Blogger Blog Ke Footer Me Jaruri Pages Ke Link Kaise Add Kare

Jab hum blog banate hai to humare pas use handle karne ka koi idea nahi hota. Mere pas bhi nahi tha but jaise jaise hume blogging ke important factor ke bare me pata chalta hai to hum apne blog me changes karna shuru kar dete hai. Jaise blog me jaruri page create karna, blog design theme / template badhiya use karna, sidebar and footer widget add karna, blog me jaruri links add karna. Inhi me se ek option hota hai footer jisme hume blog ke jaruri pages ke link add karne hote hai.

add footer link in blogger blog

Bahut se new blogger ko is sab ke bare me bilkul bhi pata nahi hota hai or jab unhe is bare me kahi se koi information milti hai to wo dusre blogger se iske bare me puchte hai. Actually, ye bahut hi simple hai or aap just 2 minutes me blog ke footer me link add kar sakte ho.

In my case, Mujhse is bare me bahut se newbie blogger puch chuke hai. So aaj main aapko is post me footer links ke bare me sabkuch details se bta raha hu. I hope iske bad aapko apne blogspot blog me footer link add karne me koi problem nahi hogi or aap aasani se ye kar sakoge.

Blog Footer Me Konse Links Add Karne Chahiye or Ye Kyo Jaruri Hai?

Blog ke footer me hume about us, contact us, privacy policy, address & phone number, terms of service jaise pages ke link add karne hote hai. Ye search engine SEO or reader dono ke liye important hai.

Jab bhi koi visitor first time humari site par visit karta hai or use humare content pasand aate hai to wo sabse pahle humare or humari website ke bare me janna chahata hai. Iske liye wo sabse pahle humare blog ke footer ko check karta hai, Kyuki mostly 99% websites ke about us, contact us, privacy policy, address and phone number, terms of service and other jaruri links footer me hi add hote hai. Example, aap kisi bhi website blog ko test kar sakte hai. Sabhi ke footer me hi jaruri links add hote hai.

Agar aapne abhi tak koi blog nahi banaya hai to aap ye post follow karke 5 minute me blogger platform par apna free blog bana sakte ho, वेबसाइट ब्लॉग कैसे बनाये – फ्री साइट बनाने की प्रक्रिया.

Mai aapko suggest karunga ki aap apne blog ke footer me jaruri URLs jarur add kare, isse blog ka look bhi better hota hai or aapke reader ko aapke bare me janne me aasani hoti hai. Aapke bare me jitna log janenge utna hi aapki site popular hogi.

Blogspot Blog Ke Footer Me Jaruri Links Kaise Add Kare in Hindi

Mai yaha aapko sab kuch step by step btaunga. Aap in steps ko follow karke bahut hi simple tarike se apne blogger blog ke footer me important links add kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pahle aap blogger.com dashboard par jaye or log in kar ke apne us blog ko choose kare jisme aapko ye setting karni hai.

  1. Jis blog me aapko footer link add karne hai us ke drop down menu par click kar ke Template option par click kare.
  2. Uske bad Edit HTML par click karo.

Blogger template edit html

Step 2:

Ab aap apne blog ko open kijiye uske footer me pahle se kuch links add honge like template owner ki site ka link jaise designed by yxz.

smi footer links

Step 3:

Ab aapko blog ke footer me pahle se diye gaye links me se koi bhi ek topic search karna hai. Jaise mere blog ke footer me comment policy, contact, sitemap, about, services or discailmer ke link add hai to mai isme se koi ek topic search karunga.

Iske liye aap blogger template >> edit HTML section me ja kar Cntrl+F key button dabao or upar btaye anusar koi ek topic search karo. Mere blogger blog ke footer me blogger template likha hua hai mai wo search karta hu. Ab yaha par hume is tara hse footer coding dikhayi degi.

Copyright &#169; 2014 <a expr:href='data:blog.homepageUrl'><data:blog.title/></a> All Right Reserved
</div>
<div id='cpright'> <a href='https://gooyaabitemplates.com/' rel='dofollow' target='_blank' title='Blogger Templates'>Blogger Templates</a> Created by <a href='https://arlinadesign.blogspot.com' rel='nofollow' target='_blank' title='Arlina Design'>Arlina Design</a> Powered by <a href='https://www.blogger.com/' title='Blogger'>Blogger</a>

Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.

