Kisi bhi site ke liye Google me achhi rank lana aasan nahi hota hai. Google me ranking lane ke liye 200+ algorithms ranking factors hai. Yadi ham in sabhi factors ko sahi tarike se follow karenge to Google ke search results me hamara blog top me hoga. Bahut se logo ko Google rankin factors ke bare me pata nahi hota hai. So ham aaj is post me Google ke ranking factors ke bare me janenge.
Google ek bahut badi search engine hai aur apne blog me Google se achhi traffic pana sabhi bloggers ka sapna hota hai. Sabhi blogger is samne ko saakar karne ke liye din raat mehnat karta hai taki uska blog search engine me sabse top par aaye.
Lekin aapko to pata hi hoga ki search engine me apni site ko top par lana kitna mushkil or hard kaam hai magar impossible nahi hai.
Google ke kuch ranking factors hai. Jinhe follow karke ham apne blog ko Google SERPs me sabse top par la sakte hai. Internet par bahut se bade bade companies hai aur in companies ke bare me kuchh aise hidden information jiske baare me har kisi ko pata nahi hota hai use ham Factor kahte hai.
Same as, Google ranking factors ke bare me bhi kuch aisi baate aesi hai jo har kisi ko pata nahi hai use hi ham Google ranking factors kahte hai.
Google Ranking Factors Kya Hai?
Jab Google kisi website ko rank deti hai to wo us websites me kya kya khubiya dekhkar rank deti hai. I mean, Google kisi bhi website ko rank dene ke kaun kaun things ko calculate karti hai. Use ham Google ranking factors kahte hai.
Table of Contents
- Google Me Achi Ranking Pane Ke 20 Ranking Factors 2024
- 1. Main Keyword in Title: Title Me Keyword Use Kare
- 2. Keyword in Domain Name: Domain Me Keyword Use Kare
- 3. Age Of Domain: Old Domain Istemal Kare
- 4. Keyword in H1 & H2 Tags: Post Me Heading Istemal Kare
- 5. Length of content: Long Content Write Kare
- 6. Keyword Density: Keyword Ka Jyada Use Na Kare
- 7. Update Posts regular: Daily Post Share Kare
- 8. Images & Videos in Article: Post Me Video and Iamge Use Kare
- 9. Website Speed: Site Ko Speed up Banaye
- 10. Mobile Optimized: Site Mobile Responsive Honi Chahiye
- 11. Backlinks: High Quality Backlinks Banaye
- 12. Using SSL Certificate: SSL Certificate Use Kare
- 13. Avoid Duplicate Content: Copy Pasting Na Kare
- 14. Illegal content in Blog: Illegal Content Share Na Kare
- 15. Be active in Social Media: Social Sites Par Online Rahe
- Conclusion,
Google Me Achi Ranking Pane Ke 20 Ranking Factors 2024
Upar wala paragraph padhne ke baad apko yah pata ho gaya hoga ki Google ranking factors kya hai? Ab ham Google ranking ke top 20 factors ke baare me bta rahe hai. Yadi aap niche bataye gaye sabhi factors ko achhe se follow karoge to aapke blog ka Google me position achha hoga.
1. Main Keyword in Title: Title Me Keyword Use Kare
SEO me keyword ka bahut jyada importance hai. Jab ham apne post me achhe rank ka keyword achhe place me use karenge to isse jab koi Google me hamare post se related search karega to search result me hamara post top par hoga. Because hamne post keyword ka sahi istemal kiya hai aur keyword ka value Google me bahut jyada hota hai.
Title sabse achha jagah hai, keyword use karne ke liye. Lagbhag 70% log only title ko padh kar hi us par click karte hai. So yadi aapka title unique hoga to aapko google search results me click jyada milenge or organic traffic bhi jyada milega.
Googlebot post title ke keyword ko achhe se filter kar ke use highlight karta hai. Isiliye title me keyword ka use karna Google ke top ranking factors me se ek hai.
2. Keyword in Domain Name: Domain Me Keyword Use Kare
Domain name kisi bhi site ka ek bahut important part hota hai aur iska importance SEO me bhi bahut jyada hai. Bahut se log Domain name chunne ke time ki mistake kar deta hai. Domain name me keyword ka use hona Google ka ranking factors me se ek hai.
