WordPress platform par blog banane ke liye aapko hosting ki jarurat hoti hai. Bahut si websites hosting provide karti hai. But hostgator or bluehost sabse jyada popular hai. Jaha tak mujhe pata hai hindi blog ke liye hostgator ki hosting best services deti hai. Agar aap hostgator ki hosting use karte ho to is tutorial me aapko hostgator par add on domain add karne ki details me information milegi.
Agar aapne hosting nahi li hai to pahle aap Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Article padh kar hostgator se hosting buy kare or Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare post padh kar hostgator par WordPress blog install kare. Yaad rahe mostly blogger baby plan use karte hai jisme sabkuch unlimited hota hai.
Jab hum hosting lete hai to hume uske liye ek domain ki jarurat padti hai. Or agar aapke pas pahle se domain hai to aapko wo domain hosting company par provide karna padta hai. Iske liye aapko domain site par DNS record add karna hota hai. Exaply aapne hostgator se hosting li hai or godaddy se domain liya hai to aapko godaddy site par hostgator ka diya DNS record godaddy site par add karna hai.
Mai is article mai aapko DNS record ko add karne ke sath hostgator par add on domain yani jisse humne hosting li hai usse alag dusra domain kaise use karte hai. Ye kuch sawal hai jinke jawab aapko is post me mil jayenge.
- Hostgator Par Multiple Domain Kaise Use Kare?
- Hostgator Par DNS Record Kaise Manage Kare?
- DNS Record ko Domain Site Par Kaise Add Kare?
- Hostgator Hosting Par Other Domain Kaise Add Kare?
- WordPress Par DNS Management Setting Kaise Karte Hai?
By the way, Ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki is post me hum kiske bare me bat karne wale hai or aapko isme kis tarah ki information milne wali hai. So read carefully.
Hostgator India Hosting Par Additional Domain Kaise Add Kare
Agar aapke pas hostgator ka baby ya business plan hai to aap hostgator par unlimited domain use kar sakte ho. To chaliye ab mai apne topic par aata hu or bat karta hu ki kaise hum hostgator hosting par add on domain manage kar sakte hai.
Sabse pahle aap hostgator par apne cpanel par jaye or apni ID se log in kare. Iske liye aap ye link bhi use kar sakte hai. “Yourdomain.com/cpanel” yaha aapko wo domain use karna hai jisse aapne hostgator se hosting li hai.
- Ab aap scroll down kijiye or Domains options me Addon Domains par click kijiye. Aap chahe to left side search box me addon type kar ke bhi is features ko search kar sakte hai.
Ab jo page khulega. Usme aapko apna domain add karna hai.
- Apna new domain add kare. Yaha aapko www ya http ke bina doamin add karna hai. or agar aap chahe to “subdomain or FTP Username” ke samne apne domain ke liye username chage kar sakte hai ya fir domain ka hi username set kar sakte hai.
- Domain ke liye password set kare.
- Add domain par click kare.
Ab aapka domain to hostagator par add ho chuka hai. But abhi ye kaam nahi karega. Iske liye aapko domain site par hostgator hosting ka DNS record add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Hostgator Hosting Par Domain DNS Record Kaise Manage Kare article padhiye. Isme aapko domain DNS record server ki puri setting karne ki jankari mil jayegi.
Isi tarah aap hostgato hosting par unlimited domains add kar sakte ho or ek se jyada WordPress blog install kar sakte hai. or agar aap se kahi koi galati ho jaye to aap domain ko remove kar fir se add kar sakte hai. Iske liye aap hostgator cpanel > domains > addon domains par jayer or domain ke samne remove par click karke domain ko delete kar de.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
I hope aapko is post me di gayi jankari pasand aayegi or aap isko follow karke hostgator par par additional domain add kar sakte ho. Or agar aapke pas is bare me koi or information ho ya fir aap is post se related koi sawal puchna chahate ho to comment section me apne vichar share kar sakte ho.
Plz feel free and share this article with other WordPress user and sharew this post on social media with your friends.
