Agar aapki site par original or SEO friendly content hai to is bat me koi shak nahi hai ki aapko search engines se high traffic milta hoga or aapki search ranking high hogi. But blog article ko seo friendly banana aasan nahi hai. Iske liye aapko blog post me keywords kaha kaha use karna chahiye ki puri information honi chahiye.
SEO friendly post likhne ke liye hume ye pata hona chahiye ki post me kaise or kaha keyword use karke post ko search engines optimization ready bana sakte hai.
Search engines usi article ko jyada like karta hai. Jis article me keywordfs ka sahi istemal kiya gaya ho. Hum apni post me keywords isliye use karte hai taki search engines se high traffic recieve kar sake or apne visitors ke liye humari post badiya information sabit ho sake.
SEO friendly post likhne ke bahut se tarike hai. But yaha mai aapko unhi tariko ke bare me btaunga jinke bare me mai janta hu or jinhe use karke maine search engine se better traffic paya hai.
Table of Contents
Blog Ki Post Me High Quality Keywords Kaise or Kaha Add Kare
Is article ke topic par bat karne se pahle mai aap se kahna chahunga ki bina wajah post me extra keywords use karne se aapko koi fayda nahi hoga. Ulta aapka nukshan hi hoga. So post me only jaruri keywords hi use kare. Ye ek important seo optimization tips hai.
1. First and Last Paragraph
Jab aap apne blog par new post likho to post content me first paragraph (Starting post 4-5 lines) me apna main keyword add kare. Uske bad post complete likhne ke bad last paragraph me bhi wohi keywords use kare.
Post se pahle or post ke bad me keywords use karna seo me sabse jyada important hai. In do jagah par high quality keywords use kar hum post ko search engine friendly bana sakte hai.
Post starting and post end ke alawa bhi aap main keywords ko post content me jaha jarurat ho jarur use kare.
Ek hi keywords ko bar bar repeat mat kare. Aap ek keywords ko 100 words ki post me 5-10 bar hi use kar sakte ho. Agar aapko post me kahi main keywords ki jarurat bhi pade to aap main keywords se related keywords use kar sakte ho.
Agar aap jarurat se jyada bar kisi word ko dohraoge to aapko google ki terms na manne ki penalaty bhugtni padegi. Jisse aapki site ki search ranking down ho sakti hai.
2. Post Title and Heading
Blog par post likhte time post title or headlines me main keywords jarur use kare. Search engine sabse jyada humari post ke title or heading par focus karta hai. Ayse mai aapka main keywords search engine ko sahi target ki janakri pata karne me help karta hai.
Sath hi aap post title or heading me high ranking keywords use karke apne reader ko attract kar sakte ho. Aapki post ka title or heading jitna chaha hoga. Reader utna hi jyada aapki post padna pasand karenge.
Ek acha title wali post na sirf aapke readers ko pasand aati hai. Balki ache title ki post ko socail media sites or search engine se high traffic milne lagta hai.
3. Post Image, Alt Tag and Title Tag
Images post content ko explaination karne me major role ka kaam karti hai. Jisse reader ko post me di gayi information aasani se samjh aa jati hai. Isliye hume apne blog ki har post me kam se kam ek photo jarur use karna chahiye.
Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. Or mai is bat ko 100% sahi manta hu. Agar aap ach image create karne me mahir ho to aap apne reader ko ek image se wo samajha sakte ho jo 2000 words ke content sae nahi samajha sakte.
But post me image ke throw main kewords ko target karne ke liye aapko post image ko seo friendly banane ke liye image title, image alt tag add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Blogspot Blog Ki Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post padhiye. Isme aapko blog post ko seo ready banane ki puri jankari milegi.
4. Post Permalinks
Permalinks aapke blog ki post ka URL (Link) hota hai. Jo bhi search result me show hota hai. So aap permalinks me bhi top level keywords use kar post ko seo friendly bana sakte ho.
Post title ki tarah hi post permalinks me keywords use karna search ranking increase karne ki killer trick hai.
Default permalink ki jagah agar aap post links me se extra words (का, की, कैसे कहा, उसको, इसको ) ko remove kar de to aapko search engine se or jyada traffic milne ke changes badh jate hai.