Blogger footer links

 

Step 4:

Ab hume ye coding change karke isme apne jaruri pages ke links add karne hai. Iske liye aapko coding ki thodi basic information honi chahiye ki links ko html code me kaise add karte hai. Don’t worry agar nahi bhi hai to koi bat nahi aap ye tarika follow kare.

Aap yaha dekh sakte ho ki har link ki coding is tarah hai. Mai yaha aapko about us page ka link bta raha hu aap ise apne hisab se change kar sakte hai. Template coding edit karne se pahle iska backup bana le taki aapse koi galti hone par aap uske back up ko use kar sako or usme sahi coding dekh sako. Agar aap puri template ka hi backup bana lo to bahut achhi bat hai. Iske liye aap blogger dashboard >> template par jae or right side me upar backup par click karke backup download kar le.

<a href=”https://example.com/about-us”>about us</a>

Ab is tarike se aap yaha par old links ko remove karke apne pages ka link add kar sakte ho. Agar aapko koi link new window me open karna hai to aap uske liye link me target=”blank” code add kare, Is tarah.

<a href=”https://example.com/about-us” target=”blank”>about us</a>

Finally save teplate par click kare. Yaad rahe aapki coding me jara si mistake se template save karne par save nahi hogi or ho jayegi to aapki site ka design bigad sakta hai. So sari setting carefully kare. Ek bar in step ko achhe se samajh le uske bad hi apni template me editing kare.

Is tarah se aap apne blog me jaruri footer links add kar sakte ho. Agar aapko isme koi problem hoti hai to aap comment me iske bare me puchh sakte ho.

Share this post with other blogger.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (80)

  1. Avatar for AshaAsha

    Sir , blogger theme me add gadget sirf side bar me milta hai. kya blogger theme ke footer me ‘add gadget’ ka option lagaye ja sakta hai. Jisse ki footer me label, pages, profile etc Joe sale.

  2. Avatar for Changdev p. GoralChangdev p. Goral

    Sir footer templet me link add karna jaruri hi kya me new blogger hun

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jaruri nahi hai lekin kar do to better hai.

  3. Avatar for Akash SailwarAkash Sailwar

    Sir kya me mobile me blogspot.com se template me pages ke link add kar Sakta hun?? Plzz reply

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      yes kar sakte ho.

  4. Avatar for Mohammad YakshanMohammad Yakshan

    thank u sir bahot help mili aapke is post se

  5. Avatar for SonuSonu

    Hello sir kya blogspot.in par adsense approve ho sakta hai?? plz suggest me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes ho sakta hai. Aap dashboard check kijiye earning ka option hoga us par click kar adsense ke liye apply kar sakte hai.

  6. Avatar for manishmanish

    sir mai tittle bhi likhta hu phir bhi tittle ki जगह lebal show hoti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar theme change karke dekhe.

  7. Avatar for manishmanish

    sir mere post tittle ke जगह पर Label show hota hai

    jaise ki footer me page Kaiser add kare iske जगह PR HindivHelp blogger show hoti hai

  8. Avatar for anoop bhattanoop bhatt

    bhut badiya post hai sir

  9. Avatar for manishmanish

    sir keya footer ka background change kiya ja Sakta hai
    agar ha to kaise

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      CSS se

  10. Avatar for manishmanish

    sir mere blog me image pura show nhi hota hai cut kr show hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Image ki width sahi se set karo

  11. Avatar for manishmanish

    mai blogger blog me site map kaise add karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Only link add karo. like blogdomain.com/sitemap.xml

  12. Avatar for Ankit jatAnkit jat

    sir me bloggar blog ki kisi bhi post ke bich me kisi bloggar page ki link kese add karu kisi bhi bloggar page ki link kese prapt karu plz help me sir

  13. Avatar for RoshanRoshan

    sir,
    sitemap ko footer me lagane ke liye page se kaise lagaye.please answer
    maine about us, contact us bhi page link se laga rakhe hai.

  14. Avatar for Abhinav Ranjan JhaAbhinav Ranjan Jha

    hello sir, mai apne blog pe apke jaisa popup search box add krna chahta hu

    kaise hoga ye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye sab aap coding se kar sakte ho. Iske bare me kei blogger ne post bhi likhi hai google me search karo.

