Adsense hindi blogger ke liye sabse best ad network hai. In my case, Mai already ek AdSense user hu or last kei month se google AdSense advertising program istemal kar raha hu. Is samay mai maine AdSense ke bare me bahut kuch sikha hai. Or usme se kuch tricks aapko bhi btayi hai. Aur is tutorial me hum bat karne wale hai ki apne WordPress blog me AdSense ke ad code kaise lagate hai.
Jab koi pahli bar AdSense use karta hai to uske pas AdSense ad code ko blog me add karne ka koi idea nahi hota hai. Use ye bhi pata nahi hota hai ki AdSense ke code blog me kaha kaha par add karne hai.
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
Is article me mai mai aapko without plugin WordPress blog me AdSense ke ads code lagane ke bare me bta raha hu. Jisse aap direct apne WordPress blog me ads code paste kar sakte hai.
WordPress par unlimited feature hote hai. Jinhe hum plugin ki help se use kar sakte hai. Same wese hi aap WordPress plugin se ek hi bar me apne WordPress blog ki sabhi post me ads code laga sakte hai. Iski jankari ke liye aap ye tutorial follow kare.
- WordPress Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai
- WordPress Blog Me Ad Injection Plugin Se Adsense Ke Ads Kaise lagate Hai
To chaliye ab hum bina plugin ke WordPress par ads code lagane ke bare me bat karte hai.
WordPress Blog Me Bina Plugin Adsense Ad Code Kaise Add Kare
Apne blog par ads lagane ke liye aapko ads code ki jarurat hoti hai. So pahle aap adsense.com par ja kar ads code create kare. Agar aapko ads banane ki jankari nahi hai to aap Google Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi article padh kar ads bana sakte ho. Ya fir aap ye video dekh kar bhi AdSense par ads banane ki jankari pa sakte ho.
Adsense par ads banane ke bad aapko AdSense ad code milega. Yahi code aapko apne blog me add karna hai.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <!-- 300x600 --> <ins class="adsbygoogle" style="display:inline-block;width:300px;height:600px" data-ad-client="ca-pub-474574373777xxxxxxxx" data-ad-slot="9535294041"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script>
Ab aapke pas AdSense ka ad code taiyar hai. So ab bas aapko WordPress blog me ads lagane hai.
Adsense Ads Code Ko Without Plugin WordPress Blog Me Kaise Add Kare
WordPress blog par bhi same wohi tariak hai jo blogger par hai. Bas thoda sa difference hai. Agar aap blogger user ho or uski jankari pana chahate ho to aap Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye post padh kar blogspot blog me ads laga sakte hai.
- WordPress admin panel par ja kar log in kare or left side sidebar me Apearance > widgets par click kare.
- Ab jo page open hoga usme sabse upar Available widget ka option hoga. Yaha aap jo WordPress them use kar rahe ho uske hisab se laag alag widget hoti hai. But sabme Text widget ka feature hota hai. Aapko isi par click karna hai.
- Text par click kare
- Ab aapko sidebar, header or footer widget jaha bhi ads lagana hai wo select kare.
- Ab Add widget par click kare. or jo widget khule usme ads code paste kar de.
Is tarah se aap WordPress blog par AdSense ke ad code add kar sakte hai. To ab aap AdSense par ads bana bhi sakte ho or WordPress blog me add bhi kar sakte ho.
Aane wale time me hum sikhnege ki WordPress post me ads code kaise lagate hai. Agar aapke pas WordPress se related koi sawal ho or aap humse puchna chahate hai to comment me apna sawal puch sakte hai.
- Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
- WordPress Blog Par Favicon Kaise Set Kare – 3 Badiya Tarike
Note: Agar kisi ko WordPress manage karne me koi problem ho rahi ho to wo apni problem comment me btaye. Hum aapke liye us topic par details me post kar ke aapki help sakte hai. So apne vichar comment me jarur share kare.
Agar aapko WordPress ke bare me ye jankar iachi lage to ise other WordPress user or social media par share jarur kare.
ismail
Bhai WordPress par domain name set karne ke liye hosting lane zarori hai kya ek Bhau bata rahe the ke unki site par hosting nahi hai oh domain set karna chate hain lekin WordPress par hi domain name buy karne ke options hai jisme month Ke $8+ lagte hain kya bina hosting goadedy se rs136 mein domain nahi set kar sakte
Jumedeen Khan
WordPress par domain use karne ke liye aapko hosting ki jarurat hai. Jitne me WordPress par aap domain add karoge utne me aapko hosting mil jayegi or aap fir blog par koi bhi theme or plugin bhi use kar sakoge. so mere hisab se hosting le lo.