Jaise ki kisi blog me blogging se related information share karte hai aur hamare blog me hindi me post likha jata hai to blog ka domain name humare blog niche se related hona chahiye. Isi tarah aapka blog jis niche me hai, usse related keyword use kare. Isse aapke blog ki ranking Google me badhegi.
3. Age Of Domain: Old Domain Istemal Kare
Google ka top rank factors me se ek ye bhi hai ki domain age kitna hai. Yani ki jab Google kisi website ko rank deta hai to usme ye bhi dekha jata hai ki domain kitna old hai.
Domain jitna jyada old hota hai utna better rank milti hai. Isiliye yadi aapko Google se achhi rank lena hai to aap kisi se old domain buy kar sakte ho ya fir aapne abhi tak apni site ke liye domain nahi liya hai to jaldi hi le le.
Blog post me heading and sub-heading ka use karna bahut jaruri hota hai. Yah SEO ke liye bahut achha to hota hi hai aur isse readers ko samjhne me bhi aasani hoti hai.
Post me heading 1 (H1) aur heading 2 (H2) ka use karna SEO ke liye better hota hi hai lekin yadi aap isme keyword ka use karte ho to isse hame bahut jyada rank milega. Kyoki H1 aur H2 me keyword ka use karna Google ranking factors ka ek important factor hai.
Aap chahe to post me jaruri H3, H4, H5 heading bhi istemal kar sakte hai magar sirf jarurat padne par. Iske alawa post me jaruri keywords ko highlight, bol, italic karna bhi SEO ke liye better hai.
5. Length of content: Long Content Write Kare
Maine aise bahut se logo ko dekha hai jo ki apne blog ke post me maximum 500 words use karta hai, jo SEO ke liye better nahi hai. Google me un blogs ko top rank me rakha jayega jisme unique content ho. Unique content se mera matlab hai ki jis post me 1000+ words use kiya gaya ho aur uska content 100% originally ho.
SEO expert Neil patel hamesha yahi suggest karte hai ki blog ke liye 3000+ words ka post likhe. Long length content to SEO ke liye better hota hi hai aur sath hi readers ko us topic par puri jankari mil pati hai.
Mai bhi aapko yahi suggest karunga ki long length post likhe yani 1000+ words ki post likhe. Kyoki Google ka ek sabse important ranking factor Unique content hi hai.
Long post likhne ka matlab ye nahi hai ki aap post me kuch bhi likh kar words badha do aapki post ke har ek paragraph me unique and useful content hona chahiye.
6. Keyword Density: Keyword Ka Jyada Use Na Kare
Hame post likhte time bahut se baato ko dhyan me rakhna hota hai. Mostly, new bloggers in bato ko dhyan me nahi rakhta hai aur post me ek hi word ko bahutbaar use kar deta hai. Jisse keyword stuffing ho jaati hai. Keyword stuffing karna Black Hat SEO me aata hai.
Jab koi black hat SEO ko follow karta hai to use Google se penalty mil sakti hai. Post content me keyword density 1.5% to 2.5% or maximum 3% rakhna better hota hai.
Jab post me keyword density jyada hoti hai to yah Google webmaster rules ke bhi khilaf hota hai. Post me Keyword density ka khyal rakhna bhi Google ranking ka ek factor hai.
Internet par bahut sare blogs aise hai jaha daily new post update hote raht hai. Aapko pata hona chahiye ki blog me regularly post update karna Google ranking ka important factor hai.
Jab ham apne blog me daily new post share karenge to isse hamare blog me visitors aate rahenge aur isse hamara blog Google SERPs me bhi top par show hoga.
Maine bahut saare blogs dekhe hai jaha post regularly update hote rahta hai aur mene un blogs me yah dekha ki un blogs ki traffic kabhi kam nahi hoti hai. Jitna possible ho badhti hi hai.
Blog me regular post share karne se or bhi bahut sare benefits hai. Isiliye hame apne blog me regular post daalte rahna chahiye.
8. Images & Videos in Article: Post Me Video and Iamge Use Kare
Blog post me image aur video ka use karna bhi bahut jaruri hai. Isko use karne se readers ko aapka topic jaldi aur aasani se samajh me aa jati hai. Ham chahe to post me image ka use karke bhi blog me achhi traffic la skte hai.
Iske liye hame image ko SEO ke liye optimize karna hoga. Yani image ke title me post ka title likhna hoga aur alt tags me keyword ka use karna hoga.