Permalink edit karne ke liye aap post editer > permalink par jaye or custom permalink par click kar post ka link edit kar sakte hai. Blogspot blog me permalink use karne ki details me janakri ke liye aap humari Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post padh padhe.
Mai aapse kahna chahunga ki post permalinks me aap only target keywords hi use kare or extra words ko remove kar de.
5. Post Category and Tag or Labels
Blog post me category, tag or label sirf blog par related post dikhan ke liye nahi hai. Agar hum category or tags me bhi high quality keyword use kare to hume isse bhi search engines se benefit mil sakta hai. Kyuki search robots post categories ko bh index karta hai. Iske liye aapko ye tips follow karni chahiye.
- Blog par category, tag me none keywords use nahi kare.
- Jitna ho sake top level keywords ki hi category banaye. Jaise maine apne blog par blogging, make money top keywords ki category banayi huyi hai. Make money online keyword ki february 2024 me rs.300 se jyada CPC thi.
- Blog par jarurat se jyada category or tag na banaye. Mere hisab se 20 category bahut hai. But fir bhi aap 30 tak bana sakte ho. Isse jyada category banane se aapka nukshan hi hoga.
Agar aapne galti se apne blog par galat category ya tag add kiye huye hai to don’t worry, Aap category edit karke use keyword me badal sakte hai.
6. Post Comments
Post ko first search ranking me lane ke liye comment bhi help karti hai. So aap commets me bhi high keywords use karke apni post ki search rank increase kar sakte hai. Iske liye aap apne readers ke liye comment policy bana sakte hai. Or aap bhi jab kisi user ko reply kare to aap comment me top keywords use kar sakte hai.
Yeh bat meri personal soch hai. But ye galat nahi ho sakti. Kyuki search engine me comments keywords se bhi post search me aa jati hai. Ye mera confirm kiya hua hai.
So, Mai aapko suggest karna chahunga ki aap commnets me keywords use karke bih apni post ki ranking badha sakte hai.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL]
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai [SEO Guide]
To friends, Ye meri ek or secrert tricks wali post thi. Jise mai apne blog par use karta hu. Agar aapko mera tarika pasand aaye to ab aap bhi iske bare me keywords ke sath commentt kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne sawal me ek do keyword use karne honge.
Agar aapko is post me btayi jankari helpful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur akre.
Nummero
Thank you for sharing your blog, seems to be useful information can’t wait to dig deep!
Sandeep Yadav
Very good and usefull knowledge
Akhilesh chaurasiya
Sir ek Fresher blogger ko success hone me kittna time lag sakta agar o daily 1blog post kare to please sir reply jarur kijiyega
Gulshan Kumar
सर आपकी इस पोस्ट को ध्यान से पढ़ने पर ऐसा लगता है कि आप मेरे सामने हो और आप हमें समझा रहे हो बहुत ही अच्छी जानकारी दिए हैं शायद हिंदी में ऐसा जानकारी मिलना इंटरनेट पर मुश्किल है धन्यवाद
Priyanshu
Hi sir mera naam priyanshu hai aur mai new blogger hoon maine apni site ko 5bar Adsense ke liye apply kra but har bar disapproval mila hai hum har bar 30,40 post daleke approval ke liye apply krte the but reject hone k wjh se hum post ko har bar delete krte gye qki mujhe pta nhi tha policies ke bare mai lakin itna pta tha ki unique content likhna hai lakin fir bhi mera adsense bar bar disapprove hua please sir mere help kro mere se ek ldka mere site ko Adsense ke liye 5thousand liya mere pass itna hi pocket money tha mere paise bhi chle gye lakin Adsense nhi mila
Jumedeen Khan
आपको इसके लिए किसी को pay करने की जरुरत नहीं थी, adsense approve करवाने का एक ही तरीका है और वो है, adsense पॉलिसीस को follow करना, आप इसके रूल्स को अछे से पढ़े और फिर अप्लाई करे.
Rupesh
Good Information.
Arun kumar
Hello sir,
Mera naam arun hai.
Mai Hindi blogger hu aur abhi jldi hi blogging me aaya hoon. Aapse prerna lete hue hi maine ye start kia hai.
But mai try karta hu ke acche se accha content likhu aur keyword par bhi accha research karta hu.