Akash Tyagi
Bro woh WordPress.com ki baat kar rahe h…
Jumedeen Khan
Akash wohi bta raha hu. I already know ki wo WordPress.com par free wale blog me domain use karne ki bat kar rahe hai. So main unhe hosting le kar WordPress.org par blog install karne ke liye kah raha hu kyuki jitne me wo domain add karenge utne me unhe WordPress ke sare features mil jayenge.
ismail
Ji bhai mere pass activate account hai aur ads bhi run karta hun mein apni blogger site pe lekin muje WordPress blog mein add karna hai to muje post mein ads code pest karne honge kya agar widget mein karta hun to show nahi karte kya bhai aur post mein ad pest karne ke liye kunsa options par click karke karna hoga jase blogger mein post edit mein se hum compese meim se html ka use karte haim use WordPress par kiska
Jumedeen Khan
WordPress par aa ptext option me ad code paste kar sakte ho. Usse pahle google AdSense me apni site ka link add kar dena.
Ismail
Bhai WordPress par bina hosting bina plugin ke ads show karwa sakte hain kya ek WordPress par blog hai us blog ki Link mein ne AdSense mein add kardi aur widget mein ad code pest kar diya but Ad blank show ho raha hai please help
Jumedeen Khan
WordPress par aap bina hosting domain add nahi kar sakte so aapke pas do option hai.
1. agar aapke pas pahle se active AdSense hai or aap pahle se kisi or site par ads lagaye huye hai to aap post me direct code paste karke ad laga sakte ho.
2. Agar aapke pas pahle se active AdSense account nahi hai t oaa pfree WordPress blog par ad nahi laga sakte.
Chirag Gupta
agar post ki bich me lagana ho to kya karna chahiye…
Jumedeen Khan
Post ke bich me ads lagane ke liye plugin use karna hoga.
veerendra
jume deen jee mai WordPress par jab kuchh bhee save karta hu to ‘ There was a problem saving your changes. Please, try again ‘ bata rha hai kya karna chahiye mujhe
Jumedeen Khan
Aap apni hosting ke customer care me call karo.
veerendra
thanks par ek problem aur thee ki mera koi bhi image home page pe show nahi kar rha hai jab us post ko open karo to hi image show hota hai.
Jumedeen Khan
Aap post edit option me ja kar right side me sabse niche feature image select karo. Aysa aapko asabhi post me karna hoga.
abhishek
sir WordPressse post ke andr bina plugin ke ads kaise lgae
Jumedeen Khan
Bina plugin aapko singlepost.php me ads code pastr karna hai.
SAEED SAIYAD
Jume deen bhai
Aap ko web page,domania name,world
Press,web hostin,ad etc ki ke bare me likhna chahiye .wo aap likh to rahe ho but aap kuch is tarah likhe jese ke
web page bana ne se le kar us ko logo ko pahuchane ka tarika .
Usme aap step by step bata ye .
Jisse new blogge ko or aap ko dono ko fayda hoga.
Uno iske bare me achhi tarah jankari milegi or aap ki site ka traffic bhi badhega.
Aksar new log jab isline se judte he to vo yahi janna chahte he.
Ab aage kya ….. .
Jumedeen Khan
Iske bare me post karunga .thanks for advice.
murari
sir WordPress me line wala box kese banaye or wordpess me plagging ke alawa or pese lagta hai
Jumedeen Khan
Plugin use karo. Nahi or paise nahi lagte hai.
murari
sir WordPress me line wala box banane ke liye kon sha pluging use kare or kese
Jumedeen Khan
Shortcode plugin
murari
sir mene WordPress ko install kar liya hai lekin nato .com kharda hai nahi hosting li hai to ab le sakta hu or ha to kese
Jumedeen Khan
Ha bilkul le sakte ho ye post padho Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
Deepak kumar prajapati
Lekin title me kya dal de sir. Plrase bataiye
Jumedeen Khan
Title ko khali chod do. Usme kuch mat likho.
Shahezad Husain
WordPress.com mein Mobile see ads laga sakte hai please reply
Jumedeen Khan
हां लगा सकते है, आप chrome browser का desktop version इस्तेमाल करो, सभी features वेसे ही होंगे
praful
meri web site share market or commodity market se related is pe traffic badane ke liye kya kar sakte hai seo bhi karwa raha hu par bahut kam visitor aa rahe hai
Jumedeen Khan
SEO karwa raha hu means aap kisse or kaise seo karwa rahe ho. And aap AdSense ke ads sahi se lagao ye post padho Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte
dev
Kya me hellobar site ka use kr skta hu isme koi charge to nahi lahta plz iske check karke mughe bata dena plz bhayi
Jumedeen Khan
Kar sakte ho.
dev
ok bhayi aap plz mere in sawlo ka jwab dena.