Jab ham post me image ka use karte hai to isse post ki design bhi achha ho jaata hai aur isse hame Google images se traffic milegi. Bahut se log article me video bhi add kar deta hai jisse uske reader video dekh kar easily samajh sake. Yah SEO ke liye bhi achha hota hai.
Blog post me multimedia ka use karna Google ranking factors me se ek hai or ab to google bhi videos ko search me top par dikhane lag gaya hai.
9. Website Speed: Site Ko Speed up Banaye
Google slow loading wali sites ko hamesha se hate karta raha hai. Agar aapka blog loading hone me 4 second se jyada time leta hai to isse aapke blog ko Google me achhi rank nahi mil payegi.
Agar aap apne blog ko fast loading banana chahte ho to iske liye apne blog ko simple design kare aur script ka kam upyog kare.
Site ko speed up karne ke liye aap good hosting choose kare or VPS ya dedicated hosting use kare. Agar aap chaho to website me CDN ka use bhi kar sakte ho. Isse aapke blog ki server loading speed fast hogi, jisse aapka blog bhi fast ho jayega.
10. Mobile Optimized: Site Mobile Responsive Honi Chahiye
Google ne recently ye announcement kiya hai ki jo website mobile friendly nahi hai usko Google search result me kabhi bhi top par nahi dikhaya jayega. Yah Google ranking factors ka important fact bhi hai.
Isiliye aapko apne blog ko Google me achhe position me lane ke kiye site ko mobile responsive optimize karna hoga. Iske liye apne blog me mobile responsive template theme use kare aur apne blog ko simply design kare.
11. Backlinks: High Quality Backlinks Banaye
SEO ke liye backlinks bahut jaruri hai. Hame apne blog ke liye dofollow backlink banana hota hai. Backlink banane ke liye bahut saare ways hai but commenting and guest post top way hai. Jisse aap dofollow backlink bana sakte ho.
Google ranking factors kasabse top factors me se backlink bhi hai. I mean, jab Google kisi website ko rank deti hai to usme ye bhi count kiya jaata hai ki website par high quality backlink kitna hai. So yadi aapko Google me achhi ranking lana hai to high quality yani dofollow backlink banana hoga.
12. Using SSL Certificate: SSL Certificate Use Kare
Apne bahut saare websites me dekha hoga ki uske URL ke pahle https:// laga hota hai. Pahle to isko log jyada velue nahi dete hai lekin abhi iski value bahut jyada hai. Isse hamara blog secure rahta hai aur hamare blog ki data koi hackers nahi chura pata hai.
Iska importance SEO me bhi hai. Google ne ye announcement kar diya hai ki jis website me SSL certificate yani https hoga uski search result me http:// url yani without SSL certificate wale blog se jyada rank hogi. Yah Google ranking ki ek bahut badi factor hai.
- Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
Yadi aapka blog Blogger par hai aur apne custom domain nahi use kiya hai to aap free https use kar sakte ho. Iske baare me pahle se ek post likha hua hai. Aap unhe read kar sakte ho.
Yadi aapka blog WordPress par hai to aap cloudflare ka free SSL certificate kuchh time tak use kar sakte ho. Iske alawa aap SSL certificate buy karke bhi apne blog me use kar sakte ho.
13. Avoid Duplicate Content: Copy Pasting Na Kare
Bahut se log apne blog me kahi se copy karke post, image etc. daalte hai. Jo koi bhi aisa karta hai, me un sabhi kahna chahunga ki Aisa karne se to aapko kuchh benefit nahi milega aur isse aapko only loss hi loss hoga.
Sabse pahle to copyright content ko readers like nahi karta hai aur yah SEO ke liye achha nahi hota hai. Copyrighting content ki wajah se google se aapko penalty mil sakti hai. Ise bhi aap google ranking factors me shamil kar sakte hai.
Jab koi kisi blog se post ko copy karta hai to iska pata Google ko chal jaata hai aur Google is tarah ke post ko kabhi bhi achhe position par nahi show karata hai.
Isiliye hamesha koshish yahi kare ki aap jo content likhte ho wo 100% original ho aur aapka content unique & long length ka ho. Jis blog me sabhi post original aur unique hota hai, usko Google SERPs me top par dikhata hai.
Internet par bahut se blog and website hai jisme sirf illegal information share kiya jaata hai. Yani ki Google jis content ko share karne se mana karta hai.