      • Avatar for Manoj PatilManoj Patil

        Jumedin bro aapki post ki length aur content bahut hi badhiya hai but aapne is post me blogspot blog ke liye bataya hai yah wordpress me bhi kar sakate hai but baar baar Theme update aane par yah update remove ho jayenge so aap is post ko thodasa revision karke wordpress child theme me kaise footer code lagaye yah update kare jisse begginers ke kiye setting remove ki tension na rahegi.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          WordPress me easy steps hai aap functions.php folder se kuch bhi add kar sakte ho.

  15. Avatar for Bijendra singhBijendra singh

    hello sir mene new blogs creat kiya h
    but usme post kese daalu
    or blogs
    ko dobara open kese kru
    please help me sir

  16. Avatar for suresh Kumar gautamsuresh Kumar gautam

    sir meri website ke naam ke baad blogspot.com hi hai to problem hai ya nahi,
    or ek baat or batao agar ham jo free template use karte hai uske footer creadit ko remove na kare or aise hi website per work karte rahe to koi problem to nahi hogi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.
      No problem.

  17. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    to sir DNS error se koi problem hai kya , agar isse meri website koi problem ho to mujhe batao sir,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aap custom domain use kar rahe ho to problem hai. example.blogspot.com domain use kar rahe ho to no problem.

  18. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir mai aapse check karne ko keh raha hu ki site redirect ho rahi hai ya nahi , mujhko iske bare me nahi pata , sir aap ek baar meri website check kijiye plss sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Oh aapki site open nahi ho rahi DNS error aa raha hai.

  19. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir aaj maine aapki kisi post me comment kiya tha per sir ,mera dhyan nahi raha maine kis post per comment kiya tha, sir uame maine aapse website redirect nhi hui ,to maine footer remove kiya tha,
    or sir ek baat or batao ye jab ham koi photo banate hai to usme, jaise aap ek photo ke bich me ya side me photo set kar dete ho , bo konsa software/app hai plsss . tell me now..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Site redirect nahi ho rahi to achhi bat hai.
      Iske liye software ki jarurat nahi CSS code se karte sakte ho. Like img-class{float:left;}

  20. Avatar for Dipak vasavaDipak vasava

    kya aap mujhe bata sakte hai ki blog ke footer me sitemap kaise add kare, uske liye template me konsa link add kare…please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is post me yahi btaya hua hai. Rad carefully.

  21. Avatar for Irshad AhmadIrshad Ahmad

    achi jankari mili bhai mai yahi chata tha footer me about contact link add karna sukriya bhai

  22. Avatar for ajay guptaajay gupta

    nice article sir bahut achhi information

  23. Avatar for Rishabh shuklaRishabh shukla

    Kya hum apne smartphone se sitemap apne blog me add nahi kar sakta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte ho.

  24. Avatar for amit kumaramit kumar

    Sir mane privacy policy ka page to bna liya h pr use footer me add ni krwa paa raha hua footer me privacy policy ka link add kaise krna hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      s post ke step sahi se follow karo.

  25. Avatar for suraj yadavsuraj yadav

    Apki tarah mujhe v krna h pr WordPress me kaise hoga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      suraj WordPress ke liye aap google me search karo bahut sari post mil jayegi.

  26. Avatar for PawanPawan

    sir Agar main apne blog ki dusi post ke link new post main copy kr ke lagaun ko kya copyright hoga link ..please bataye..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aap dusri post ka link add kar sakte ho.

  27. Avatar for Aayush UpadhyayAayush Upadhyay

    Very nice article,sir
    Sir,
    agar template me se footer ka code delete ho gaya ho, to use kaha se laae?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Template ko fir se upload karo.

  28. Avatar for suraj yadavsuraj yadav

    Hello sir jb mai apne site ko customize kr rha hu to ye problems aa rhi hai. Ye kaise thik hoga.

    Fatal error: Allowed memory size of 67108864 bytes exhausted (tried to allocate 130968 bytes) in /home/content/n3pnexwpnas01_data02/90/3444890/html/wp-includes/query.php on line 1591

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      ske liye tum cPanel me jhao or file manager >> public_html >> wp-config.php file open karke ye code paste kar do. Error nahi aayega.
      define('WP_MEMORY_LIMIT', '64M');

      • Avatar for suraj yadavsuraj yadav

        WordPress me cpanel kaha milega.

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Iske liye apni hosting care me bat karo.

