Google Search Traffic Decrease Hone Ki Wajah 2025

Bahut time bad aaj main SEO par researching post likh raha hu. Jisme aapko Google Search Traffic Kam Hone Ki Wajah? ke bare me explain karke btaunga. Is post ko padhne ke bad aap clearly samajh sakte ho ki 2025 mein aapki site ka traffic kam kyu hua hai aur ab aap ise kaise recover kar sakte hai. Search Traffic Decrease Reasons.

Google Search Traffic Decrease Hone Ki Wajah

Ek time tha jab keywords SEO optimization aur google ranking ka main part the aur koi bhi aasani se keywords ka istemal kar apne content ko google me top rank kara leta tha lekin ab aesa nahi hai. Ab achhe achhe SEO expert ko google se traffic nahi mil raha hai.

Aapne dekha hoga bahut se bloggers ka search traffic decrease ho gaya hai. Isme kuch log to aese hai jinka traffic 50% se 70% tak down hua hai. Ye problem sirf hindi bloggers ko hi nahi hai balki sabko hai. Har us blogger ke blog ka traffic kam hua hai jo keywords ka istemal karta hai.

Isiliye main aaj ye post likh raha hu jisme aapko blog traffic down hone aur 2025 me google ranking increease karne dono ka pata chal jayega. Yani ek hi post s aapko 2 sawalo ka jab milega.

  • Google Search Traffic Decrease Hone Ki Wajah
  • Google Search Rank Increase Karne Ka Tarika 2025

2025 me bahut se bloggers ka traffic kam hua hai wo iske reason ke sath iska solution janna chahata hai jiska jawab is post me mil jayega.

Google Search Traffic Down Hone Ki Wajah 2025

Agar aapki site ka bhi search traffic kam hua hai aur ab aap use fir se recover karna chahate hai to is post ko carefully read kare taki aapko sabkuch sahi se samajh aa sake aur kisi bhi tarah ki confusing na ho.

Pahle content ko top rank karana bahut hi aasan tha bas google keyword planner tool ya koi aur keyword researching tool ka istemal kar content optimize karo aur post google me no.1 position par aa jati thi.

Lekin ab aesa bilkul nahi hai balki best optimization ke bad bhi google se achha traffic nahi mil pa raha hai. Jaha har roj bloggers ka traffic increase hota tha wahi day by day down ho raha hai.

Very simple, iski wajah se google algorithm updates. I know lekin sabse bada sawal ye hai ki aakhir google ne aesa kya update kiya hai jo mera traffic kam ho raha hai. Isi sawal ka jawab har wo blogger janna chahata hai jiska traffic pichle kuch time me down hua hai.

Chaliye main aapko iske bare me thoda explain karke btata hu. I hop ki aapko meri bat sahi se samajh aa jayegi.

Google ne search engine algorithms me kai update kiye hai lekin kisi ke bare me bhi publicly nahi btaya hai. Unme se 4 ranking factor hai jinme bada badalav hua hai.

  1. Personalization
  2. Device
  3. Location
  4. Keywords

In 4 search ranking factors me hi aapko jawab mil jayega ki aapki site ka traffic kam kyu ho raha hai aur ab aapko google se jyada traffic pane ke liye kya karna chahiye. Main dono ko ek sath explain kar raha hu.

1. Personalization

Kuch time pahle, google apni social site google+ ko search result me top rank deta tha. Aesa usne isiliye kiya tha taki wo facebook jaisi social site ko takkar de sake. Us time agar aap apni post ko google+ par share karte the wo google search me top rank par hoti thi. Lekin google+ fail ho chuka hai aur google ne apne algorithms ko change kar liya hai.

Ab google apni video site YouTube ko search engine me top par show karta hai. Iske liye wo kahta hai ki “User jo search kaega hume use top me show karenge” lekin aesa nahi hai google un keywords par bhi youtube videos show karta hai jin par videos ki jarurat nahi hai.

In 2 bato se saaf pata chalta hai ki google nijikaran karta hai lekin hum is bat ko nahi manenge aur kisi dusre matter par bat karenge.

Google pahle user ki “search history” ke according search results display karta tha. For example, aap google me “website search rank increase kaise kare” query search karte ho aur kisi “xyz” website par visit karke article read karte ho. Google aapki is activity ko trace kar leta hai.

Ab jab bhi aap google me koi keyword search karoge to google top position me xyz website ke pages (agar us site par aapke dwara search kiye gaye keyword se related content hai to) ko hi show karega uske bad dusri sites ko ran kdega.

Iska matlab kisi user ko aapki site ke bare me pata chalta hai aur wo aapke 1-2 articles read kar leta hai to google next time use aapki hi site dikhayega aur aapki site par google search traffic jayda hoga.

Ye formula google ne kai saalo tak use kiya hai lekin ab google ne ye formula badal diya hai aur ab aesa bilkul nahi hota. Google ab user history ke according search ranking nahi deta.

Ab jab bhi user google me search karta hai to use next time new websites ke links milte hai. Yani google ab random results ko jyada focus kar raha hai.

Main aapko bta du ki aapki site ke followers bhi aapki site par google search karke visit karte hai aur bahut kam log direct site open karte hai. So isse (jo log google search karke aapki site par visit karte hai) traffic me thoda loss hoga.

2. Device

Ek time tha jab google device par itna care nahi karta tha lekin pichle kuch time se google device par sabse jayda focus kar raha hai. Google ab desktop ki tulna me mobile users ko jyada focus kar raha hai kyuki wo janta hai ki world me dekstop ki tulna me mobile user jyada hai.

Smartphone aaj itne smart ho gaye hai ki us par aap computer se hone wala kaam bhi aasani se kar sakte hai. Agar hum mobile ko “mini computer” kahe to galat nahi hoga.

