Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. jise WordPress platform ke liye banaya gaya hai. WordPress par apna photo show karne ke liye aapko gravatar par profile banani padegi. uske bad aap WordPress blog par post or comments karoge to waha aapki image show hogi. is post me aapko iski puri jankari step by step milegi. jisse aap agle 5 minutes me gravatar profile ready kar sakte ho.
Bahut se blogger jo blogging me naye hote hai. unhe “WordPress comment me apna photo kaise idkhaye” ke bare me pata nahi hota hai. mai aapko is post me jo jankari de raha hu.
Use pad kar aap gravatar par account bana kar WordPress comment me show hone wale icon ki jagah apni photo laga sakte ho. jisse aapke alag pahchan banegi. or aap jis blog par comment karoge, wo bhi aapko aasani se pahchan sakega.
- Smartphone Ki Memory Badhane Ke 5 Badhiya Tarike
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
Table of Contents
Gravatar Kya Hai?
Gravatar ek “Globally Recognized” avtar hai. simply ye WordPress par aapki image ka avatar hota hai. jisse aapko site to site relation banane me aasani hoti hai. gravatar service ko Tom Preston-Werner ne 2007 me start kiya tha.
Is par aap sirf email id se account bana kar apna photo upload kar sakte ho. fir aapki sabhi WordPress comment (?jo aap pahle kar chuke ho or aage karne wale ho) par aapki image show hogi.
Gravatar Par Account Kaise Banaye
Gravatar par account banana bahut hi easy hai. aapko bas email id ki jarurat padegi.
Step 1:
sabse pahle aap gravatar.com site par jaye. or Create Your Own Gravatar par click kare.
- Agar aapke pas pahle se WordPress account hai to aap gravatar par apni WordPress ID se log in kar sakte ho.
- apna email enter kare.
- apna USERNAME select kare.
- Password choone.
- Sign up→ par click kare.
Step 2:
Ab aapke gravatar aapki email ID par ek message send karega. aapko us par click kar ke apna email confirm karna hai.
Jab aap email message me gravatar ke link par click karoge to aapko gravatar account ban chuka hoga. ab aapko is par apni photo upload karni hai. agar aap chahe to gravatar profile me ek se jyada email addpress add kar sakte hai.
Gravatar Par Apni Photo Kaise Upload Kare
Step 1: Gravatar site par ja kar log in kare or apni image par mouse le ja kar Add an image par click kare.
- Upload New: aap direct apne pc me se apna photo upload kar sakte ho.
- Form URL: aap apne blog me add apni kisi image ka link dal kar photo add kar sakte ho.
- Pat Upload: aapne jo gravatar par pahle image upload ki thi unme se profile photo choose kar sakte ho.
- From Webcam: agar aapke pas apni koi image nahi hai to aap yaha pae click karke abhi apni photo le sakte ho or gravatar profile par add kar sakte ho.
Set Up Your Gravatar Profile – Gravatar Profile Set Kaise Kare
Gravatar par aap aasani se apni profile ki setting kar sakte ho. jaise apna name or details, websites, email addpress. ye sab aap aasani se kar sakte ho.
- My Profile par click kare.
- apna first name or last name likhe.
- apna full name enter kare.
- aap WordPress pos or comment me jo name dikhana chahate hai, wo select kare.
- apni location set kare. agar india hai to india select karo.
- apne bare me thoda details me likhe, jo bhi aap likhna chaho.
- finaly Save Profile par click kare.
Isi tarah aap gravatar par apni site add kar sakte hai. ab jab bhi aap kisi WordPress blog par comment karoge to waha aapki image show hogi.
- Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aapko ye post pasand aayegi. or ab aap bhi apni image WordPress comment me dikhana chahenge. to abhi apni gravatar profile bana le. by the way aapko ye post kaisi lagi.
Or agar aapko gravatar ke bare me kuch puchna hai to niche commnet kare.
