Adsense hindi blogger ke liye sabse best ad network hai. In my case, Mai already ek AdSense user hu or last kei month se google AdSense advertising program istemal kar raha hu. Is samay mai maine AdSense ke bare me bahut kuch sikha hai. Or usme se kuch tricks aapko bhi btayi hai. Aur is tutorial me hum bat karne wale hai ki apne WordPress blog me AdSense ke ad code kaise lagate hai.
Jab koi pahli bar AdSense use karta hai to uske pas AdSense ad code ko blog me add karne ka koi idea nahi hota hai. Use ye bhi pata nahi hota hai ki AdSense ke code blog me kaha kaha par add karne hai.
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
Is article me mai mai aapko without plugin WordPress blog me AdSense ke ads code lagane ke bare me bta raha hu. Jisse aap direct apne WordPress blog me ads code paste kar sakte hai.
WordPress par unlimited feature hote hai. Jinhe hum plugin ki help se use kar sakte hai. Same wese hi aap WordPress plugin se ek hi bar me apne WordPress blog ki sabhi post me ads code laga sakte hai. Iski jankari ke liye aap ye tutorial follow kare.
- WordPress Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai
- WordPress Blog Me Ad Injection Plugin Se Adsense Ke Ads Kaise lagate Hai
To chaliye ab hum bina plugin ke WordPress par ads code lagane ke bare me bat karte hai.
WordPress Blog Me Bina Plugin Adsense Ad Code Kaise Add Kare
Apne blog par ads lagane ke liye aapko ads code ki jarurat hoti hai. So pahle aap adsense.com par ja kar ads code create kare. Agar aapko ads banane ki jankari nahi hai to aap Google Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi article padh kar ads bana sakte ho. Ya fir aap ye video dekh kar bhi AdSense par ads banane ki jankari pa sakte ho.
Adsense par ads banane ke bad aapko AdSense ad code milega. Yahi code aapko apne blog me add karna hai.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <!-- 300x600 --> <ins class="adsbygoogle" style="display:inline-block;width:300px;height:600px" data-ad-client="ca-pub-474574373777xxxxxxxx" data-ad-slot="9535294041"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script>
Ab aapke pas AdSense ka ad code taiyar hai. So ab bas aapko WordPress blog me ads lagane hai.
Adsense Ads Code Ko Without Plugin WordPress Blog Me Kaise Add Kare
WordPress blog par bhi same wohi tariak hai jo blogger par hai. Bas thoda sa difference hai. Agar aap blogger user ho or uski jankari pana chahate ho to aap Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye post padh kar blogspot blog me ads laga sakte hai.
- WordPress admin panel par ja kar log in kare or left side sidebar me Apearance > widgets par click kare.
- Ab jo page open hoga usme sabse upar Available widget ka option hoga. Yaha aap jo WordPress them use kar rahe ho uske hisab se laag alag widget hoti hai. But sabme Text widget ka feature hota hai. Aapko isi par click karna hai.
- Text par click kare
- Ab aapko sidebar, header or footer widget jaha bhi ads lagana hai wo select kare.
- Ab Add widget par click kare. or jo widget khule usme ads code paste kar de.
Is tarah se aap WordPress blog par AdSense ke ad code add kar sakte hai. To ab aap AdSense par ads bana bhi sakte ho or WordPress blog me add bhi kar sakte ho.
Aane wale time me hum sikhnege ki WordPress post me ads code kaise lagate hai. Agar aapke pas WordPress se related koi sawal ho or aap humse puchna chahate hai to comment me apna sawal puch sakte hai.
- Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
- WordPress Blog Par Favicon Kaise Set Kare – 3 Badiya Tarike
Note: Agar kisi ko WordPress manage karne me koi problem ho rahi ho to wo apni problem comment me btaye. Hum aapke liye us topic par details me post kar ke aapki help sakte hai. So apne vichar comment me jarur share kare.
Agar aapko WordPress ke bare me ye jankar iachi lage to ise other WordPress user or social media par share jarur kare.
govind
sir maine google ads code , header. php me plae kiya , so ads header me home page me show ho rha hai . post me kahi bhi ads show nahi ho rha hai .
header footer or sidebar me ads dikhane ke liy header footer or sidebar me google ads code place krna hoga kya .
maine auto ads display active kar rakha hao or code only header me add kar rkha hai .
ab footer or post , sidebar me add dikhane ke liy kya krna hoga .
