Google ek se jyada AdSense account banana allow nahi karta hai. Agar aapke pas 1 se jyada website hai to aap ek hi AdSense account se apni 4-5 site ya blog par ads laga sakte ho or earning kar sakte ho. Iske liye aapko apni sites ka URL AdSense account me add karna padega. Jiski jankari mai aapko is post me bta raha hu.
Agar aap ek se jyada AdSense account use kar rahe ho to yaad rahe google ko jaise hi iske bare me patachalega wo aapke AdSense account ko band kar sakta hai. Isliye ek hi google AdSense account use kare. Jisse aapko future me problem na ho.
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
Aap ek AdSense account se apni 4-5 site par ads laga sakte ho. But aapki sabhi sites differance category ki honi chahiye. Yaha mai aapko kuch important bate bta raha hu. Jinhe follow karne ke bad hi aap AdSense ke ads 1 se jyada site par use kar sakte ho.
- Sabhi sites par alag alag tarah ki jankari honi chahiye. Aap ek hi jankari ko dusri website par publish nahi kar sakte.
- Aap ek hi content ko 2 differance language me 1 se jyada site par share nahi kar sakte. Ye Black Hat SEO mana jata hai. Jiski google bilkul permission nahi deta hai. Or aysi site par AdSense ke ads nahi laga sakte.
- Adsense ke ads lagane ke liye aapki site par kam se kam 500 pageviews per day hone chahiye. Jisse 300 pageviews google search engine se ho. Sath hi aapka blog google webmaster guidelines ko follow karta ho.
- Website par hacking ya kisi bhi parkar ke s*xy or hinshak jankari nahi honi chahiye.
- Adsense bahut si bhashao ko support nahi karta hai isliye website ki language Adsense Support Language me se honi chahiye.
In sabhi terms me sabse jyada jaruri bat hai aapki dusri site par pahli site se matched content nahi hona chahiye. Warna aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai.
Adsense Account Me Website URL Kaise Add Karte Hai
Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se log in kare.
- Right side me setting gear icon par click kare.
- Settings par click kare.
- Site Mnagement par click kare.
- Yaha apni site ka URL (Link) add kare. example – xyz.com
- Ab ADD SITE par click kare.
Bas ab aapki site AdSense se connect ho chuki hai. Ab aap add ki gayi site par bhi ads laga sakte ho or earning kar sakte hai.
Ye bhi padhe:-
- Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips
- Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2025 – Earn Money
- Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
- Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
- Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Agar aapko AdSense ke bare me or koi bhi jankari chahiye to aap humari AdSense se related or bhi post padhe. Or agar aap AdSense ke bare me koi sawal puchna chahate ho to niche comment me puch sakte hai. Sath hi is post ko apne friends ke sath share jarur kare.
krishnachandra
Sir mera YouTube awr blog dono par ads lagana chats hun YouTube par to ads show hote hai par apke es post ko follow karke Maine apne blog ka url krishnachandrate.blogspot.in/ ko AdSense site management me ad karna chaha to msz show hota hai Ki “krishnachandrate.blogspot.in is not a valid public domain name” sir aisa kyu Ho rha hai awr ab Mai kya karu plz help me
Jumedeen Khan
Aap site management me xyz.com domain use kar sakte ho so iske liye aapko domain lena hoga or use blog me add karna hoga. Uske bad yaha add karo fir ad lagao.
krishnachandra baghel
sir matlab mujhe domain name kharidna hoga pahle ? aur agar kharidna padega domain to eske liye konsi site par jana hoga …
Jumedeen Khan
Godaddy site se kharid sakte ho.
