Google Search Console Me All Sites Ko Ek Group Me Kaise Set Kare

Google search console ke bare me aap sabhi jante hai or use bhi karte hai. Lagbhag har blogger ko iske bare me pata hota hai. But humari bahut sari website hone par google webmaster tool me performance report check karne me problem hoti hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jisse aap sabhi sites ka GWT me ek group bana kar report check kar sakte ho.

Google Search Console all sites property sets

Google webmaster tool me bahut sare features hai jo humari site ki SEO ranking increase karne me madad karte hai. Jaise hum google search console me Crawl errors and URL parameters ko fix kar ke site ki search rank badha sakte hai.

Iske liye aapko search console me sabhi blog ko alag-alag open karna padta hai. Magar ab google ne search console me property sets ka ek new feature add kiya hai. Jisme aap search console me sabhi site ke liye ek group bana sakte ho or usme apni sabhi sites ko set kar sakte ho. Uske bad aap all website ki search analytics report ek jagah par dekh sakte ho.

Google ne is feature ko isliye launch kiya hai kyuki pahle google search console me site ki impressions, clicks and CTR report property by property show hoti thi. Magar google ke is new set me aap all data add karke sabhi search analytics report ko ek sath dekh sakte ho.

Google Search Console Me All Sites Ko Ek Group Me Kaise Set Kare

Google ke is new feature me aap multiple properties ka ek group bana sakte ho or sabhi site data ki ek jagah search report dekh sakte ho.

Step 1:

  1. Iske liye sabse pahle aap Google search console par jaye.
  2. Ab right side me add a property ke samne Create a set par click kare.

Create a set

  1. Yaha par aap apne group set ka name type kare.
  2. Select a member to add par click karke aapko jo bhi site add karni hai wo select kare.
  3. Ab save changes par click kare.

Step 2:

Ab aap google search console ke homepage par jaye. Yaha par aapko sabhi website ke alawa ek alag property dikhayi degi jo kuch is tarah hogi.

Sets

Ab yaha par aap sabhi website blog ki search analytics report check kar sakte ho. Iski sabse achi bat ye hai ki isse aapka time west nahi hoga or aapko bar bar all site ko open nahi karna padega. Is feature me aap ek jagah par sabhi site ki report check kar sakte ho. But abhi aapko isme sabhi options nahi milenge. Ho sakta hai google aane wale time me isme baki feature bhi add kare.

I hope aapko is post me ek bar fir google ke bare me news information milegi. So plz is post ko share jarur kare taki hum aapke liye aysi hi latest post likhte rahe.

Reader Interactions

Comments (83)

  1. Great article sir aap ke post mere liye hamesha ek inspiration bante hai jinse main kuch na kuch sikhti hu, thank you so much hamein guide karne ke liye:-)))

  2. Sir bhut achha or unique articles

    • Kya hrr post ko index karana padta hai google search console mein?…please answer dena

      • nahi

  3. Ye error aa rha he search console me add nhi ho rha blog
    Using html file method (2 minute ago) we were unable to connect to your server. Verify your ownership.

    • Aapka internet connection work nahi kar raha hai fir se try karo ho jayega.

  4. Sir g mai ek finance ka blog bana rahi hu jisme maine iRambo theam WordPress me select ki hai jise mai apne anusar modify karna chahti hu sath me kuch or function add karna chahti hu iske liye muze kya krna hoga. Plz help.

    • Aapko agar php or html coding aati hai to aap theme ko chaho jaise optimize kar sakti hai warna aap kisi theme designer se karwa sakti ho.

      • thanks sir please suggest me some some theam desiner jo jyada mehga na ho.

        • Sabse best theme genesis hai.

      • Bro ye google search console m add krne k liye seo k liye domain name jruri h kya?
        WordPress k liye kese karu mai sir?
        Mere m bar bar error a rha hai… Kya iske liye domain name wala url chhiye??

        • Aap WordPress blog me yoast seo plugin use karo. uski help se aap google webmaster tool me apna blog verify kar sakte ho.

  5. Apne WordPress website ki post blogger pe Automatic ya Manually kaise post kare

    • Post me share button laga kar ya direct blogger blog ki post me post ka link share kar sakte ho.

