Aapne bahut si websites, blogs and news sites ko google search me top me dekha hoga. Kya aap bhi apne content ko google search engine me top position me lana chahate hai? Website owner google search me top me aane ke liye bahut se tarike apnate hai but unme se kuch hi log kamyab ho pate hai. Actually google algorithms process ke anusar pages ko search me top ranking par lata hai. Yaha main aapko iske bare me kuch important information btane ja raha hu.
Google ne hal hi me apne algorithms me kuch badlav kiye hai. Ab google unhi news, website or blogs ko top me show karta hai jinhe sabse jyada padha, search and share kiya jata hai. Yani aapki post ko jitne jyada reader read karte hai uski ranking utni hi better hogi.
Agar user aapke content me interest nahi hai to google us page ko 2 ya 3 position par show karega. Google SEO time to time change hota rahta hai so ye fix nahi hai ki aap ek hi trick se humesha content ko top me la sakte hai. Iske liye aapko up to date rahna hoga or google update ke bad new tarike apnane honge.
Table of Contents
Google Search Me Top Par Aane Ka Aasan Tarika
Apne content ko google me top me lane ke liye sabse pahle aapka ye janna jaruri hai ki Google Kaam Kaise Karta Hai. Agar aapko is sawal ka jawab pata hai to aapko google me top me aane me aasani hogi.
1. Click
Main already bta chuka hu ki google unhi contents ko top me rakhta hai jinko sabse jyada padha or search kiya jata hai. Bilkul wese hi aapki website par visitors jis content par sabse jyada clicks karte hai google use top me rakhnta hai.
Iske alawa aapke content ko jitna jyada share kiya jayega, Aapka content jitna viral hoga uski rank utni hi increase hogi. Isse bhi content ki search rank tay ki jati hai.
2. Bounce Rate
Google algorithm ke according aapke content ki bounce rate ka bhi search rank me ahem role hota hai. Google ye bhi dekhta hai ki aapke content me visitor kitne interested hai or kitne time tak content ko read karte hai.
Bounce Rate High hone ka matlab hai aapke reader aapke content ko fully read nahi karte, pasand nahi karte, Matlab saaf hai aapka content ya to padhne yogya nahi hai ya fir aap galat info share karte hai.
3. Average Time
Users aapke content ko kitne time tak read karte hai ya fir aapke content page par kitne time tak ruke rahte hai ye google search ranking me mayne rakhta hai. Aapke content ko user jitne jyada time tak read karega google use utni hi jyada rank dega.
Agar user aapke content ko bahut kam time tak open karte hai to google us content ki ranking kam kar dega. Isi wajah se kai bar humare content ke top me show hone ke bad automatically uski search rank position down ho jati hai.
4. Traffic Source
Google algorithm ke anusar user kis source ke madhyam se aapke content tak pahuchta hai ye bhi SEO mer mayne rakhta hai. Example, user aapke content par social media, other sites, google search ya direct visit kar sakta hai.
Aapki site par jitna jyada source traffic hoga aapke content ki search rank utni hi better hogi or agar aapke pas source traffic kam hai to good content hone ke bavjood aapki search rank kam ho sakti hai.
5. Content Quality
Google search me top par aane ka ye first point hona chahiye tha but main iske bare me aakhiri me bta raha hu. Aap jitna achha, new, unique, important, quality content write and publish karoge google aapke content ko utni hi achhi rank dega.
Simple words me google us site ko baki sites ki tulna me jyada twajo dega jisko audience jyada pasand karte hai. So aapke liye SEO se jyada users imporant hone chahiye. Aapki site ko pasand karne walo ki sankhya jitni jyada hogi utni hi jyada aapki site ki search rank hogi.
Conclusion
Google search me top par aana aasan nahi hai but google me top me aana mushkil bhi nahi hai. Agar aap unique or SEO optimization ke sath content publish karte ho to aapko google me top rank milegi.
In my experience, I think hum jitna unique or fresh content share karenge google humari site ko utni hi better rank dega. Ye main ek bar nahi kai bar dekh chuka hu.
So main aapse yahi kahunga ki bekar ki SEO terms follow karne se better hai aap upar btaye points ko follow kare or apne content ko jyada se jyada share and promote karne ki koshish kare taki sue jyada e jyada log padhe or aapka content google search me top par aa sake.
- Google Search Engine Se Traffic Na Milne Ke 5 Big Reasons
- Search Engine Me Site Ki Top Ranking Banaye Rakhne Ki 100 Tips
Is post ko social media par other blogger and website owners ke sath share jarur kare.
sameer shinde
Hello sir
1. Blog par har roj search engine se 100 to 150 visitors ata tha. but 1 month se blog par search engine se 3 se 10 visitor aa raha hai.
2. blog par post publish karne ke bad webmaster me submit karta hu fir bhi post ko search engine me ane me 2 se 3 din lage hai.
3. Blog par regularly posting nahi karta tha tab bhi traffic regularly milata tha but
abhi posting karta hu to achanak se traffic kam ho gaya.
aisa kyu hota hai. pls help me
Jumedeen khan
Ab google content ki quality par jyada focus karta hai aap achha content likho rank akega aur har post ko search console me fetch karne ki jarurat nahi hai google apne aap kar leta hai.
