Janiye Aapki Site Ko Google Search Engine Se Traffic Kyu Nahi Milta: Aaj hum bat karenge ki site par quality content write karne par bhi google search engine se good traffic kyu nahi milta, iske kya reasons hai. Aap content ka On Page, Off Page optimization karte hai fir bhi google se bahut kam traffic milta hai to ye article aapke liye hi hai. Blog par achha content likhne par search engines se good organic traffic na milna bahut badi problem hai or kisi bhi blogger ya website owner ko ise fix karne ki information honi chahiye.
Site par google search engine se traffic nahi hai to site ka success hona bahut mushkil hai so aayiye jante hai ki kin reasons ki wajah se aapko google search engine se achha traffic nahi mil raha hai. Ek blogger ko sabse jyada nirasha tab hoti hai jab uske quality and SEO friendly content likhne k bad bhi use google se good traffic nahi mil pata.
Is problem ki wajah se hi kei blogger blogging chord dete hai. Actually, mostly bloggers ka traffic source google search hi hai or agar aapko google se hi traffic nahi milega to blog ka success hona bahut mushkil hai. Quality content likhne par bhi google se trafifc nahi milne ki bhi wajah hoti hai or agar aap us karan ka pata kar fix kar loge to aapko bhi google se enough traffic milne lag jayega.
- Boring Content Ko Awesome Content Banane Ki 12 Quality Tips
- High Quality Content and Low Quality Content Me Kya Difference Hai
Sirf search engine optimized article write karne se wo google me top raning nahi bana sakta. Uske liye aapko or bhi settings and care karna hota hai. Google me higher ranking banane ke liye only quality content write karna kafi nahi hota. Site par achha content hone ke bavjud site ki search rank down ho sakti hai. Iske kuch main reasons main aapko yaha bta raha hu.
Table of Contents
Quality Content Par Bhi Google Search Engine Se Traffic Nahi Milnta
5 Big Reason, Why You don’t Receive Enough Traffic From Google Search Engine: Mujhse kei visitors is bare me question puch chuke hai or maine iske bare me pata kiya ki aakhir site par achha content hone par bhi use google search engines se good organic traffic kyu nahi milta. Mujhe iska reason pata chala or main wo aap sabhi ke sath share kar raha hu.
1. Too Much Competition:
In most cases, aapki post ka google me top rank na karne ki sabse badi wajah hai bahut jyada competition hona. So agar aap apni post ko Justin Bieber ke liye optimize karoge to aapko google search engine se enough traffic milne ke chance hai.
I mean aapko sari duniya se aage nikal kar Justin Bieber ki tarah famous hona hoga kyuki aaj ke time me internet par itna competition hai ki aapke kisi topic par article likhne par lakho user us topic par likh dete hai. Aese me aapko un sabhi se behtar content likhna hoga.
Aap ji niche par quality content write kar rahe ho uske bare me google me search kare aapse pahle bahut sare blogger and websites us topics par likhe chuke hai unme se kuch sites ki authority bahut jyada hoti hai or unke competition me content ko top par lana bahut mushkil hai. Iske liye aapko unse jyada quality content likhna hoga.
I know hume SEO-friendly text content write karna chahiye but sirf SEO ko mat dekho jis topic par likh rahe ho us ka competion bhi check karo or decide karo ki aap in sabhi se behtar kar sakoge to hi aapki post google me top ranking me aayegi.
Agar aap chahate ho ki aapki post google me top par aaye to main aapko suggest karunga ki aap Long Tail Keywords istemal kare or long content likhe. 200, 300 and 500 words length ke content ka google me top ranking aana mushkil hai kyuki google 500 words ki jagah us post ko top par show karega jisme 1000 to 2000 ya isse jyada words hai.
Competitive keyword par writing karne se pahle uske bare me achhe se pata kar le fir us par content likhna shuru kare. Kyuki jis keyword par already long content hoga uske hote huye aapka short content rank nahi karega. Last me main aapse yahi kahunga ki aap content likhne me expert ban jaye fir aapki har post top par rank karegi.
2. Technical Issues:
Agar aapki site ki post google me kahi apr bhi show nahi ho rahi hai to iska matlab hai ki aapki site par koi technical issue hai. Jo aapki site ko google search engine me show hone se prevent kar raha hai.
