Top 10+ Google Search Quality Guidelines 2024 in Hindi

Google search engine me apni site ko top me lane ke liye hum bahut saari SEO tips and tricks ko follow karte hai lekin google ki webmaster guideline follow karna bhool jate hai. Jabki google search me site ko high rank dilane ke liye google search quality guidelines follow karna jaruri hai. Is post me main aapko 10+ google new search quality guideline 2024 ke bare me btaunga jisse aap apni website or blog ko google search result me top ranking dila sakte ho. Google search quality guideline in hindi.

Google Search Quality Guidelines

Google apni google search quality guidelines ko time to time change karta rahta hai. Yaha main aapko sirf wohi SEO tips and tricks btaunga jo google apne blog par officially publish kar chuka hai. Yani yaha par btayi gayi seo tips 100% working hai.

Google Search Quality Guidelines 2024 150+ pages ki book hai, jise read karna har ek blogger or webmaster ke liye jaruri hai taki wo apni site ko google search me top position par rank kara sake. SEO tips and tricks in hindi.

12 Google Search Quality Guidelines 2024 (Complete Guide in Hindi)

Agar hume apni site articles ko google me top rank karana hai to sabse pahle google webmaster guideline follow karni chahiye, agar hum google ke rules ko hi follow nahi karenge to kitni bhi SEO trick aajma le google humari site ko top rank nahi dene wala.

Isiliye jaruri hai ki aap google search quality guidelines ko carefully read kare aur sahi se samajh le. Yaha par share ki gayi hindi guideline aapki help karegi.

1. Automatically generated content

Automatically generated or auto-generated  content wo content hota hai jo programmatically generate kiya jata hai. Aese content ka target user ki help karne ki bajaye google search ranking me herfer kar site ko top rank karana hota hai.

Isme nimn content shamil hai.

  • Text content jo reader ko samajh nahi aata hai lekin usme search rank keywords hote hai.
  • Without human review ke translate tool ya automated tool se translate kiya gaya content.
  • Markov chains jaise autmated process se generated content.
  • Automated synonymizing or obfuscation techniques ka use kar generated content.
  • Atom/RSS feed or search results ko scrap kar generated content.
  • Sufficient value add kiye bina different pages se liya gaya combining content.

Google aese content ko bilkul pasand nahi karta hai aur aesa content share karne wali site ko penalty de sakta hai ya fir use google search se completely remove kar sakta hai.

2. Sneaky Redirects

Redirecting visitor ko different URL par send karne ka act hai. Ek URL ko dusre URL par redirect karne ke kai good reasons hote hai, jaise ki aapki site ko new address par move karna, kisi page ka url change karne par new url par redirect karna.

Lekin kuch redirect google search engine ko dhoka dete hai aur googlebot or human ko different content display karte hai. Search engine ko kuch aur content dikhaya jata hai aur reader ko kisi aur page par redirect kar diya jata hai.

Ye clearly google webmaster guidelines ke against hai. Ye galat hai aur user jaha kahi jane ki ummid karta hai use usse alag page par le jaya jata hai.

Sneaky redirection ke kuch example,

  • Search engine ko good content dikha kar reader ko kuch alag tarike se redirect kiya jata hai.
  • Desktop user ko ek simple page milta hai lekin mobile user ko ek spam domain or page par redirect kar diya jata hai.

Sneaky redirection ke liye javascript ka istemal kiya jata hai. Google aesi kisi bhi site ko google search se remove kar deta hai aur aesa karna bilkul galat hai.

3. Link Schemes

Pagerank me manipulation karne ya google search result me site ranking increase karne ke liye ki gayi linking ko link scheme ka part mana jata hai aur aesa karna google webmaster guidelines ke against hai. Isme exchanging bhi shamil hai.

Link schemes ke kuch example hai jo search results me site ranking ko negatively impact karte hai.

  • PageRank pass karne wale links buy and sell karna. Isme link ya post wale link ke liye money exchanging ki jati hai.
  • Bahut jyada link exchange. (Mujhse link kare or main aapse link karunga) or corss-linking ke liye partner page banana.
  • Bahut jyada keyword-rich anchor text links ke sath guest posting or article marketing karna.
  • Apni site ke liye backlink banane ke liye automated programs or services ka istemal karna.

Is type se banaye gaye unnatural links google policy ka violation karte hai aur iski wajah se google aapki site ko penalize bhi kar sakta hai.

Agar aap aesi site dekhte hai jo paid links ka istemal kar google ko dhoka deti hai to aap uske bare me google ko report kar sakte hai.

