Bahut time bad aaj main SEO par researching post likh raha hu. Jisme aapko Google Search Traffic Kam Hone Ki Wajah? ke bare me explain karke btaunga. Is post ko padhne ke bad aap clearly samajh sakte ho ki 2024 mein aapki site ka traffic kam kyu hua hai aur ab aap ise kaise recover kar sakte hai. Search Traffic Decrease Reasons.
Ek time tha jab keywords SEO optimization aur google ranking ka main part the aur koi bhi aasani se keywords ka istemal kar apne content ko google me top rank kara leta tha lekin ab aesa nahi hai. Ab achhe achhe SEO expert ko google se traffic nahi mil raha hai.
Aapne dekha hoga bahut se bloggers ka search traffic decrease ho gaya hai. Isme kuch log to aese hai jinka traffic 50% se 70% tak down hua hai. Ye problem sirf hindi bloggers ko hi nahi hai balki sabko hai. Har us blogger ke blog ka traffic kam hua hai jo keywords ka istemal karta hai.
Isiliye main aaj ye post likh raha hu jisme aapko blog traffic down hone aur 2024 me google ranking increease karne dono ka pata chal jayega. Yani ek hi post s aapko 2 sawalo ka jab milega.
- Google Search Traffic Decrease Hone Ki Wajah
- Google Search Rank Increase Karne Ka Tarika 2024
2024 me bahut se bloggers ka traffic kam hua hai wo iske reason ke sath iska solution janna chahata hai jiska jawab is post me mil jayega.
Table of Contents
Google Search Traffic Down Hone Ki Wajah 2024
Agar aapki site ka bhi search traffic kam hua hai aur ab aap use fir se recover karna chahate hai to is post ko carefully read kare taki aapko sabkuch sahi se samajh aa sake aur kisi bhi tarah ki confusing na ho.
Pahle content ko top rank karana bahut hi aasan tha bas google keyword planner tool ya koi aur keyword researching tool ka istemal kar content optimize karo aur post google me no.1 position par aa jati thi.
Lekin ab aesa bilkul nahi hai balki best optimization ke bad bhi google se achha traffic nahi mil pa raha hai. Jaha har roj bloggers ka traffic increase hota tha wahi day by day down ho raha hai.
Very simple, iski wajah se google algorithm updates. I know lekin sabse bada sawal ye hai ki aakhir google ne aesa kya update kiya hai jo mera traffic kam ho raha hai. Isi sawal ka jawab har wo blogger janna chahata hai jiska traffic pichle kuch time me down hua hai.
Chaliye main aapko iske bare me thoda explain karke btata hu. I hop ki aapko meri bat sahi se samajh aa jayegi.
Google ne search engine algorithms me kai update kiye hai lekin kisi ke bare me bhi publicly nahi btaya hai. Unme se 4 ranking factor hai jinme bada badalav hua hai.
- Personalization
- Device
- Location
- Keywords
In 4 search ranking factors me hi aapko jawab mil jayega ki aapki site ka traffic kam kyu ho raha hai aur ab aapko google se jyada traffic pane ke liye kya karna chahiye. Main dono ko ek sath explain kar raha hu.
1. Personalization
Kuch time pahle, google apni social site google+ ko search result me top rank deta tha. Aesa usne isiliye kiya tha taki wo facebook jaisi social site ko takkar de sake. Us time agar aap apni post ko google+ par share karte the wo google search me top rank par hoti thi. Lekin google+ fail ho chuka hai aur google ne apne algorithms ko change kar liya hai.
Ab google apni video site YouTube ko search engine me top par show karta hai. Iske liye wo kahta hai ki “User jo search kaega hume use top me show karenge” lekin aesa nahi hai google un keywords par bhi youtube videos show karta hai jin par videos ki jarurat nahi hai.
In 2 bato se saaf pata chalta hai ki google nijikaran karta hai lekin hum is bat ko nahi manenge aur kisi dusre matter par bat karenge.
