WordPress Blog Par Affiliate Link Cloak Kaise Kare – Without Plugin

Affiliate marketing bahut se blogger ka income source hai or affiliate programmer ke liye link cloaking bahut jaruri hai. Agar aap iske bina blogging karte ho or affiliate markeitng use karte ho to aap bahut badi mistake kar rahe ho. Link cloaking affiliate Link cloak karne ek aesa tarika hai jo na sirf aapki site ko google penalty se bachata hai balki isse aapko jyada affiliate sales milte hai or aapki jyada earning hoti hai.

hoe to cloak links in WordPress

Link cloaking long affiliate links and ugly links ko shorter and more branded banane ki ek process hai. Mai iske bare me already article likh chuka hu. Agar aapko iske bare me pata nahi hai or aap janna chahate hai to aap humari Affiliate Cloaking Kya Hai Aur Links Cloak Karna Kyu Jaruri Hai post read kare. Isme aapko link cloaking ke bare me puri jankari milegi or iski jarurat koy hoti hai? ke bare me pata chalega.

In this post, Is post me hum WordPress blog par affiliate links cloak karne ke bare me bat karenge. Wese hum iske liye link cloaker plugin use kar sakte hai. But jyada plugin use karna better nahi hota hai. SO hum without plugin cloak link create karne ki process par bat karenge ki kaise hum WordPress blog par bina plugin ke affiliate link cloak kar sakte hai.

WordPress Me Affiliate Links Cloak Kyo Kare?

Mostly affiliate program professional blogger hi use karte hai or lagbhag sabhi professional blogger ka blog WordPress platform ar hota hai. Affiliate marketing blog ke top earning source me se ek hai or bahut se blogger isse lakho paise kama rahe hai.

But affiliate program se hume jo promotion link hote hai wo ugly link hote hai or SEO friendly nahi hote hai. Agar hum in links ko direct blog content me use kare to content ki quality bilkul low ho jati hai. Jo search engine me kabhi bhi top position nahi pati or sabse badi problem duniya ke sabse bade search engine google ko some affiliate links pasand nahi hai or wo in utpatang links ko bilkul like nahi karta hai.

Agar hum affiliate links ko direct use karte hai to humari site ko google se penalty mil sakti hai or google se penalty milne ka matlab hai humara blogging career 50% khatm. Kyuki sabhi ke blog par jyadatar gogle search engine se hi aata hai. So main aapko suggest karunga ki aap aap humesha affiliate link ko cloak karke hi use kare.

Agar aap link cloaking ke benefit i mean fayde ke bare me vistar se janna chahate hai to aap humari Link Cloak Karne Se Kya Kya Fayde Hote Hai? post padhe. Isme aapko iske benefits ke bare me details se jankari milegi.

WordPress Blog Par Bina Plugin Ke Links Cloak Kaise Kare?

How to Cloak Affiliate Links on Your WordPress Site? Sabse first to aap link cloaker plugin use karke link cloak kar sakte ho. But yaha main bat kar raha without plugin ke link cloak karne ke bare me bat kar raha hu. Iske liye aapko WordPress blog ki .htaccess file me redirection code add karna hoga.

.htaccess file ko edit karne ke aapke pas to tarike hai.

  1. First aap apne hosting cpanel par ja kar public_html me .htaccess file par code add kar sakte ho.
  2. Second aap Yoast SEO plugin use karte ho to WordPress dashboard >> SEO >> Tools >> File editer par jaye.

Mai yaha aapko Yoast SEO plugin wali method bta raha hu ko ki short hai or ise follow karne ke liye aapko cpanel par log in karne ki jarurat bhi nahi padegi.

Step 1:

  1. WordPress dashboard par jaye or SEO par click kare.
  2. Ab Tools par click kare.
  3. File editer par click kare.

Ab yaha par blog ki robots.txt file or .htaccess file open ho jayegi. Aapko dono edit karni hai first hum .htaccess file ko edit karenge.

tools yoast seo

Step 3:

Ab yaha par aapko link cloak karne ke liye redirection link dalna hai. Iske liye aap .htaccess me is tarah link add kare.

Redirect 302 /smi/bluehostindia https://bluehost.in/?utm_source=affiliate&a_aid=c21e4935
Redirect 302 /smi/hostgatorindia https://affiliates.hostgator.in/affiliate?id=6011

Yani aapko Redirect 302 your cloak link your affiliate product link is tarah se link create karke add karna hai.

