Google humesha se chahata hai ki wo apne visitors ko kam time me jyada se jyada or behtar jankari provide kare. Google ye bhi jyada hai ki mostly people mobile me internet ka istemal karte hai. Isiliye google apne google search me kuch changes kiye hai. Google ne mobile search apps me google search new shortcuts add kiye hai. Jinki help se aap kam time me sahi jankari search kar sakte ho wo bhi sirf ek click se.
Google ke apne blog me google search apps me kuch shortcutes ko add kiya gaya hai. Isme main un shortcuts ko add kiya gaya hai jinki hume sabse jyada jarurat hoti hai. Isme humare instest ke according results show honge yani aapko jo pasand hai aapko usi ka result milega.
Isme Nearby, Lifestyle, Tools, Fun, Weather, Travel and My Stuff jaise important features ki categories ko shamil kiya gaya hai. Sabse achhi bat ye hai ki iske liye aapko kuch karne ki jarurat nahi hai. Aapko apne android smartphone me sirf google apps open karna hai or jaruri shortcus ka option aapke samne hoga.
Mobile Me Google Search New Shortcuts Se Searching Kaise Kare
Jaise hi aap more option icon par click karoge sabhi jaruri shortcuts ki list aapke samne hogi. Is tarah aap bina koi searching kiye google se apne liye jaruri information pata kar sakte ho. Ye service abhi android device ke liye available hai. Aane wale time me ye baki mobiles and desktop par bhi kaam karegi.
Is new update ko details se samajhne ke liye aapko niche diya video dekh lena chahiye. Is video me ko google blog me share kiya gaya hai or isme google search shortcuts ke bare me dikhaya gaya hai. Aap ek bar ye video dekh le uske bad aapko sabkuch samajh aa jayega.
Jab aap google search box ko open karoge to usme 8-10 latest, popular ya suggestion results show honge. Aap jaise hi pages ko scroll karoge to google search new shortcuts ka option show hoga. Usme right side me more option arrow par click kar apa all features ko open kar sakte ho.
- Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap
- Google Ke Bare Me 10 Interesting Facts, Amazing Information Hindi Me
Google new shortcuts ko user interest ke anusar group ke roop me show karega jaise aapko eat and food me kya kya pasand hai. Google aapke mobile me usi hisab se and location data capacities ke anusar results show karega.
Agar aapko ye news pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Mohd Amir
its a great article thank you for sharing…
Abhinav Ranjan Jha
Really awesome
Reetesh chandrawanshi
Bohot hi badhiya bhai
Really me har bar kuchh new milta h apki site me
Septa Deep
हर बार support me india से हमें नई और useful information मिलती है Thanks Brother.
Shahid Afridee
Jdk bhai mera pc par chrome browser bahut hi slow kaam karta hai lekin firefox use karta hu to achhi speed deti hai aisa kyu aur chrome browser ko firefox ki tarah speed kaise bana sakte hai.
Jumedeen Khan
Chrome browser ko update karo or latest version use karo.