Normally hume kisi bhi bank me account ke liye nearest bank branch jana padta hai or isme hume kafi pareshani face karni padti hai. Agar aap internet user hai to aapko bank shakha me jane ki jarurat nahi hai aap ghar baithe internet ke through kisi bhi bank me account ke liye apply kar sakte ho is post me main aapko ICICI bank me online new account open karvane ke bare me step by step details se bata raha hu. Is guide ko follow kar aap easily ICICI bank me new account khulwa sakte ho.
ICICI Bank aaj India ki top banks ki list me shamil hai or log international transaction ke liye mostly ICICI bank ya HDFC bank ki service hi use karte hai. Isliye agar aap koi online work karte ho to aapka ICICI bank me ya HDFC bank me account jarura hona chahiye taki aap other countries me online transaction kar sako.
- PAN Card Ke Liye Online Application Submit Kaise Kare
- Net Banking Kya Hai, Internet Banking Use Karne Ke Fayde or Nuksan
Online business ko success banane ke liye international transaction jaruri hai or international transaction ke liye aapke pass credit card ya global debit card hona jaruri hai. International transaction me ICICI bank ki service sabse best hai. To chaliye ab jante hai ki ICICI bank me account hkulwane ke liye apply kaise karte hai.
Table of Contents
- Online ICICI Bank Me Account Khulvane Ke Liye Apply Kaise Kare
- How to Apply Online ICICI Bank Account – Full Guide in Hindi
- Step 1: Enter Your State and City Names
- Step 2: Tell About Yourself
- Step 3: Add Your Personal Information
- Step 4: Add Your Work, Home, House Value and Income Info
- Step 5: Choose Which Saving Account You Need
- Step 6: Select Your Nearest Branch
- Step 7: Add Account Opening Required Amount
- Step 8: Congratulations! You Applied Successfully for ICICI Bank Account
- Step 9: Ready Your Important Documents
Online ICICI Bank Me Account Khulvane Ke Liye Apply Kaise Kare
First main aapko batana chahunga ki ICICI bank multiple type ke saving account offer karti hai jo is parkar hai.
- Regular Saving Account.
- Sliver Saving Account.
- 3 – in – 1 Account.
- Packet Saving Account.
- Basic Saving Account.
- Gold Privilege Account.
- Titanium Privilege Account.
- Young Star Saving Account.
- Senior Citizen Saving Account.
- Zero Balance Saving Account.
- Advantage Women Saving Account.
Itne type ke saving account list me dekh kar aapko confusing ho rahi hogi ki mujhe kis type ka account khulvana chahiye. Main aapko bata du ki is sabhi me se regular saving account sabse best choice hai. Sabse jyada people isi type ka account istemal karte hai.
Iska ek reason ya bhi hai isme kam deposits maintain karna padta hai jabki baki sabhi other type ke account me kafi jyada deposits maintain karna padta hai.
Regular saving account ki sabse achhi bat ya hai ki koi bhi Indian citizen s type ka account khulwa sakta hai or isme sirf 10, 000 rupees rakhne ki jarurat hoti hai. Regular saving account me aapko Internet banking, Mobile banking, Debit cards or other all services provide ki jati hai.
How to Apply Online ICICI Bank Account – Full Guide in Hindi
Iske liye aap ICICI bank ki site icicibank.com par jaye or Personal >> Account & Deposits >> Saving Accounts option open kare.
Agar aapko ICICI bank ki website par ye option na mile to iske liye aap yaha click kar saving accounts page par ja sakte hai Click here to open saving account. Ab yaha aapko new customer option par click karna hai.
- New Customer ke button par click kare.
Step 1: Enter Your State and City Names
New customer open karte hi new tab me ek new page opn hoga usme aapko apne state or apne city ka name enter karna hai.
- Apna current state and city enter kare.
Step 2: Tell About Yourself
Aapke state or city name enter karte hi isi page me or option show honge jinme aapko apni detials fill karni hai.
- Apna state add kare.
- Apna city name add kare.
- Agar aapke pass aadhaar card hai to aap yaha aadhaar card number add kar sakte hai. Isse aapke aadhaar card ki information automaticlly form mr fill ho jayngi. Agar aadhar card nahi to koi bat nahi aap niche bataye steps follow kare.
- Apna moblie number add kare.
