WordPress platform par blog banane ke liye aapko hosting ki jarurat hoti hai. Bahut si websites hosting provide karti hai. But hostgator or bluehost sabse jyada popular hai. Jaha tak mujhe pata hai hindi blog ke liye hostgator ki hosting best services deti hai. Agar aap hostgator ki hosting use karte ho to is tutorial me aapko hostgator par add on domain add karne ki details me information milegi.
Agar aapne hosting nahi li hai to pahle aap Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Article padh kar hostgator se hosting buy kare or Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare post padh kar hostgator par WordPress blog install kare. Yaad rahe mostly blogger baby plan use karte hai jisme sabkuch unlimited hota hai.
Jab hum hosting lete hai to hume uske liye ek domain ki jarurat padti hai. Or agar aapke pas pahle se domain hai to aapko wo domain hosting company par provide karna padta hai. Iske liye aapko domain site par DNS record add karna hota hai. Exaply aapne hostgator se hosting li hai or godaddy se domain liya hai to aapko godaddy site par hostgator ka diya DNS record godaddy site par add karna hai.
Mai is article mai aapko DNS record ko add karne ke sath hostgator par add on domain yani jisse humne hosting li hai usse alag dusra domain kaise use karte hai. Ye kuch sawal hai jinke jawab aapko is post me mil jayenge.
- Hostgator Par Multiple Domain Kaise Use Kare?
- Hostgator Par DNS Record Kaise Manage Kare?
- DNS Record ko Domain Site Par Kaise Add Kare?
- Hostgator Hosting Par Other Domain Kaise Add Kare?
- WordPress Par DNS Management Setting Kaise Karte Hai?
By the way, Ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki is post me hum kiske bare me bat karne wale hai or aapko isme kis tarah ki information milne wali hai. So read carefully.
Hostgator India Hosting Par Additional Domain Kaise Add Kare
Agar aapke pas hostgator ka baby ya business plan hai to aap hostgator par unlimited domain use kar sakte ho. To chaliye ab mai apne topic par aata hu or bat karta hu ki kaise hum hostgator hosting par add on domain manage kar sakte hai.
Sabse pahle aap hostgator par apne cpanel par jaye or apni ID se log in kare. Iske liye aap ye link bhi use kar sakte hai. “Yourdomain.com/cpanel” yaha aapko wo domain use karna hai jisse aapne hostgator se hosting li hai.
- Ab aap scroll down kijiye or Domains options me Addon Domains par click kijiye. Aap chahe to left side search box me addon type kar ke bhi is features ko search kar sakte hai.
Ab jo page khulega. Usme aapko apna domain add karna hai.
- Apna new domain add kare. Yaha aapko www ya http ke bina doamin add karna hai. or agar aap chahe to “subdomain or FTP Username” ke samne apne domain ke liye username chage kar sakte hai ya fir domain ka hi username set kar sakte hai.
- Domain ke liye password set kare.
- Add domain par click kare.
Ab aapka domain to hostagator par add ho chuka hai. But abhi ye kaam nahi karega. Iske liye aapko domain site par hostgator hosting ka DNS record add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Hostgator Hosting Par Domain DNS Record Kaise Manage Kare article padhiye. Isme aapko domain DNS record server ki puri setting karne ki jankari mil jayegi.
Isi tarah aap hostgato hosting par unlimited domains add kar sakte ho or ek se jyada WordPress blog install kar sakte hai. or agar aap se kahi koi galati ho jaye to aap domain ko remove kar fir se add kar sakte hai. Iske liye aap hostgator cpanel > domains > addon domains par jayer or domain ke samne remove par click karke domain ko delete kar de.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
I hope aapko is post me di gayi jankari pasand aayegi or aap isko follow karke hostgator par par additional domain add kar sakte ho. Or agar aapke pas is bare me koi or information ho ya fir aap is post se related koi sawal puchna chahate ho to comment section me apne vichar share kar sakte ho.
Plz feel free and share this article with other WordPress user and sharew this post on social media with your friends.
Mintu
Bhai you are doing great job very helpful post.
Mera question hai main domain purchase kiya hostgator.com se and hosting hostgator.in se baby plan usme 2 ad on domain h to Kya hm 2 domain aur chla skte h
Manage domain me name server 1 and 2 change kr Diya next ab next ab kya kya krna h please btayen.thank you
Jumedeen khan
Yes, lekin multiple website host karne se server par load padega.
Aman
hello sir pls tell me me hostgator ka shared hosting use kar rha hu. or primary domain par cloudflare ka free ssl (https) install kiya hua hai. ab kya me apne addon dimain par bhi cloudflare se free ssl install kar sakta hu?