Google pahle user ki “search history” ke according search results display karta tha. For example, aap google me “website search rank increase kaise kare” query search karte ho aur kisi “xyz” website par visit karke article read karte ho. Google aapki is activity ko trace kar leta hai.
Ab jab bhi aap google me koi keyword search karoge to google top position me xyz website ke pages (agar us site par aapke dwara search kiye gaye keyword se related content hai to) ko hi show karega uske bad dusri sites ko ran kdega.
Iska matlab kisi user ko aapki site ke bare me pata chalta hai aur wo aapke 1-2 articles read kar leta hai to google next time use aapki hi site dikhayega aur aapki site par google search traffic jayda hoga.
Ye formula google ne kai saalo tak use kiya hai lekin ab google ne ye formula badal diya hai aur ab aesa bilkul nahi hota. Google ab user history ke according search ranking nahi deta.
Ab jab bhi user google me search karta hai to use next time new websites ke links milte hai. Yani google ab random results ko jyada focus kar raha hai.
Main aapko bta du ki aapki site ke followers bhi aapki site par google search karke visit karte hai aur bahut kam log direct site open karte hai. So isse (jo log google search karke aapki site par visit karte hai) traffic me thoda loss hoga.
2. Device
Ek time tha jab google device par itna care nahi karta tha lekin pichle kuch time se google device par sabse jayda focus kar raha hai. Google ab desktop ki tulna me mobile users ko jyada focus kar raha hai kyuki wo janta hai ki world me dekstop ki tulna me mobile user jyada hai.
Smartphone aaj itne smart ho gaye hai ki us par aap computer se hone wala kaam bhi aasani se kar sakte hai. Agar hum mobile ko “mini computer” kahe to galat nahi hoga.
Matlab saaf hai agar aapki site mobile friendly nahi hai to aapka mobile ranking kam hogi aur google search traffic kam hoga. For proof aap dekh sakte hai ki jo site dekstop me top me show hoti hai wo ab mobile me nahi hoti hai.
Sirf mobile hi nahi aapki site desktop, tablet, phone and all size screen devices sabhi me proper work karni chahiye.
3. Location
Google location level par kaam karta aa raha hai. Uske anusar wo har user ko sahi jankari dena chahata hai. Iske liye wo country level, state level, district level and last location level par search results show karta hai.
Ab google bahut smart ho chuka hai aur usne apne official blog par btaya bhi tha ki ab wo local area and language ko jyada support karega. Isse fayda ye hoga ki user ko apni bhasha me aur nearby information milegi.
For example, agar aap google me “restaurants” search karte ho to google aapki location ke according search results show karega.
Isse bloggers ko nuksan ye hai ki local users ko google unki hi language ki site ko show karega aur un par google search traffic jyada hoga. Like aapki site english me hai aur ek site jo marathi me hai dono par same content likha hua hai. Ab jab koi marathi language wale field se search karega to google uski site ko top me show karega bhale hi aapki site usse kai guna better ho.
4. Keywords
2024 me bloggers ka traffic kam hone ki ye sabse badi wajah hai. Ek time tha jab badi aasani se keywords optimizing kar post ko google me aasani se rank kara liya jata tha lekin ab aesa nahi hai. Ab keywords optimizing ke bad bhi aapki post rank karegi jaruri nahi hai.
Kyuki ab google keywords se jyada content quality par focus kar raha hai. Yahi sabse badi wajah hai ki jo log keywords ke liye content likhte hai unka traffic jyada kam hua hai.
Main ye isiiye kah raha hu kyuki mere kuch article hai jo maine without keyword optimizing ke likhe the un par pahle bahut kam traffic tha lekin ab wo top position par show hote hai aur unpar traffic bhi badh gaya hai.
