Aaj main aapko ek aesa tarika btaunga jisse aap google play store se un apps unreleased apps ko download kar try kar sakte ho. Jo apps abhi release bhi nahi hua hai use release se pahle hi istemal karna wakai kafi majedar hoga. To chaliye jante hai kaise hum google play store par bina release huye application ko try kar sakte hai.
Google ne google play store me early access ka new feature add kiya hai. Jaha developer apps ko test karke uske bad app ko officially release kar sakte hai. Android users in unreleased app ko download karke try karke apna feedback de sakte hai.
Aap release se pahle apps ka istemal kar unme koi kami ho to uske bare me owner ko bta sakte hai. Agar aapko koi big bug mil jati hai to aap app owner se uske badle paise le kar earning bhi kar sakte hai.
Isiliye google play store se unreleased apps ko try karne ke sath sath unme bug, mistake bhi pata kare aur owner ko btaye. How to access unreleased apps on google paly store?
Google Play Store Par Unreleased Apps Ko Try Kaise Kare?
Google play store me unreleased apps section ko access karna bahut hi easy hai. Aapko kuch bhi special karne ki jarurat nahi hai, bas niche btayi guide follow kare.
Unreleased apps ko bhi baki apps ki tarah install karna aasan hai. Bas aap install button par one click se unreleased app ko install kar sakte ho.
Step 1:
Apne smartphone mobile phone me google play store open kare aur horizontal navigation menu ko right se left ki aur scroll kare.
- Ab Early Access section par click kare.
Yaha aap new arrivals and unreleased apps ki lsit dekh sakte hai.
Step 2:
Aap more par click karke koi ek section ke all apps ki list bhi dekh sakte hai.
- Aapko jo app try karna hai us par click kare.
Step 3:
Ab yaha aap dekhenge ki apps par ek message likha milega “This app is in development. Be one of the first to try it and provide feedback.”
- Install buton par click kar app install lare.
This app is in development. Be one of the first to try it and provide feedback. yani aap app ko try kare aur apna feedback de.
Ab aap bina ki problem ke unreleased app ko try kar sakte hai. Ye google ka free program hai aur kafi dilchasp hai. Isse aap app ko pahle se try karke apne friends ko uske bare me bta sakte ho.
- Android Phone Ko Root Kaise Kare (with and without PC)
- Mobile Phone Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan (Pros and Cons)
Unreleased apps beta version me hote hai jo ki released app se puri tarah different hote hai. Google play store par app ka beta version upload karna allow karta hai, ye wohi app hote hai.
Ab aap apne mobile ke play store me jaye aur kisi na kisi unreleased app ko aajmaye aur sath hi is post ko share kar apne dosto ko bhi iske bare me btaye.
Ramesh Singh
Bahut acche bhai new aur unique jankari di hai aapne me isse try jarur karga.
sonu sharma
bahut achi janakri share ki aapne. thanks for sharing
jitendra singh
bahut acchi jankari share ki . sir hame koi app banana hai ( profesonal ) to kaise bana sakte hai . i mean coding se ya kisi website ya software se
Jumedeen khan
Dono se.
Ashish Mandal
really awesome tutorial hai..sir
parvez
Naya jankari hai, but mujhe lagta hai official released app use karna hi sahi hai, phir bhi nice jankari thanks
yogesh
bhai bhut acchi jankari share ki hai aapne ek nye feature ka pta chala osm
Manjeet singh
Very helpful post Jumedeen ji and thanks for sharing with us. Yaha hame har din kuch naya sikhne ko milta hai.