4. Cloaking

Cloaking human users or search engines ko different content or URL display karne ki practice ko kahte hai. Cloaking ko google webmaster guideline ke against mana jata hai, kyuki isme user ko unki apeksha se alag content dikhaya jata hai.

Cloaking ke kuch example nimn hai.

  • User ko ek image or flash dikhate time search engine ke liye HTMP text page serve karna.
  • Text or keyword ko kisi page me only tabhi insert karna jab user-agent search engine me page ke liye request karta hai.

Ye problem tab hoti hai, jab koi site hack ho jati hai aur hacker us site ke pages ko kisi another domain par redirect kar dete hai ya fir site owner janbujh kar link cloaking karta hai.

5. Hidden Text and Links

Google ki search ranking me manipulation karne ke liye aapke content me hidden text or links ko misleading mana jata hai or ye google webmaster guidelines ka violation hai.

Isme nimn content shamil hai.

  • White background me white text or link add karna
  • Image me link add karna
  • text ko off-screen karne ke liye CSS ka istemal karna
  • Font size 0 par set karna
  • Ek small text or character me link add karna

Halanki, sabhi hidden text or links ko misleading nahi mana jata hai. For example, aap site me link add karne ke liye javascript ka istemal karte ho to use misleading nahi mana jayega.

Apni site me clear aur aasani se samajh aane wale links aur anchor text ka istemal kare, hidden text or links add karne se bache.

6. Doorway Pages

Doorway wo site or page hai jo specific queries ke liye highly rank ke liye banaye jate hai. Ye reader ke liye bekar hai kyuki unhe sirf search engine me top rank pane ke liye create kiya jata hai.

Doorway page or site users ko useful and helpful content provide karne ki jagah sirf search engine me specific query se high rank pane ke liye banaye jate hai.

Isme nimn content shamil hai.

  • Specific religion or cities ko target kar multiple domains ko kisi ek page par funnel karna.
  • Audience ko aapki site ke original content ki jagah kisi dusre page par funnel karna.

Aese content ke bare me jaise hi google ko pata chalta hai wo uski search rank down ya fir use google search results se remove kar deta hai.

7. Scraped Content

Kuch webmaster other sites se thoda content le kar use apni site par publish kar dete hai, use hi scraped content kahte hai. Unki soch hoti hai ki jab unki site par bahut sare articles honge to unhe google se achha traffic mil jayega.

Ye log different site se thoda thoda original content scrap kar apni site par publish karte hai jo ki google webmaster guideline ke according copyright content mana jata hai.

Scraped content ke kuch example nimn hai,

  • Another site ke original content ko without source or value ke republish karna.
  • Kisi aur site ke content ko copy paste karna, ya use modify kar republish karna.
  • Kisi site ka source link add kiye bina uske content ko short me republish karna.

Google aesi scraped content wali site ko kabhi bhi top rank nahi deta hai, jo blogger ya site owner aesa karte hai wo aesa karke sirf apna time west kar rahe hai.

8. Affiliate Programs

Affiliate program blog site se earning karne ke top earning source hai. Jisme hum kisi product ko promote, review karke commission earn karte hai.

Lekin apni site par affiliate program ko promote karne kel iye bhi aapko google guideline follow karni padegi, otherwise aapki site ki search rank decrease ho jayegi.

Aap keval trusted product ko hi promote kare jo aapki site ke readers ke liye useful ho, kisi bekar ke product ko promote na kare jisse aapke readers ka nuksan ho.

  • Khud se puche ki aap jo product promote kar rahe hai, kya wo wakai me aapke readers ke liye useful and helpful hai.
  • Confirm kar le ki aap jo product promotion kar rahe hai, usse aapki site ki image par koi bad impact nahi padega.
  • Apne users ke bich group or good relation banane ke liye unhe thode se commission ke liye bad product suggest na kare.

Agar aap ek better aur unique product ka review karte ho google search me aapki site ke articles ki search ranking better hogi, uske ulta bad product ko promote karne par google aapki site ki rank down kar dega.

9. Irrelevant Keywords

“Keyword stuffing” ke bare me to aapne suna hi hoga. Google search me site ranking me herfer karne ke liye page me unwanted keywords ya bahut jyada keywords ka istemal karna, keyword stuffing kahlata hai.

Aksar ye keyword kisi list ya group me dikhayi dete hai. Webmaster 300-500 words ki post likh kar uske last me 50-100 keywords add kar dete hai taki google me un keywords se unki post search me aa sake.

Keyword stuffing ke kuch examples,

  • Without enough content ke bahut saare keywords add karna
  • Unwanted keywords add kar page ko google me rank karane ki koshish karna
  • Same words or keywords ko bar bar repat kar long content likhna.

