Yaha main aapko google mobile-first index ke bare me sabkuch bta raha hu. Main already Google Mobile First Index: Ab Site Ka Mobile Friendly Hona Bahut Jaruri post me iske bare me bta chuka hu but yaha hum iske bare me jaruri sawal jawab yani iski faqs ke bare me bat karenge. Agar aa pek blogger hai to ye aapke liye bahut hi important hai.
Google ne mobile-first index new update release ki jisme btaya gaya ki google ne mobile version content ke liye alag se rank listing policy banayi hai. Yaha tak ki jis tarah desktop cersion ke content search results me dikhaye jate hai bilkul wese hi mobile version ke content index honge.
Tajjub ki bat ye hai ki google ab desktop se pahle mobile friendly site ko jaldi index karega. So aapko mobile-first index ke bare me sabkuch pata hona chahiye. Main yaha aapko iske jaruri question answer bta raha. Jinhe padh kar aapko iske bare me lagbhag all information mil jayegi.
All Faqts About Google Mobile-first Index in Hindi
Here’s you can see everything about he google mobile-first indexing: Main yaha par aapko main points ke bare me bta raha hu baki aap google terms padh kar sikh skate hai.
1. Mobile-first Index Me Kya Changing Huyi Hai?
Google kafi time se mobile users ke liye better performance dene par work kar raha hai. Google mobile me searching karne wale users ke liye or achha karna chahata hai. Isiliye is update ke anusar ab google site ke mobile version ko pahle index karega.
I mean mobile version ab google ka primary search engine hoga or use sabse pahle index kiya jayega. Pahle mostly sites ke pages / documents ko index kiya jata tha but ab site ke links ko pahle index kiya jayega. Google pahle aapki site ke desktop views check karta tha but ab aapki site ke mobile browsers views check karega.
2. Agar Site Mobile Friendly Nahi Hai to Kya Kare?
Don’t worry, Aapke pas mobile website ho jaruri nahi hai, google bas chahata hai ki aapke pas mobile site ho. Agar aapke pas mobile site nahi hai to koi problem nahi google pahle ki tarah hi aapki desktop site ko index karega.
Bhale hi aapki site par mobile users bilkul bhi na ho fir bhi google aapki site ko proper index karega but mobile ho to aapko google search se or jyada benefits mil sakta hai.
3. Kya Mobile Site Me Desktop Version Ke Feature Hone Jaruri Hai?
Yes, bilkul jaruri hai. Agar aapki site mobile frienly hai to ye jaruri hai ki aapki site ka mobile version site ke desktop version ke similiar hona chahiye. Tabhi google site ko achhe se index kar sakega or proper rank dega.
4. Meri Mobile Site Ka Content Desktop Se Different Hai, Kya Mujhe Nervous Hona Chahiye?
Potentially, Yes aapko nervous hona chahiye. Google ka kahna hai ki aapki mobile site ka look same desktop site ki tarah hona chahiye or mobile site me features ko hide nahi karna chahiye.
Kyuki GoogleBot site ke mobile version ko index karte hai bad me desktop version ko or mobile version me jo features hide honge unhe google index nahi kar sakega.
5. Mobile Site Me Expandable Kya Hai?
Desktop sites me tabs, accordions, expanded boxes and other method se content high karne se site ki search rank kabhi bhi high nahi ho sakti. But agar mobile ki bat kare to google expandable method ko support karta hai.
Google mobile site ke liye khud allow karta hai ki aapki site par content mobile me boxes, tabs me hona chahiye jisse users ko scrolling karne me pareshani na ho.
6. Kya Iska Google Ranking Par Big Effect Padega?
Nahi, Mobile-first index se site ki search ranking me bada fark to nahi par thoda effect jarur padega. So aapki site mobile responsive nahi hai to aapko is par kaam shuru kar dena chahiye.
7. Ye Rules Fully Kab Applicable Honge?
Google ne already is par kaam shuru kar diya hai. Isme kitna time lagega google ne is bare me kuch nahi btaya hai or na hi koi date btayi hai but ise fully work karne me kuch months ka time lag sakta hai. Agar sabkuch sahi se hota raha to isse pahle bhi ye fully applicable ho sakta hai.
8. Kya Isse Site Ki Rank Boost Hogi?
Aapko btana chahunga ki ye koi ranking factor nahi hai balki ye google ki new index faq hai. Jisme mobile site ko better tarike se index karne ki pahal ki gayi hai.
Abhi goole site ke cotent ko dekstop se index karke use hi desktop users or use hi mobile users ke liye show karta tha but ab aesa anhi hoga. Aapki site ka content mobile or desktop dono me alag tarah se show hoga. Yani jaruri nahi ki aapki site ka jo page desktop par top position me show ho raha ho wo mobile me bhi top par hi show hoga.
9. Kya Main Apni Site Ke Mobile or Desktop Page Me Difference Dekh Sakta Hu?
Google ne abhi iske bare me koi comment nahi ki hai but jald hi aapko site ke dono version me different dekhne ko milega. Aapka content mobile version o desktop version me niche upar ho sakta hai.
Isse aapki site ke pages ki search position par effect padega. Agar aapki site ka mobile version 100% clear nahi hai to aapki site ki value ke anusar results show hoga. Main is bare me isse jyada nahi bta sakta.
