Search Engine Me Blog Title Se Pahle Post Title Kaise Show Kare

Aaj is post me mai aapko btane ja raha hu ki google search result me blog post results ko kaise change karte hai. Is tutorial ko follow karke aap apne blog ki post ko chaho jaise google search engine me show kar sakte ho.

Optimize Your Blogger Blog Post Search Results

Search engine optimization ke liye blog post title and blog title dono most important hote hai. But agar aapke blog ki post ka title blog title se pahle search me show hota hai t oaapko jyada organic click milenge. Kyuki aapki post ka poura topic dikhayi dega.

Agar aap apne blog ko success banana chahate hai to aapki site par search engines se traffic aana jaruri hai. Or search engine se traffic pane ke liye aapko SEO ki basic information honi jaruri hai. Maine SEO ke bare me bahut post likhi hai, Jinme blogger ke bare me bhi post mil jayegi. So aap sach SEO ke bare me janna chahate hai to supportmeindia ki SEO se related padhiye.

Google search result me sirf post title ke first 65 characters hi show kartya hai. Baki ke sabhi shabd cut ho jate hai. So agar aap blogger user hai to ye post aapke liye bahut kaam ki hai.

Yaha mai aapko blogger SEO ke ek chote se but bahut important part ke bare me bta raha hu. Jisme aap google search results me apne blog ki post results ko customize kar sakte ho or search engine se jyada traffic pa sakte hai. Iske alawa bhi iski kuch or wajah ho sakti hai. Jinki wajah se aapko ye setting karini jaruri ho jati hai.

  1. Aapke blog ki title search me post title se pahle show hota hai.
  2. Aapke blog ki post title ki jagah par post ka link show hota hai.
  3. Ya fir search me post title ki jagah koi or words show hote hai.
  4. Post ka title first me show hoga to usme aapke main keywords show honge.
  5. Post title pura show hoga to user us par jyada click katenge. Isse aapko jyada beneft milega.

To kyu na is tricks ko try kar liys jaye. Don’t worry in teeno hi problem ka solution aapko is article me mil jayega. Aapko sirf apne blog ki templaye me ja kar thodi si coding editing karni hai.

Google Search Me Blogger Title Se Pahle Post Title Kaise Show Kare – Blogger SEO Guide

Agar aap newbie blogger hai or post title ko blog title se pahle show karna chahate hai to aap ye simple step follow kare.

  1. Sabse pahle aap blogger dashboard par jaye.
  2. Drop down menu par select kar Template par click kare.
  3. Now click on Edit HTML
  4. Ab CTRL+F key button daba kar “<title><data:blog.pagetitle/></title>” code search kare.
  5. Ek bar aapko ye code mil jaye to use delete karke uski jagah par ye code paste kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'>

<title><data:blog.pageName/> | <data:blog.title/></title>

<b:else/> <title><data:blog.pageTitle/></title> </b:if>

6. Finally Save Template par click kare.

Ba ab sabhi setting h ochuki hai. Ab kuch day bad search engine me aapke blog ke title se pahle post ka title show hone lag jayega.

Agar aapko iske bare me koi or sawal puchna ho to aap niche comment me puch sakte ho. Ya fir aapke pas iske alawa koi or trick hai to aap wo bhi comment me share kar sakte ho.

I hope aapko ye post pasand aayegi. Or agar aap blogger user hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi. So plz ise socila media par share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (126)

  1. Kaafi acchi information hai bhai. Har blogger ko yeh trick try kana chahye.

  2. Bhai maine apse domain ke liye kha tha ap muje bta dijiye mai ap tak domain me paise kaise pahuchau koi easy method batana domain ke paise bejhne ka aur agar ap ek do din me kar de to bhut achi bat hogi ni to mai Itna long wait kaise karu

    • Aryan mai aapko 99 rupees ka domain wese hi de dunga. Aap chahao to usse pahle apne kisi firends ko atm card use kar sakte ho.

  3. Bhai maine apni sari kamiya solve kar li hai fir mai chata hu agar apki nazar me site me koi kami ho to pls ek bar meri site pe jake check kar ke bataye pls

    • Aryan aap abhi site par ads mat lagao. Thoda wait karo domain lene ke bad lagana. Mai chahata hu ki aapko koi problem na ho.

  4. hi sir mera adsens account underreview me hai par meni custom adcode me apna pub id or client id dal kar adcode ko blogs me laga diya hai or ads bhi show ho rahi hai par adsens account me paise nahi milrahe hai to kya kare ab

    • Aapne AdSense account kasie banaya hai…..or aap AdSense ka screenshot dikhasakte ho.