Jumedeen Khan
aapne sirf homepage me ad code add kiya hoga hoga, header.php me karoge to sabhi post, pages me ad show hoga.
Nitesh
Bhai mene blogger se wordpress pr migrate kr liya hai aur redirect bhi kr diya hai apke code se ek problem jo rhi hai ki mere sabhi post ki permalink title ke hisab se dikh rhi hai mene jo blogger me costum permalink bnai thi unme se ek bhi nahi hai kya kru thanks advance
Jumedeen khan
Aap wordpress permalink setting me URL set kar sakte ho.
Ruchi
Bhai meri AdSense ka CPC 0.01 hai use kaise increase karu.
Jumedeen khan
high cpc keyword par content likho badh jayegui.
Afreen
Nice Information Thanks a lot
Rushikesh Sonawane
Hello JDK bro maine aaj adsense apply kar diyaa hai. Par adsense approve hone se pahale me aapse kooch sawal poochna chahata hun.
1) Adsense ko apply karte vakt ek code ke andar use kiya hai. To ad lagane ke liye hame yahi code sab jagah use karna padega. Ya fir alag ad ke lag alag code hote hai.
2) Kya aap ad insert karne ke liye kisi pugin ka istemaal karte hai.
3) Kya hame sabhi post me ad lagane ke liye single-single post me code dalna padega.
4) I think adsense ko apply karte vakt vaha auto ad ka option aaya tha. Kya ise use karna thik hai. Aur agar nahi to baadme me ise change kar sakata hun?
Jumedeen khan
Aap place ke hisab se alag ad unit bana sakte ho chahe to ek hi ad ko har jagah use kar sakte ho.
yes main ad inserter plugin use karta hu.
Aap plugin se ek sath sabhi post me ad show kar sakte ho.
Iski jankari yaha hai Google AdSense Auto Ads Kya Hai
Tushar Kumar
Sir Aapne post WordPress blog post me AdSense ads kaise lagaye agar publish kar diya ho toh yaha link de..
Jumedeen khan
Main ad inserter plugin use karta hu.
Deepu
sir maine addsense approve ho gaya hai. MAINE add unit bhi create kar liya hai mujhe aap ye bataye ke jo add code mila hai usko ad injection plugin main kahan paste kare. aur maine ek hi add unit create kiya hai.aur bhi abhi karoon.
Jumedeen Khan
Aap ad unit code ko blog ki widget me add karo.
Rushikesh Sonawane
hello, sir me mere blog par adsense ad lagana chahata hu. par mere kooch sawal hai. jo aapse janana chahata hun.
1)mere blog par abhi sirf 150 pagviews daily ke hote hai. Me ispar ad lagana chahata hun. Lekin, jyaada pageviews n hone ke karan, me mere original id se adsense ko aply nahi karana chahata. lekin mere gharke ek member ka youtube ke liye adsense account approve hai. kya me usaki madat se ads laga sakata hun.
2) Jab mere blog par traffic high hone ke bad, us id se ad nikalkar firase new apply kar sakata hun.
3) us youtube channel ka topic alag hai. Aur mere blog ka alag. Kya CPC mujhe same milegi.
Jumedeen Khan
1. Yes laga sakte ho.
2. Yes kar sakte ho.
3. Isse koi problem nahi hai.
Ajay Prasad
sir ye link ads apne website pr kese lagaye??
Jumedeen Khan
Jab aap ad create karo to ad type me links ad select karke ad banao.
Tulika
WordPress pe plugin se adSense kaise add karenge
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai WordPress Blog Me Plugin Se Ad Kaise Lagaye
Sunil Sen
Sir aap mujhe bta sakte ho kya blogger m ad kha kha ad lagana hota ha aur kitne ad add kr sakte h aur post m kitne ad lga sakte h aur page m bhi ad lagta h kya?
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
VIJENDRA SINGH
Hello sir-
aapne jo code diya tha cpanel config.php file me add karne ke liye usko add kiya to post ki jagah code show hota hai sir code work nahi kar raha hai.404 plugin ko install kiya to post title ko open karne per blog home page ki
full post show hoti hai post ki jagah error 404 not found aaraha hai plz.sir uska kuch samadhan bataye .
Jumedeen Khan
Aapke blog ka sitemap proper work kar raha hai. There are no issue fir aapko error 4o4 problem kaha ho rahi hai. Mujhe link bta sakte ho.