Yani ab bas aapka content achha hona chahiye aur users ko pasand aana chahiye wo google me bhi top rank me show hoga. Google kahta bhi hai ki jis content ko users pasand karenge use google bhi pasand karega. Yani search engine ki jagah users ke liye likhna better hai.
Mera kahne ka matlab ye nahi hai ki ab keywords ka istemal hi nahi karna chahiye, karna hai lekin isse jyada content quality par focus karo aur sath hi apni site par social media and other method se traffic badhane ki koshish karo.
Jab aapki site par social media and other source se traffic aane lagega to google bhi use top rank dega aur aapki site par google search traffic badh jayega. Abhi google youtube ko top rank de raha hai show apni site ke name se channel bana kar video bhi banana shuru kar de.
I hope ab aapko samajh aa gaya hoga ki aapki site ka traffic kam kyu hua hai aur aap use kaise recover kar sakte hai. Agar aap soch rahe hai ki bina kuch kiye hi traffic recover ho jayega to aesa nahi hone wala.
Zubair
Hi sir meri website new ha or ab trffic b ana start ho gai ha but min ne apni site pe AMP (Accelerated Mobile Pages) enable keya ha os k baad traffic kaam ho ha kya AMP ki waja se traffic kam ho skti ha?
Jumedeen khan
Aap agar sahi se amp implement karoge to nahi hoga.
hemant kumawat
jumedeen, yah post har ek blogger k liye upyogi hai…
Ahmed nawaz
Great sharing bro Keep it Up
Suresh
Bahut hi kam ka ye post share kiya hai aapne. Maine isse related bahut se blog padhe lekin main samjh nahi paya aapke post me wo har choti choti baato pe jikr kiya gya hai jisse ki hum apni website ki ranking increase kr skte hai. Itna accha post share krne ke liye thanks.
Abhishek
Agar aap Google Webmaster tools me jakar apne site ko fetch as Google karen to aapka website jald se jald index ho jayega. Isse aap jaldi serp pe dikhengen.
Mukesh Saini
Aapne yah bahut hi badiya jankari di hai. Yah new aur old bloggers ke liye bahut helpful hai. khaskar mere liye. Iske liye bahut bahut thanku.
izharul haq
thanks sir yeh batane ke liye meri traffic badi mushkil se 1k daily hoa karti thi par 100 view se 150 view ho rahe hain
Sameer Ali
Nice Article Thanks For Shereing . Sir ek article Genesis full customization ke baare me bhi likhna please ki kaise aapne apni theme customize ki hai
Paayi
To ek baat batao, agar facebook, instagram, per advetisement kare or waha se, google adwords se daily ka 500 user leke aaye – Paise dekar apne naye blog per. To almost kitne dino me wahi ek acha article ya acha blog jo ek se 2 month old hai usper kitna user aane ki umeed hai?
Because sab log bolte hai – Onpage seo kar li now link building karo. 1000 ro me link buy karo.
Jumedeen khan
Ye aapke content par depend karta hai content jitna effective hoga utne users attract honge.
Rahul pandey
Hello sir main apne blog ki traffic badane ke liye kya karu ap kuch help kar dijiye mujhe kya karna chahiye taki blog par jyada se jyada traffic aa sake..
Jumedeen khan
Achha content likho, ye sabse better hai.
deepesh kumar
Good Article thanks for information
Anoop Bhatt
बहुत अच्छी पोस्ट थी
यदि हम Post का SEO भी कर रहे है प्रोमोट भी कर रहे है तो ट्रैफिक ना आने के क्या बजह हो सकती है
Jumedeen khan
Backlinks.
pipan
Sir, Aapka website 1.5 sec mein load ho jata hain. Aap konsa hosting use karte hain?