10. Kya Google Ab Site Ko Mobile or Desktop 2 Way Se Index Karega?
Google ke samne sabse bada sawal tha ki site ke dekstop version or mobile version me se first kis ko index karna chahiye or kya behtar hoga. Is bare me fiasla karna bahut mushkil tha. Aakhirkar google ne mobile-first indexing ka faisla liya or mobile site ko pahle index karne ki decission le liya.
Iska main wajah world me desktop se jyada smartphone users ka hona hai. Mostly log ab computer / laptop ki jagah mobile hi istemal karte hai. Kyuki smartphone aaj computer ke jitna powerful ho gaya hai.
Technically, Yeh ek global faqs hai. Jaruri nahi hai ki google inhi ways ko follow karega. So aapko google mobile-first index ke fully applicable hone ka wait karna padega.
I hope aapko ye post pasand aayegi. Agar ha to apna 2 second ka time de kar ise social media par dusre logo ke sath share jarur kare.
Suhas
Hello Jume Deen Khan,
Mere site mai around 1800 pages hai. maine sabhi pages mobile version mai convert nhi kiye hai. top landing pages hai unhi ko mobile me convert kiye hai. mobile first indexing update our google core update ke bad mere site ki position bohot down ho gai hai.
ab mera sawal ye hai ke site ki position down hone ka reason sabhi pages mobile mai convert nhi hona hai ya fir our bhi ho sakte hai.
Jumedeen khan
Aap mobile page use mat karo desktop and mobile dono me same page use karo bas site ko responsive designed bana lo.
dharmesh rajput
nice article dir
Sandeep Toppo
Hi bro aapke bare me parhkar kafi kuch sikhne ko mila
Jumedeen Khan
Welcome sandeep and keep visit again.
Sushma Patil
Hello Sir,
Main ak campaign SEO projects ke liye chala raha hoon aur mujhe projects ki bahut zaroorat hai. Please suggest me some eye-catchy content for the same.
Jumedeen Khan
Aap kis project ki bat ka rahe ho ye jane bina main aapko kya suggest karu.
Nishant
Nice Article Jume Deen,
Your native writing style has helped people like me to a greater extend.
mohit
meri problem ka solution do jume deen bhai
mere blog pahele blogger par tha or maine 50-60 post ki thi
mere blogger par 5000 page views aane lage the.
to maine usko WordPress par swift kiya to ab day by day Traffic slow hota ja raha hai.
only 1000 or isse bhi kam kya problem he ye hoga ya nahi.
Jumedeen Khan
Mohit blog ko search console me submit karo or check karo ki aapki kitni post index hai jo index nahi hai unhe fetch as google karke index karao. Yoast plugin ki setting sahi se karo.
Priya Roy
mobile version off karne par to koyi fark nahi padega site ka ?
Jumedeen Khan
Priya post me itni clear faqs btayi hai ki sabkuch aasani se samajh aa jayega. mobile version off kar doge to aapko mobile users kam milege.
Sekh Jasimuddin
Bhai mera problem ko solve kar dijiye please,
main mobile se sitemap create kar raha hu. site map ban raha hai. lekin Google console par add karne ke bad ye araha hai – Type – Error, Issue – Error, Description – We encountered an error while trying to access your sitemap. Please ensure your sitemap follows our guideline and can be accessed at the location you provided and them resubmit.
Issue count – 1.
Mera post iss liye Google search par 2-3 din me nehi araha hai. ek achchha solution dijiye bhai please.
2. Mera blog ko dekh kar bataye kuchh changes ka jarurat hai kya nehi ?
3. mera 153 post ho gaya lekin 4 – 5 bar sitemap create kiya to site map ka 500 pages se jyada ho jayega kya ?
Over 500 page ho raha hai isliye mera blog ka site map submit nehi ho raha hai to kaha se sitemap banana hoga ? uss site ka address dijiye bhai please.
Jumedeen Khan
1. sitemap sahi se create karo.
2. sidebar me layout se kam widget add karo.
3. ho jayega. aapko ek bar hi sitemap create karna hai.
4. over 500 page nahi honge aap achhe se sitemap generate karo.
Rajkumar
Kya ek website me do domain name laga sakte h matlab ki .com .in dono se wahi khule
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho dusre domain ko website ke domain par redirect karke.
Anjali Sharma
VPS kitna trafffic handle kar payega. Meri website ka traffic 1 lakh se 1.5 lakh hai to mujhe kis company ka aur konsa plan batter rahega please mujhe aap suggest kare !
Jumedeen Khan
Itna trafficc VPS handle kar sakta hai. Bluehost.com se lo.
Pawan Gautam
yes all question and Answer Right i am 100% Agree with you sir i have Already read this post related Content english version on the Google. thanks for Shearing this post..
Ashutosh Mishra
sir mai per day uniq post dalta hu par tab bhi mera search me nahi ati hai post kuch samjh me nahi aa raha hai. organic traffic nahi mil pa rahi hai aur maine apse pahle pucha tha ki mera Feetch as Google pe link submit nahi ho rahi hai meri is problem ka soluton bataiye aaj meri earnning 5$ hi hui wo bhi direct link se hi traffic kewal 3000-3500 aaj aai no organic search.
1.organic traffic nahi mil rahi hai
2. feetch as google me link submit nahi ho rahi hai.
Jumedeen Khan
1. Iska jawab main ya koi bhi or blogger yahi dega ki aap SEO friendly post likho or keyword ka sahi se istemal karo. But ye aap par depend karta hai ki aap kitna achha karte ho.
2. fetch as google post kaise index hoti hai check karne ke liye hai har ek post ko submit karke mat dekho.