Facebook Par Apna Profile Name Hide Kaise Kare – Invisible Name

Hello friends, I am sorry ki mai pichle kuch time se article nahi likh pa raha tha but aaj mai aapke liye aysi facebook trick le kar aaya hu. Jisse aap apne facebook profile name ko Hide, Remove kar sakte ho. Without Name se facebook account bana sakte ho.

Hide facebook profile name

Hello sir mai apne facebook name ko chipana chahata hu. Iske liye mujhe kya karna hoga. Plz help” Ye sawal mujhse aryan sharma ne last day ko pucha tha. Wakai mai ye sawal mujhe pasand aaya or mai iska jawab aryan ke sath aap sabhi ko is post ke throw dena chahunga.

Aapne facebook par kuch logo ke singal name se account dekhe honge. Or kuch logo ki bina name ki profile bhi dekhi hogi. Ye sab dekh kar aapke man me bhi ye bat aati hogi ki kash mai bhi aysa karke apne dosto ko surprise de sakta.

Don’t worry aaj is article me mai aapko in sabke bare me details se btane wala hu. Is post ko padhne ke bad aap facebook par apni facebook profile name ko chupa (hide), remove or delete kar sakte ho. Ye trick is time kafi popular bhi hai. Isliye aap bhi is trick se apne friends ko chokka sakte ho.

Facebook Par Apna Profile Name Hide Kaise Karte Hai – Make Invisible Facebook Profile Name

Aap chaha to ye setting uc browser or firefox jo bhi aapko pasand ho me kar sakte ho. Mai yaha aapko dono ke bare me bta raha hu.

Option 1: UC Browser:

Sabse pahle aap uc browser ka web version open kare.

Ab apne browser ki setting me jaye or proxy and port setting me ye proxy code add kare.

  1. Proxy: 219.083.100.195
  2. Port: 8080

Ab save setting par click kare.

Option 2: Mozila Firefox

  1. Sabse pahle apne PC me firefox browser open kare. (yaha mai aapko firefox ke lasted version ke bare me bta raha hu.)
  2. Ab right side me three line ke  par click kare or options par click kare.
  3. Ab Advance > Network > Settings par jaye.
  4. Ab “Manual Proxy Configuration” ke samne tick kare.
  5. Ab proxy me 118.98.35.251 add kare.
  6. Port me 8080 add kare.
  7. Fibally setting save kar de.

Ab hume facebook par ja kar apna name hide karna hai uske liye ye step follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap apne facebook account ko Facebook Mobile Version me open kare.

Step 2:

  1. Ab Account setting me jaye.
  2. General par click kar language par click kare.
  3. Ab Indonesia bhasha select kare.

Step 3:

Ab name change setting me jaye or first and last name ko remove kare or ye code copy kare.

  1. Ab apne first name me ye kﱞﱞﱞk copy karke paste kare.
  2. Copy karke paste karne ke bad isme se “k” letter ko remove karke setting save kare.
  3. Yaha aapse password ke liye pucha jayega apna password confirm kare or setting save kare.

Step 4:

Ab fir se language setting me jaye or english bhasha select kare.

Done, bas ho gaya. ab aap check kar sakte hai ki aapka facebook profile name hide ho gaya hai.

Note: Agar aap upar diye kﱞﱞﱞk letter ki jagah direct keyboard se “kk” add karoge to ye trick kaam nahi karegi. Aap upar diya code hi use kare.

Is tarah se aap apne facebook profile name ko delete or hide kar sakte ho. Agar aapko ye trick pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (121)

  1. Sir hum apni facebook id se group me kitne massages kar sakte he koi limit he

    • No limit but time se karo ek sath bahut sare nahi.

  2. Good article, aapka writing skill bahut achha hai.

    Aap muze yah bataiye ki yah trick Google crome par kam karega kya and karega to kaise karega. trick bataiye

    • yes karegi aap try karke dekhe.

  3. Mera facebook account delete hone wAla hai
    WO delete se bachane ke liye friends photo identify kara rhe hai
    Per mujhe face nhi pehchan pa RHA ho
    Facebook I’d se mera page attached hai ab use login kaise karo
    Please help
    Please

    • Aap other verification option par click kar apne identity card ka screenshot upload karo account verify ho jayega.