Bhavik Kothiya
Sir Meri link add nhi ho rahi Kya kru mai plz batavo na. Website add krne k liye domain Lena jaruri hai kya
जुमेदीन खान
Yes, agar aap blogspot user ho to aap direct blogger.com par ja kar setting se apply karo.
arvind chauhan
bhai ak page pr ak generate ad code ko kitane baar laga sakte hai ak baar ya kai baar
Jumedeen Khan
Aap ek page par kitne ads laga sakte ho iski jankari is post me hai. Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
sunil bhargav
New domain ko blog , Google search console me add karne ke baad kya ise AdSense me bhi add karna padta hai kya and Google analytics me bhi add karna hai kya, agar add Karna padta hai to kya uske add karne ke baad free blogspot.com ko hatana padega kya
Jumedeen Khan
Ha hatana padega.Maine jo aapko blog banane ke bad kya kare wali post btayi hai usme iski puri jankari hai. Plz visit
prahlad
Plz help
Q 1)We’ve recantly integrated the site authorization future with site management,please review your setting to ensure they are correct…
Maine jub mera dusra blog site management me add kiya tab
Muje ye notification mila hai AdSense ki aur she…usme kya settings karni hai.
2)Maine free domain liya hai .cf use me use karna nahi chahta kya me phir she blogspot.com use kr sakta hu aur use kar sakta hu to isse mera AdSense account disapprove to nahi hoga?
Jumedeen Khan
Aapne adsesne me dusr isite ka link add kiya hai. Uska message hai. Disapproved nahi hoga. but us par aap AdSense ke ads nahi laga sakte.
prahlad
Lekin sir AdSense ka rules to yahi hai ki ap AdSense ka code 3-4 website pr laga sakte ho…dono ki email Id ek hi hai?
2)muje mera domain hatana aur phir se blogspot.com use karna hai?
Jumedeen Khan
Ha AdSense se aap apni sabhi sites par ads laga sakte ho but blogspot.ocnm site par nahi. custom domain wali site par. Matlab aapko koi dusra domain buy karna padega.
prahlad
Sir,Mera AdSense account approve ho gay aur is approved blog me Ads bhi show ho rahe hai lekin mere dusre blog me ads show nahi ho rahe hai..Maine site management me is blog ko add kar diya hai…plz help
Jumedeen Khan
Adsense aapki si site ka review karega. uske bad ads show hone lag jayenge.
prahlad
Sir,1 blog me to already ads show rahe hai…
Pkthakor143.blogspot.com isme ads show ho rahe hai,lekin dusra blog pkthako143.blogspot.com isme ads show nahi ho rahe hai…dono ka emal Id ek hi haihair
AdSense ka rules Thai hai ki 1 blog me ads show ho jayo to iske bad hum 4-5 blog me wo use kar sakte hai
Jumedeen Khan
Ads show nahi honge to aapko iska AdSense message send karega. Usme iska reason mil jayega.
surendra rsdp
Hello bhai , mai dausa district me rehta hu aor puree district me SBI ka swaift – bic code nahi toh mai Alwar Yaa Jaipur Ka Swift Bic Code use kar sakta hu kya ? aor mera bank Ac Mahwa ,Dausa me hai
Jumedeen Khan
Saurendra aapke area ke bare me aap mujhse behtar jante hai. Isliye ye aapko pata karna hai ki aapki bank ke sabse najdiki konsi bank lagti hai. Ha ye confirm hai ki aap apne bank ke najdiki bank ka code use kar sakte ho. fir chahe wo dusre district me ho.
Ashish sahu
Maine AdSense apne blogger blog se aprove liya tha, but mujhe apne selfhosted WordPress blog par bhi ads lagane hai. Isme koi problem to nahi hoga.
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai, dono blog par ads laga sakte ho.
ramesh kumar sharma
mr. jume deen ji namskar,
mane pahle blog par ads lagaye hai . ads lagane ke baad me google AdSense a/c me site manegmant me blog ko add kiya hai .kya koi problam to nahi hogi kya sir yahi hame kuchh karna baki hai to aap mahe bataye.
thanking you.
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hogi.
rohit
Hello sir YouTube par maine ak video upload kiya tha usme acting hamari thi lekin gana arjit ka tha jo ki ak bahut badhe singer h to mujhe YouTube ki tarf se notice ane laga aur meri video bhi monetize nhi thi to aisi video upload karne ke kya karna hoga kya main aisi video uplaod kar sakta hu plz sugget me
Jumedeen Khan
Ye video copyright hai. ise aap delete hi kar do. ye post padho Youtube Par Kis Kis Tarah Ke Videos Copyright Mane Jate Hai
Sandeeo kumar
Bhai mere menu sahi kar do Maine apko Facebook par message kiya hai
Jumedeen Khan
Ok, mai aapko facebook par reply karta hu.
