hai ki mai jab bhi meta tag apne blog me jaker add karna chahta hu to add nahi hota ,plese entr 150 character description aisa show hota hai ,mai 150 shabdo me hi description lihk raha hu firbhi save nahi ho pa raha hai kya problems ho sakti hai bhai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar 100 words se bhi kam words add karo uske bad baki bad meadd kar lena.

  11. Avatar for DiyaDiya

    Maine 1 YouTube channel banaya hai..aur usme views v hai..pahle mera income analytics me show karte tha..magar aab your estimated revenue me red sign show kar raha hai..aur $0.00 show kr rha…please meri help kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wait some day, Ye analyics ki problem hai apne aap solve ho jayegi. aap YouTube.com/analytics par bhi YouTubeearning check kar sakte ho.

  12. Avatar for MALIKMALIK

    ok bhai sorry mujhe pata nahi tha isliye ho gyaa
    ab name se hi karunga

  13. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    इन बातो का तो मेरे जीवन में कोई प्रभाव पडऩे वाला नही पर मेरे जो नफरत हो रही है वह इसलिए क्योंकि गूगल ने जनवरी फरवरी से सीपीस बहुत कम कर दिया है। मुझे पहले फेसबुक ट्रैफिक से 4 पैनी मिलती थी और अब दो जा तीन पैनी ही मिलती हैं।

    जुमेदीन भाई क्या आप इस के बारे में थोड़ा सा बता सकते हैं?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iski wajah hai aapki post me high ranking keywords nahi hona.

  14. Avatar for gajab hindigajab hindi

    bhai tum mera comment approve kyo nahi karte pichle do comment apne show nahi kiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyuki aap apne name se comment nahi kar rahe. Jabki iske liye aapko last comment ke reply me kah chuka hu.

  15. Avatar for jateenjateen

    Jumadin kisi bhi chij ko aap lele usme koi
    na koi burai rahti hai chahe mai hoo ya
    aap ye aap par sobha nahi deta kyoki aap
    kai logo ke liye priya hai abhi hamane fill
    kiya ki hamare dost bhi padhe to unhe
    aap ki prati galat massage gaya phir Google ka hi koi person apke blog ko
    padhe to use kaisa lagega phir aapki jankari ke liya batadu ki foren me ek angreji akhbar ne Google ke bare me aise
    hi lika tha to us par kesh darj karaya gaya tha app kisi bhi bhasa me likhe Google smart hai use pata chal jata hai
    phir aap aisa isliye bhi nahi kar sakte hai
    kyoki aaj aap Jo bhi hai jitana bhi kama
    rahe hai Google ki hi den hai to agar
    meri bat ka bura laga ho to I,m sorry aur
    ha aap mere favorite blogger hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki bat ahi hai jateen. But google is post ko padhega to use apni kamiyo ke bare me ahshas hoga. Or wo apne members par or jyada focus karega.

  16. Avatar for Nishant GuptaNishant Gupta

    Hello bro mera ek sawal hai please mujhe bataiye

    mere ads par click ek bhi nahi hote phir bhi AdSense me 0.01 ya0.02 earning show hone lagti hai. yesa kyun hota hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kabhi kabhi ads par jyada waqt tak visiter ke rukne se bhi ek do poit mil jate hai.

  17. Avatar for anweranwer

    A/s bhai
    Bhai ek site hai naam hai. Two Dollar click
    Ye add dekhney k paise deti hai is mai dollar baney huey atey hai un pr click. Krney pr vo 2 dollar deti hai 30 second mai is site sy account mai paise a saktey hai yar ye fake hai kch btayengey bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Anwer ye in ptc site par work kar chuka hu. Ye fake to nahi hai but inse paise kaamne ke liye aapko bahut mehanat karni padti hai.

  18. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    bhaiya Mai ye nahi keh raha tha, humlog Google ko itna kuchh dete hai, aaj jo bhi topic hai Google pe wo humlog ka den hai, to Google ko hum blogger ko bhi kuchh dena chahiye, Google ke liye itna kuchh karne ke bad bhi humlog ko Add pe nirbhar hona padta hai, usse pageview /click pe bhi paisa dena chahiye

  19. Avatar for Prince AkashiiPrince Akashii

    Google ki isme koi galti nahi hai
    Google company ke seniors ka behaviour bekaar hai
    Seniours ki wajah se google ki badnaami hoti hai !

    Khair koi baat nahi
    google itna popular hai aur tarakki bahut kar raha hai
    Agar real me google company ke engineers aur seniors ghamand karenge to jald hi koi dusri company no.1 position par aayegi

  20. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Google search engine kafi famous hai baki search engines ke mukable sayad unhe isi baat ka ghamand ho lekin google ko kabhi yeh nahi bhulna chahiye ki july, 2013 mein google ko 192.3 million traffic mile the U.S. se lekin yahoo ko 196.6 million traffic mila isliye google ko apne competitors ko nahi bhulna chahiye

  21. Avatar for Vicky PawarVicky Pawar

    Mai roj rat ko sochta ta ki ek din mei Google ki company me job karunga but ye sab padke mera to Sapna hi tot gaya….