Maine yaha /smi/product-keyword yani smi clak link use kiya hai aap iski jagah recommended, go, i, offer and apni choice ke anusar cloak link set kar sakte hai. Example ke liye aap ye screenshot dek hsakte ho.

  1. Set your cloak link.
  2. Paste your affiliate product link.
  3. Click save changes to .htaccess option.

link-cloak

Step 4:

Ab aapko ye link search engine se block / hide karne hai.Jise google aapke affiliate links ko crawl and index na kar sake or aapki site penalty se bachi rahe. Iske liye aapko blog ki robots.txt file edit karni hai. Jo aapko .htaccess ke pas hi mil jayegi.

Aapko robots.txt file me sirf ek chota sa disallow code add karna hai. Is tarah – Disallow: /yourcloakkeyword/ jaise mera cloak link smi hai to Disallow: /smi/

  1. Go to WordPress dashboard and click on SEO then click toos.
  2. Click on file editer, Here you see robots.txt file.
  3. Click save changes to robots.txt file.

block link cloak by robots.txt

Is tarah se aap apne affiliate link ko cloak karke search engine me index hone se rok sakte ho. Important bat google humare bare me sabkuch janta hai usse kuch bhi chipana aasan nahi hai. Wese hi humare affiliate links ke bare me use pata chal hi jata hai.

So ye soch kar ki google se link block kar diya hai or ab main kitne bhi affiliate link blog me use kar sakta hu wali mistake kabhi na kare or only jaruri and limit me hi content me affiliate links use kare.

Ummeed hai aapko ye post pasand aayegi agar ha t oise social media par share jarur jare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (38)

  1. Avatar for SurendraSurendra

    Agar mai meri website ki har post me affiliate link lagata hu images ke sath . Wo link play store ki app ki hain or images par click hote hi play store pr redirect ho jati hain . play store app ki link ko cloak karna jaruri hain kya . Wo toh khud google ka product hain .

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Sabhi images ke sath nahi, jaha jarurat ho wahi lagao.

  2. Avatar for kashifkashif

    mene amazon affiliate account banaya hai me apni website per amazon ke product sale karke earing karna chahta hun iske liye mujhe bahut sare product sale karane hai to kya mujhe iske liye koi plugin use karne chahiye ya aapne jo method bataya hai wohi use karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Agar plugin ki jarurat pade to kar lena no problem.

  3. Avatar for RozinaRozina

    WordPress site me hum google shortner ka use karke affiliate link add karenge to kya humari site panelty se bach sakti hai? Iska seo pe koi bura asar to nahi hoga?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No problem, lekin isse better hai aap direct affiliate link hi add kare.

  4. Avatar for AfreenAfreen

    Great article sir,
    Affiliate link ko ek baar dalnein par kya use bar bar change yaa update karna zaroori hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, agar jarurat ho to kar sakte ho.

  5. Avatar for Gautam koliGautam koli

    Sir main ek affiliate site bnane wala hu toh vha toh bhut saare affiliate link hoge toh unhe ek saath link cloking kaise kare. Ya fir unhe noindex kare.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      is method se aap kitne bhi link cloak kar sakte ho.

  6. Avatar for mohd javedmohd javed

    mera ek quetion hai agr hm affiliate link ke upr no follow add krde or robots.txt pr smi ko disallow krde to ye kaam krega??? means google penalize krega??

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, but guarantee nahi hai.

  7. Avatar for ZishanZishan

    Many thanks for the exciting blog posting! I really enjoyed reading it, you are a brilliant writer.

    • Avatar for ManharManhar

      Blogspot me kaise kare

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Blogger me aap short link use kar sakte ho.

  8. Avatar for SachinSachin

    ty for this post lekin sir hum plugin se easily kar sakate hai na???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul kar sakte hai but ye without plugin ki process hai.

  9. Avatar for Sanjay Singh RawatSanjay Singh Rawat

    Bro! Affiliate links ko blog me hum Google URL Shortener dwara short karke bhi to laga skate hain !!!???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Haa bilkul laga sakte ho but wo bhi itna clear nahi hota.

      • Avatar for Sanjay Singh RawatSanjay Singh Rawat

        Ha bro aapka idea 100% secure hain. But short ki hui links ko bhi hum galat nahi keh sakte.

