Google Ki Help Se Apne Liye Job Search Kaise Kare [Hindi Jankari]

Ji haa dosto, aap ab google ki help se apne liye job search kar sakte hai. Google Jobs Search hume apni man-pasand ki naukri search karne me help karta hai. Ab aapko apne liye achhi job search karne ke liye kisi website par jane ki jarurat nahi hai, aap direct google search kar apne liye aas-pas (nearby) or badiya job find kar sakte ho. Google Ki Madad Se Apni Pasand Ki Job Search Kaise Kare? Puri Jankari Hindi Me.

Google Me Job Search Kaise Kare

Google duniya ka sabse bada search engine hai aur isme humare har sawal ka jawab mil jata hai. Google ke rahte hume job dhudhne ke liye bhatkne ki jarurat nahi hai, google hume apne local area me aaspas available job ke bare me btayega.

Agar aap ek student hai aur job talash rahe hai ya pahle se job kar rahe hai aur behtar job ki talash me hai to ye post aapke liye bahut hi useful aur helpful sabit hogi, aap aasani se google ki madad se apne liye badiya job search kar sakoge.

Google Me Job Search Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

Apne liye job search karne ke liye aap naukri.com jaisi kai website ka istemal kar sakte ho lekin aapko kisi bhi website par jane ki jarurat nahi hai aap direct google search kar naukridhundh sakte ho.

Google ki help se job search karne ke 2 tarike hai.

  • Google Search
  • Google Jobs Search

1. Google Search

Sabse pahle aap apne browser me google.com site open kare aur search box me “Jobs near me” type kar search kare.

Aapke enter par click karte hi aapke samne har type ki naukri ki vacancy list hogi, jisme aapko 100+ jobs mil jayegi.

Google Jobs Near Me

Aap 100+ more jobs par click karke aur jyada jobs search kar sakte ho. Yaha par aapko extra feature mil jayenge jinse aap har category ki job search kar sakte hai.

Jobs near me

Google har job ko verify kar list me shamil karta hai so isme aapke sath fraud hone ke chances bahut kam hai fir bhi aap achhe se confirm karke hi job join kare.

2. Google Jobs Search

Google ne job searching ke liye special site banayi huyi hai, Google career jisme Jobs bhi search kar sakte hai. Iske liye aap Google Jobs page par jaye, yaha bhi aapko bahut sari jobs mil jayegi.

Google Jobs

In 2 tariko se aap google me apni man pasand ki job talash kar sakte hai aur apne liye koi achhi post wali job dekh sakte hai. Agar aapko is bare me koi sawal puchna hai to aap comment section me puch sakte hai.

Ab aapko kisi bhi website par visit karne ki jarurat nahi hai, kyuki kuch website jobs ke name par user ke sath dhoka karti hai lekin google believe karne layak site hai aur log is par bharosha bhi karte hai.

Agar aapko ye article achha lage aur help and useful information mili ho to is post ko apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (6)

  1. Avatar for Kirankumar bauddhKirankumar bauddh

    Bahut hi achchhi jankari bhai
    Is jankari se hum apne aas pas job dond sakte hai google ki madad se
    Thanks jumedeen bhai

  2. Avatar for GauravGaurav

    Sarkariresult.com Aur sarkaridisha.com bhi best sites he jobs online dekhne ke liye

  3. Avatar for Ajay kumarAjay kumar

    waah sir,
    yah khaaskar student aur youva logon ke liye bahut hi better jankari share kiye hain . actually har aadmi ko iske baare me pata nahi hai. ki ham google ke madhyam se bhi khud ke liye job find kar sakte hain.
    lekin aaj aapki is post ko read karke har koi jaan sakta hai ki ham khud ke liye badi aasani se job find kar sakte hain. isliye yah post bahut hi helpful hain. is post ke liye aapko dhanywaad…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Welcome on SMI and please share this post with your friends.

  4. Avatar for AkashAkash

    bahut achi jankari sir

  5. Avatar for Deeparam ChoudharyDeeparam Choudhary

    bahut achi jankari hai sir
    very helpfull post

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...