  6. agar me apna account WordPress pe convert kar du to kya ye provlem solve ho jayege ya tab bhi esa he rhega or mujhe kuch time ka wait karna hoga…?
    or han vo jo code hota hai jo blogger me domain name jodne ke liye blogeer se godaddy ke cname(alias) me dalna hota hai.. vo code mujhse delete ho gya godaddy ke dns record me se… lekin blogger per domain ab bhi add hai or remove krke dobara add krne per aasani se add ho ja rha hai.. vo code dobara nhi aa rha hai…
    vo code dobara godaddy ke dns record me dalna jaroori hai kya or agar hai to vo code ab kha se milega.. pls tell me sir?

    • WordPress best hai us par aap kuch bhi handle kar sakte ho. Nahi jab ta kaapka blog open ho raha hai koi jarurat nahi hai.

  7. Bro kya koi aisa tarika he jisse hum jab post likh le aur us post ko publish karne se pahle hi jaan sake ki humari us likhi hui post me kitne keywords he

    • Online keywords checker tool se check kar sakte ho. Aysi bahut si tool aapko google me mil jayegi.

  8. jumdeen bro, ads lagaye hue 4 din ho gaye hai but abhi tak blank hi show ho raha hai ads kab dikhayi denge. Aur maine AdSense YouTube se approve kiya hai,

    • Aapke pas google ke reply ka wait karne ke siwa koi rasta nahi hai. Wait karo google aapko iska mail send karega.

  9. hello sir me aapse ek question puchna chahata hu,me puchna to nahi chahata tha but mujhse raha nai gaya me janna chahata hu ki itne successful blog ke owner ki Qualifications kya hai…..

    • Maine iske liye koi course nahi kiya hai. ha B.A pass ki hai bas. Baki sab kuch internet se sikha hai.

      • okk sir
        aap ek din me kitna time blogging par bitate ho…
        me bhi blog start karne ka soach raha hu to starting me kitna time dena rahega blogging par

        • Jitna aap de sako. Mai 3-4 hours blog par work karta hu.

  10. to kiya isko delet kar ke fir se submit karu search console me

    • Ha ise remove kar fir se submit karo.

  11. Aapka bloging me bahut bada naam hai mai aapko advice dunga to vo galat ho jayega Par mujhse raha nahi ja raha ek dost ki haisiyat se me yah batana chahta hun ki aapne jo subscribe ko form lagaya hai front page par vo bahut space cover kar raha hai aapki please use hata dijiye aap meri website websiteinhindi.com par dekhiye vaha mene ek accha widget lagaya hai aap use use kar sakte ho.

    Please bura mat manna is comment ko approve nai bhi karoge to chalega.

    • Sumit ji aapko advice dene ke liye dhanyawad, But maine waha par subscribe box isiliye lagaya hai ki har visitor blog ke homepage ko ek bar jarur open karta hai so use blog pasand aaye to wo turant subscribe kar sake, Iska result bhi me dekh chuka hu. Second aap kah rahe hai ki wo bahut jyada space cover kar raha hai to usse mujhe fayda hi hai. Fir bhi aapki advice ke liye thanks.

  12. meri site open hoti hai example.com se or console me submit kiya hai example.com koi problem to nahi hogi na

    • Problem hai aapki site bina www ke open hoti hai t ogwt me bhi bina www ke submit karo.

  13. search console me site submit karne ke bad blog ke sabhi post index hone me kitne din lagte hai
    3 din ho gye site submit kiye huye index 0 aa raha hai

    • Search console me blog index karne ke bad kitne din lagte hai iska fix time nahi hai ye aapke content ki quality par depend karta hai ki user usme kitne interest hai. POst jitni unique hogi utni jaldi index hogi. Nahi to isme 5+ day bhi lag sakte hai.

  14. Sir Aapny ek post mey ye bataya tha ki YouTube pr dofollow back links kesy leskty hey apny blog kry liye jb mey YouTube pr sing in krti ho toh khi be channel setting ka koi option nhi aarha aur advanced ka option be nhi aarha ples btao mey kesy YouTube seh do follow back links ley sko.