Technical issue me site Theme, Plugins, Coding, Software and wrong SEO settings at yoast plugin or search console etc. aate hai. Iski wajah aapka blog ya koi plugins ho sakta hai ya fir aapke blog ki theme me koi problem hai.
Mostly WordPress blogger Yoast SEO Plugin ka istemal akrte hai. Halanki yoast setup karte time full care karta hai or technical issue hone par warning show karta hai but fir bhi aap ek bar blog ki SEO settings check kar le to behtar hoga.
Iske liye aap yoast plugin ki Support steps guide follow kar sakte ho ya fir humari WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare wali post read kar blog ki search engine settings kar sakte ho.
Second, aapke Google Webamster tools me blog ka sahi se property setup nahi karna ya Crawl Errors and URL Parameters ko avoid karna ho sakta hai.
Main google webmaster ko handle karne ke bare me already kei articles likh chuka hu so iski adhik jankari ke liye aap humar isearch engine optimization wali post read kare.
3. Internal Linking:
Internal linking optimize sahi nahi hone par bhi aapki site ki search ranking kam ho sakti hai ye bih site par google search engine se traffic na milne ki bad iwajah hai. Mostly, new blogger ko iski information nahi hoti or is karan unki post top rank nahi kar pati.
Search engine me top ranking ke liye internal links use karna jaruri hai but content me apni site ke others links add karne ke liye bhi hum free nahi hai iske lyie bhi hume search terms dhyan rakhni hoti hai. Agar content me use kiye internal links clear nahi hai or google ko unhe read karne me problem hogi to aapki site ki rank down hogi.
Post me jitna ho sake clear and related internal links hi use kare unrelate and unwanted links add karne se bhi page ki search rank down hoti hai so post me jarurat se jyada links use na kare only us topic se related links hi use kare.
In other words, Agar aapki internal linking structure bahut poor or bkrar hai to bhi aapki post ke top ranking me aane ke changes hai iske liye aapki post me awesome High Quality Content hona chahiye.
I mean aapki post me awesome wonderful content hai to poor internal links hone par bhi page google par top me rank karega.
But achha hoga agar aap internal link par bhi focus kare or good linking use kare taki aapko low quality content me search me top par aa sake or usse aapko achha traffic mil sake.
4. Few Backlinks or Bad Backlinks:
1. Few Backlinks:
Agar aapne just kuch time pahle hi site start ki hai to jahir hai aapki search rank kam hogi or google search engine se kyuki aapki sit par backlinks nahi honge. Agar aapki site ko banaye kafi time ho gaya hai or search traffic nahi hai to iski wajah hai aapki site par few backlinks ka hona. Site par kam backlinks ka matlab search engine se 0% to 10% traffic milna.
Google me top par aane ke liye aapki site ko others related wbsites se backlinks milna jaruri hai warna google aapki site se humesha exit karega.
Aap guest posting, other site owner se contact kar ya kisi or method se apni site ka link mention karwa sakte ho ya fir aap Commenting ke through bhi backlinks bana sakte ho.
2. Bad Backlinks:
Agar aapki site par broken links, bad links add hai to bhi aapki site ki search ranking down ho sakti hai. Example, Wikipedia jaisi famous site se aapki site ko 1 backlinks milna other common sites ke 10,000 backlinks ke barabar value rakhta hai.
Same wese hi adult, p*rn and other bad websites se aapko ek backlinks milna 10,000 common bad websites se backlinks milne ke saman hai. So apni site ke backlinks par care care or kisi bhi other site ka link apni site par add karne se pahle achhe se confirm kar le ki wo site aapki site ke liye danger to nahi hai.
Main iske bare me already Hard Truth About Links: Content Linking Ke Bare Me 10 Jaruri Bate post me complete details share kar chuka hu.
5. Your Site is Hacked:
I don’t want it, humesha koshish karo ki aapki site kabhi hack na ho but agar aapki site hack ho gayi hai to aapki site ki sabhi older posts ki search ranking decrease ho jayegi or google search engine se organic clicks kam milenge sath hi new post bhi easily top par rank nahi karengi.
Jitna ho sake apni site ko secure kare or Strong password, SSL Certificate, Robots.txt, Hide version, Disable file editing, Hosting server security, Stay up to date, Add two factor authorization etc. se apni site ki security badhaye.