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho, no problem.
Neelesh
Sir, me hostgator ka baby plan use kar rha hu. Jis par 2 domain add hai. In dono domain me se ek domain Add On domain hai. Jis par 7k pr day traffic aa rha hai.
Lekin mujhe is add on domain ka ab hostgator ke vps plan par migrate karna hai. Jise liye aapki dwara likhi hui (wordpress blog ko another par kaise migrate kare) yah Post read kar li hai.
Par problem sir backup lene me aa rhi hai main jab hosting ke cpanel me jakar backup leta hu to dono blog ka data ka bachup saath me create ho jata hai.
Mujhe sir, aap guide kare ki sirf addon blog ka backup kaise liya jata hai. Kya yah possible hai ?
Agr addon blog ka sirf backup nhi liya ja sakta hai. To kya dono blog ko saath me vps server par migrate Karna padega.
Jumedeen khan
Aap file manager me ja kar addon domain file ki location par jao aur wp-content ka backup le lo uske bad addon domain ke database ka backup le lo. Ab aap VPS hosting par wordress install karo aur uske database file ko delete kar addon domain ka database import karo, same aese hi wp-content file ko delete kar uski jagah addon domain ka wp-content file replace karo uske bad wp-config.php me jao aur apne database ke username aur password and prefix set karo. Done!
sankalp
Bhai Hm multiple sites alag alag category ke aik hi host plan par host kar skte hai kya kyoki alag alg karenge to paisa bahut chala jayega….
Jumedeen khan
yes kar sakte hai.
ashutosh pandey
sir mere hostogar par add domain ka option nhi aa rha hai
Jumedeen Khan
contact hostgator team.
shivaaysingh
Hello sir , main ye janana chahta hu ki sub domain kya hota hai .
Jumedeen Khan
Example ye domain hai or ask.example.com isme ask subdomain hai.
naeem
Dear sir meri site . Alvitravels.in hai main domain our hosting godaddy se use karta hu ab meain apna main domain name change ker sakta hu ya nahi our ker sakta hu to kase
Sir aap meri site dekhker bata sakte hai theek hai ya nahi
Jumedeen Khan
Bahut achhi site hai bilkul kar sakte ho godaddy se hi new domain le kar us par wordpress blog install karo or old blog ka backup usme import kar do, finish.
ravi kumar
sir mai jab addon domain me jakar domain add kar rara haun to bol rha hai your main domain not park kaise hoga sir.
Jumedeen khan
Sahi se steps follow karo or problem ho to apni hosting ke support staff se bat karo.
Yasir Khan Saqlaini
Bhai ek kami hai. hostgator hosting par Domain Dns record kaise manage kare me aapne domain add karne wali link add kardi hai bar bar yahi post open ho rahi hai
Jumedeen khan
Fixed.
Yasir Khan Saqlaini
aaj mai pahli baar kisi blog ki tareef karunga bhai. aap jis post ko bhi likhte ho breifly explain karke likhte ho. i really love it thank you so much for all of this.
shubhra dey
Bhai mene pehle hostgator se domain lia aur WordPress ko hosting par install kia uske baad godaddy me jakar hosting ka server bhi add kia par abhi jis article me mene comment kia hai usme aapne bataya ki hostgator me domain kaise add karte hai, to mera sawal ye hai ki kya mujhe bhi ye process follow karna hai kyu ki mene ek baar try kar chuka hu to hostgator me dikhata hai you can not park your main domain aur mera site open karne se ab WordPress open hota hai plzzz help me bro, mujhe bataye ki ye process ke bina kya domain add ho jata hai…
mene to WordPress install karte waqt dia tha apna domain
Jumedeen Khan
Aap jab hosting lete ho to aapko ek main domain add karna hota hai us domain ko fir se add karne ki jarurat nahi hoti bas aapko us domain ki setting me apan hosting server DNS record add karna hota hai ye process alag se add on domain add karne ke liye hai. Iski jarurat tab padegi jab aap ek or blog hosting par install karoge.
Naresh
Sir mene godady se domain liya or HostGator se baby plan hosting kharidi 3 mahine ki
Fir mene nameserver copy kar ke godady domain DNS par namserver add kiya tab se 48 hour se meri. Site open kar raha hu to open nhi ho rahi hai or esaa likha hua show ho raha hai
This Website is Under Construction.
Come Back Soon.
Kya karu sir.
Jumedeen khan
Apni website ka link btao.
Naresh
Koi solution hai ya nhi ha ya na ka jawab to do.
Jumedeen khan
Aapse maine domain ke liye bola tha but aapne nahi btaya to aapko kya reply karu.