Google humari har ek baat record karta hai? Shyad apane ye bat already sun rakhi hogi par ye nahi pata hoga ki google kaise humari activities ko record karke save rakhta hai. So aaj main aapko is post me isi ke bare me btane wala hu ki kis tarah google humari sabhi activity ko record karta hai or kyu karta hai, Hum ise kaise stop kar sakte hai.
Google duniya ka number one search engine hai. Is bare me explain karne ki jarurat nahi hai. World ke 90% people jab bhi internet par koi searching karte hai t owo sabse pahle google hi use sakte hai. Google ke anusar per second google me 40,000 log searching karte hai.
But kya aap jante ho ki google humari baate, humari activies ko record kar leta hai. Sirf itna hi nahi jab humara phone humare aas pas rahta hai to google humari personal bate bhi record kar leta hai. Its amazing, aapne kabhi nahi socha hoga ki google humari jaruri bato ko bhi sunta rahta hai.
Actually, Google apps me ek Automatically Recording System hota hai. Isi ke help se jab aap mobile me internet chalu rakh ke uske aas pas koi bat karte ho to wo automatic google app me reocrd hoti rahti hai. Agar aapke pas agar android ya other koi bhi smartphone hai to usme google app jarur hoga.
Table of Contents
Kya Google Humari Baatein Record Karta Hai, Kaise Pata Lagaye?
Google apps me humari Web & apps activity, Location history, Device information, Voice and audio activity, Youtube search history, Youtube watch history etc. bahut si janakri record hoti rahti hai or hume iske bare me pata tak nahi chalta. But inme sabse khatarnak hai ki google humari personal bato ko bhi record kar leta hai.
Mostly har mobile me hota hai. Isi app ki help se google aapki personal chating ko bhi record kar leta hai or in sabhi files ko save kar leta hai. Wese google ye kaam humare liye hi karta hai but ye aapke liye danger bhi ho sakta hai.
Aapko jaise hi pata hoga ki google humari baate bhi reocrd kar leta hai to aapko jarur ajib laga hoga or aap 100% apni personal details google se delete karna chahate honge. So don’t woory ye step follow karke aap aesa kar sakte ho.
1. Google Humari Activity Record Kaise Karta Hai
Google dwara apni activity recording dekhne ke liye aap history.google.com page par jaye. Yaha par aapko aapki saari recording details mil jayegi.
2. Google Ki Record Ki Gayi History Ko Kaise Remove Kare
Agar aap google ke dwara record ki gayi apni history ko delete / remove karna chahate hai to aap history.google.com par ja kar top sidebar me three point par click karke aap history delete kar sakrte ho.
- Top sidebar me 3 point par click kare.
- Ab delete activity by par click kar ke aap history delete kar sakte ho.
3. Google Record Activity Ko Stop / Control Kaise Kare
Yaha par aap apne hisab se activity ko control kar sakte hai. Jaise aapko YouTube, google app and other kisi ki bhi activity band karni hai to aap yaha se kar sakte ho.
- Top sidebar me three poit par click kare.
- Activity control par click kare.
- Ab yaha par aapko jo activity band karni hai uske samne off select kare.
Is tarah se aap google ke dwara record ki gayi detials ka pata kar sakte hai, delete kar sakte hai or use stop bhi kar sakte hai. Agar aap mobile me apni personal bate record google me record nahi karna chahate hai to aap yaha par sabhi settings ko off kar de.
Agar koi aapke bare me janna chahata hai ki aap internet par kya kya search karte ho to koi bhi aapke PC ya laptop se iske bare me is trick se aasan ise pata kar sakta hai.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise share jarur kare.
nares
sir kya ham phone par kisi se bat karte hai to uska numbar aur kya bat karte hai ye bhi record hota hai kya
Subash patel
mai use kar skte hai ki mai kis nomber se bat kar the hai and uska puri dettls kaise Jan skta hu khuch btaiye sir
Jumedeen Khan
Nahi iska pata nahi kar sakte.