Main is blog par specially Security Tips bhi share karta hu. Iske liye aap humar iye post read kar sakte hai.
- Google Gmail Account Ke Password Secure Kaise Kare
- Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
- Kaise Pata Kare Ki Hamara Google Account Koi Use Kar Raha Hai
- Strong Password Kaise Banaye, Majbut Password Banane Ki 8 Best Tips
Inke alawa bhi aapko is blog par bahut si security tips mil jayegi uske liye aap humari Security Tips category wali posts read kar sakte hai.
Agar aapki site secure hai to aapki site ki search rank best hogi google kahta bhi hai ki agar aap site par SSL Certificate https:// security use karte ho to aapki site ki search rank better hogi or last kuch time se cyber crimbe bahut badh raha hai so site security bahut jaruri ho gayi hai. Main aapko highly recommend karunga ki aap sabhi SSL Certificate Licence ka istemal kare or apni site ko https:// se secure kare.
Final Conclusion,
Google search engine se good traffic na milne ki ye main wajah hai. Inke alawa, aapki site ka design, loading time, content writing skills, low traffic and user engagement etc. or bhi bahut reasons hai but mostly upar wali problem aapki site par nahi honi chahiye.
Main is bare me pahle bhi content likh chuak hu or aage bhi new tips btaunga. Aapko site ko google me top par lana hai to ye sab mistakes ko fix kar le or achha content likhe.
Sath hi aapki site par good User Engagement bhi jaruri hai kyuki google sabse pahle ye check karta hai ki aapki site ko kitne people read karte hai or kitne time tak unhe aapka content kitna pasand aa ra hai. Agar aapke readers aapke content ko kam read akrte hai to google bhi aapki site ki kam care karega.
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
I hope is article ko padh kar aapko quality content hone par bhi site ka google me top rank me na aane ke reasons pata chalenge or aap apni site par aesi koi bhi problem ko fix kar lenge or aapki site ab google me top par rank karegi.
Tinku Sharma
sir mera blog health and fitness pe hai. to kya mujhe backlink banane ke liye sirf health and fitness wale blogs par hi guest post karni hai ya un blogs par bhi kar sakte hain jo multiniche par kaam kar rahe hain aur halth ke baare me bhi likh rahe hain.
Jumedeen khan
Yea un par bhi kar sakte ho.
Tinku Sharma
Jumedeen sir aapka Bahut Purana fan hu mai. Aapko sayad yaad nahi hoga. Mai aapse ye poochhna chahta hu ki mere blog ko 1 Mahina ho gaya hai aur maine 15 post likhi hain. 15 me se 2 post google ke 1st page pe, 2 post 2nd page pe, 3 post 3rd page par aur 5 post 4th aur 5th page par pahunchi hain. Sir meri problem ye hai ki mujhe google se traffic nahi mil raha hai. Google se daily bas 3-4 bande hi pahunchte hain site par. Sir mai ye poochhna chahta hu ki google se achha traffic Milne me kitna time lag jata hai?
Jumedeen khan
Site ke liye backlink banao aur posts ko promote karo.
Abhijit Pelmahale
Sir blog ko approve karne ke liye minimum kitne blog view chahiye
Jumedeen khan
read this post Adsense Account Approved Karane Ki Kya Kya Requirement Hai?
GouravwebSEO
Guest posting kaise karte hain, kisi other website owner Ko kaise request kare apni website ka link add karne ke liye ?
Jumedeen Khan
Simple hai use achi post likh kar do.
rakhshanda rizvi
Such a brilliant article. You are doing a great job. I faced a strange problem today while uploading some pics for a post. There was a HTML error and I couldn’t upload the images. Can you please explain the reason of this problem?
Jumedeen Khan
Please mention error words here.
Nishaant
Ek question hai ki Maine January me ek blog banaya tha.
Techscrub.blogspot.com aur per day Maine ek post published ki with full SEO techniques aur Maine apne blog ka full setup kiya hai JAISE sitemap, webmaster tool me blog verify, etc but aaj bhi main roz ek post published KARTA Hoon but traffic aata hi NAHI page view per 20 24 bus issue zyada nahi hote. Kya karo.