- Apna email address enter kare.
- Apna first name add kare.
- Ye option optional hai aap ise khali chod sakte hai iski jarurat nahi hai.
- Apna last name add kare.
- Terms & conditions par select kare.
- Next par click kare.
Step 3: Add Your Personal Information
Ab jo page open hoga usme aapko apni personal information fill karni hai. Isme Personal details, Communications details or Documents details ke 3 part hai isiliye main aapko tino ke bare me alag alag bata raha hu taki aapko aasani se samajh aa jaye.
1. Personal Details:
- Apna first name or last name check kare.
- Gender select kare.
- Marital Status select kare.
- Birthday date add kare.
- Birthday city select kare.
- Father name add kare.
- Mother name add kare.
- Pan number option choose kare. {Agar aapke pass PAN Card nahi hai to aap Form 60 (Other income) option select kar sakte hai magar iske liye aapke pass CKYS number available hona chahiye.}
- Apna pan card number add kare.
- Agar available hai to CKYS number add kare warna is option ko khali chod dijiye.
2. Communications Details:
Communications Details me aapko apna full address fill karna hai. Yaha aapko address fill karne ke liye 4 options milenge jinme se aap apna pura pata add kar sakte ho.
- Apna full address add kare.
- Apna pin code add kare.
- Permanent Address is same as the Communication Address ke samne select kare taki aapko fir se permanent address fill ne karna pade.
State or city name aap already add kar chuke ho or baki STD code, Residence landline and Offline Landline ki details avilable ho to aap add kare warna sabhi option ko khali chod sakte ho.
3. Documents Details:
Documents Details me aapko apna identity proof or address proof add karna. Iske liye aap apne aadhaar card, Driving licence, Job card, Pan card, Valid passport, Voter ID card etc. use kar sakte ho.
- Apna identity number proof or address proof select kare.
- Apna mobile number add kare.
- Aapke mobile number par ek OTP (One Time Password) aaya hoga wo yaha add kare. ( Agar OTP password nahi mila ho to aap resend OTP par click karke password fir se pa sakte ho.
- Next par click kijiye.
Step 4: Add Your Work, Home, House Value and Income Info
Ab jo page open hoga usme aapko apne work, home, house value or income ke bare me jankari fill karni hai.
- Aap Professional, Salaried, Family Business, Own Business, Retried and Student inme se aap jo bhi kaam karte ho o select kare.
- Aap alag special house me rahate hai to self-Owend-House, family ke sath rahate hai. Family-Owned House or agar aap kiraye se rahate hai to rented House select kare.
- Aapke home ki kitni value hai wo choose kare.
- Aapki income kitni hai wo selecr kare
- Next par click kare.
Step 5: Choose Which Saving Account You Need
Ab yaha par aapko saving account type select karna hai main iske bare me already bata chuka hu mere hisab se aap regular saving account choose kare.
- Regular Saving Account select kare.
- Next par click kare.
Step 6: Select Your Nearest Branch
Ab aapko apni nearest home branch select karni hai. Aapne address apply karte time jo address fill kiya tha aapko uske najdiki branch provide ki jayegi aap sabse nerest branch select kare taki aapko bank branch tak aane jane me koi problem ne ho.
- Apne sabse pass wali branch select kare.
Step 7: Add Account Opening Required Amount
Ab jo page open hoga usme aapko apne ICICI bank account me payment transfer karne ke liye kaha jayega. Aap net banking debit card se payment transfer kar sakte hai. Don’t worry ye paisa aapke saving account me hi add kiya jayega.
Aap chahe to bad me bhi payment kar sakte hai magar bad me aapko cheque ke through payment karna hoga. Agar aapke pass kisi or bank ki cheque book hai to aap transfer later ka option choose kar sakte ho.
- Aapko abhi payment karna hai to yaha amount add kare. (Aap 1,000 se 25,000 tak payment jama kar sakte ho.)
- Agar aapko payment bad me transfer karna hai to transfer later par click kare.
Step 8: Congratulations! You Applied Successfully for ICICI Bank Account
Ab agar apne sabhi steps proper follow kiye hai to is tarah ka ek message show hoga. Message me ye likha hoga Thank you for applying for an ICICI bank saving account. Isme aapki application ID hogi us ID number ki save kar le bad me iski jarurat padti hai.