  22. Avatar for DharmendraDharmendra

    Ye to normal baat hai aisa har chhoti yaa badi company me hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dharmendra ye normal bat nahi hai. Inshaniyat ke name par clank hai.

      • Avatar for DharmendraDharmendra

        Sahi kaha aapne par aisi baaton ko dil par nhi lena chahiye aur apne manjil ki taraf badhte rehna chahiye,

  23. Avatar for Nishant GuptaNishant Gupta

    Thanks for reply bro

  24. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    bhaiya humlog Jo blogging karte, hai, isse Google pe search aur jis SIM company ka net use karte jayadatar log hamare blog pe aate, to isse to humlogo ki wajah se Google hi light hui,
    ~~~~~~
    yani Google pe aaj jo bhi hai, wo sabhi humlog milkar dalte hai, to humlog add pe hi nirbhar rehte hai, but hamse fayada to Google ko bhi hota hoga,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Right hum sabhi blogger google par hi nirbhar hai. Tabhi to kahta hu ki google policy follow karke blogging karo.

  25. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Koi fayda nahi case bhi ho sakta hai or AdSense bhi aapko ban kar dega.

  26. Avatar for Jitender SinghJitender Singh

    Apki soch muje pasnd ayi apne pasie ko importants na de kr values ko important diya.
    Aap jasie log hi humare desh ko mahan banate hai.
    “Inshallah aap bahut tarakki kare.”

  27. Avatar for vikramvikram

    sir blogger ke dashboard me yah likha hua aa raha hai iska matlab kya hai

    Coming in late April!
    All visitors will be able to view your Blogspot domain blogs over an encrypted connection by visiting .blogspot.com. Existing links and bookmarks to your blogs will continue to work. As part of this change, the HTTPS Availability setting will disappear, and your blogs will always have an HTTPS version.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      april ke ant me blogger ki http security feature me kuch changes hone wale hai. Ye uska message hai.

      • Avatar for vikramvikram

        sir ye aapke dashboard me bhi show hota h kya

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ha hota hai. Sabke dashboard me show hota hai.

  28. Avatar for Jitender SinghJitender Singh

    Sir job blog k liye kiya aap muje koi domain name bata skatey hai.
    Ager apke pass time ho toh verna koi baat nhi sir
    Verna mera yeb domin name thik rahega ya nhi yeh bata dijiye sir
    Apne kha tha ki jitan short use karo
    Kuch naya karne se phle mai apki rai hamesa leta hu isliye msz kiya sir
    Domain name Job about .in
    Liya nhi hai isliye abhi sir show mat kijiyega
    Plz sir
    Aur agrr aapk koi doman bata sake toh muje baddi khsui hogi
    Dhanyawad!!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitendra bro mai bas aapki domain choose karne me help nahi kar sakta. Bas itna kahna chahunga ki humesha 2 ya 3 words ka domain lo or domain aapki site ki information se related hona chahiye.

  29. Avatar for Jitender SinghJitender Singh

    Sir ek bata dijiye jab mai text add use karata hu toh AdSense ka msz ata hai ki aap both use karo display and text
    Toh kiya sir kahli text ya display use nhi kiya ja satakta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aap only text ads use karna chahate ho to aap AdSense ke message par dhyan mat do. Adsense aapse isliye text/display ads select karne ko kahta hai ki kya pata kab kis type ke ads ki cpc bhi jyada ho or aap use miss kar do. Isliye mai bhi aapko text/display dono type ke ads use karne ki advice dunga.

  30. Avatar for surendra rsdpsurendra rsdp

    Bhai ek problem aa gayi hai ki Mujhe lagta hai ki AdSense ne india me cpc aor bhi km kar diya hai . kyu ki Maine Ads Review me dekha hai ki jin ads se mujhe 5 din phele 0.10$ se jayada cpc milti thi ab 5 se unhi ads se 0.05$ mil rahi hai . jabki mere blog me ads ki sankhya 2 Hai aor puraa traffic search engine se aa raha hai. Solutions bataye. Ex :- panelplace.com, Nokeri.com, Ace2three.com, Indijob.in, Hostgator.in Other

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Surendra aapki bat sahi hai. But ye AdSense par depend karta hai ki wo kis product par kitna payment karta hai. Iski kuch wajah hogi. Don’t worry kuch day bad apne aap cpc normal ho jayegi.

  31. Avatar for Nishant GuptaNishant Gupta

    Hello bro aap ka ye article bahut hi badia hai thanks for sharing. Bro mera ek sawal hai aap se

    Aap ne apni website par widget me kon sa plugin use kiya hai jis me related post verticle form me dikhati hai jis ke upar powerd by google likha hai . aap please us plug in ka name bataiye mujhe bhi apni site ke liye use karna hai.

    Thanks.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...