      • sir aap ko screen sort keae bheju,??

        • facebook par bhej sakte ho.

  5. Aapne jaise new year pe quotes dale the wo toh aapke dwara likhe nahi gaye honge so agar main bhi kuch shayri daalu apne blog pe to kya wo copyright honge ? Mujhe kaha se quotes dalne chahiye apne blog pe jisse wo copyright na ho

    • Rahul copyrighting hone ke dar se maine sirf 4-5 quotes add kiye the. Aap dusro ka content copy karenge to usme copyrighting hone ka dar to hoga hi. Aap ek kaam karo jis site se shayari copy karo uska link post me add kar diya karo.

  6. Bro kiya Q mobile x5 me blogger ke website ko support karega aur kiya q mobile x5 blogger app ko bi support karega please btaye..

    • Website ko mobile nahi browser support karta hai. Aap chrome browser ka latest version use karo.

  7. Blogger stats aur google analytics match nahi kar rahi bilkul bhi. Mujhe kispe vishwas karna chahiye blogger ya analytics

    • dono sirf idea btate hai. fix report nahi. anlytics ki report par jyada sahi result show hota h

  8. Bhai abhi approve hua hai ya ni iska message kab milega aur mere adsene account me ads code enable hai kya mai un codes ko apne blog me laga lu

    • Aapka AdSense account already approved hai .Bas active hona baki hai. Aap apni site ki kamiya door karo or site par ads lagao. AdSense fully approved ho jayega.

  9. Jumedeen Khan ji mere google search rank to incrise hoti magar alexa rank kyu nahi incrise hoti hai. kya problem ho sakati hai

    • Aapki site par traffic badhega to alexa rank bhi show hone lag jayegi.

  10. Hello Sir
    Mujhe ye confirm karna hai ki

    Mera naam ye hai

    Shchool marks sheet par – Akash
    Bank account me – Akash

    Aadhar card me – Aakash
    Pan card me – Aakash

    Sir marks sheet aur bank wale me single ‘A’ hai
    Aadhar card aur Pan card me Double ‘Aa’ hai

    To AdSense account kis naam se banaun
    Single A se ya double Aa se

    Adsense account me pan card aur bank account dono lagega
    Bank me single A h
    Pan card me double Aa h

    New blogger hu

    Upar dekh sakte ho

    To sir ab aap batao AdSense kis naam se banaun
    Jisse ki koi dikkat na ho

    • Aap double aa wala aakash name use karo.

      • Aur ho sake toh naya Bank Account Double AA wale se khulwa lo…. Kyonki Bank Account aur Address Proof same hona chahiye. Vaise toh Adsense mein Address Proof ki jaroorat tab padti hain, Jab aapka PIN number aapke address par 3 baar mein mail/ courier ke jariye nahi pahuch pata hain. Phir uske baad aapko aapke ID proof se apne AdSense account ko verify karwana padta hain. Ho sake toh Aakash naam ka naya Bank account khulwa lo ya phir usi account mein Name Correction karwa lo. Kyonki tumahre Aadhar Card aur Pan card mein Name Same hain, Isi naam ka Bank account bhi khulwa lo.

  11. sir can you plz tell me app konsi theme use kr rhai agr premium use kr rhe hai to kya app uska link de skte hai sir mere pas itne paise nhi hai ki mai premium theme le sku agr ye premium theme hai to kya app mujhe ye de skte hai

    • Ye free theme hai mythemeshop ribbon

  12. Bhai mujhe aap ki website sabse aachi lagi.Bhai me daily aapke post padta hu.bahi mari aap se ek request hai ki aap ek post image bannane ke bare me likhe.jase ke aap ne is post me image dale hai .ya fir aap ek video banake apne YouTube channal par uplod karde.

    • Tnx shubham, maine iske bare me post ki hai. Aa search box me photo editer likh kar seaech karo.

      • Bhai search box me photo Editor dalne se kuch nahi aa raha hai Bhai aap uska link send kar dena aur Bhai aap abhi bhi photo kis se banate ho

        • Mai photoshp se photo create karta hu.

    • Bhai search box me photo Editor dalne se kuch nahi aa raha hai Bhai aap uska link send kar dena aur Bhai aap abhi bhi photo kis se banate ho

  13. mene aapki adsfy ki post padi kya ise join karne ka koi charge h ya nhi ya is me koi hidden charge to nahi

    • Nahi ye free hai.