Vijay panara
Sir aap bata sakte hai html sikhne ke liye kon sa YouTube channel best hai jin ke videos dekh kar hum html sikh sake apne blog website ke liye
Jumedeen khan
Vijay maine html coding extra blog bana kar sikhi hai jab bhimujhe time milta tha main extra blogger blog bana kar usme editing karta rahta tha. Wese ye bahut hi simple hai. Maine iske bare me koi video dekhi nahi hai. Isiliye aapko video suggest nahi kar sakta. aap khud google me how to learn html coding YouTube likh kar search karo.
Dilip Chauhan
kya me aapko call kar sakta hu kyoki mujhe AdSense k baare me jankari chahiye urgent h
Jumedeen khan
Ok kar sakte ho.
Nares
Bhai mujhe no do mujhe bhi call karna hai jumedeen bhai ko pls
Shyam Kumar
mujhe to aaj pata chala ki google bhi aisa karta hai. jankari dene ke liye dhnybad.
Yasir khan saqlaini
Bhai bht usefull info di h thnk u
दिलीप
आप header पर किस size का banner ad use करते हो
Jumedeen khan
468×60 use ye sawal puchne ka nahi hai aap header image ki width photo editer me check kar sakte ho.
shital kumar
sir, aap hame ye bataye ki blog me 500 se adhik post ho jay to us keliye dusra sitemap banana padega.
Jumedeen khan
Yes banana padega.
Babita Singh
Jumedeen ji i was not aware that google is recording our all activities. From now now onward we should be more careful.
-khayalrakhe.com
sid
bhai mere YouTube video me ads dikhata hai…
par koi earnings nehi ho raha…
jo video ads hai usse bhi earnings nehi ho raha…
mene apne dost ke mobile se pura ad dekha hai lekhin abhi tak earning 00 hai…
esa kyu ho raha hai bro…
Jumedeen khan
Aapki harkato se aapki earning hogi bhi nahi. Aap khud ya kisi or ko video dekhne ke liye nahi kah sakte. Original traffic kamao tabhi koi ad par click karega or earning hogi.
Sonu Kumar
Sir, meri website healthnuskhe.com bana rakhi hai aapke blogging tips padhkar. aaj aapki wajah se mere website daily ke 2000 vistors bhi hai.
lekin meri adsensse income $1 se badh nahi rahi hai please check and reply me Sir PLease. I humbly request for this.
Jumedeen khan
Aap search engine se traffic badhao or high CPC keywords par post likho.
iqra
sir agar google ke pas wakae mai hamre call ka recording hai to vo mujhe chahiye plz help me mai vo kese sun skti hu mere liye bht zaruri hai
Jumedeen khan
Google kisi ki bhi details public nahi karta.
Vishal Jain
Me ye post padh raha tha, tabhi mera ek colleague aaya or vo bhi padhne laga. Fir bola, “It’s very bad. Google records everything what we do.” I said, read the privacy statements and use the services if you are okay. 🙂
Ankit Jha
bro kuch dino se main apne blog ki jo bhi post apne fb page pe share karta hu uska thumbnail auto. mere google plus ka profile picture set ho jata hai, Main chahta hu ki jo post mein image main use karta hu wahi show ho iske liye kya karu ?
Jumedeen khan
Ankit aap jo template usekar rahe ho wo social share support nahi karti. Aap template change karo second facebook par kam post share kiya karo.
Deepak
सर अगर मैंने अपने ब्लॉग पर Game, Software के डाउनलोड लिंक देता हु तो क्या मेरा AdSense अकाउंट ब्लोक हो सकता है. सर थोडा गाइड करे.
Jumedeen khan
Nahi hoga, Agar aapko lage ki koi link danger ho sakta hai to aap uske link me nofollow use kiya karo.
Harshit Raikwar
Bhaiya Ye Post to badiya thii ekdummm…Aaj pata chala Google Itna bhi hoshiyaar he..
Sanjay Singh Rawat
Yes bro agar google account sign-in karke koi browsing karta hain to uski activity google detect karta hain. Jaha tak ki browsing location, device sab kucch google dwra track karlia jata hain. Aapne bahut hi unique jankari share kari hain. Yahi khubi hain ki main aapke SMI blog me daily visit karta hu !!!
Jumedeen khan
Welcome sanjay.