Aesa karna galat hai aur ye google search me aapki site ki ranking decrease hone ka karan ban sakta hai. Unique or useful content likhne ki koshish kare aur sirf jaruri keywords ka hi istemal kare.

10. Creating Page with Malicious Behavior

Website par software generated content distribute karna jo user ke liye useful nahi hota hai, ye google webmaster guideline ka violation hai.

Google na keval apne users ko unke question ke sahi answer dena chahata hai balki unhe web par secure rakhna bhi chahata hai.

  • Kisi page par content ki location change karna, taki jab koi user us link par click kare to wo original page ki jagah kisi malicious page par pahuch jaye.
  • Pages par new ads aur pop-ups inject karna ya different advertisement ke sath page par ads ko swap karna.
  • User dwara request ki gayi download file me unwanted file include karna.
  • Kisi user ke computer device par malware, trojans, spyware, ads or virus install karna.
  • User ki permission ke bina uske browser aur device se chedchad karna.

Aese kisi bhi ads or content ko share karne wali site ko google bahut jald block kar deta hai. So kisi bhi ad network ko apni site par apply karne se pahle uska achhe se review kar le.

11. User-generated Spam

Google webmaster guideline ko follow karne wale blogger or site owner dwara create content ko importance deta hai, webmaster guideline ka violation karne wale spam content ko nahi.

Spamming kai tarah ki hoti hai usme se ek hai user-generated spam, ye user dwara janbujh kar ki gayi spamming hoti hai. Jo nimn tariko se ki jati hai.

  • Free hosting par account bana kar spam content publish karna
  • Forum aur website, blogs poar spam guest posting karna
  • Website or blogs par spam comment karna

Spammy user-generated content google search results ko pollute karit hai. Isiliye google ne according aapko is spamming ko apni site se nikalna hoga.

12. Report Spam, Paid links or Malware

Agar aap google search ka istemal karte hai aur aapko koi spam, paid links or malware result milta hai to aap google ko uski report kar sakte hai.

Agar aapko lagta hai ki koi site ya page malware or malicious infected hai, spam or paid links use karta hai to aap upar diye links se uski google ko report kar sakte hai.

Conclusion

Yaha par maine aapko jo bhi SEO guideline tips btayi hai wo sabih google ki officially guideline hai. Ek website owner or blogger ko in sabhi guidelines ko achhe se samajh lena chahiye taki use apni site ko google me rank karane me problem na ho.

Ye sabhi negative points hai aur aksar newbie blogger ya kuch blogger janbujh kar ye mistakes karte hai taki unki site google me top position me aa sake lekin ek baat confirm hai aap kabhi bhi google search quality guideline ka violation kar google me top rank nahi pa sakte.

Ye bhi padhe,

Ye sabhi google SEO tips in hindi guideline follow karke aap apne blog ko ek behtar search rank dila sakte ho. Adhik jankari ke liye humare SEO category wale articles read karte rahe.

Agar aapko ye article achha lage to apna 1 minute ka time nikal kar ise other webmasters or blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (12)

  1. Avatar for AfreenAfreen

    Aaj ek aur nayi jankari mujhe mili Google search guideline ke bare really thank you so much for this

  2. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Bahut acchi article likhi hai, thanks for share it.

  3. Avatar for Anoop BhattAnoop Bhatt

    Helpfull जानकारी Share करने के लिए आपका धन्यबाद

  4. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    Thank for this amazing info sir ji.Is post ko acchhe se read karne ke bad google search quality ke bare me acchhe se janakari hua hai.

  5. Avatar for nandkishornandkishor

    Good article. thank you. Its very helpful for new bloggers. thank you.

  6. Avatar for RishabhRishabh

    Sir maine sabhi guideline ko follow kiya hai pr search engine me mera post nhi show hota hai please help me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye enough nahi hai aur bhi SEO guideline hai jo aapko follow karni chahiye, read our SEO articles.

  7. Avatar for Nitin KumarNitin Kumar

    Bhai aap apne content me kon sa table of content use karte hai, uss plugin ka link kya hai

  8. Avatar for Neha vermaNeha verma

    Very very useful article.. thanks again !!

  9. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Post ke Sabhi Sentence Useful Hai…. Aur Iss Post Bahut Naye Word aur Uske Bare Me Janne Ko Mila…. Suru Se Hi Kahta Hu Aap Blogging Par Hi Likho Kafi Gazab Lagta hai…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thanks and your most welcome on SMI.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...