Nitesh
Bhai spam comment ke liye kya kre jo english ya dusri language ke hote hai ve sirf apni site ki link add krna chahte hai aur post se related comment bhi ni krte hai
जुमेदीन खान
akismet plugin use karo.
Neelesh
Sir aap multiple author ke liye koun sa plugin use kar rhe hai.
Agr yah setting aapko theme hai to eisa konsa plugin hai jis par multiple author be naam daal skate hai.
Jumedeen khan
Multi author feature already wordpress me hota hai. aap users >> add new option par ja kar new user profile create kar sakte ho.
Virendra maurya
good article and very useful thank you sir
shivam
sir Gravatar par account bnane k baad bhi mere image show nhi ho rahi
Jumedeen Khan
Picture show hone me time lagta hai kuch time bad ho jayegi.
Govind Prajapat
Sir gravatar PR account bana liya hai or my profile ko bhi set kar liya but commant me pic show nhi ho RHA hai jabki photo set kite huye 1 day ho gya
Jumedeen Khan
Aapki image show ho rahi hai. Gravatar par image upload karne ke bad kuch time bad image show hoti hai.
govind Prajapat
Sir mai gravatar PR account nhi bna pa RHA hu
Jab mai WordPress ID se Los in karta hu to password wrong btate hail
Jabki mera WordPress usi username or WordPress se opne hota hai. Please help me sir
Jumedeen Khan
Aap first wordpress par log in karo gravatar ki site open karo.
Mahendra
Hello sir gevatar muje jo email send karta hai vo muje milti hi nahi hai kinki mene apne WordPress par jo email diya hai vo admin@hindidit.com se hai
Sir me ye janna chahta hu ki is wale email par mail keise receive hoga
Jumedeen Khan
Aap hosting cpanel par ja kar email account create karo fir aap webmail.hindidit.com par ja lar log in karo yaha sare mails mil jayenge.
fawad
sir gravatar per acconut create kya ab show image nahi hwa to kya karooo…!
Jumedeen Khan
Garavatar par image upload kar use profile me par set karo uske bad next 30 minutes me aapko photo comment me show hoga.
mohammad safwan
Acha post hai bhaiyya..
ummed hai aap futur me humko aise hi sikhate jay or hum sekhte rhe…
Dev Kumar
shukriya sir ,
main is bahut dono se dhundh raha tha ,
aakhir aaj mil hi gayi ,
bahut shukriya
Sir ek acchi Template ka naam aur bata dijiye
Jumedeen Khan
Aap google me “top best template for blogger” likh kar search karo badhiya post wali post mil jayegi.
Rishikesh Mishra
Bahut hi achha .org wale bhi bana sakte hai bhai
ramesh singh
jumedeen bhai hamesha ki tarah bahut accha article likha hai aapne aur gravatar profile ke bare me isse logo ko kafi help milegi, thanks
Naresh
Sr meran image comments me kyu nahi
Aata hai maine gravatar me account bana Liya hai or success Gmail bhi milgya using kya ye services salu hone me time lagta hai
thakor naresh
Bhot badiya jankari share ki hai sr Aapke is
Post se muje mere blog me or jyada work karne Ko miliega thenks sr
Manoj Singh
hello jume deen ji
apki site par WordPress menu h us menu par click karte hi WordPress se related sare article open ho jate h me bhi WordPress par blog bana raha hu xampp software use karke but usme ye menu nhi ban raha h
Jumedeen Khan
Ye menu maine design nahi kiya hai ye pahle se mere blog ki theme me hai.
Md Arman Mallick
Hii sir Mera pass ek post hai kya isko apane site par dalne do ge post hai ke WordPress par paid version free mein kaise use kare aur apna free domain names ke shat ager app ko mazak lag rha hai to Mera site par ja kr dekh lo free mein WordPress par blog hai hosting ke shath
Jumedeen Khan
Aap mujhe admin@supportmeindia.com par post send kare. mai check kar ke aapko reply karunga.