But samajh nhi aa rha k kha galti ho rhi h mai jitna bhi accha content likh lu site rank hi nhi karti kisi bhi keyword par kabhi 5 page par to kabhi 10 page pr reh jaati hai.
Content unqiue hota h fir bhi .
Please sir kuch bataiye kaise karu mai aise mai bahut de motivate ho jata hu q ki mehnt krke article likhne ke baad bhi kabhi kabhi to google page ko index tk nhi krr rha hai.
Please help kijiye sir
Jumedeen Khan
ranking ke liye sirf content enough nahi hota hai, aap backlink, site speed, internal links etc. par bhi dhyan do.
pooja gautam
hello sir aapka article bahut hi helpful h but I have one question? ki site ranking increase karne ke liye Blog jaruri hota h ya article
ya iske alawa bhi hmm kuch aur kr sakte agr aapke answer h so, please share with me.
Thank you
जुमेदीन खान
Yes, aap jitna better article likhoge utna jyada site rank karegi,
1. Speed up your site
2. optimize content for google
3. Follow SEO Guideline
4. Write unique and quality content
मनोज निखिल
आपने search keyword or उसके सही तरीके से use करने की बहुत बढ़िया जानकारी दी है. इसके लिये बहुत शुक्रिया. इसी तरह रोचक और ज्ञान वर्धक जानकारी देते रहें.
मेरी एक tour and travel पर blogpost hai जिस पर ट्रैफिक नहीं आ रही थी और मैं keyword को ignore कर रहा था, लेकिन आपके विस्तार पूर्वक लेख से इसकी महत्ता अब समझ में आई.
धन्यवाद
SURAJ SINGH JOSHI
Bahut badhiya post hai sir.
very nice your work on the internet world.
Mujhe aapke blog se bahut se jankari prapt hua jinke liye apko tah- a -dil se thank you!
Aapka dost,
Suraj!
Deepesh
Sir Permalinks Ko Agr Change kar de To Ranking Me Fark padta Hai.Permalinks Ko Update karna Chahiye Ya Nahi Kyuki Mujhe Kuch Post ke permalinks ko update karna hai..post rank me kya permalinks effect karegi ya nahi
Jumedeen khan
Error 404 ki problem hoti hai, jaruri hai to kar akte ho new url ko search console me fetch kar dena.
gopal bhandari
sir main blog par jobs related jankari share karta hoon but i am new blogger jada jankari nahi hai mera blog mobile friendly nahi hai so ise kaise mobile friendly kare
Jumedeen khan
Ye post padho, Website or Blog Ko Mobile Friendly Kaise Banaye or Q
Helly Hem
Aapke Artical Bahut Helpful Hain Mein Ek WordPress Banayen Hain Trafic Bahut Kam Aa Raha Hain Mere Blog Me Koi Kami Hain To Plz.Batayen Sir Ji.
Jumedeen khan
SEO friendly content likho taki google me top rank mile.
Rajeev Sharma
Bhai menu me item lagana to asaan hai but i want to know that jab me menu item pe click karta hu to post nahi khulti bas blank page aa jata hai. for example maine ek menu banaya hai category se Trending, jab me ispe click karta hu to ye ata hai >> http://example.com/category/trending/ batao kya karna hai k trending page pe click karke us category ki sab post aa jaye
Jumedeen khan
Aapne jis category ka link add kiya hai wo aapke blog par hai hi nahi, category banao fir uska link menu me add karo problem nahi hogi.
PRAMOD SINGH
Very nice post bhai . Iss post se bahut help mili thanks
Durga Ram
Sir, mera ek confusion hai ki, agar 2 keyword hai, 1st ‘fiverr’ and 2nd ‘what is fiverr’ ab adsense agar ‘fiverr’ keyword par high cpc deta as compair to ‘what is fiverr’ then hum sirf fiverr keyword pe kaise kam kar sakte hai ya kaise post likh sakte hai,
Vijay Akhade
Bahut hi achchi jaankari batai he aapne Sirji, Dhanywad.
Harshit Gupta
Sir aapki di gayi information se kaafi kuch samjh aya ..
but sir aapse google adsense se related ek help chahiye thi ..Kya daily apne blog me post publish karna jaroori hai ? Agar sir main kbi buzzy ho jau to main 2se 3 din me ek post publish kar sakta hoon jisse mere adsense account par koi effect na pade ???