Manish
Sir aap meri site dekhe aur ye bataye ki mera navigation menu sahi SE kaam nahi kar raha hai please muje bataye ki me kya karu aur maine ek do din pehle naya templates install kiys to bhi kaam nahi kar raha hai sahi SE.please jara acche SE check karna tab malum padega sir.
Jumedeen Khan
Manish aapki site open nahi ho rahi jo mai aapko suggest kar saku. sahi link btao.
sonu
bro agar ham site management me website add nahi karte hai. phir bhi AdSense code lagate hai create karke par AdSense ke niyam ka palan kare to isse koi dikkat nahi chahiye
Jumedeen Khan
Agar aap AdSense me site add nahi karte hai or us par ads lagate hai to aapka AdSense account band ho jayega.
Sandeep kumar
Bhai Maine Facebook par message kiya hai check kar lo please
zishan ali gulzar
sir blog me do domain name add krna he kaise kare,, jaise pahle se mera .in he ur usme .com add krna he,,, kaise kare, blog me option nhi de rha he,
ek bat ur sir dusra domain nam add krenege to fir se ,, webmaster, alexa me submitt krna padega
Jumedeen Khan
Aapne jis site se domain liya hai. us par domain profile me ja kar domain ko dusre domain par forword kar sakte ho.
Aap blog ke main domain ko search console me add kare. Baki jaruri nahi hai.
zishan ali gulzar
sir ek bat ur apne btaya ki only search console me submit krne, to usme double blog ho rha he, ur dono domain se ek hi page khulta he, to copy content nai na hoga
Jumedeen Khan
Nshi nahi hoga. aap search console me ek hi domain add karo. dusra add nahi hoga kyuki aap verify knahi kar paoge.
Sandeep kumar
Menu create karke try kar liya nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Aap mujhe facebook par contact karo. Mai aapki setting kar ke deta hu.
Sandeep kumar
Bhai apne Jo bataya vo bhi kiya phir bhi menu mobile me show nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Theme change karne ke bad bhi show nahi ho raha hai to aap ek bar ne menu create karke try karo.
pardeep
bhai app na site ma kon sa template laga rakha ha.
kya app ya mujha send kar sakta ho.
Jumedeen Khan
Mai mytheshop ka ribbon template use karta hu. Aap bhi kar sakte ho.
Mo Aziz
jumedeen bhai
mujhe alexa widget me no data kyu show ho raha hai
meri site me bhi aur apki site me bhi mujhe no data show ho raha hai
aisa kyu ho raha pls mujhe bataye
Jumedeen Khan
Ye alexa ki missing service ki wajah se hota hai. don’t worry ye alexa ki problem hai. apne aap solve ho jayegi.
Sanjay
Sir m Aapse ye puchna chahta hu ki mere Facebook page PR agar 100000 like h to mujhe kitne rupees tak mil skte h agar m use sell kru to plz Sir reply me on my email address
Jumedeen Khan
Sanjay aap yahi sawal mujhse 3 bar puch chuke ho. Plz don’t epeat your comment. aapko koi kitne paise dega ye page kharidne wala hi bta sakta hai. Or 100k original page like karna hasi majak nahi hai. Isme salo ka time lag jata hai. Sirf muh se kahne se kuch nahi hota hai.
Anuj godara
ADsense ka account approve karvane ke liye kitni post blog par hona jaruri hai.
Jumedeen Khan
Adsense account ko approved karane ke liye post ki sankhya nahi. aapki site ki valuablity check ki jati hai. Yani ki aapki site par kaha se kitna traffic aata hai or aap real me logo ke liye acha kar rahe ho or aap apna work ghoogle terms ko follow karke kar rahe ho. Adsense account banane ke liye aapke blog par 500+ pageviews per day hone chahiye or aapko blog seo friendly hona chahiye.