Apni video host karne ke liye YouTube sabse better or popular or sabki favorite site hai. Iska sabse acha fayda ye hai ki aap YouTube parternership program join karke is par video upload kar ke unse paise bhi kama sakte ho. Bahut se log sochte hai ki YouTube partner banne ke liye pata nahi kya kya karna hota hai. Aysa kuch bih nahi hai. Aaj mai aapko bta raha hu ki YouTube partner banne ke liye kya karna hoga.
Internet par aapko YouTube partner banne ke bare me bahut tarah ki jankari mil jayegi. but ye bahut easy hai. Aap chand second me YouTube partner ban sakte ho. Actually, aapke pas agar gmail account hai to aap jaise hi YouTube par apni gmail ID se log in karoge aap YouTube partner ban chuke hoge.
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
- Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips; Video SEO
In this post, mai yaha aapko YouTube partnership program join karne or video ko monetize karne ke bare me clear step bta raha hu. Bahut se newbie people YouTube ke bare me janna chahate hai but clear or sahi information na milne par unhe YouTube join karne me bhi problem hoti hai.
Youtube Partnership Kaise Join Kare or Video Uploading Se Paise Kaise Kamaye
Aap jaise hi koi video creare kar YouTube par upload karoge YouTube partner ban choke hoge. But yaad rahe aap kisi or ki video, content i mean copyright video upload nahi kar sakte.
How to become a YouTube partner:
- Go to YouTube.com and log in with your gmail account.
- Upload some videos and get viewers.
- Monetize your video.
- Connect your YouTube channel with google adsense.
- Make money from your video and enjoy.
- Now upload regular videos like minimum 1 video weekly.
- Make sure your video are helpful other
- Increase your video viewers and get YouTube partnership program.
In simple words, Sidhe shabdo me YouTube join kar video upload karna, videos ko monetize karna, AdSense account se connect karna, regular video upload karna or uske bad apne videos par millions views receive karna hi YouTube partner banna hai.
Enable your YouTube channel for monetization:
To check your channel’s eligibility and opt in for monetization:
- Sign in to your YouTube account.
- In the top right, select your account icon > Creator Studio.
- In the left menu, select Channel > Status and features.
- Under “Monetization,” click Enable.
- You’ll only see this option if your account hasn’t been disabled for monetization.
- Follow the on-screen steps to accept the YouTube monetization agreement.
Iske bare me adhik jankari ke liye ye article read kare Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode. Maine is post me iske bare me step by step screenshot ke sath samajhaya hai.
Youtube Partner Banne Se Kya Fayde (Benefits) Hai ?
- Aap YouTube par videos upload karke online money earn kar sakoge.
- Jab aap YouTube patner ban jate ho to aapko branding option milenge or aap YouTube par banner ads, over lay ads, images ads, video page banner use kar sakte ho.
- Iske alawa aapko mobile version me bhi branded option milenge.
Youtube partner banna mushkil nahi hai but aapko imaandari se work karna hai or koi bhi video copyright upload nahi karni hai. Sath hi aapki video logo ke liye hewlpful or useful honi chahiye.
- Youtube Se Dofollow Backlinks Kaise Receive Kare Blog Ke Liye
- Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
To kya ab aap abhi YouTube partnership ke liye apply karne wale ho. Agar ha to mai aapko suggest karunga ki aap humari YouTube se rrelated or bhi post padhe. I hope aapko sahi jankari milegi or aapki help hogi. Sath hi aap Youtube partner program overview page par iske bare me information pata kar akte hai.
Agar aap ye jankari kisi video se janna chahate hai to aap YouTube Partners: Guide to setting up your account video dekhe.
Muhammad Usman Shehzad
assalam o alikum JUME DEEN KHAN bhai kia aap mujhe bata sakta ho ka YouTube 1 suscribe ka kitna pasa data ha aur agar sirf ad wali video ka pasa milta han to AdSense sa ad kis tarha dalon ???? muja sai tarika nai pata !!!
Jumedeen Khan
YouTube subsribe ke paise nahi deta bali video par show hone walie ads par user ke liye click karne par paise deta hai.
wasim
Assalamualaikum bhai Maine YouTube channel banaya us par Kafi videos bhai Dale huwe hai Adsense se connect kiya huwa hai or sab video monetization kiya kafi sare vviewers bhi aaye bhu ko ads show nahi hote video par koi bhi video copyright bhi nahi hai help me bro
Jumedeen Khan
ap video manager me ja kar sabhi videos ko fir se monetize karo or jo error show ho wo mujhe btaya and jo video monetize na ho use delete kar do.
junaid siddiui
Bhai mene Blog create kiya hai I hope aap jante hai mene pehle bhi apse comment kiya hai ……blog me catogaries kese add karu Jese apne apne blog ke andar catogaries or title dal rakhe hai ……?????