Kuch logo ka kahna hai ki daily post na karne se apka adsense disable ho sakta hai aur website ranking bhi gir sakti hai?
Aap hi bataaye sir?
Jumedeen khan
Nahi, daily post publish karni jaruri nahi hai aur na hi isse adsense par koi fark padega.
संजय vyas
आप के कई आर्टिकल्स मैंने पढ़े है आप अपने पाठको को बहुत अच्छे से सब कुछ बताते है इसी तरह आप लिखते रहिये आप को मेरी और से बहुत बहुत शुभकामनाये
Neha Verma
Thank you sir, I’m new in blogging and This article is very useful for me.
Anand Kumar
Upar ke link mein maine apne blog ke post ka SS upload kiya hai jisse sambandhit 2 sawal hai…
1) kya post ke starting mein hi is tarah se itne keywords ka use karne se koi dikkat bhi hai?
2) Jis tarah se maine paragraph ke starting mein hi ek keyword laga diya hai, thik usi tarah se poore post mein sabhi paragraph ke starting mein keyword lagata hoon. Visitors ko isse hone wali problem ko chhor diya jaye to kya koi aur problem bhi ho sakti hai? Means, search result par defect to nahin padega ya koi aur samasya?
Jumedeen Khan
1. Koi dikkat nahi hai but inhe highlight nahi karna chahiye.
2. Jarurat se jyada use karne se google aapke content ko rank nahi dega.
Saira Narasimha Reddy
sir Best Article on internet thanks for this…
MUBARIK KHAN
Sir mere blog me post karne ke baad paragraph nhi aate hai
Sab ek sath aata hai
Plz mujhe bataye
Jumedeen Khan
Css coding se paragraph ke bich space do like
p{margin-bottom:10px}
Manas Lahon
Hello sir, You are really doing a good work.
Mayur chanpa
Thank you for sharing.
Muje bahut achi help Mili sir.
Thanks sir.
Vivek Bisht
hello sir ji
really m boht hi achhi post h or hindi m itni achhi knowledge pahle kbi mili nahi SEO k bare m.
post padh k lg rha h ki information puri original h or aapne apne blogging experience se share ki h
apna experience share krne k liye thank u very much sir
Jeevan Patil
hellO sir aapne bahut acchi jankari di hai keywords ke bare me, so thank you.
varun
bhai mera blog blogger par hai or mjhe ab WordPress pr blog banana h to mai kaise apni sari post jo blogger par h unko WordPress par kaise le ja sakta hu…kya yh ho sakta h blogger ki sari post WordPress par ho jaye
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Blogspot Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
Sultan singh
Sir agar Google Search box me hi target keyword use kare. to kya article search result me aha sakta hai
Jumedeen Khan
Nahi.
Neha
best tips sir i like it.
SURENDRA PAL
Mast Post For SEO
DILEEP KUMAR
1-hindi blog me keyword kese use kare
2- long teil keyword kaha use karne hai
Jumedeen Khan
1. Keyword apa english me i use kar sakte ho.
2. Please read this Blog Ke Liye Long Tail Keywords Ki Jankari
Yogesh Kumar
Jume Deen Khaan brother Post Pad Kar mja aagya, kaafi jaankaari mili aapki post se, maine abhi aapki website ke articles lagfag 4 hrs se pad rha hun, aapke SEO se related post bhut acche hai aur samaj me aane wale hai , m bhi kaafi kosis kar rha hun meri website ki traffic bdhaane ki but increase nhi ho paa rhe din me 0 se 10 tak hi visitor aate hai
abhi sayad aapki post padhne ke increase ho jaye.
Manoj
1. Jume din bhai aap kaunse newsletter ka istemal karte hai.
2. Krupaya mere blog ki seo aur keyword ki kamjori ke bare me jarur bataye. Apki help shayad mujhe bahut kuch sikha sakati hai.
Pichale 8 din se mere blog ke page views me giravat aaye hai kya karan hi sakata hai.
Krupaya Reply jarur kare.