Jumedeen Khan
Aap bahut jyada short post likhte ho long post likho tabhi traffic milega.
Surendra
वेबसाइट का पोस्ट 1st रैंक पर आने के बाद
मेरी वेबसाइट का पोस्ट रैंक नीचे करने लग गया सर वेबसाइट के पोस्ट को एक रैंक पर रखने का तरीका बताएं
FARAZ
Bhai main apne WordPress website mein http:// kaise add karun aur kya add karne se meri purani posts mein koi dikkat aayegi kyunki meri jo purani posts hai wo to http:// mein hai. Yoast seo ka setting bhi kiya hua hai. Add kaise karein aur add karne ke baad kya karna hoga.
Jumedeen Khan
Aap first SSL certificate buy karo uske bad main steps bta dunga.
rahul
Bhai mene apne blog me description coding bhi kardi hai apne wapsite ke bare me magar abhi WO sab information dikai nahi derahi wapsite ke description me ..main kya karu sir kuch samhaj nahi arahah
Jumedeen Khan
Thoda wait karo kuch time bad description show hone lag jayegi.
rahul
Thanks Jumedeen Sir god bless you
AdSense ke alava mobile advertisement wapsite konsi hai Jo highest CPC deti hai …or kya blogger per him AdSense ke alava kisi or advertiser ke add show kar sakte hain isse hMara blog suspended to nahi hog
Jumedeen Khan
Adsense ke alawa baki koi itni best nahi hai.
rahul
Sir mene blogger ke trow mobile version wapsite banaye hai magar usme search box show nahi horaha jispe mene search box add kardiya hai me usko enabled kaise karu mobile version me
Jumedeen Khan
Rahul aap search box ki coding direct blog ki widget me add karo ya aesi template use karo jisme search box ho.
Asween
Bahut badhiya tips sir,aapke dwara di gai in sab tips se humare blog kaa traffic badhane me bahut faayda hoga!
Ravi Parwani
hello Bhai,
kya blog Post ko update karne ke liye URL change kare to old URL Google search console me se removed karna hoga ya fir dusra URL bhi submit kar de aur dono ko rahene de?
Jumedeen Khan
Kuch nahi karna hai new URD apne aap add ho jayega.
radhe gour
SIR maine yesterday FLIPKART par visit kiya tha lekin ab jab bhi kisi website site me visit kar raha hu to flipkart ke ads hi dikh rahe meri aur aapki website me bhi flipkart ke ads dikh rahe hai esa kyon ho raha hai ?
Jumedeen Khan
Sabke sath haiesa hota hai google humari activity track karta hai or usi ke anusar ad dikhta hai.
radhe gour
sir UC NEWS account ko dilate kiya ja sakta hai maine iske account me apni website ki jagah apna naam likh diya tha jo ki ab nahi badal raha hai
Jumedeen Khan
Use avoid kar dusra account bana lo.
fawad chaudhry
sir aap meri blog ka visite karke please comment be kare…
ab tak ik user ne meri blog ka visite nahi kya jab kih meri 3 keyword google ke 4-5 numeber per hain please main kya karooo. kih google se traffice ayei..
Jumedeen Khan
Fawad maine ye post isi problem ke liye likhi hai post read karo.
Rohit Singh
ek personal baat share karunga ki aaj kal ke bloggers ek dusre se itna jalte hai ki kya batau. mera to manna hai ki agar koi blogger successful banna chahta hai to humko unki help karni hogi jo aap acche se karte hai. Unko ye dar lagta hai ki ye blogger bahut accha hai jo ki mujhse age nikal jayega par ye to humare liye accha hai agar wo paise kama rahe hai to aapko jalna nahi hai balki kyunki wo aapse ya phir aapke paise thodina cheen rahe hai wo to company usse pay karti hai.
agar hum dusre ko successful hone me help karnege to yakeen maniye bhagwan aapko bahut jyada success dega aur me to ye believe karta hu jalne me kuch bhi nahi rakhha he duniya me. Hume ek dusre ko support karna hi hoga.
Jumedeen Khan
Right rohit but kuch logo ko ye bat samajh nahi aati hai jabki sabhi ko apni kismat ka milta hai or jo success hoga use koi nah irok sakta. Aap apna farz nibhao jitni ho sake dusro ki help karo.