  29. Avatar for SabinaSabina

    Thanks for the information 🙂

  30. Avatar for KavyaKavya

    Sir mera aapse ek sawal hey Maine 1months Pehly aapsy request kri thi ki aap pls directori submission pr ek post jaror share kry kyuki bhut saryy logo ko Nhi pta vo kya chiz hey aur kesy hota hey reciprocal link kha add krty hey pless yee sbi details pr ek post jaror banay taki mere jase bhut logo ki help Ho Sky ples jald hee post share kry.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok mai ab iske barem e post likhunga.

  31. Avatar for KavyaKavya

    Sir Mujhe apny blog mey apni famous post lgani hey vo kis jagah lagao jo mere blog key home page pr slide bar mey show Ho pless batay kesyy lagao. Sir ek help aur kr dijiye kya aap mere blog ko check krky bta skty hey ki ads shi jagah lgi hoi hey koi kami toh Nhi hey plesss jaror reply kry.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne ads sahi lagaye hai. Aap blog ke dashbaord >> apearance >> widget par ja kar sidebar me popular post widget add akr sakti ho. agar waha iska feature nahi hai to aap jetpack plugin use kare.

  32. Avatar for sachin kumarsachin kumar

    hello jdk bro.
    meri site par traffic nahi aa rha hai bilkul bhi
    or kuch jaruri plugin ke baare me bhi batana jo maine use nahi kr rakhe.
    Thanks in advance

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap humar iSEO wali posr read karo.

      Jetpack, yoast SEO and wp super cache ya wp total chache koi bhi plugin use karo.

      • Avatar for sachinsachin

        m wp total cache or super cache use nahi kar paa rha hu
        install nahi ho rha h

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Kya error aata hai.

  33. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    sir apne jo is post mai code diya hai #BOX ke under wo kaise diya #BOX?

    and kafi din ho gaye Apne apni earning and traffic report share nhi kari ye aapki visitor ki icha hai ki aap apni incm and traffic report share karo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye bahut simple hai, aap CSS coding se site par kuch bhi design kar sakte ho. free time me thos coding sikha karo bahut kaa maayegi. yes main pichle kafi time se earning report share nahi kar raha hu but aane wale time me iske bare me sochunga.

  34. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    Apki website ka rank down kyo hota ja raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Site par kam work karne ki wajah se. Don’t very achha work karunga to rank fir se better ho jayegi.

  35. Avatar for Arun KumarArun Kumar

    bro ek question tha aapse ki monthly 10,000 Rs AdSense se earn karne liye minimum kitne page views chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      3,000 to 5,000 original traffic kafi hai.

  36. Avatar for RameshRamesh

    Jdk bro
    1) agar Mai apne website par film industry jaise bollywood, Hollywood ki pics upload kru mean to say ….actor aur actress ki to kya ye copyri8 hoga.

    2) tv serial ki bhi pic upload kar sakta hu …

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aesi image copyright nahi hogi kyuki koi bhi actor aapko iske liye mana nahi karega or koi or aesa kar nahi sakta.

  37. Avatar for Akash SharmaAkash Sharma

    Hello bro i Have 2 question…
    1.main ne apne blogger pe sitemap bna ke google webmaster main submit kr deya ab mujha sitemap apne blogg main lagane hai jaise aapne lagaya hai waise he???
    2.main ne 123contactform site se contact form bna ke apne site pe laga deya but wo mobile main show nhi krta hai only computer main krta hai kya kru help me….! 🙁 🙁

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Is post me maine kya btaya hai.
      2. aapke blog par contact forum mobile par bhi so ho raha hai. maine check kiya hai.

  38. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    sir ye jaankari acchi lgi mujhe thanks share kaene ke liy

  39. Avatar for sourabhsourabh

    aapki website ne kon si theme use ki hai.aur aapne kon sa hosting plan and domain liya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai genesis theme or VPS plan use karta hu.

  40. Avatar for sourabhsourabh

    hame YouTube pe agar hamara koi video dekhta hai to kya isse earning kaise hogi.ad per click krne per ya keval video deekhne se paise account me aayenge

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      jab koi aapki video dekhenga or us par show hone wale ads par click karega to aapki earning hogi.

  41. Avatar for RahulRahul

    SEO me ye SERPs kya hota hai aur iska full form kya hai?

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...