        Thanks for Explain…

  10. Avatar for Sonu KumarSonu Kumar

    Hi JUME DEEN KHAN, I am your big fan, Mine aap se inspired hokar healthnuskhe.com Mujhe aap yeah batwoge ki aapke right hand side me after category post ki list aa rahi hai wo google se kaise aa rahai hai jab mi uss area ke upar mouse le jata hu to google show karta hai. Please let me know

  11. Avatar for PrincePrince

    Jumedeen bhai mere website image crash ho ja rahi.10 din me 2 baar ho gaya hai.baki waise content dikh rahaa.or crashed image desktop pe show ho raha.mobile me sahi khul raha hai Ise kaise repair kiya ja sakta haai ak hi baar me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Examle sahit contact form me mail karo.

  12. Avatar for shital kumarshital kumar

    sir, mai aapko isse pahle wale comment me bataya tha ki mere blog ke search console ke sitemap me error show ho raha hai, to aapne hame bataya ki error link ko ko pata karke us link ko fix kar do, lekin ham us link ko fix karenge kaise.

    jab mai us error par click karta hun to is tarah se aa raha hai-

    your sitemap appears to be an html page. please use a supported sitemap format instead.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapkasitemap sahi se create nahi hua hai. Aap sahi step follow karke sitemap generate karo.

    • Avatar for Mayank YadavMayank Yadav

      Bro ye google search console me error hai apka sitemap ekdam thik hai google thode din baad khud use index kr lega usme kuch changes mat kro

  13. Avatar for abhiabhi

    Jume Deen Bro Ye Bat Saj Nhi Ayi jaise Mai Flipkart Ka Affiliate Lgna Chata Hu To Usme Products To Link To Alag Hoti Hai Na to Mai Sare products Ki Link Bar Bar Hta File me To add Nhi Kar Skta Na To Iska Kuch Batye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhi agar aap link cloaking use nahi karte ho to isme aapka hi nuksaan hai. Ab aap soch lo aapko kya karna hai.

      • Avatar for abhiabhi

        Bro Mujhe Bar Bar Affiliate Tag Add Krna Hoga Links Me Aise To Hta Access File Kafi Badi Ho Jayegi

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Abhi post me sabkuch bta sakta hu. Wese bhi aapko jyada ffiliate link use nahi karne chahiye. Jis link ko cloak na kar sako use nofolow jarur kiya karo.

  14. Avatar for Vivek DarjiVivek Darji

    aap Abhi konsi theme use kar raheho???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Genesis

  15. Avatar for YashuYashu

    Badiya information share ki h aap ne thank you. Me umeed karta hu ki aage bhi affiliated maeketing ke bare me hame or jayada janne ko mile. Thank you

  16. Avatar for Anup sahuAnup sahu

    acha post hai,aaj maine chitika singup kiya hai 2mint me approve bhi ho gya to mujhe ye puchna tha ki ad script ko har post me khud dalna padta hai ya koi gadget/plugin hai jisme add script dalne se aad khud hi sare Post me show hone lgta hai ek bar mere site ko bhi dekh le kuch kami to ni reh gyi hai

    Bakra Eid Mubarak

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger me aapko ad khud dalna hota hai and iske bare me maine kuch post likhi hai wo tarike try kar sakte ho. Thanks

      • Avatar for Anup SahuAnup Sahu

        ok thanks, ab mere dimag me 2 questions aa rhe hai
        1st hai maine chitika ko is liye abhi choose kiya hai kyo ki abhi mere blog me traffic kam hai or jab traffic bad jaygi or mai adsen ke add lagana cahunga to kya muje sare post se chitika add script ek ek krke remove krna padega

        2nd Question jab hum domin lete hai to blogspot ka kya hota hai jaise ki pehle
        supportmeindia.blogspot.in hota hai jab hum https://www.supportmeindia.com lgate hai to supportmeindia.blogsport.in ka kya use reh jata hai.
        srry question thoda jada puch rha hoon kyu ki mai koi doubt nhi rakhna cahata

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes aapko sare ads hoatane honge.
          Jab aap custom domain blog me add karo to apne free blogger domain se ek alg se blgo bana kar use new domain par redirect kar do taki uske reader aapke new blog par aa sake. Baki old domain ka koi uses nahi rahta hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...