Jumedeen khan
SEO optimizing karo.
anila singh
1-please Sir help blog post ko mai pahle wordpad par likhti hu sir H1, H 2,H 3,H 4, H 5,H 6 kaa font size kitna hona chahiye
2-keywords serch kia to uska cpc 178 lekin volume 500hundred tha kya ye thik rahega
2- keywords search karne par volume kaa zyada yaa kam hona achha hota hai
3- sir manlo keywords ki cpc 90 hai to kya mujhe ek click ke 90 rupees milenge.
Jumedeen Khan
1. H1-32px, H2-28px, H3-24px, H4-18px, H5-16px, H6-14px.
2. Jyada hona achha hai.
3. Nahi kitne milenge to google par depend karta hai.
kamlesh parihar
Sir mera blog ki post chek kar bataye ki mein usme sahi seo use kar raha hun. kyonki mujhe lagta hai ki kuch kami ho sakti hai. plz sir meri 1 – 2 post dekhkar bataye ki mein usme kya improvement karun.
Jumedeen Khan
Good but on page S E O follow karo. heading sahi se use karo. Aapne jarurat se jyada heading use ki hai.
Himanshu Grewal
NYC post bro.
Jitendar verma
Jumedeen je mera site supportindiame.com par dekye na mera AdSense kiyu apply nahi ho raha baar baar disprve ho jaa raha hah and traffic nahi mill rahe hai
Jumedeen Khan
Google ke mail me aapke AdSense disapproved hone ka reason likha hota hai wo check karo.
shailesh
ple sir muje AdSense ho nahi raha, click bhi bahut cum ho rahi, CPC bhi low he ,,eske liae kya krna padega plase muje help kijeae
Jumedeen Khan
Adsense ke bare me kei post likh chuka hu wo achhe se padho.
Jumedeen Khan
Actually, rupee ki value dollar ki tulna me bahut kam hai. 1 dollar me 67 rupees hote hai. aese me google aapko $0.10 per click deta hai to bhi aapko ek click se 6 rupees mil rahe hai same wese hi usa me ek click se 2-5 dollar deta hai to wo un logo ke liye utne hi hote hai.
Pawan Gautam
Thank you sir very impressive Answer.
shashikant vishwakarma
sir mai ek jankari aapse lena chahta hu ki blogger me jis gmail id se sing up karke blog banate hai to yadi hame AdSense me sign up karna hai to dusra gmail id nahi chal sakta hai kya
Jumedeen Khan
Chal sakta hai but iske liye aapko domain buy karna hoga. Example.blogspot.com domain hai to usi id se karna padega.
sunshine
hello jume deen bhai
apka blog bahut badiya hai aur isme kafi jankari hai jo me nahi janta
thanks for such nice info… wese mebhi ek blog banara hu hindi me…
aur apka content batane ka tarika gajab ka hai …
nitin
sir kya post ke end me tags me keywords use karne se traffic increase hota hai.
or sir mai apne blog me deals and loot tricks shares karta hu.but sir un par mujhe koi traffic nahi milta hai.baki posts par hi traffic aata hai.
Jumedeen Khan
Nitin tags or category me keywords use nahi karte. Aap SEO ke bare me humari or bhi post padho or ise achhe se samajho.
saurabh pal
par keyword kaha se use kare wo hame kaha se milegi.
Jumedeen Khan
Keywords aap keyword planner tool par search kar sakte ho.
Suraj Barai
Maine keywords ke baare mein itna padha lekin phir bhi samaj ke bahar… Plz aisa koi article hai jisse jyada examples ke saath likha gaya ho.
Jumedeen Khan
Keywords wo shabd hote hai jo internet par jyada search kiye jate hai. Aap SEO se related post padho. ye post important hai On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques
RANJIT KUMAR
thanks sir, mera site ka rank bahut kharab tha,, or keyword use karne nahi aa raha tha, shayad es se koi fiada ho,.. sir kor or tips ho to pls mail kare?. seo ke liye
Jumedeen Khan
aap bas seo ko follow karo. blogging ke sath sath seo ke bare me bhi sijhte rakho. ek din me kuch nahi hota. dheere dheere sab sikh jaoge.
satyam kumar
आपने जैसे गेट wp अपडेट का बैनर लगा है क्या हम भी ऐसा लगा सकते है !