Rohit Singh
Yes you are right aur hum bloggers ko ek dusre se nafrat nahi balkil friends banke rehna chahiye.
Jandail
bro mere blog me faltu ki backlinks ban gayi hai unhe hatau ya nahi hatau ? hatane se or na hatane se kya fark padega ? detail ke bataye plz.
Jumedeen Khan
Hatana behtar hai taki blog ki search rank increase ho.
Jandail
Tab kaise hatau me unhe ? me blogger par hu
Jumedeen Khan
Google disvow serivce use karo.
Jandail
sorry for more comments : but meko ye ni pata chal raha hai ki bad links kaise pata karu or kyoki bohot sari links ek ek karke check kar nahu sakte tab koyi trick batao aap easy bali bro !!
Jumedeen Khan
Ok fir aap ek do wait karo main iske bare me article likhunga wo follow kar lena.
omkumar agarwal
Sir post to achhi hoti hain aapki lekin bahut jyada lambi hoti hain jise read karne me hi bahut time lag jata hai
Jumedeen Khan
omkumar agarwal, Ye SEO article hai. Isme maine 5 hi reason add kiye hai karta to 10,000+ words ban jate. Search engine optimizing ko hum short me nahi samajha sakte.
rahul
Sir apni video sharing wapsite kaise banaye
Jumedeen Khan
Kisi bih blog platform like WordPress blogger par bana lo ya fir coding se banao.
Anoop kumar vaish
Hello sir
Kya aap koi WordPress ki aisi free theme suggeste kar sakte hai jo responsive hone ke sath fast loading wali ho
Jumedeen Khan
Aap mythemeshop ki theme use kare.
Ashvin Chaudhary
great post Mr Jume Deen Khan,
SSL Certificate Security ke liye most important hai,par,
Mera yaha par sawal hai ki kiya SSL Certificate se Search traffic impruv hota hai?hala ki Hosting company dava karti hai.
Thanks.
Jumedeen Khan
yes google SSL certificate use karne wali site ko jyada rank deta hai but itna bhi nahi jitna hosting and certicate company dawa karti hai.
Rahul singh
bahut badiya jankari di hai sir isse mujhe bahut kuch seekhne ko mila hai
sir ek baar WordPress me post likhne ki puri jankari jaise meta tag , description , seo title aur bhi bahut se option hai un sabhi ke bare me ek post kar dijiye sir plz
Jumedeen Khan
Rahul is sabke bare me main already post kar chuka hu. Apa humari S-E-O wali post read kare and aage bhi achhi post share karunga so site par daily visit kare.
vakil
mere site me jarur kuch problems hai kyuki mere site par 5oo ke upar trafic hi nahi badta itane saal ho gaye hai magar muje or bhi kaam hote hai jumedeen bhai or mai hamesha koshish karta rehata hu ki 2000 word use karke post ko top me la saku magar top me aane par bhi jaad traffic nahi mil pata hai
Jumedeen Khan
Vakil aap ek bar template change karke try karo bing verify code blog me add hai maine check kiya hai. Site par trafifc na hone ki wajah hai site ka dhurapan aapne site ka design abhi tak complete nahi kiya. Header, footer, widgets, layout sabhi ko dekh kar aesa lagta hai ki abhi aakpki site ban rahi hai. Please complete design and make fast loading site.
vakil sheikh
maine code bhi add kiya hai template me section ke niche but firbhi nahi ho raha hai
Himanshu Grewal
Great post…!
Ritika Sharma
Kya duplicate content se bhi rank down hoti hai ??? Aur kisi domain ko faslty growth kaise karwaye ???
Jumedeen Khan
Yes duplicate content se bhi search rank down hoti hai. Fastly growth karna hai to aap unique content likho or uska social media par promotion karo ya agar aap pay kar sakte ho to site ka advertising se promotion karo.
Ritika Sharma
Yes i will using Google Adword
Thanks for advice !!!
ANOOP VAISHYA
hello sir
mere post yadi mai pura title dalkar google me search karta hu to
show hote hai. vo bhi tisare chaauthe number par.
lekin jo keywords ka use mai apne blog ko likhane ke liye karta hun to
usko dalkar search karta hu to 5 page tak check kiya lekin meri post kahi nahi show ho rahi hai.
kya koi seo me problem hai.
ya kuchh aur vajah hai.