Congratulations! Ab aap suceessfully ICICI bank saving account ke liye apply kar chuke ho magar abhi sirf saving account ke liye apply kiya hai abhi aapka ICICI me account bank me account nahi khula hai abhi aapko ek kaam or karna hai.
Step 9: Ready Your Important Documents
Aapke ICICI bank me saving account ke liye apply karne ke 24 e 48 hours bad ICICI bank representative aapko call karega or aapke documents collect karne ke liye aapke home address par kab bank member bheja jaye uski date and time or jaruri documents ready rakhne ke bare me bat karega.
Aap jo samay bataoge us time par ICICI person aapko call kar aapke bataye address par visit karega or aapse aapke documents collect karega. Isiliye aapko sabhi jaruri documents taiyar rakhne hai. Aapko ye important documents ready rakhne hai.
- An account opening cheque of the required amount: Aapko account me kitna payment transfer karna hai uska cheque ready rakhe or agar aapne already payment transfer kar diya hai to aapko iski jarurat nahi hai.
- Identity proof ( copy as well as the original documents ): Aadhaar card, Driving licence, Job card, Pan card, Valid passport, Voter ID card aap jisse identity proof karna chahate hai uski photocopy karwa le.
- Address proof ( copy as well as the original documents ): Same identity proof ki tarah aap address proof documents bhi taiyar rakhe.
- One Passport size color photograph: Apna passport size ka ek colorful photo banwa le.
Finally, documents and deposit collect hone ke bad aapka account open ho jayega isme 1 week tak ka time lag sakta hai.
Uske bad aapko bank passbook, cheque book, debit card, net banking kit provide ki jayegi. ICICI aapko or kya kya service degi iski jankari ke liye aap apni home branch par visit kar sakte hai.
Isi tarah aap other bank me bhi account khulvane ke liye online apply kar sakte ho. Agar aapko ye post achhi lagi hai or aap aesi hi or post padhna chahate hai to aap is site ke home page par ja kar hamari latest post check kar sakte hai. I hope aapko achhi information milegi.
For example, Aaop ye article padhe Online Digital Transaction Karte Time Safety Ke Liye 10 Jaruri Tips.
Agar aapko kisi or bank me account khulvana hai to aap uske bare me comment me bata sakte ho main aapke dwara batai gayi bank me online account khulvane ke bare me post likha dunga.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise apni social media profile par apne friends ke sath share jarur kare. Thanks for reading.
Rahul
Axis vs hdfc vs icici kaun sa bank accha hai sir for receive adsense payment and jo acchi service provide karti ho aur jiska debit card international transaction support karta ho. In sabke liye teeno me kaun best hai
Jumedeen Khan
SBI in sabse best hai baki in sab me extra charges jyada lagta hai. SBI global debit card se aap internation transaction kar sakte ho.
Dinesh pangul
PayPal me account banan hai ICICI me 1000 he dalna hoga kya kuch kam pa bhee ho jayga
Jumedeen Khan
Nahi isse kam me account nahi khulega.
humidity chamber
Great post.
Ansh
nice article sir. ,, sir aaply karney key baad ,,passbook , atm etc .postal address par aayega ya bank sey collect karna padega. ,,,
Jumedeen Khan
Dono tarike use kar sakte ho.
Rahul Kumar
Very nice article sir jee..
Irshad Ahmad
Bhai Kya ICICI Bank Me 10000 Balance Rakhna Jaruri Hai Jaise Meri Sallery 9000 Hai Mai Har Mahine Nikal leta Hu Tu Kya Isme Koi Problam Hogi
Jumedeen Khan
Ye aapke acocunt type ke upar depend karta hai. ICICI me aap 0, 25,000 and 1,00,000 tak wale account khulwa sakte ho.
Irshad Ahmad
Bhai Fir Ham Kaun Sa Account Open Kare Online
Jumedeen Khan
Already bta chkua hu ki kounsa account best hai.
