Google Sitelinks Kya Hai Extra Sitelink Ko Kaise Remove Kare

Google search engine website value or popularty ke adhar par search result show karta hai. Google sitelinks bhi usi ka ek part hai. Jab humari site popular ho jati hai or us par acha traffic aane lag jata hai t osearch engine me humari site ke links ke sath google sitelinks bhi show hote hai.

What is google Sitelinks

Google Sites links hume google offer me deta hai. ye offer hume tab milta hai jab hum search engine ke pahle stage ko par kar lete hai. Is post me mai aapko google site links ke bare me details se bta raha hu. Post ko carefuly padhiyega.

Google site links ko hum google search console ki help se block or remove kar sakte hai. Search console me sitelinks ka option hota hai. Jaha se hum apne kisi bhi page ko google search se block kar sakte hai.  Don’t worry mai aapko sabke bare me bta raha hu. Aap niche diye gaye step follow karke aasani se apne kisi page ko google search engine se hide kar sakte ho.

Google Sitelinks Kya Hai

Jab koi humari site ka name, URL type kar ke google search enginne me search karta hai to google humare blog ka jo result show kareta hai. Usme duable line me pages or posts ke jo links show hote hai, Unhe hi google sitelinks kahte hai. Ye ek tarah se humari site ke shortcuts hote hai. Jinse hume search engine se jyada traffic milne ke chance badh jate hai.

Search as: Supportmeindia.com, supportmeindia

Google ye search result site par ek nishchit traffic hone ke bad hi show karta hai. Jab aapki site par kam se kam 3 sitelinks available honge to google aysa result show karega. Aapki site ka bhi is tarah ka result show hota hoga. Exaply ye image dekh sakte ho.

Support me india sitelinks

Google Search Engine Se Unwanted Sitelink Kaise Remove Kare

Google sitelinks se hume fayda hi fayda hai. But kei bar hum apne kisi page ko sitelinks me se remove karna chahate hai or apne kisi page ko personal rakhna chahate hai. Iski jankari bahut kam blogger ko hoti hai. But aap google sitelinks ko bhi google search se block kar sakte ho or apne hisab se google search me sitelinks show kar sakte ho. So aap bhi google search me se kisi sitelinks ko remove karna chahate ho to, Chaliye mai aapko iska tartika bhi bta deta hu.

Sabse pahle aap Google Webmaster Tools par jaye or log in kare.

  1. Search Appearance par click kare.
  2. Sitelinks par click kare.
  3. Ab aapko jo page google search me se remove karna hai uska URL add kare.
  4.  Finaly Demote par click kare.

Block google sitelinks

Ab aapka page google sites links me se remove ho jayega, Isme 1-2 din ka waqt lag sakta hai. Agar aapse galati se koi page remove ho gaya hai to don’t worry 02-30 days me wo page fir se search me show hone laga jyaega. Kyuki ye demotion temporory hota hai or sirf ek month ke aas pas kaam karta hai. Uske bad aapko page fir bhi remove karna hai to isi tarah fir se us page ka demotion karna padega.

I hope aapko is post me new jankari milegi. Or aapko google sitelinks ke bare me pata chalega ki google sites links kya khai or inhe google search se kaise block kiya jata hai. So is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (40)

  1. Avatar for Reitesh KumarReitesh Kumar

    New blogs ke sitelinks nahi hote, kya ham sitelinks ko khud show kara sakte hai yaa phir ye khud hi show hote hain.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sitelink google ki auto process hai. aapki site par thoda traffic hone par sitelinks show hone lag jate hai.

  2. Avatar for ReeteshReetesh

    Veri good post bhai
    Mera ek question h kya ham google me level (tag ) ko index kar sakte h or vo google me bhi show ho yadi ha to kese plzz reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      yes kar sakte ho. Aapko kuch nahi karna hai google khud aapke blog ki tags ko index kar lega.

  3. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Maine code ko copy karke text me lagaya to add show nahi ho raha hai.
    Add kitne din me show hota hai. AdSense koi message nahi aaya . please batao kaya karu. Mughe samagh nahi aa raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab tak aapka AdSense account active na ho tab tak aap bina plugin use kiye ads laga sakte ho. direct code paste karke. Sandeep bina jankari ke WordPress use karne me kitni problem hoti hai. Ye bat shayad ab aap ache se samajh gaye hoge.

  4. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Ad inseter plugin me add kaise lagate hai.
    Mene custom search ke niche add lagaya hai text me code ko add kiya that lekin add show nahi ho rahe hai please please reply kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ads inseter ki guidlines padho or use follow kar ke ads lagao. Mai supportmeindia par WordPress plugin ki jankari share nahi kar sakta. Or mozedia par post karne me waqt lagega. Aap khud hi samajh kar ads laga sakte ho.

  5. Avatar for SATISSATIS

    bhai hum post hindi me likhte hai aur post ka title english me likh shakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte ho.