Jumedeen Khan
Anoop ye post carefully padho reason samajh aa jayega. Ab competition bahut jyada hai aap jitna ho sake badhiya post likho.
Niraj
jumedeen bhai aapka artical bahut usefull hai thankyou…..
bhai mere blog ke bahut sare bad backlinks ban gaye hai unhe hatane ke liye mujhe kya karna hoga
Jumedeen Khan
Google disavow service se bad backlinks ko remove karwa sakte ho.
Rusheek
Baht achi post he bro
Jitender singh
Nice Article Jumedeen Sir
radhe gour
sir maine apni website ke liye SSL certificate install kiya hua hai kya iske baad bhi koi hack kar sakta hai
Jumedeen Khan
Yes but SSL certificate security kafi badh jati hai.
gourab das
thanks sir.ye post mostly mere bahut kam ke he.
ap bahut age jaoge sir,kyoki ap dusro ke bare me sochte ho.ye mene dekha h jab se me website creat kia tabse.
thank you very much.
Jumedeen Khan
Welcome and share this post on social media.
sudesh kumar
bhai meri site me alexa tool bar me site ki speed kam show kar raha hai
pahle 4.342 sec thi or ab
Very Slow
(12.599 Seconds)
100% of sites are faster
Average Load Time
ho gai hai
ap mera blog chack karke bataye plz ki ye kya problem hai or isko kese kam karu.
Jumedeen Khan
Aap blog ki template ko optimize karo ya koi fast loadin template use karo.
kamlesh Parihar
Great article sir.
Mohsin Ansari
Sir AdSense me 100 doller hone ke bad automatically send karta hain ya payment ke liye request karna padta hai
Jumedeen Khan
Google apne aap payment send kar dega.
vakil
maine site ko bing webmaster me bhi add kiya magar vaha par site verified nahi ho rahi hai or google me verified ho rahi hai plase help mai aapko aapke fb par photo send karuga please check jumedeen bhai
Jumedeen Khan
Vakil bing ka verify code blog me add karo to hi verify hoga.
pooja
Hellow sir aap is theme me best readable font style use karenge to article padhne me aasani hogi ye font style dikhne me acchi hai lekin padhne me jyada dikkat aati hai
Jumedeen Khan
Thank you pooja main jaldi hi font style change karunga.
vakil sheikh
jumedeen bhai meri site open nahi ho rahi hai temprory unavailable massage show ho raha hai please check karke bataiye kya problems hai.
Jumedeen Khan
Site open ho rahi hai no problem.
sachin
bhai aap jo theme use kro ho va mn bhi bta do , kunsi hai
Jumedeen Khan
Main genesis theme use karta hu aap bih kar sakte ho.
Haidar Khan
JDK bro kal mere contents matching unit me ads enabke kiye the. Lekin abhi bhi usme ads ads show nhi ho rahe hain. Sirf mere blog ke hi article a rahe hain. Kya ads show hone me time lagega kya.
Jumedeen Khan
Yes matched content ko work karne me time lagta hai. Second aap comment policy violation mat karo URL field me only blog homepage ka link add karo.
Chipu Nagar
Nice article sir
sachin kumar rajan
Achi jankari thi muche es post se kafi help mili or muche pata chal gaya ki kyo mere site pe jyda viem nahi aate.
Haidar Khan
Bahut aache se explain kiya apne bro.
Content is king lekin iske sath hi sath jis topic par bhi post kar rahe ho. Post likhne se pahle us topic ko googl3 par search karke dekhna chahiye ki un blog ko aap beat kar sakte ho ya nahi. Kyuki jo old blogs hote hain unka DA aur PA dono high hota hai. Iske liye aap apne chrome browser me Moz bar install kar sakte ho.
Pawan sharma
Nice article sir
Praveen
Sir, backlinks ke liye bookmarking sites ka use karna kitna sahi hai?
Jumedeen Khan
Danger ho sakta hai. Mere hisab se related site se hi backlinks banao.
Haidar Khan
Bro bookmarking site ko ab koi tarjih nahi deta hai.
Aap quality backlins banao quantity par mat jao.
Ab 2017 me seo bahut change ho gaya hau.