Jaise ki bahut se log apne blog me hacking se related jankari share karte hai, jo Google rules ke khilaf hai sath hi aapki country like india me bih aesa karna illegal hoga. Aisa karne ke Google bahut se blog ko penalty bhi de deti hai.
Jis blog me sabhi post legal ho aur 1-2 post me illegal content ho to Google us blog ko achha results nahi deta hai. Isiliye kabhi bhi apne blog me hacking, s*x, law se related content share nahi kare. Yah Google se ranking lene me bahut badi diwaar ban sakti hai.
Sabhi log yah jante hai ki social media se hame nofollow backlink milta hai. Lekin Google ne recently ye announcement kiya hai ki Social media me achhi rank lana Google ranking ka ek most important factor hai.
Yani ki yadi aapko Google me achhi rank pana hai to aapko social media me bhi active rahna hoga aur jab bhi apne blog me new post update karte ho to use social media me bhi share kare.
Conclusion,
Google ranking factors me yah sabhi important factors hai. Waise to Google ranking ke bahut se factors hai lekin jab aap in sabhi factors ko follow karoge to wo apne aap optimize ho jayegi. Isiliye aap sirf inhi sabhi factors ko achhe se padhe aur follow kare.
Google kisi bhi website ko rank inhi factors ko dekh kar deta hai. Isiliye yadi aap in sabhi factors ko sahi se follow karenge to 100% aap Google me achhi rank paa skte ho.
Mai ummid karta hu ki aapko yah post achha laga hoga. Aapko yah post kaisa laga hame comment me jarur bataye. Sath hi iss post ko Facebook, Google plus, Twitter, Whatsapp me share jarur kare.
Thanks for read this post. Please share your this post related experience with us.
Manish Raj Chauhan
Good Tips for Better SEO… your articles is very helpful for newbies
Rehan John
GooD Morning Sir …
Sir Meri Website New Hai Abhi 132 Days Huye Hai, Daily Ka 350 – 500 Ka Page Views Milte Hai, Kya Mujhe Google Adsense Mil Sakta Hai. meri Website Educational Hai.
Jumedeen khan
yes, aap apply kar sakte ho.
aman
Bro maine apne website ko google me add kiya tha but maine domain change kiya hai aur purana wala domain bhi band ho gya toh google me new domain ko kyase working kru add kiya hu but search me nhi aa rha mujhe purana domain ko search se hata ke new ko add krna hai naye trah se
Jumedeen Khan
Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare
bheshpratap sahu
very helpful post hai sir
Anand Kumar
Kya Blogger mein bhi SSL certificate add kiya ja sakta hai? Yadi haan to iska process bata dijiye…
Ram
Bilkul Kiya ja skta hain ..vo bhi free of cost. Blogger Google ka product hai. Aur Google khud Ise host krta hai. Usi trh se free SSL certificate bhi deta hai. Aap settings me jakr Ise enable kr SaKte hai.
Yogendra Singh
Aapki post bahut achchhi lagi.
Ankit Anand
sir,
1. maine apke theme (Only Showcase) jaisa hi ek theme banaya hai ..kya mai isme aapke header ka css use kar skta hu ??
2. aapne blog ke liye jo subdomain create kiya hai wo kaise karte hai kya cname ke host me example.com/blog likhne se ye ho jayega ?
Jumedeen Khan
1. No worry kar sakte ho.
2. WordPress me front page kaise use karte hai ke bare me jan lo.
Surendra Rsdp
Sir Maine Suna hain Ki Guest Post ko Search Ranking me Ab jayada Benifitale Nahi milega Jaise Phele Milta tha .
Jumedeen Khan
Yes, because log guest posting ka galat fayda uthane lage hai.
Heerey khan
बहुत अच्छी जानकारी दी है.
इस artical से जैसे biloggers अपने articals को rank करा सकते है.
अच्छी पोस्ट हमेशा अच्छे ही लोग शेयर करते है .
Avinash Chauhan
very useful information.Thanks for sharing.
Prem
Wah sir yah article bahut hi shandar hai. Appke sare article bahut hi ache hote hain.