Matlab saaf hai agar aapki site mobile friendly nahi hai to aapka mobile ranking kam hogi aur google search traffic kam hoga. For proof aap dekh sakte hai ki jo site dekstop me top me show hoti hai wo ab mobile me nahi hoti hai.

Sirf mobile hi nahi aapki site desktop, tablet, phone and all size screen devices sabhi me proper work karni chahiye.

3. Location

Google location level par kaam karta aa raha hai. Uske anusar wo har user ko sahi jankari dena chahata hai. Iske liye wo country level, state level, district level and last location level par search results show karta hai.

Ab google bahut smart ho chuka hai aur usne apne official blog par btaya bhi tha ki ab wo local area and language ko jyada support karega. Isse fayda ye hoga ki user ko apni bhasha me aur nearby information milegi.

For example, agar aap google me “restaurants” search karte ho to google aapki location ke according search results show karega.

Isse bloggers ko nuksan ye hai ki local users ko google unki hi language ki site ko show karega aur un par google search traffic jyada hoga. Like aapki site english me hai aur ek site jo marathi me hai dono par same content likha hua hai. Ab jab koi marathi language wale field se search karega to google uski site ko top me show karega bhale hi aapki site usse kai guna better ho.

4. Keywords

2025 me bloggers ka traffic kam hone ki ye sabse badi wajah hai. Ek time tha jab badi aasani se keywords optimizing kar post ko google me aasani se rank kara liya jata tha lekin ab aesa nahi hai. Ab keywords optimizing ke bad bhi aapki post rank karegi jaruri nahi hai.

Kyuki ab google keywords se jyada content quality par focus kar raha hai. Yahi sabse badi wajah hai ki jo log keywords ke liye content likhte hai unka traffic jyada kam hua hai.

Main ye isiiye kah raha hu kyuki mere kuch article hai jo maine without keyword optimizing ke likhe the un par pahle bahut kam traffic tha lekin ab wo top position par show hote hai aur unpar traffic bhi badh gaya hai.

Yani ab bas aapka content achha hona chahiye aur users ko pasand aana chahiye wo google me bhi top rank me show hoga. Google kahta bhi hai ki jis content ko users pasand karenge use google bhi pasand karega. Yani search engine ki jagah users ke liye likhna better hai.

Mera kahne ka matlab ye nahi hai ki ab keywords ka istemal hi nahi karna chahiye, karna hai lekin isse jyada content quality par focus karo aur sath hi apni site par social media and other method se traffic badhane ki koshish karo.

Jab aapki site par social media and other source se traffic aane lagega to google bhi use top rank dega aur aapki site par google search traffic badh jayega. Abhi google youtube ko top rank de raha hai show apni site ke name se channel bana kar video bhi banana shuru kar de.

I hope ab aapko samajh aa gaya hoga ki aapki site ka traffic kam kyu hua hai aur aap use kaise recover kar sakte hai. Agar aap soch rahe hai ki bina kuch kiye hi traffic recover ho jayega to aesa nahi hone wala.

Reader Interactions

Comments (65)

  1. Good Article thanks for information

  2. बहुत अच्छी पोस्ट थी
    यदि हम Post का SEO भी कर रहे है प्रोमोट भी कर रहे है तो ट्रैफिक ना आने के क्या बजह हो सकती है

    • Backlinks.

  3. Sir, Aapka website 1.5 sec mein load ho jata hain. Aap konsa hosting use karte hain?

  4. Thank You JDK bhai apne ache se samazya ki user base zada work karna hai ab
    Iss post ko likhne ke liye apka dhanywad

  5. Badiya article hai . Long time ke bad ek different post padi hai.

  6. very good information, this was something i was searching for ! now i m going to try these , lets see what happens.. any way a big thanks to you

  7. sir bahut badhiya aur sahi jankari post kiye hai. mujhe iss baare me knowledge chahiye thi jo mujhe aapke iss article se mil gayi..

  8. sir aapne bhut achi jaankari di hai

  9. Sir mene ek nayi website start ki hai, Mujhe Abhi SEO ke bare me jyada pata nahi hai

    • SMI par aapko iske bare me kai sari post mil jayegi.

  10. Thank you very much sir post share karne ke liye

  11. Hello jumedeen sir kitne Dino se Maine aapki isi post ka intejaar kr raha tha ye problem mere sath bhi ho rahi 10 k se 3k traffic rah gya hai

  12. Nice Information.
    Aapne Hame Bahut Hi Useful Jankari Share Kiya Hai Iske Liye Aapko Thank You.

  13. oh tabhi mai kahu ki mera traffic itna kam kaise ho gya ab to website banana bekar hai youtube join kr lo

  14. jumedeen सर अगर हम अपने पोस्ट में एक भी कीवर्ड का इस्तेमाल न करे और एक यूनिक पोस्ट लिखे तो तो वह google में rank करेगा ?

    • Yes bilkul karegi.

  15. very helpful info.. thanxx for sharing.

  16. Nice article ye baat to sahi hai Google YouTueb video ko jyada rank kar rha hai…

  17. Sir ji apke duara di gyi jankari bahuat hi badiya hai iske lye apka bahuat bahuat danyabaad.

  18. Bahut acchi article likhi hai sir jee.

  19. Sir, Event blogging ke liye kitne mahine pehle post likhna suru kare?

    • 1 mahine pahle ya isse jyada time se likho taki achhi rank kara sako.

  20. Hm apki bat se agree hai muje lgta hai ki aane val time blogging nhi youtube ka hai
    Kyoki aj har koi youtube dekhna psnd karta hai aur isliye google ab hmes youtube video blogging content se phle show karta hai…..its serious matter for Every Blogger