Jitender
Thank You JDK bhai apne ache se samazya ki user base zada work karna hai ab
Iss post ko likhne ke liye apka dhanywad
Vishal
Badiya article hai . Long time ke bad ek different post padi hai.
manish
very good information, this was something i was searching for ! now i m going to try these , lets see what happens.. any way a big thanks to you
arti maurya
sir bahut badhiya aur sahi jankari post kiye hai. mujhe iss baare me knowledge chahiye thi jo mujhe aapke iss article se mil gayi..
ankit lahariya
sir aapne bhut achi jaankari di hai
Pradeep lodha
Sir mene ek nayi website start ki hai, Mujhe Abhi SEO ke bare me jyada pata nahi hai
Jumedeen khan
SMI par aapko iske bare me kai sari post mil jayegi.
Pandole
Thank you very much sir post share karne ke liye
Deepesh
Hello jumedeen sir kitne Dino se Maine aapki isi post ka intejaar kr raha tha ye problem mere sath bhi ho rahi 10 k se 3k traffic rah gya hai
Tripurari Kumar
Nice Information.
Aapne Hame Bahut Hi Useful Jankari Share Kiya Hai Iske Liye Aapko Thank You.
Aryan
oh tabhi mai kahu ki mera traffic itna kam kaise ho gya ab to website banana bekar hai youtube join kr lo
Avtar Singh
jumedeen सर अगर हम अपने पोस्ट में एक भी कीवर्ड का इस्तेमाल न करे और एक यूनिक पोस्ट लिखे तो तो वह google में rank करेगा ?
Jumedeen khan
Yes bilkul karegi.
anoop negi
very helpful info.. thanxx for sharing.
AMAN KUMAR SINGH
Nice article ye baat to sahi hai Google YouTueb video ko jyada rank kar rha hai…
SHAILENDRA KUMAR
Sir ji apke duara di gyi jankari bahuat hi badiya hai iske lye apka bahuat bahuat danyabaad.
Aman singh
Bahut acchi article likhi hai sir jee.
Pipan Sarkar
Sir, Event blogging ke liye kitne mahine pehle post likhna suru kare?
Jumedeen khan
1 mahine pahle ya isse jyada time se likho taki achhi rank kara sako.
HP Jinjholiya
Hm apki bat se agree hai muje lgta hai ki aane val time blogging nhi youtube ka hai
Kyoki aj har koi youtube dekhna psnd karta hai aur isliye google ab hmes youtube video blogging content se phle show karta hai…..its serious matter for Every Blogger
Viram singh
सर me keywords ka use nahi krta . Blki jo koi latest ghtna hoti h us pr likhta hu or kya keywords use krna jruri h…
Jumedeen khan
Nahi jaruri nahi hai aap bas quality content likhne par focus karo.
Akash Yadav
sir mere me yahi problem thi acha hua apne ye post likhi
Pinki kumari
Jumedeen Khan Sir, itni sundar aur informative post likhne ke thank you so much . Aapne jo information di hai, wo meri jaisi new bloggerke liye to bahut hi jyada helpful hai. Aapka phir se behad shukriya.
Radhe Gour
google ने तो नहीं बताया लेकिन आपने बहुत अच्छे तरीके से समझाया है इसके लिए धन्यवाद…. मेरी वेबसाइट में अब पहले से ज्यादा traffic आ रहा है और बहुत से पोस्ट google पर टॉप पर शो हो रहे हैं और इन पोस्ट पर मेने ज्यादा कीवर्ड इस्तेमाल नहीं किये हैं.
Vivek Bisht
सॉलिड इनफार्मेशन दी है, गुरु देव
अगर आपकी बताई सारी बातें सही हैं तो मतलब टाइम आ गया स्ट्रेटेजी बदलने का
thanks for sharing
prashant rathore
Mere blog ka traffic direct jyada aa raha h mtlb search se 200 traffic aa raha h to direct se 700 aa Raha hai asha kyu jumedeen sir
Jumedeen khan
Aap analytics use karo aur haa koi bhi tool 100% sahi report nahi deta ye estimated report hoti hai.