VIJENDRA SINGH
Hello sir
aapne jo cpanel me code add karne ke liye diya hai lekin sir maine godaddy se hosting ka ek chota basic plan liya
jisme cpanel nahi hai.kya is code ko add karna koi solution hai plz.sir bataye.
Jumedeen Khan
cPanel to milta hai. Aap hosting care me bat karo wo is problem ko solve kar denge.
VIJENDRA SINGH
Hello sir
maine hosting lekar word press blog install kiya hai aapke bataye step ke dwara transfar bhi kar diya aur blogger
blog me aapne jo redirect ke liye code diya tha usko template me head ke niche past karke save kar diya
aur yoast seo plugin ko install kiya hai aapne yoast plugin ki seo settings batai hai unhe bhi enable kar diya
lekin ab ye kuch problem aarahi hai
1.google seach me site title ki jagah A WordPress site – just another site aise likha show ho raha hai
2,search console me sitemap ko open karta hu to teen sitemap show ho rahe hai but post url nahi show ho rahe hai
3. post google search me aarahi hai lekin open karta hu to jo maine wp blog me widget add kiye hai only show
ho rahe hai and article ki jagah Error 404 not found oops we could’t fould this page likha aaraha hai
4.kya blogger blog ko remove karna hoga. plz in sab ka solution bataye.
Jumedeen Khan
1. WordPress dashboard >> settings >> general par jao or top me site title add karo. kuch time bad blog title search me aa jayega.
2. cPanel >> public_html >> config.php file par jao or ye code add karo.
define( 'WP_MEMORY_LIMIT', '64M' );
3. Blog par se sabhi extra plugin and cache plugin ko install karo tumhare blog par wp-content/object-cache.php issue show ho raha hai. Google me new URL index hoga to post show hone lag jayegi.
4. WordPress paor full data transfer ho gaya hai to blogger ki post delete kar do.
VIJENDRA SINGH
Sir mere WordPress blog me ek problem aarahi he ki mai google seach me apani site ka hom page open karta hu to us per right site me- mysite & reader aur left site me write button show ho rahe hai jab mai un per click karta hu to apane blog ke dashbord me pahuch jata hu sir eise to meri site ke sath koi kuch bhi kar sakta hai
sir plz. ye button hom page me show hone kaise band hoge
Jumedeen Khan
Vijendra aap mujhe screenshot send karo taki main aapko sahi solution bta saku.
Amit Kumar
meri ek baat nhi samaj me nhi ayi ki AdSense ke code ko har bar paste karna hota hai ya keval ek bar paste kar de vo har post par dikhai dega har bar
Jumedeen Khan
Ek bar me blog me ad code add karke hume sabhi post me ad dikha sakte hai. Is bare me maine post ki huyi hai. aap search box me search kare ki “blog ki sabhi post me ek sath ad kaise lagaye”
Seema
I have transfer my all the things of my old blog to my new domain. my old blog was created in WordPress.com and I transferred to WordPress.org but there is one problem I cannot redirect my blog from WordPress.com in free
how can I redirect please let me know or should I delete my blog from WordPress.com
is it safe to delete it from WordPress.com
Jumedeen khan
सीमा जी,
आप एक बार निश्चित कर लो की आपने साडी प्रोसेसिंग सही से कर ली है और आपको पुराने ब्लॉग को डिलीट करने से कोई परेशानी नहीं होगी. उसके बाद आप ओल्ड डोमेन की सेटिंग में जा कर उसे न्यू डोमेन पर redirect कर सकते हो
seema
thank you for your answer but it still not clear so
मैं आपसे यह पूछना चाहती हूं कि पहले मेरा blog WordPress.com ने बना हुआ था फिर मैंने domain लिया और अपने blog को WordPress.org में install कर दिया लेकिन
WordPress.com जहां पर मेरी पुरानी blog है वहां से वह मेरे डोमेन पर Redirect नहीं हो सकती अगर मुझे Redirect करनी है तो उसके लिए मुझे WordPress.com कोो 13 $ pay kerna hoga isliye kya koi aur tarika hai Redirect kerne ka
Jumedeen khan
Aap ek bar Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Move Kaise Kare post me jao or isme diye second redirect code ko WordPress.com wale blog ke head ke niche add kar ke new domain par redirect karo agar fir bhi na ho to aap apne old blog ke homepage par ek message add kar do ki ye blog ab is domain par transfer ho gaya hai, Isse kuch time me hi aapke sare readers ko iske bare me pata chal jayega.