Thank’s
S.K YADAV
Hi JDK भाई please help me। मैं बहुत बड़ी प्रॉब्लम में फस गया हूं।
मेरा StudyTrac नाम से एक ब्लॉग है जिसपर मैं पढ़ाई से जुड़ी जानकारियां जैसे study नोट्स etc हिंदी में लिखता हूं।
अभी मैंने एक ब्लॉग देखा उसके owner ने मेरे ब्लॉग के दो पोस्टो को हु-ब-हु कॉपी और पेस्ट किया था जिसको देखकर मेरा दिमाग खराब हो गया, मुझे इतना गुस्सा आ रहा है कि अगर वह मुझे मिल जाये तो उसका मैं कत्ल कर दूंगा, उस हरामखोर की हिम्मत कैसे हुई मेरे पोस्ट को कॉपी करने की।
मैंने उसके ब्लॉग पर comment भी किया कि देख भाई तूने यह aritcle मेरे ब्लॉग से copy किया है लेकिन मुझे लगता है कि उसने वह कमेंट हटा दिया है और मैने उसको email भी किया कि मेरे पोस्ट को अपने ब्लॉग से हटा लो लेकिन अभी तक उसने नही हटाया है।
अब आप ही बताइये मैं क्या करूँ?
उसके ब्लॉग पर और पोस्ट हैं जो कि मुझे लगता है उसने किसी दूसरे ब्लॉग से कॉपी किया है।
Please मेरी मदद कर दीजिये ।
please please
Jumedeen Khan
Aap uski DMCA form me report karo.
Anand Kumar
Khan bhai, jaisa ki main bata chuka hoon ki mujhe blogging post mein SEO karna nahin aata tha, isliye pahle main sirf post ko likhkar publish kar deta tha jisse ki mujhe koi faayda nahin hua tha. Lekin ab present time mein mera saara post Google mein show hota hai aur kuchh visitors bhi aate hain.
Lekin choonki wo post poori tarah se seo kiya hua nahin tha isliye usey phir se achchhe se edit karke uska link bhi change kar deta hoon. Lagbhag uska poora data hi dbadal deta hoon. To aise mein dikkat ye aata hai ki Google search mein mera post purane Title, link aur baaki saare data ke saath hi show hota hai. To aise mein to koi uspar click karega to usey 404 error aata hai aur hamein koi faayda nahin milta.
To aap hi koi tarika bataiye ya apne kisi post ka link bataiye jismein mujhe poori tarah se pata chal jaye ki Google search mein apne updated post ki searching result ko bhi kaise update bkiya jaye?
Aur maqin aapko daawe ke saath kah sakta hoon ki mera 70% post bilkul hi unique hota hai jabki phir bhi Google search mein aane mein 10 se jyada dion lag jaata hai. Aap iska bhi koi nidaan bataiye jisse ki hamara post Google Search mein Publish hote hi show hone lage.
Aur please mere donon samasya ko achchhe se samajh lein ki mera samasya kya hai? Iske baad hi uchit post ka link dein jisse ki main bina kisi pareshani ke apne blog ko search mein la sakun. Aur yadi kisi post se mere samasya ka samadhan na hota ho to yahan comment mein bhi mujhe bata sakte hain.
Jumedeen Khan
Isme koi problem nahi hai. Yes aapko error 404 ki proble mhogi jab tak aapki new post index nahi ho jati. Kyuki aap blogger user ho agar wordpress user hote to aa pold link ko new link par easily redirect kar sakte the.
ap jab kisi post ka link change karo to use search console me fetch as google kiya karo isse wo turant search me a jayegi or user new post par lcick karenge.
Google me aapki post kitne time me show hogi ye aapki site ka traffic or site authority par depend karta hai. Aap regualr post kiya karo jaldi index ho jayegi.
Bro aapko kisi post ka link dene ki jarurat nahi hai dono ke short answer deta hu.
1. Old link ko new link par forward karo ya fir new post ko search console se fetch as google karo.
2. Regular post karo or post ko social media and other method se promote karo jaldi search aayegi.
Anand Kumar
Link jo change karta hoon wo hi to forword karna hua na? Search console se fetch as Google kaise kiya jaata hai?
Jumedeen Khan
Nahi forward ka matlab aap old link open karoge to new link wali post open hogi. Aap search console me jao or left side me crawl option par click karke fetch as google par click karo or apni us post ka link submit karo jiska link aapne change kiya hai.
Anand Kumar
Maine try kiya lekin pahla anubhaw hone ke karan sahi se kar nahin paaya. Fetch as google tak to pahunch gaya lekin wahan par apne blog ka url ko chhodkar baaki ke post ka new url dala aur fetch kiya. Iske baad complete to aaya lekin koi faayda nahin hua. Mere khyal se aap is process waala apne post ka hi link mujhe de dijiye.