  6. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen bro
    meri website apki website ki tarah google me kab show hogi
    meri website to saada show ho rahi hai apki site ki tarah link nahi a rahe hain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apni site par privacy page, about us page banao or thode din wait karo. google sitelinks show hone lag jayene.

      • Avatar for Mo AzizMo Aziz

        Thanks
        but ye page banaye to kafi time ho gaya hai
        kitna waqt lag sakta hai lagbhag
        to kya mai apki site ka external links apni post me laga sakta ho.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Jab aapki site par traffic badega to sitelinks google me show hone lag jayenge. iska koi waqwt nahi hai.
          Ha kar sakte ho.

  7. Avatar for hatim alihatim ali

    YouTube pe vdo ke saath ache taga kese use karte hai aur bina tags use kiye bhi ham acchi ranking mil sakti h hamare upld kiye vdo par.

  8. Avatar for juzerjuzer

    sir mywapblog ke baare me full guide seo tricks ka article post karenge jaise mywapblog pe site kese banaye,post kese likhe,ads kese lagaaye etc.plz its my humble request.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mywapblog me bahut kam logo ka interest hai. Isliye is par post karne se koi bhi fayda nahi hoga and mai blogging ke bare me post karta hu aysi post karunga to mere visitors ko confusing hogi.

  9. Avatar for murarimurari

    par apke site par AdSense dikhta nahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap meri site ko chrome me open karoge to ads jarur show honge.

    • Avatar for murarimurari

      me chrome me hi open kiya hu

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Post ko open karke dekho usme jo ads by google likha hua hai. wo ads hi hai.

  10. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya aisa koi tarika nahi hai, jisse hum koi bhi site ka pageview dekh sake, janta hu correct nahi bata sakta koi bhi, aisa koi website ho to bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap google me website traffic checker site likh kar search karo. aysi bahut si sites mil jayegi.

  11. Avatar for Nitesh NayakNitesh Nayak

    Sir mera AdSense disaprove ho gya hai meri site dekh ke bataiye kuch add karu ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko AdSense disapproved hone ka mail mila hoga. wo mail mujhe dikhao.

  12. Avatar for jaiveerdeepjaiveerdeep

    sir apke ads pe kitne click hue hai iska pata kese chalta hai.

    hamare sites pe jo ads show hote hai wo ham apni marzi se ads show nhi karwa sakte hai jaise muje mbl ke ads dikhana ho kese dikhaau.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense me ja karPerformance reports check karo. Aap responsive ads use karo.

  13. Avatar for ajayajay

    1000 site visit karne pe yaa 1000pageviews hone pe kitna earn hota hai AdSense se .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense ads par click karne ke paise deta hai. pageviews ke nahi.

  14. Avatar for shaktishakti

    sir me AdSense a/c YouTube se link karna chahta hu android mbl se kese kru plz bataye me cyber cafe nhi jaata aur abhi pc mere paas nhi h.

  15. Avatar for SurendraSurendra

    Problem solve ho gayi ! Ek question aor AdSense me $10 hone ke baad address verify ke liye koi notification aata hai kya ! Agar haan ! Toh meri earning $10 huye 5 din ho gaye hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha AdSense homepage par address verify ka message show hota hai. Agar aapki income 10 dollar se jyada hai to AdSense par ja kar settings gear icon>>payment par click karke apna sah iaddress bhar do.

  16. Avatar for SurendraSurendra

    Bhai ,aapne toh meri problem aor badha di kyu ki unclaimed wale opation Me toh meri site ka url set hai aor mai usko remove bhi nahi kar sakta kyu ki waha par remove karne ke liye koi bhi opation nahi hai.

    Lekin meri site par ads bhi show ho rahe hai aor ads par click hone wali earning bhi daily show hoti hai . mere blog ka traffic daily 500-600 pageview bhi hai aor mujhe toh iske baare me pata bhi nahi hai ki meri site unclaimed wale opation me add ho gayi .

    Ab aap mujhe bataye ki ab mujhe kya karna hai???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry isse koi problem nahi hai. Ye problem dusri id ki site par ads lagane ki wajah se hoti hai. Aap fir se claimed site me apni site ka link add karo.

  17. Avatar for surendrasurendra

    Hello bhai ,AdSense me ” site management ” wale selection me ” owned ” aor ” unclaimed ” ka kya matlab hai . aor unclaimed wale section me mere site ka url save hai ! Yeh koi blocking system toh nahi hai naa ! Reply me .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      unclaimed section me jo site hai. Us par aap AdSense ke ads nahi laga sakte. Kyuki ya to aapki site par traffic kam hai ya fir aapne AdSense ki policy todi hai.

  18. Avatar for devdev

    bro meri site abi is trah se nhi dikhti he kyo?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyuki aapki site par abhi 3 se jyada sitelinks nahi hai or aapki site par traffic bhi bahut kam hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...