1. aap bol rhe the infolinks use kar skte ho AdSense ke sath to mene kiya kya use hata du
bhayi mere search se hi visitor ate he ha aisa ho skta he ki kam ate ho.
2. kya mera template ka disign thik nhi he shayad usse visitor ko pasand na ata huo to me ise change karlu aap bata dijiye
Jumedeen Khan
1. Ha kar sate ho but infolink use karoge to visitors ko problem hogi or aapka traffic kam ho jayega. Aapki search traffic only 4% hai yani 100 visitors me se only 4 visitors search engine se aate hai jo ki bahut kam hai.
2. Template ke bare me mai aapko suggest nahi kar sakta. Aap khud is bare me decide kar sakte ho.
dev
bhayi meri b help kardo kya alexa rank visitor na aye to kya kam ho skti he ye phir visitor ane se alexa rank kam hoti he or agar aisa he to meri alexa 3 lac se b kam he or AdSense se earning 1 b dollar nhi or aap bolte ho ki 1 lac se kam ranking wali site success hoti he jab ki wo din dur nhi hoga jab meri alexa 1 lac se b kam hogi par aisa b sath me hoga ki income 1 b dollar nhi hogi 1 lac se kam hone ke baad b 1 b dollar income nhi agar apne meri help nhi ki to
agar ho ske to meri pareshani smghne ki kosis karna.. apka daily reader dev..
or agar visitor nhi aa rhe h meri site par to alexa rank kam kese ho rhi he or aisa to hota nahi he ki alexa 1 lac se b kam ho jaye or income 1 b dollar nhi ho
Jumedeen Khan
Dev first to aap infolinks use kar rahe ho. jiski wajah se AdSense cpc low hogi. second aapki site par search engine se kam traffic aata hai or AdSense se paise kamane ke liye aapki site par search engine se googd traffic aana chahuye. Only alexa rank kam hone se aapki income increase nahi hogi. Adsense se paise kamane ke liye site par traffic badhao.
Nik
Semrush use karte ho kya aap?
Jumedeen Khan
Yes, mai sabse jyada semrush hi use karta hu.
vikram
nice sir ji ..bahot achhi post dali hai
Gulrez Siddiqui
Sir Mete blog ka Url “example.blogspot.com hai
Aur sir meine domain purchase kar liya
Example.com To sir ise blog pe add karne ke baad kya yeh pehle wala address bhi search me aayega matlab blogspot.com wala please sir details me bataye
Jumedeen Khan
Nhi aayega. aapka ne domain xyz.com search me aayega.
Sahil kumar
bhai main blogger par jo tecnic use karta hu wo ye hai ke Template me code add karne ke baad post me Adsense tag jaha bhi lagata hu waha par ad dikhati hai agar nhi lagata ho title ke niche dikhati hai.
bhai kya WordPress par koi aasa plugin hai jis ki help se hum kisi tag ki madad se har post me ads apni marji ki place par dikha sakte hai?
Jumedeen Khan
WordPress par ayse bahut sare pkugin hai. Aapp google me search kar lo. Ya fir mere dusre blog mozedia.com par iske bare me post padho.
surendra rsdp
aapko toh pata hoga ki $100 par kitne rupey ka Tax lagta hai Aor haan kahi isme PAN card ki jarurat toh nahi hai naa
Jumedeen Khan
Mujhe itna pata hai ki mere pas jo AdSense ki payment aati hai. Wo puri aati hai. Means koi tax nahi lagta. Or agar lagta bhi hoga to 100 dollar par 20-50 ka lagta hoga. Maine is par focus nahi kiya hai.
Surendra
bhai , maine 22 tarik ko AdSense me payment addresh set kiya tha lekin aaj mere AdSense ac me likha aa raha hai ki aapka payment 22 tarik ko $118.17 wire transfar kar diya hai . lekin mere account me toh $200 se upar hai toh itna km payment kyu??
Jumedeen Khan
Adsense aapke last month ki income send karta hai. baki income next month me aapki me aayegi. aapko wohi paise milte hai. jo payable payment me available ho.
1. name se comment karo.
2. gravatar profile par apna photo upload karo.
yash
Bhai meri bat suno muje apki help chhiye! Mene WordPress p acount bnaya free or ab blog krta hu daily 500 se zada views are hai, par abi koi domain ni liya or na hosting to mje kya karna chhiye mtlb domain to ata h leba par hosting kya h ye smj nhi a rhi isse kya hta hai … Or ise kese le or kese use kare or pta kese chlega ki hosting li btao jara plz
Jumedeen Khan
Aap ye post padho or ise padhne ke bad bhi koi sawal ho to puch lena. Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se Kaise Kharide – What is Hosting
sahil
bhai bina hosting ya domin lye WordPress pc me kase instal krte he ???
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte. Hosting jaruri hai.