  14. Bhai ji maine kal adsene apply kiye fir ek ye mail aya ” Hello,
    Your contact information associated with Google AdSense was changed on 15-May-2016.
    For your security, please contact us if you didn’t make this change.
    To review your contact information:
    Sign in to your AdSense account.
    Click the gear icon in the top-right corner of any tab, then, from the drop-down list, select “Payments”.
    Google AdSense” :

    Uske bad jab gogglesAdSense account kholte to uske andar ye notification pada hai

    ‘ you have just changed your timezone and may notice discrepancies in estimate earning on the homepage your payment will not be impacted’

    Ab bhai ap batao humara adsene account approve ho gya ki ni aur ab iske aage kya karna hai

    • Aapne time setting ki hai bas uska message hai.

  15. Wah bahut helpfull post hai dear jaisa aap ne kaha tha ab waise hi kafi koshish ki hai likhne samajhne me but jitna shaer karta hun itna hi traffec milta hai matlab 1 post ko 2 se 3 hr.me tyaar karte hai sab kuchh dekhkar magar fir bhi wever to wabi 100-180 tak hi milta hai aur 1 problum yeh bhi ki jab page ko whatsaap me shaer karta hun to image show nahi hoti hai ut whay ummed hai ki aap ne meri baat ko samjhliya hai thanks
    1 baar chack karke dekhlen aapka waqt qimti hai but aapka help karna hi aapki kamyabi ka raaz hai
    good night

    • Thanks bro, Shahadat whatsapp sharing ke bare me mujhe jyada nahi pata hai. i am sorry.

      • Ab dekhen 1 baar kya kuchh sudhaar aaya hai ki nahi ab jo kami ho woh bataen thanks

        • Mujhe aapke blog ki post me whatsapp share ka koi button nahi dikh rah hai.

    • Bro Aap Post mein Featured image jrur Select karo. Kyoki Jab aap Whatsapp par share karte ho toh vha aapki Featured images show hoti hai.
      or agar aap whatsapp sharing ka option apne computer mein attach karna chahte ho toh aap AddToAny plugin ka use kar sakte ho.

      • Thanks brodher but 5 social buton lage huwe hai ab whatsapp ka baton kaise lagaun simpel tariqa ho to bataen

        • Whatsapp ne khud ka koi share button nahi diya hai. Jo bhi hai third party ke hai use mat karo.

  16. Jume Deen Ji maine google webmaster me apna blog add kiya aur sitemap bhi submit kiya lekin google search me mera blog show ho raha aisa kyun.?
    Mera blog hai

    • Ab kuch day wait karo aapka blog show hone lag jayega.

  17. Bohot accha post hai sir bohot kam ayega. Thanks for sharing such helpful seo tips.

  18. bahut atcha jnkari hai ye mai ye puchna chahta hu ki mera blog blogger par hai aur jub mai koi post dalta hu to mera post tital me blog ka tital bhi add ho jata hai maan ligiye mai ye tital use karta hu blog kaise bnaye to mera google me wo aise show hota hai blog kaise bnaye newefuture internet ki puri jankari hindi me aisa kyo isko tital se remove kaise karte hai

    • Ise remove mat karo ye seo ke liye badiya hai. Sabhi ise use karte hai.

  19. sir mai ek bhut badi problem face kar rha hun,,,mera blog WordPress pe hai aur mai yoast seo plugin use karta hun,,,jab mai koi post ko facebook ya koi v social sites pe share karta hun to share nahi hota jaise url paste karta hun koi post ka but usme na to meta discription show karta hai aur na hi post ka title aur picture, only blog ka link show karta hai post ka nahi,,,kya kare ,,,jabki kuchh time pahle tak show karta tha ek do post me show kia tha but ab nahi kar raha hai,,maine iska solution net search kia but nahi mila,,uske bad plugin ka reset karke firse setting kia but same problem hai,,,kuchh bataye kya kare iske vajah se bhut prblm ho raha hai,

    • Zishan ye aapki nahi facebook ki problem hai. Aap bas yoast plugin ko sahi se use karo. Ye problem facebook hi solve karega.

    • Bro aap Yoast plugin ke setting sahi select karo. Agar aap yoast ki sahi setting use kar rahe ho toh mein guarantee de sakta hu aapko aisi koi problem nahi aayegi

  20. 1…isse fayda kya hoga, Aise bhi pahele post title show hota hai, uske bad blog title,
    link– link me bhi to aise hota xyz.com/post-title isme mujhe concussion hai, Aapke kehne ka matlab kya tha, kuchh screenshot add karte to sayad achhe se samajh pata

    • Ravi ye guide blogger new user ke loye hai. Aapki post title pahle show hoti ha it oaapko isk ijarurat nahi hai. Kuch template me coding problem ki wajah se blog post title ki jagah link show hota hai. Post link ke bare me koi bat nahi kar raha.