Jitu
Sir HDFC mai bhi kiya asie hi apply kar saktey hai
Jumedeen Khan
Usme bare me bhi jald post likhunga.
ajay gupta
Sir kya ham 0 bailence par apni acount nahi kholva sakte hain kya?
mene post ko padha but payment vaali baat samajh nahi aaya
Jumedeen Khan
Jyada jankari ke liye aap bank branch me bat kare.
asif
sir adsense se payment recieve karne ke liye bank account me jo name hota hai vo adsense profile name se match hona zaruri hai toh isi tarha adsense profile me jo hamara ghar ka address hota hai vo bhi adsense profile ke hamare address se match hona zaruri hai.kya.?? pls bataiye sir .. aur mere adsense accnt me ab $138 hai toh mujhe agle month payment milega kya.? agar ha toh bank details adsense account me add karne ka last date kab hai
Thanks
Jumedeen Khan
Yes match hona chahiye. yes milega kabhi bhi add kar sakte ho.
rahul
sir mujhe apne blog ke author box me bilkul choti photo lagani hai . maine kafi photo editor try kiya but photo choti nhi ho rhi hai sir aap bataiyye kya kare. lekin only mobile ke liye batana kyuki me mobile se hi blogging karta hu isliye mobile me photo ka size kam kaise kare.
Jumedeen Khan
Photo ka size aap css code se kam kar sakte ho like w
idth="100px" height="100px"
.Aman
Hlw sir, kya adsense se payment lene ke liye hmare bank account me pencard linked hona jarrori hai? kuch ne kha hai YES or kuch ne NO! pls aap es confusion ko door kare.
Jumedeen Khan
Nahi adsense ke liye pan card jaruri nahi hai.
Asween
pehle kisibhi bank me account khulvana bahut magajmari kaa kaam lgta tha lekin aapne ICICI bank me online account khulvane ki jo saral process image ke sath step by step batai he vah bahut hi saral he,is tips ke jariye koi bhi aadmi jise internet kaa samany gyan ho vah aasani se apna bank account khulva shakata he.
vicky
sir agar hamara fully approved adsense account hai,agar ham isme hamari koi dusri site add karte hai,toh yah turant approve ho jaati hai,yah iske liye bhi adsense verification karta hai site ki.
Jumedeen Khan
Fully approved adsense me apako bas new site ka link add karna hota hai uske bad us site par ad show hone lag jate hai.
Amit
Hlw sir, pls help me..
Mera adsense account 30 days ke liye suspend ho gya tha. Lekin ab 30 days ho chuke hai or site voilation me inactive bhi dikha rha hai. But site par ads show nhi ho rhe hai. Pls batayiye ki ab me kya karu? Multiple Invailed Click ke wajah se suspend hua tha. Ab kya mujhe doobara se ad unit banakar site me lagane honge to ad show hoga kya..?
Jumedeen Khan
Thoda wait karo ad show hone lag jayenge. Aap new ad unit bana kar blog me add kare.
Amit
But sir mujhe adsense ki taraf se account re enabeld ka koi mail nhi aya hai. Or adsense account me upar red colour se account suspention ka notifiaction abhi tak show ho rha hai. Mere 30 din aaj pure hue hai. Or mene new adunit banakr bhi site me laga diya tab bhi abhi tak ad show nhi ho rha hai. Ab mujhe lya karna chaiye pls bataye sir.
Jumedeen Khan
Warning bhi hat jayegi 1-2 day wait karo.
Atul maurya
सर क्या मैं अपने ब्लॉक के मोबाइल लैपटॉप जैसे अमेजॉन पर बताता है कि आप इस की सारी सारी डिटेल बताएं और इमेज उनका इमेज लगाएं तो क्या यह कॉपी राइट में आएगा क्या हम अपना ब्लॉक पर लगा सकते हैं उसका इमेज और पोस्ट कर सकते हैं हमारे ब्लॉक पर कोई प्रभाव नहीं पड़ेगा
Jumedeen Khan
Nahi kyuki is tarah se aap unka hi promotion karte ho.
Deepika Sharma
Kya ICICI Bank ka debit card my PayPal account me add ho jayega ? Please reply…
Jumedeen Khan
Yes ho jayega.
Zishan Ali Gulzar
sir apne apa blog ka copy content protection kis plugin se kiye hain ,, ya without plugin
Jumedeen Khan
Read this post Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
Deepak sahu
Aap abhi tak hindi font me post nahi likhte the, but last 2 post hindi me likha hai aapne iski koi khaas wajah?
Jumedeen Khan
Forum par iske bare me already bta chuka hu.