Jumedeen Khan
Fetach as google karne ke kuch minute bad check karna google me aapki post aa jayegi.
Anand Kumar
Kuchh minutes mein to nahin balki kareeb 2 din mein yaani ki aaj mera old updated post Google mein aa gaya. Ab main aaram se ek-ek karke saare posts ko Fetch as Google kar doonga.
Aapki help ke liye jitna bhi Thanks kaha jayega kam hoga. Aage bhi sawal poochhta rahunga jiski mujhe jaroorat padegi…..
kunal
Thanks for the post
Bhai maine aapka bhut se blog padhe seo se related but ek baat khna chahta plz ek post aisa likho jisme pure seo se related steps by steps likhe ho matlab atleast wo steps jinhe follow krne se ham achi ranking paa sake .
aur please backlinks paane k liye aapke blog par padha aur follow bhi kra mgr backlinks jada mile nhi iska bhi kuch solution do
me seo seekna chahta hu, to please ak keyword par pura focus krke seo se related article do to puri trh se seo basic se advance clear hoga , aur at least wo steps btaye k koi bhi interview k question bhi milte rhe , niche website link jo maine daala h us company me pichle 1 saal se kaam krta hu mgr abhi bhi puri trh se seo me khud ko majbut nhi manta plz support me jisse me dusri naukri kr pau aur aagey badh pau
keep posting me aapke post padhta rahunga
thanks !!!!
hope for reply
Jumedeen Khan
Ok brojarur karunga.
Aashish
sabhi point seo ke liye most important hai. bahut acha post likha . thnks.
ram
sir aap maxcdn ya cludfare use karte ho agar nahi to aisa kyo sir
Jumedeen Khan
MaxCDN use karta hu because, Cloudflare me limit jyada hai. Aap apni site ko chahe jaise se manage nahi kar sakte or ye true cdn bhi nahi hai.
ajay gupta
sir agar ham apne blog par hindi me post likhte hain to description me bhi hindi use karna chahiye ya hinglish use karna chahiye
Jumedeen Khan
Jarurat ke hisab se use karo dono kar sakte ho.
kashif
sir mujhe ek baat ye bataiye ki meri ek site hai jiska link me niche de dunga zaykarecipes.com agar me isko ek keyword hindi recipe dusra indian top food recipe par first page par lana chahta hun to mujhe seo me kya karna padega like linkbuilding directory submission,article submission social media submission etc.
Jumedeen Khan
Iske liye aap in keywords par achha content likho or keywords ka sahi se istemal karo.
Shashi kumar
Great Article bro aap ne bahut achi jqnkari shear ki hai.
Thanks for shearing
nitesh
भाई यदि post title में कोई keyword और उसका english meaning use करते है तो क्या ये seo के लिए सही है
Jumedeen Khan
Yes
Gautam Nagraj
Bhai Jaise Ki aapne 11th factor me bataya ki commenting or guest post best way’s hai backlinks pane ke lekin aapne waha dofollow likha hai or commenting ke zariye to nofollow link milti hai na?
Jumedeen Khan
Dofollow words ko guest posting kel iye istemal kiya gaya gaya. Guest post se aapko dofollow link milta hai.
Ravi sharma
Heello Jumedin Sir
Bahut accha article likha hai apne Isse kaafi help milegi Blog SEO ke liye 🙂
Sir mere ko apke header Logo menu ka css code chahiye iske liye mane apko mail bhi kiya tha please sir iska css de do
Jumedeen Khan
Aap mere blog ki CSS coding me se jo aapko chahiye wo copy kar sakte ho.
Ravi Sharma
Bro mere pass PC Nhi hai Mai Jo bhi Krta hu Mobile se Krta hu problem ye hai
ketan kumar
Hello jumedin bhai ye meri site hai aor isme muje is link ke jaisa same look chahiye http://bmag-template.blogspot.com/ par aisa nahi ho raha hai ye hai jaise ki isme sab categories me gred view hai par meri site http://faltubazaar.blogspot.com/ par aisa kuch nahi hota, to please muje bataye ki iska solution kaise hoga?
admin panel kuch is prakaar hai.
please muje solution bataye.
Jumedeen Khan
Iske liye aap iske jaisi template use karo.
ketan kumar
me vahi template use kar raha hu par same look nahi mil raha hai to kya kare?