Veerendra
Bhai agar kisi ko apne blog ke liye hindi writer hire karna hai to kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Social media par bolo bahut mil jayenge.
himanshu
Hello Sir,
Kaphi achhi post hai,Phir apse Kuchh nya silhne ko mila,Sir apse mai ek quastion puchna chahta hu! or asha hai ki ap mujhe is quastion ka answer bahut hi achhi tarah se denge.
Q: Sir kya mai News Site bana skta hu? Par kaise ?
Jaise Dailyhunt etc.
Please ans sir
Thank You.
Himanshu
Jumedeen Khan
Yes bana sakte ho ek aap coding se ya kisi developer se banwao. Second aap wordpress, blogger ya kisi or blogging platform par blog banao.
HIMANSHU RAJ
सर मैंने DailyHunt App में देखा है कि जितनी भी न्यूज़ होती है वो NEWS दूसरी साइट की होती है क्या मैं अपने ब्लॉग पर दूसरे साइट्स के यूस को कैसे लगा सकता हूं ? क्या यह संभव है ? और मुझे यह बताएं कि मुझे डेवलपर्स कैसे मिलेंगे ?
सर आशा है कि आप मुझे इन सवालो का जवाब बहुत अच्छी अच्छी तरह से समझा कर बताएंगे.
Thank You
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho but aapki site par adsense or google me use top rank nahi milegi. Developers ke liye aap kisi developer site par visit kare.
besthelpworld.com
Sir hame post me kitne word jarur likhne chahiye
Jumedeen Khan
No limit but jitni jarurat ho utne likho.
sanjay verma
bhut achi jankari bhai
Jumedeen Khan
Nahi. kuch traffic badhne ke bad try karna.
Pravin Kumar
Sir hamari site ki traffic source achchi banane ke liye kya Karna hai please batayiye
Jumedeen Khan
Social media par online raho or apni social friend list ko increase karo.
Monu khan
Sir post ko publish karne ke baad Kya ktna chahiye ki vo google me sabse upar aaye
Jumedeen Khan
No limit but jitna jyada share karoge or jitne jyada log use read karenge utni jyada rank better hogi.
shubhamsingh
jume bhaiya mera blog jis email par hai uska adsense terminate ho gaya hai kya main dusre account se apply kar sakta hu.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho aap blog ki email bhi change kar sakte ho.
Raj Dixit
Sir, aapne bahut hi simple bhasha me ye important information share ki. Eska fayda uthakar jaroor Google search me top pe aaya ja sakta hai. Please ye bhi bataye ki competition & search volume ko kaise analyse kare. Thanks
Jumedeen Khan
Semrush use karo.
pradeep tripathi
Bahut hi badhiya jankari apne share ki hai. Thanks for sharing.
Rupendra kumar
nice bhai ek baat batao kya ham blogger par rahkar adsense se achha paisa kama sakte hai me sirf ads se paisa kamana chata hu kyonki mujhe wordpress par bahut jhanjhat lagti hai.
Jumedeen Khan
Yes kama sakte ho.
Krishna
Bhai pahle se rank kar website ko piche kaise karu
Jumedeen Khan
Usse behtar work karo.
mohit
Bro mera adsense account 1 sal pahle aprov hua tha.lekin jis website me hua tha wo expire ho gya hai.ab mera dusra website chalta hai.to kya iss naya website me ads laga sakta hu kyuki ads show nahi ho rhe hai.
Jumedeen Khan
Yes aap adsense me new website ka URL add karke ad laga sakte ho.
mohit
Lekin ads show nhi ho rha..maine 1 week pahle apna website bhi verify kar liya hai.Now what i do.
Jumedeen Khan
Adsense forum me report karo.
Raghuveer Charan
Awesome article sir mere article top me nhi aa rahe he
Jumedeen Khan
in points ko follow karo.
Ashish
Aapke articles hamesha helpful hote hain. thank you bhai for sharing
Sonjoy Lama
Bahut Badiya article hai sir …is post se mujhe bahut kuch janne ko mila …. aise hi regular post dalte rahiye…..
Afzalahmed
Bhai meri english news blog h to us ka backlink kese bana ya jaye
Comment bhut aate h or us ki trafic
2nd me h koi tips dedo
Comment kr kr backlink hi kafi h
Or comment me content ka link dal na chahiye ya fir blog ka link please
Btaiye
Thank you.
Jumedeen Khan
Aap spam comment plugin like akismet use karo. Ye post check karo Dusre Blog Par Comment Kar Ke Backlink Kaise Badhaye
Afzalahmed
Bhai aap ki pehle ki post hindi me h ab aap hinglish e likha rahe ho meri ek blog h jo me hindi me likha raha hun ki us ko hinglish me start kr dun…
Jumedeen Khan
As your wish, aapko jo better lage wo karo dono same hi hai.
Abdul Razique
Aap event blogging ke bare me jante h to please share kijiye full method
Jumedeen Khan
Event Blogging Kya Hai – Event Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me
Rajkumar meena
Bahut hi badiya sir helpful article share kiye ho