Namdev
Step by step WordPress par shift hone ke liye kya ye step bilkul sahi hai
1 First muje hosting leni hai
2 hosting site se WordPress install karna hai
3 blog ko WordPress par transfer karna hai
4 Iske baad is post me jo diya hai wo krna hai 5 or laast me domain site par DNS record add karna h
kya bilkul aise hi krna hai plzz btana koi step aage piche hoga kya koi problam hogi ya ye sbhi step ok hai
#2 Ye b btana kya WordPress pr aane k baad domain ka username change kar skte hai mera matlab hai example.com isme jo example likha hai uski jagah dusra name eddit kar sakte hai ya nahi
#3 WordPress pr jo free blog banaya tha baad me usko delete kar dena thik hoga WordPress par shift krne k baad
# Agr free hosting lekr blog ko WordPress par shift kru to kya baad me yaani jab tak free hosting khatam hogi kya uske baad asaani se hosting kharid sakta hu ya nahi free hosting use krne ke baad kitne day ka gap nhi de sakte ye b btana plzz
muje reply ka intzar hoga or aap sabki itni jaldi or achhe se jo help karte ho uske liye meri tarfse salute to bnta hai
thanx
Jumedeen Khan
1. ha bilkul ayse hi karna hai bas 4 step 3 srtep se pahle follow karna hai. I mean dns recod pahle add karna hai uske bad blog migrate karna hai.,
2. Ha kar sakte ho. Aap iske bare me apni hosting care se help le sakte ho.
3. Aap jab complete process kar lo to delete kar dena. But yaad rahe pahle aap apna WordPress blog achhe se set up kar le.
4. Mai aapko free hosting ke liye suggest nahi karta. Becoz blog ko bar bar migrate karne se achha hai aap ek bar paid hosting le kar WordPress par blog shift karo. Isse aapko bar bar mehanat nahi karni padegi or free hosting me koi problem bhi ho sakti hai.
ankush
mane ak domain godaddy se karida tha abi uske expire hone me 9 months baki hai kya mai usi domain ke sath hostgator ke sath ek WordPress website kase banau please reply
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho.
Utpal
Bhai mei ek question puchna sahta hu… Jaise ki hum blogger mei agor blog banate hai to custom domain site me dns record aur cname add karna padta hai….
agor WordPress mei blog banaye to custom domain site me kiya kiya setting karna padta hai?
Dns setting kiya cpnel mei rahta hai?
Jumedeen Khan
WordPress me aapko hosting name server domain site par dns record me add karna hota hai. Iska tarika isi post me btaya hai.
sameer
maine abhi new apni site create ki mujhe pata hai ki abhi zyada traffic nahi hogi to aise me ham konsa plan choose kare aur kitne month ka aur kaha se domain or host le
Jumedeen Khan
Aap hostgator ek ya 3 month ka baby plan le lo. agar aapke pas credit card hai to aap hostgator.com se lo ya fir aap hostgator.in se le lo jis par aap atm card use kar sakte ho.
sameer
sorry bhai main bas aapse ye puchna chahta hu hosting or domain par kitna pay karna padega its my first time to purchase a domain little bit confusion is creates on my mind
Jumedeen Khan
Sameer mere bhia aapko ye kei bar bta chuka hu ki 700-800 me hosting milegi or 99 me domain.
sameer
go daddy pe 99 domain and hosting lene par ye msg show hai
Hosting is included with Basic Managed WordPress
iska matlab kya ham apni site word press se managed karenge ya khud bhi kar sakte hai agar hame coding aati hai to
Jumedeen Khan
Sameer aapko agar ko smajhaye to aap uski batr par focus hi nahi karte ho sirf apni sunate ho. Mai aapse kah raha hu ki aap godaddy se domail le kar hostgator se hosting le lo. Its simple work but aap bina wajah ise hard bana rahe ho.