Jumedeen Khan
Iske liye thodi CSS coding sikh lo uske bad aap apna blog chahe jaise design kar sakte ho.
Deepak sahu
1- 1 post me kitne H2 tag ka use kar sakte hai aur kya H3 tag ka istemal karna sahi rahega ya fir H1 and H2 tag ka hi use karu ?
2- ek post ko max kitne category me rakh sakte hai?
3- meri website mobile me open kar ke dekhiye jab mai mobile me apni site ko open karta hu to wo kuch alag type me show hota hai jo ki dekhne me accha nahi lagta. sabse neeche ane par jab mai view full site pe click karta hu to tab wordpress site ke jaise meri site open hoti hai. so please mujhe bataye ki isko kaise sahi karu
ek tarah se ye samajh lijiye ki jaise aapki site mobile me dikhti hai waise hi karna hai.
Jumedeen Khan
1. Mostly ek H2 use karo jyada long post ho or ek se jyada main topic ho to 1 se jyada H2 tag use kar sakte ho.
2. 1-2 best hai baki aap 2-3 bhi kar sakte ho isse jyada tag use karo.
3. Site ke mobile version me koi issue nahi hai bas aapne mobile screen me sidebar hide kiya hua hai wo theek kar lijiye.
Deepak sahu
sir mai kuch samjha nahi ki mobile version wala issue kaise thik karu.. plz thoda details me bataye
Surendra Rsdp
Aaj ke time me blogging me compitition thora badh gaya hai isliye Ranking Ke jitne tarike apnao itne hi faydemand hai
Asween
Tip Top Information
Ydi hum humare blog ko google search result me top par dekhna chahte he to hume in seo factors ko jarur follow karna hoga.
Is article me seo releted sabhi important factors bahut hi aasan tarike se samajaye gye he jo new and old blogger sabhi ke liye bahut hi helpful he.
Thanks for sharing this
Aryan Raj
Jummedin Sir Mera Ek Sawal Hai,Man Lijiye Mere Blog Ka Name name Smi Hai, Aur Isse Mai 2 Year Se Use Kar Raha hu,Aur Google Me Popular Hai,
Q.1. Mai ab Koi Dusre Name Ka domain Lekar Usse Is Par Redirect Kiya Yani Master Domain smi Par To visitor Naye Domain Ke Url Se Open Karega To smi Par Jayega Right
Q. 2 Phir Naya Domain Hai Usse Hum Google Me Show Kaise Kare, Uska Koi Tarika Search Console Me Dal Diya Kya Sirf Master Domain Yani Jispar Par Blogging Ho Rahi Wahi show Karega Google Me To Aise Me Koi Top Domain Le Le , Google Me Show Karega Tabhi To Koii Purane Domain Par Aayega So Aisa Koi Tarika Bataye Kyuki Maine Jo Domain Liya Wo Google Me Log Aksar Article Ke Sath Search karta hai
Jumedeen Khan
Aap new domain ko search console me submit kar verify karo. Google me show hone lag jayega.
bhavik
hi sir ap firse hinglish language me kyu likhte ho apne to apki pichli post me Hindi ka bataya tha . sir kya ham bhi apni site par 2 language me likh sakte hai
Jumedeen khan
Yes hindi hinglish se jyada better hai but mere liye nahi.
Pawan Gautam
Nice Post mere blog ki ranking vahut jaldi badh jati hai. sir kyu.
jayanta
bohut aachi jankari hai thank you…
Pramod
M aake 2 points se agree nhi hu.
1. Domain me keyword ho, not possible domain me target keyword hona jaruri nhi h or 1 domain me kitna keyword use ho payega.
2. Post me H1 tag use nhi krna chahiye H1 to post ke tiltle ke liye hota h jo theme ki coding se already rhta h.
Jumedeen khan
1. Right domain me keyword use karna jaruri nahi hai but agar ho to achha hai. Domain me 10-20 nahi ek main keyword ki bat ho rahi hai. Like mobile niche par content likhna hai to mobilegadget.com jaisa domain best hota hai. For example, aapka domain rechargep.in hai aap isme recharge se related post daloge to aapko jaldi hi achha traffic milne lag jayega but agar aap is par blogging, SEO ke bare me likhoge to aapko kam support milega.