Pramod
good infometion jumeen khan i like thish your tips verry nice dear
barkat
Hello sir Muje puchna tha ke jaise Apne btya ke WordPress par Aise karte hai to blogger. com
par mera hai is par blog toh Muje bata Sakte kaise karte hai blogger par image show ho
Jumedeen Khan
aap apne google plus profile par apna photo upload karo. blogger comment me aapka photo show hone lag jayega.
dev
bhyi aap 1 mughe link me apki sabi post dikhyi de me 1 hi page par sabi post ka link chahta hu mil jayega kya? apki sabhi post
Jumedeen Khan
humar isabhi post ki link list ke liye yaha click kare. Support Me India All Post Link List
Ravi Kumar
aap ne apne menu bar ko jo color kiya hai, background black aur text white wo kaha se hota please guide
Jumedeen Khan
Blogger template ki coding me se hota hai.
mo naseem kassar
sir mera naam mo naseem hai mai aapki sabhi post ko padhta hu aur ek achha blogger banna chahta hu aur aaj mai aap se ye poochna chahta hu sir aapki har post par ek border aata hai lekin meri post par wo border nahi aata hai sir please help me
Jumedeen Khan
Meri re par bahut sare borders hai. Aap kiski baf kar rahe ho.
Gangwar
Ok sir thanx but maine kuch post likhi h jo mujhe thik nhi lagti h aur dushari baat ye ki main un post ko dalate karna chanta hun jo lagta h ki ye jaankari dushari website par to bo post maine to main sikh raha tha ab main aisa kuch likhna chanta jo alag ho dushari sit par na ho aur unhe dalte karna chanta hu jo purani maine likhi thi to kya main unhe dalte kar sakta hu kya ishse AdSense ya search rank par koi asar padhega dalte karne ke koi rule hote h plz aap mujhe todha datials se bataye
Jumedeen Khan
Post delete karne se aapki traffi ka ho jayegi. Or kuch nahi hoga. Yad rahe mai aapko post delete karne ki advice nahi de raha. Aapki marzi
Parvez
Thanks bhai bohuti acchi post hai, mujhe bohut accha laga iss post ko parkar.
prakash
aapne select category ka widget kaise lagaya
Jumedeen Khan
blogger layout par jao or add a widget par click karo. ab label select kar dshow drop down par tick karke widget ad kar lo.
prakash
hello sir
sir aapne apne blog me select category ka option ka widget kaise lagaya kya aap mujhe bata sakte hai
Amit
Sir is wakt main blogger par hun par traffic nai hai.
Isliye WordPress pe aane Ki soch raha Hu.
Kya mera WordPress par aane se traffic improve hoga.
Jumedeen Khan
Nahi. traffic WordPress or blogger dono par aa sakta hai. aap pahle traffic badhao tabhi WordPress par move karo. mai traffic ke bare me bahut post kar chuka hu. wo pada karo.
amit
bhaii jab bhi me template upload karta hu ye naam aata h or mene xml me bhi kar di file “We were unable to save your template.
Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
Content is not allowed in prolog.”
Jumedeen Khan
aap jo xml support template upload kar rahe ho wo crapt hai. koi dusri xml format ki template use karo.
dev
bhyi apne meri jitni abi tak help ki he me uska sukraguzar hu bas mughe yahi kami he ki me q jayada karta hu agar apko meri taraf se koi prblm ayi ho to plz mughe maaf kar dijiyega. or me dua kaunga ki aap us uchayi tak pahuche jaha apne socha he or me hamesha yahi umeed karunga ki plz aap meri help karte rhe or me puri kosis kiya karunga ki apse kam swal kiya karu? apka daily reader Dev
Jumedeen Khan
Dev aap kitne bhi sawal pucho mujhe usse koi problem nahi. magar aap har kam jaldbazi me karte ho. or 10 day ka kam 1 din me hone ki ummid rakhte ho. jo mere hisab se galat hai. agar koi kam na ho or aap uske bare me kisi se pucho or wo aapko uska jawab de to uske jawab ko ache se pado, samajho or acha lage to follow karo.