sameer
Multi Domain Linux Hosting (India)
Unlimited Domains , Unlimited Space , Unlimited Transfer & Email 1 yr 455 pr month
ye to hosting hui na bhai
or domain ka 1 yr ka 699 show horaha hai
Jumedeen Khan
Nahi ye 699 ka hostgator business plan hai. Jisme aapko monthly 100 rupees tax charge lagta hai yani aapko monthly hosting 800 rupees me padegi. Agar aap 1 year ka plan lete ho to to kuch offer mil jayega. Second isme aapko apna domain use karna hoga. Aap godaddy se 99 me hosting le sakte ho.
sameer
hostgator par baby plan 699 pr yr bata raha isme hame hosting bhi milegi ya sirf domain register ka rupees bata raha hai please explain me
Jumedeen Khan
Isme aapko sirf hosting milegi domain nahi. Domain aapko alag se lena padega.
murari
1.sir mene hostgator se hosting le li hai or WordPress bhi install kar liya hu.
2.sir mene abhi domain nahi liya hai.
3.mere ko godady se domain lena hai.
4.fir hostgator ka diya DNS record godaddy site par add karna hai kese.
Jumedeen Khan
Murari hum domain ke bina hosting nahi le sakte. Aap ye kya kah rahe ho.
Kamran Mehmood
hi sir sir meri ye site addon domain pay hai pricesplace.com/ sir mein ise main domain kaisy bna skta hon????
Jumedeen Khan
omain kharid kar apne blog me add karo.
Mo uzair
Sir mene goddady se domain liya hai or hosting hostgator se sir me apna domain hostin me kaise add karu or kya kya kana hai detail me batana please
Jumedeen Khan
Is postyme yahi jankari di gayi hai. Jara ek bar padh kar dekh lo.
jitender singh
Sir mera thoda samz nhi aya hai ager Hum other domain add karte hai toh DNS phir se add karna hoga us domain ka
Aur ek hi WordPress pe work karega ya alag alag domain k liye alag WordPress intall karna hoga.
Thoda details mai bata dijiye muje toh WordPress samz nhi aa rha hai bilkul
Aur maine HostGator se help leni chaiye mager wo khene lage humhe WordPress ki zada janakri nhi hai
Ab aap hi batao mai kiya karu
Jumedeen Khan
Aapko alag alag domain par alag alag WordPress blog install karna hoga. Mai aapko kya samajhau. Aap wo btao. Aapke jitne bhi sawal hai. number ke sath comment karo. mai aapko sabka reply kar dunga.
jitender singh
Acha sir kal puchunga iss time toh mai duty pe hu.
jitender singh
Hostgator hosting pe Dns kasie record kare toh sir apke iss link pe 404 not found kar k aa raha hai..
Please wo link de dijiye jis se Dns record kiya jaa sake
Jumedeen Khan
Jitendra aap hostgator customer care me call kar lo wo aapki sari problem solve kar denge.
sunil bhargav
sir mera domain lene se pahle jo jo free ka url tha use open karne par show ho raha h ki “Blog has been removed” ab phir se usko kaise set karu taaki meri pahle wali post open ho sake
Jumedeen Khan
old domain ko fir se blog me add karo. Jaise aapne pahle add kiya tha.
garima thakur
nice post
deepesh
hello sir ager hamare pass sirf 1 domain hai to usse bhi esi tarah se set karna padega kya
our sir aapka whatsaap no kya hai
Jumedeen Khan
Nahi wo aapka primary domain. Uska bas aapko dns code domain site me add karna hai.
hari narayan
Sach me ye bahut upyogi hai mere liye.. mai kab se isi topic par search kar raha tha
Rahul yadav
Shukriya, sir aapne post publish ki.
saqlain
Kya go daddy se domain name lene ke baad blogger par blog ke liye hosting zaruri hai bhai?
Jumedeen Khan
Nahi blogger par aapko hosting ki jarurat nahi padti hai. Blogger bilkul free hai.
Sandeep kumar
Copyright @2016 ke jagah change kaise karte hai.
Jumedeen Khan
action.php me ja kar kar sakte ho.