2. Dear promod post title post ka part hi hota hai. Usi ke bare me kaha ja raha hai. Main aapko bta du ki H1 bhi H2, H3, H4, H5, H6 ki heading category me aata hai. Agar ye heading nahi hota to ise H1 nahi title1 kaha jata. Post ka title H1 heading me rakhna chahiye. Iska matlab ye hai ki agar aapki theme me post title H1 me nahi hai to use theek kare or agar pahle se H1 me hai to kuch bhi karne ke ki jarurat nahi.
Shahadat Khan
Very very usrfull post about _google mein achi ranking pane ke liye kya kare_ dear jummedeen khan yaar aapka jawab nahi really lajawab hain daily aapki website active rehti hai aur har din kuchh na kuchh sikhne ko milta hai jo guest post likhte hain aur aapko gollow karte hain woh bhi same aapki tarah samjhane mein koi kasar baki nahi rakhte Thanks for all
Plz 1 question hai mera agar bataden meharbani hogi
1_ meri website health2hindi.net se hai domain bhi hai lekin isko agar wordpress par taransfer karun to kaise karun
2_ mujhe keyword ki kafi problems hoti hai kyun ki mein jo bhi post dalta hun woh only jo log mujhse kisi problems ke taaluq se puchhte hain usi par likh dalta hun likhna meri fitri aadat hai urdu writer hone ke karan bas 1 kahani ki tarah likh dalta hun ab baat samjhane wali yeh hai ki kya mujhe aisa karna chahiye ya nahi
Keyword simple tor par kahan se suerch karun aur kahan kahan use karun
3_Post ka image mein abhi pica Aart se edit karta hun sahi seo ke mutabiq mobaile mein kiss apps se image edit karun aur uski hig. Leng. Kitni rakhni better rahegi
4_ mera blog health ke taaluq se hai but islamic post waqt aur moqa mehal se dalta rehta hun kya isse koi effect padh sakta hai
Please meri healp kare malik aap ko aur balandi aur taraqqi ata kare
Mujhe kuchh ziyadah malumat nahi bloging’ seo’ dofollow! Black hatseo’ content’ but aap logun ki post padhkar kuchh na kucch samajh mein aa raha hai aur ab 1k to 2.5k tak alhamdu lillah pagevewer bhi ho raha hai
1 baar webset ko chack karen aur mujhe batane ki zehmat farmaen aapko dill se thanks i will wait your answer
Jumedeen khan
1. Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kare | Full Guide
2. Bilkul nahi aapko content ko content ki tarah likhna hoga kahani ki tarah nahi.
3. PicsArt best hai.
Good padhne wala bahut jaldi sikhta hai.
Shahadat Khan
Thanks dear kya aapne 1 baar mere blog ko dekha nahi to ab dekhlo plz kya yeh jo themas lagi hai sahi hai aur iski speed kya hai lamsam sahi hai ya change karne ki zarurat hai
2 @ 1 post ko 1 baar open karke dekhen kya mere likhne ka andaz kahan aur kaise kharab ho raha hai
Thanks for help
Jumedeen khan
Sab theek hai bas aap SEO ko follow karo.
vivek
Very usefull post..Kya mast post kiye ho guest post karne wale Isse sabhi ko bhut help milegi.
Mai ye jaanaa chahta hu kya blog ko par day update karne se kya blog ki rank high hoti hai.
Bhai Ek guest post se kitna Dofollow backlink milta hai.Aap apni site ko lekar bataye kyu ki aapki site ki rank acchi hai.Agar mai aapko bkkb par guest post karta hu to mujhe kitna Dofollow backlink milega
Jumedeen khan
Yes ranking me fark padta hai. Ek post se ek hi backlinks milega.
Pappu
Nice post PRA mene keyword wali post to padi h phir bhi abhi tak samaj ni aaya keyword kya hai bhai thoda achi she btaye
Example : koi 1 post likhte hai blog kaise bnaye isme keyword kaise use hota haior keyword kya hai btaye plz
Jumedeen khan
Dear SEO ko ek line me nahi samajha ja sakta. Aap humari SEO wali oe psot padho samajh aa jayega.
nitesh
Hello sir mene aapko Admin@SMI pe mail kiya hai plez check
And aapki site ki loading speed lajavab hai iska raj bhi bata dijiye
Or mera blog check kr dijiye
Jumedeen khan
Mail karne ke liye contact forum istemal karo. Best hosting and CDN use karo or wordpress database and theme ko sahi se optimize karo.