Ravi Kumar
navigation menu ki code kaha se milegi kya aap ke pass hai, please mujhe thoda details me process bataye.
Jumedeen Khan
thoda wait karo. mai iske bare me post share karunga.
Gangwar
Sir mera problem ye h ki aap ne bataya h ki AdSense ke ads photo ke beech me na lago lekin mera blog 1 year se bhi old h aur jab main erng wale option me only sidbar par save karta hu to bo autometic hi save change ho jati h aur bo show ads on blog ka option band ho jata h lekin maine code AdSense se lekar alag se laga diye to kya bo ads show honge agar blog me bo option off hoga dushari baat 300 se 500 tak page view hote h aur ak bhi post copy nhi ki blog bhi purana h fir bhi 2 din ho gaye ads show nhi ho rahe sir plz help karo
Jumedeen Khan
aap ek ads code homepage par or dusra us post me lagao jis par sabse jyadas views aate hai. yani apni site ki sabse popular post me. thoda wait karo. AdSense aapko mail send karega.
Ravi Kumar
sir jaise aapne apne blog me jub post ki end me older post aata hai uske jagah pe aap number(1,2,3,4 next) ye kaise hoga please
Jumedeen Khan
Uske liye aapko blog template me navigation menu ki coding add karni padegi. Ya fir blog ki template change karo or wo template use laro jisme pahle se 1,2,3,4 ka navigation menu add ho
Amit
Sir, aapne subscribe news letter ke liye kaun si plugin use ki hai
Jumedeen Khan
Koi bhi nahi, maine subscribe widget code use karke lagayi hai.
Vinod K. Singh
achhi jankari….logo ki help karte rhiye……gravatar photo ko email se jodne ka best upay hai…..gravatar se hi mera photo comments ke sath dikhayi de rahi hai.
Chakradhari kumar
mera sawal Ye hai ki aapke site me kuch post ke sath powered by Google likha hua h ye kis liye hai aur iska fayda kya h…..?
Jumedeen Khan
Ye google AdSense ke links ads hai.
prakash
sit
maine pasco template use kiya hai par usme posted by ki jagah only by likha hai jaise by prakash aur mujhe apna naam hide ya delete karna par usme naam delete nahi ho raha please help me me bahut baar koshish kar chuka hu phir bhi naam delete nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Aap jab template me posted by y by likh lar search laroge to by ke samne authorname ki coding hogi. Use remove karna hai. Ye aap tabhi kar sakte ho. Jab aapko blogger ki coding aati ho. Thoda wait karo mai template design ki servise karne wala hu.
shakti
hello agar hamare blog me AdSense ke saath dusree kisi ka ads jaise chitika kaa yaa kisi kabhi lagaya to usme kis ads pe click hue hai aur jo paise milte hai wo dono me alag alag click hone par milte hai.
2)ytub pe koi ads click na kare tab bhi jo money milta hai wo indian rate me kitna milta hai.
Jumedeen Khan
Aap adsenss ke sath chitika use nhi kr sakte, warna aapka AdSense account block ho jayega.
Youtube se $ mw earning hoti hai. Abhi $1 ke 66 rupees milenge
juzer
sir muje ye janna hai ki jab koi hamara vdo naa dekhta ho to bhi views show hote hai maine apko bataya tha ki maine copyright vdo upld ki thi usme 49 viewz show ho rhe tha to hamara vdo search baar me aaye tab bhi views aate h yaa phir sirf vdo watch karne par hi ayenge viewz.
Jumedeen Khan
Sirf video watck karne se hi views aayenge
prakash
sir mera ytub se sawal hai jab hamare koi vdo 30seconds se zayada dekhta ho lekin ads pe click na karta ho to bhi income hogi to kitni income hogi 100$ ke hisaab se india me kitna inr hai ye bata dijiye.
Jumedeen Khan
Agar jab 1000 visitors aapki video dekhe chahe ads par click na kare to bhi aspki $1 se $5 income higi.