Pardeep Negi
सही कहा मेरे भाई………….. मजा आगया………….बहुत कुछ describe करा है आपने.
Anand Kumar
Bahut hi kaam ki jankari aapne share kiya hai, is post se ye prove ho jata hai ki aap abhi bhi blogging par naye-naye research karne mein lage huye hain. Matlab ye ki SMI blog harek bloggers ke liye aaj bhi utna hi important hai jitna ki pahle thi. I love always SMI and also JDK bro…
Rakesh Gupta
Youtube factor se blog ko kafi help milne wala hai ………..Nice Post
rovin singh
sir blog post me keywords ko kaha – kaha paste karna hota hai.
Jumedeen khan
read our seo posts.
Parvez
Thanks aapne ye post kiya isse kafi blogger ko thoda sukun to milega ki traffic kam sirf unke blog ke sath nahi huya hai ye bahut se blog ke sath huya hai…. abhi time nahi mila isi liye post ko sahi se read nahi kiya n8 ko man lagake is post ko read karenge… sachme thanks mere bhi traffic bahut jada loss huya hai….
RAJEEV KUMAR
सर इस पोस्ट को लिखने के लिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद
Indrajeet
Aapka kahna waise kafi had tak sahi hai. Lekin filhal abhi india me ipl trending me hai to ipl khatam hone ke baad hi yah deside kiya ja sakta hai. Ki traffic kam hone ka karan aapke batayi hui point ke anusar ho.
Hemant
Sir, you are great content guider, learn many things from SMI . Keep sharing
Kamal
Complete article good
Nomi Khan
Bhai Aapki post Padh kar Muje Samjh Aagya mene Kaafi galtiya Ki h lekin ab aapki post Ne muje Kuch sikh De di Hai… Uske liye Aapko Shukriya Jumedeen Bhai !!
Dev Rathore
Kuchh bate to sahi hai lekin kuchh sahi nahi lag rahi bhai..
Aapki youtube wali baat sahi hai aur me kabhi bhi keyword ka use nahi karta lekin fir bhi mera traffic down huaa hai lekin jo post keyword ko target karke likhi hai wo top par hai but problem ye hai ki fir bhi un post par traffic nahi aa raha..
Aap “event blogging” search karke dekhe meri post aapke saath top me show hogi lekin traffic 0 hai usme …aapka kitana hai pata nahi
Jumedeen khan
Dev ji aap samajhne ki koshish karo google har user ke liye same content show nahi karta. “event blogging” search karne par aapki post first page par kisi bhi position par show anhi ho rahi hai. Means jo google aapke liye show kar raha hai wo mere liye nahi.
Anand Kumar
Jume Deen bhai bilkul sahi kah rahe hain, aisa sirf blogging mein hi nahin Youtube par bhi hota hai. Because Google ne apne search engine ko itna smart bana diya hai ki ab usey sab kuchh pata hai ki kis user ko kaun sa site jyada pasand aayega aur kisi khas user ke liye kis site ko top par dikhana chahiye.
Dev Rathore
”Event Blogging” likhne se aapki post bhi show nahi huyi lekin jab maine “‘ Event blogging Kya Hai”” Search kiya tab aapki aur meri dono ki post show ho rahi hai…Check Again Brother
Aur agar fir bhi show nahi hoti hai to bhai pakka ye Google Ki DaDaGiri hi samajh lo
Jumedeen khan
Bro meri aur aapki dono ki post show nahi ho rahi hai. Google aesa bahut time se kar raha hai.
ankit
bhai yah aapne bhut achi jaankari di hai
Pramod Singh
Bahut hi achhi jaankari share ki aapne lekin sir mera ek sawal hai me uttarakhand se hu to me hinglish me likhu to koi problem to nhi hogi naa
Jumedeen khan
No proble, yaha aur bih bahut sare blogger hai to hinglish me likhte hai.
Vikas Sahu
Wow such great and effective guide
Thank you so much for sharing this..