दूसरी बात बिना www जब अपने ब्लॉग को सर्च करता हूँ तो यह सर्च मेंही आता है
पोस्ट को सर्च करने किस शब्दों का उसे किया जाता है टाइटल शब्द , पर्म्लिंक वाले शब्द या सर्च डिस्क्रिप्शन वाले शब्द ! मुझे मेरा टेम्पलेट सही नही लग रहा है क्या मुझ को तेम्पलेट चंगे करना चाहिए
Jumedeen Khan
Satyam aap jo chaho banner lga sakte ho. keywords search karne par or aap apne blog ko www ke bina set karo.
satyam kumar
bainer lagane ka tarika to bato . maine bina www satting kar di thi parntu search me nhi aa raha hai
Jumedeen Khan
Aapka blog abhi bina www ke set nahi hua hai. Second blogger dashboard > layout > header par ja kar upload karo.
aman gupta
Mai do mobile me gmail account se sign in Kar rakha hun to donors me direct mail Aata hai mai ek mobile ka gmail band karna chahta hun isle lite kya karna hoga please replay me
Jumedeen Khan
gmail setting me ja kar Notification disable kar do.
Narayan Soni
Sir Koi Theme Batao Free Wali WordPress Ke Liye . Simple And Clean Free
Jumedeen Khan
Aap google me search karo.
Kabir
Bahut hi badhiya tips hain, Comments bhi kai baar Keywords ka kaam karte hain, Seo tips acchi honi chahiye, Maine yeh realize kiya hain ki Agar aapka Blog Top Listed Rank ka hoga toh aapke Banaye gye Keywords bahut hi acchi tarah se google allow karta hain. Aur naye blog ko utna important nahi deta hain. Mera dusre blog mein yahi problem aa rahi hain. Abhi tak 23 Post likhe aur kareeb 2 Weeks ho gye, Lekin google Webmaster Tools ne sirf 4 Post hi indexed kiye hain. Jabki Mera purane blog par main koi bhi nayi post likhta hoon toh har 2-3 din mein hi google ise index kar deta hain. Yani ki Google Old Blogs aur acchi Alexa ranking ko bahut like karta hain. Kyonki Mera Old blog par nayi post 2-3 din mein yaha tak ki kai baar 1 din mein hi index ho jati hain. Aur mera naye blog ko 2 weeks ho gye, Lekin Indexing abhi tak nahi huyi hain.
Jumedeen Khan
Agar aapko post jaldi index karani hai to regular post share kiya karo.
Amit Kumar
Bahut achi baat kahi likhi hai, Helpful article
surendra rsdp
haan lekin yeh post unke liye jayada useful hai jo blogger platform use karte hai .
kyu ki WordPress par toh yoast seo hamko alert karta hai ki hamari post me kha par kami hai
Prince Akashii
Bahut hi badhiya jaankari di sir aapne
Isi tarah ham logo ki help karte raho
Thank you
Sir ek baat puchhni h
Aapki teeno website ek hi gmail Ki Id par h ya alag alag !
Jumedeen Khan
Sorry bro ye nahi bta sakta.
Prince Akashii
It’s Okay
no problem
Waise maine isliye puchha tha ki jisse mujhe ye jaanne me aasani ho ki main jab apna next banaunga to isi Id par banaubn ya Dusri Id par
Mera puchhne ke peeche yahi maksad tha
Jumedeen Khan
Bro mai aapki bat samajh raha hu. Or mujhe aapke sawal se koi problem nahi hai. But maine aapko sahi hi reply kiya hai. Iske bare me nahi bta sakta. Wese mai ek hi id se blog banane ka samarthan karta hu.
Dilip
mene apne blog me http enable kr liya h iska kya use h
Jumedeen Khan
YTe post padho Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
Prabhjit
Yeh blog ki earning ka andaaza laga sakte hai. Please tell me
Jumedeen Khan
Bro smi par aapki blogging me help ki jati hai. kisi ki earning par andaja nahi.
Deepak
Jumedeen sir aap apni site mai affiliate marketing ka banned lagkar paise kamate ya product bechkar paise kamate ho.
Jumedeen Khan
Banner lagane se hi product bache jate hai.
Deepak
Very nice post jumedeen sir. Jumedeen sir meri site niche theme name aaraha hai toh mai theme ka name kaise hatu.