Jumedeen Khan
Iske bare me main already post likh chuka hu search box me search karo.
nitesh
Sir mene YouTube pr do video upload ki hai unme se ek pr 15 aur ek pr no view hai itne km view ka kya karan ho sakta hai usi topic ki doosre channal ki video pr 1M aur 2M jaise view hai kya problem ho sakti hai
Jumedeen Khan
Iska main reason hai aapki video ka sahi na hona. Aap ek bar 1 million wali video ko achhe se dekho fir apni video se uski tulna karo.
nitesh
Ji sir apne sahi kha pr kisi dusre ko sahi aur galat ka pta to jabhi chalega tab bo dekhega jaise ki koi video viral share krne se hoti hai kisi ne video dekhi use bahut hi badiya lagi tab usne share ki aur bekar ya kisi kam ki ni lagi to share ni karega bina koi view ke kese pta chalega ya
kiran
bhai channle ka descrapation kaha pe likhna hota hai aur YouTube video massage kya Hai
Jumedeen Khan
ye post padho Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
vaidehi
AdSense pape rpm imprasion rpm me joearning batata hai wo kya hai muje samaj nahi ata curent bal 0 hai to hamari income kitni hai andaja kaise laga shakte imrasion rpm me jo dikhata hai itni hngiya usse kam ya jyada
Jumedeen Khan
Aap humari AdSense se related post padho sab samajh aa jayega.
vaidehi
YouTube ke liye koonsa keyworld tool us karna chahiye
Jumedeen Khan
Keywords YouTube or blog dono me same hote hai aap same tool use kar sakte ho youtubr SEO liye aap ye post padho Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips – Video SEO
vaidehi
curent balance me to $0.00 dikhai de rahe hai to hamari income kyu nahi dikhati
Jumedeen Khan
Aapki YouTube earning mahine me ek bar AdSense me add hogi.
VAIDEHI
AdSense me page rpm aur impression rpm me se hamari income kunsi hai aur total me to dikhai nahi deta
Jumedeen Khan
Koi si bhi nahi. Current balance check karo.
payal
video upload karte samay tag me kya likhna hota hai koi chanle ka nam likhna hota hai ya aur kuch
Jumedeen Khan
a apne video se related channel ko tag kiya karo.
vaidehi
1 AdSense me performance reposts me page rpm aur impression rpm kya hai 2 video upload samay tag me kya dusri channle ka naam likhna hota hai 3 hu partner pogram nahi jodte to kya AdSense se paisa nahi kama shakte
Jumedeen Khan
Page rpm ka matlab hota hai ki humari kitne ad pagveiws se kitni earning hoti hai. nahi bina advertising ke YouTube se paise nahi kama sakte.
deepesh
hello jumedeen sir YouTube video par AdSense ad kaise lagaye
Jumedeen Khan
Ye post padhe Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Mohit
Youtube se indian traffic me kitni earning ho jati hai 10000 views par
Jumedeen Khan
Mohit ye aapke traffic quality par depend karta hai ha itna kahunga ki log YouTube se lakho nahi croro kama rage hai.
Kunal Sharma
hello jume din khan mere video ke view 45000 huve hai aur adds pe click 1100 bata raha hai phir bhi sirf $3 hi kyon AdSense me jama huve hai .aur itane view ke kitane paise mil sakate hai aaapke mutabik
Jumedeen Khan
Aapki earning kam huyi hai. Iski wajah aapki video short ho sakti hai ya apane video ko better SEO set up nahi kiya hoga.
Manish
jume deen sir please help mere blog par 850 pageview hote hai lekin AdSense me sirf 4 pageview batata hai or kal mere blog par 1200 pageview huye and mujhe bhut kam sirf 0.01 mila 1 click ka essa chalta raha to main 1 year me bhi 100$ nahi kar sakta… meri AdSense ki earning kaise increase kaise hogi…..
Jumedeen Khan
Aap blog par traffic badhao. 850 pageviews me se aadhe se jyada PV aapke honge. itne kam traffic se paise nahi kama sakte. Aapke blog par jab 3000 se jyada PV hone lag jaye tab earning ke bare me sochna.
mahtab
mai 2 week wait kiya lekin abhi bhi show ho raha hai
mai robot text
robot header tag bhi 2week pahle he remove kr diya tha
Jumedeen Khan
mahtab aap sawal ko pura likha karo.
mahtab
sir abhi bhi mere blog par ye warning sho ho rahi
warning! Use with caution. Incorrect use of these features can result in your blog being ignored by search engines.
1.isko kaise remove kre
2.aur isse koi problum to nhi hai
Jumedeen Khan
Aap abhi bhi robot.txt file galat use kar rahe ho. ye post ache se follow karo Blogspot Blog Me Advanced SEO Settings Kaise Enable Kare
Mukesh Sharma
Very interesting topic for all, thank you brother for given this information. Ab log ise bhi read karke YouTube se bhi kamayi kar sakege. Sikhne ka bahut hi achcha jariya hai ye article.
Thanks bhai
Pawan Kumar
Sir mera swal hai.kya YouTube se AdSense account approved kane ke bad kya mai blog per ads laga sakta hu bina domain name kharide isme koi parisani to nhi kya yesa sambhaw hai app plz iska jawab de
Jumedeen Khan
Nahi iske liye aapko domain lena hoga ya fir aap blog se hi AdSense account banao.
ravi kumar
bro ek bat janni hai agar koi AdSense se 15$ kama liya aur uska AdSense ban ho gaya to wo us payment ko kaise lega.yania wo payment kaise milega
Jumedeen Khan
Adsense account ban hone ke bad aapko koi payment nahi milega.
rishi
Hi sir ma jana chahta hu ki YouTube me hum partener pogram me join nahi hote to hame kamai AdSense hogi ya nahi
Jumedeen Khan
Nahi nahi hogi bina AdSense se connect kiye koi earning nahi hogi.