  4. Sir mane ek id banai ha mujhe uspe apna number hide karna hai kase hoga plz

    • Profile setting me jao or number ke smane privacy par click karke only me select karo.

  5. Sir kya profile pic hide ho sakti hai kya

    • Yes ho sakti hai aap profile pic ki privacy me only me select karo.

      • agar koi mujhe pic ya status teg kare to mei apni timeline se kese delete karun ya only me karun plzzz help me

        • Aap only me karo. Uske bad koi aapko tag karega to wo post sirf aapko dikhayi degi.

  6. Sir ,add friend ke option ko hidden kese kr shkte hai……? Plz tell mi

    • Aapni profile me jao or friends par click karke privacy icon par click karo or only me select karo.

  7. Sir ye ek ulta sawal hai but mere dimag me chal raha tha aisa, q ki technology pe bharosha nahi kiya ja sakta kya hum khud apne friends ke request apni id pe manga sakte hai

    • Amit ji aysa nahi ho sakta. Halanki site developer aysa karna chahe to kar sakte hai but isse koi fayda nahi hai. Ulta nukshan hi hai.

  8. sir mai apne page ko apni facebood id status k sath tag krna chati hu jaise hum apne frndz ko apni post k sath tag krte h

    • ha kar sakte ho aap desktop version ya facebook app me @Jumedeen Khan is tarah se kisi bhi page ya person ko tag kar sakti ho.

  9. sir, yah trick uc browser mini por work karega kya ?? Facebook profail name delete karna ??

    • Nahi sirf desktop me work karega.

  10. Google Adwords Keyword Planner Tool YouTube videos ke liye bhi use kar sakte hai kya

    • Ha kar sakte ho.

  11. Bro lakin meri site pe 15 post hai to ye content ki kami kyu bta ra nd ab mai kis tarike gogglesAdSense apply karunga

    • SEO friendly post likho. Ek post me kam se kam 1000 words use karo.

  12. kya .tk domain se adsesense apply ho sakta hai

    • Ho sakta hai or nahi bhi. AdSense ke rules me .tk domain nahi hai.

  13. Please Maine Jo post write karne le liye kaha tha write kar dijiye Maine apko 20 day pahle kaha tha aur apne 15 tarikh ko time diya tha me post ki wait kar raha hu write kar dijiye please

    • Sandeep bro. aaj ya kal aapke liye post kar dunga. aap really me bahut wait kiya hai.

  14. ye kya hai blog ke deshboard me dikha raha hai,
    An update to the Blogger post editor to help with mixed contentposted byGoogle Blogson theofficial Blogger blogBack in September, we announced that HTTPS support was coming to blogspot.com, making it possible for you to encrypt connections to your blog; since then, many of you have enabled HTTPS for your blogs. In some cases, not all of your blog’s functionality has worked over HTTPS due to mixed content errors often stemming from your template, gadgets, or blog post content. To help spot and fix some

    • Google aapse http security ko use karne ke liye kah raha hai. Aap is message ko ignore kar sakte ho.

  15. Sir maine apne post ke link Google mai index kar de hai , par 1 din baad us link ko Google Mai search Kiya to error Aaraha Hai Kaya problem Hai batvo sir

  16. Sir mere Google AdSense ka PIN aa gaya hai, aur Maine apne blog bloggergalexy.blogspot.com se abhi tak 40$ earn kar chuka hu. Sir ye Paisa apne account me kaise transfer karte hai.

  17. hello sir mere blog mein link kaisee judenge alexa widget mein no data kaise hatega

  18. aapke mail pe Maine ek guest post bhej di hai,

    • k mai check kar ke aapko reply karunga.

  19. Jumedeen Khan ji mai mere blog post me ek hi bar h1 heading ka estmal karata hu. h2,h3 estmal nahi karta. kyu uski muze jarurat nahi padti. to ese black hat seo to nahi kahte na.

    • Nahi aap bilkul sahi kar rahe ho. aap post me sabse first me h1 or post me h2 title use kiya karo.

  20. Adsense ka Hosted acount h.
    Blog par ads. kaise lgaye.
    Ads. ko aprove hone me kitna time lag skta h.
    Blog ko bnaye 2 month huye h ads. lga skte h kya hosted acount se.