Jumedeen Khan
blog ki template me jao or us theme ka name search karke delete kar do.
Narayan Soni
Achha Post He Nice . Mera Bhi Ek Blog He Usme Me Logo Na Technology Or Blogging Or Aadi Ke Baare Me Jaankari Deta Hu
vivek darji
muje ek chiz samaj nahi aati me jab post daalta hu to 1 din tak first page Pe Google search me aa jaati he aur dhire dhire wo search mese nikal jaati he iska karan aur upay bataye
Jumedeen Khan
SEO firendly post likha karo.
Sunny Chauhan
Ye article apne bhut accha likha h pr mera apse ek sawaal h ki apne ye comments se thoda upar posted by jumee deen khan i am professional blogger wala plugin kaise aur kaha se use kiya h please help me ye mujhe bhi apne blog pr add krna h
Jumedeen Khan
Ye feature already blog ki theme me hai.
satish kushwaha
Blogger me Labels me Koi keyword daalne ka koi fayda hai ? Plz reply ..
Labels ka use sirf category ke liye hota hai?
Jumedeen Khan
Ha label me aap keywords use kar sakte ho. Search engine categories ko bhi index karta hai.
Mohammed
Bahut Acchi Jankari …Thanks
sandeep Kumar
Maine bhi tips ko fallow karuga.Thanks for sharing
Rafiq Ansari
Sir main (html css js php) webdesigning ka course kar raha hu sir aap is field ke bare me thoda bistar se bataye aap ko kitne coding ki knowledge hai sir plz bataye
Jumedeen Khan
Rafiq mai is blog par blogging ki janakri share karta hu. Coding ke bare me post nahi kar sakta.
Aman Chauhan
Bhai. AdSense pe Transaction successfull bata rha hai, par money bank me nai aai.. Kyu????
Jumedeen Khan
payment aane me 3-5 day ka time lagta hai. 30 tarikh tak wait karo.
vikram
sir hindi font jyada SEO hota hai ya हिंदी फॉण्ट ज्यादा SEO होता है
Jumedeen Khan
Dono se
vikram
sir web hosting kya hai or yah website ke liye kyu jaruri hai ..?
Jumedeen Khan
Ye post padho Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se Kaise Kharide – What is Hosting
surendra
hostgator couple code sirf aaj hi kaam.karega kya yaa fir kuch or din
Jumedeen Khan
hostgator ki post me btaya gaya hai ki ye offer kab tak hai.
prashant
bahut acha hai. mene bhi ek naya blog banaya hai or usme ek post ki hai kya aap dekh sakte ho usme kya kami hai.
Jumedeen Khan
Achi post hai. Koi kami nahi hai.
surendra
aapke site supportmeindia ke header logo ki size kya he?
Jumedeen Khan
width=500px
Harman
Bro app ka blog bhut hi jayda helpful raha hay, may yaha janaa chata hu ki may kaysay hindi keywords ho research karou
Jumedeen Khan
Harman aap ye link ope nkarke hindi keywords search kar sakte ho. google adwords keywords planer
Manish Sharma
Sir Ye Keybord Ki Information Mujhe Best lgi
hari narayan
Apke iss tricks ko mai apne blog me jarur follow karunga….Aur ek sawal hai ki agar mai apne blog ko blogger se WordPress me le jata hu to kya blogger ke post ko delete karna hoga nahi to wah copy kaha jayega bataye.
Jumedeen Khan
Jab yak aap WordPress par complete setting nahi kar lete tab tak blogger blog ko delete mat karo. tab tak aap blogger blog me redirectionn code add karke WordPress par redirect kar sakte ho.
Ashish sahu
Jume deen bro keyword use ke bare me meri bahut si pareshani is post se solve ho gaya, point to point jankari share kiya hai thanks.
atul
comment mai to nofollow tag lga hota hai fir ye kaise possible hai ki comment mai high quality keyword use karne se post ki ranking badegi.
Jumedeen Khan
Comment ka sirf link nofollow hota hai commnet content nahi. Atul aap meri hi kisi old post ki comment google me search karke dekh sakte ho ki comment keywords se post search me aati hai ya nahi. Aapki confusing dur ho jayegi.