Har blogger or website owner chahata hai ki wo AdSense se adhik se adhik income kar sake. But aysa karna bahut mushkil hai. Iske liye aapko AdSense ki policy or terms ko ache se samajhna hoga. Agar aapke blog par daily 3000 pageviews hai to ye post aapke bahut kaam ki hai. Kyuki is article me mai aapko bta raha hu ki sirf 3ooo PVs se per day 10 dollar kaise kama sakte hai.
Google AdSense se 10 dollar per day earn karna har ek new blogger ka sapna hota hai. But AdSense se achi income karne ke liye aapko AdSense ke bare me puri jankari honi chahiye. Mai aapko suggest karna chahunga ki AdSense se income karne ke liye aap AdSense policy ko ache se padh or samajh le.
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
- Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
Adsense Ki Terms Ko Samjhe:
Google AdSense CTR (Click Through Rate), RPM (Revenue per Thousand impressions), CPC (Cost Per Click). In sabki jankari honi chahiye. Agar aapki AdSense ki achi CPC or CTR hogi to RPM bhi good hogi. Or agar aapki CPC high hai or CTR bahut low hai to RPM bhi bahut kam ho sakti hai. RPM ka matlab hota hai ki aapka blog kaha par good hai or kaha par bad hai. Yani aapki kis page se kitni income hoti hai.
So, Adsense CTR, CPC or RPM kya hai. iske bare me mai abhi aapko short me bta raha hu. Aane wale time me AdSense terms ke bare me details se bat karenge.
Agar aap 3000 pageveiws se roj $10 earn karte ho to aapki RPM hogi (10 / 1000) * 1000 = $10. Ise hum is example se samajh sakte hai.
Ad RPM = (Estimated earnings / Ad impressions) * 1000
Ab imse important ye hai ki aapki impressions kitni hai. Adsense se daily 10 dollar kamane ke liye aapki RPM kam se kam $3 honi chahiye.
Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye
Option 1: Adsense RPM
Mai man leta hu ki aapki AdSense RPM $3.5 hai. Jiska matlab hai ki aap 1000 pageviews se 3.5 dollar earn kar rahe ho. 3000 pageviews per day hone par aapki income $10.5 hogi. Jo ki 1o dollar se $0.50 jyada hi hai. So aapko pata chal hi gaya hoga ki AdSense se daily $10 income karne ke liye aapki AdSense RPM $3 se jyada honi chahiye to ab sawal ye hai ki apne AdSense ki RPM $3.5 kaise ho sakti hai.
Hum har us blog se $10 earn nahi kar sakte jis par 3000 pageviews bahut sari post hone ke bad hote hai. Iske liye aapka blog Micro- Niche blog hona chahiye. Adsense RPM increase karne ke liye aapke blog par niche btayi bate honi jaruri hai. Tabhi aapki AdSense RPM 3 dollar se adhik ho sakti hai.
- Aapke blog par 30 posts aysi ho jin par per day 100 pageviews hote ho.
- Aapke blog par 60 posts aysi ho jin par per day 50 pageviews hote ho.
- Aapke blog par 120 posts aysi ho jin par per day 30 pageviews hote ho.
- Aapke blog par 15 posts aysi ho jin par per day 200 pageviews hote ho.
- Aapke blog par 3 posts aysi ho jin par per day 1000 pageviews hote ho.
Agar aapka blog inme se koi bhi topic ko follow karta hai to aapki 3000 per day PVs se daily $10 se jyada income hogi. Ab aapko jarurat hai apne blog par 3000 pageviews recieve karne ki uske liye aapko apne blog par Top list high ranking article likhne honge. Jo internet par pahle se na ho. Agar aap aysi 20-30 post bhi likh sakte ho to aane wale time me aap monthy $300 to $500 earn karne lag jaoge. Examply mai yahi trick se supportmeindia se achi income kar raha hu. Iske liye aap meri income report bhi check kar sakte ho.
Option 2: Organic Search Traffic
Adsense se $10 kamane ka ek or bih tarika hai. Agar aapke blog par per day 2000 pageviews search engine se hote hai to bih aap AdSense se achi income karte ho. Kyuki search engine se 70% visitors new hote hai jinko AdSense ads ke bare me kuch bhi pata nahi hota hai. Ayse me aapko jyada ads click mil sakte hai. Or sabse achi bat AdSense organic traffic ko jyada pasand karta hai. Jisse aapko per click kyada paise mil sakte hai.
Simple basha me kahu to AdSense se paise kamane ke liye search engine yani organic traffic bahut important hai. Agar aapko search engine se 2000 pageviews bhi mil jate hai to aap AdSense se $10 to $30 per day kama sakte ho. Search engine se adhik traffic pane ke liye aako Blogging SEO ki achi jankari honi chahiye. Blogging SEO ke jankari ke liye aap supportmeindia ki SEO se related post padh sakte ho.
Option 3: Ads Placement
Adsense se achi income karne ke liye AdSense ke ads sahi jagah par use karna bahut important hota hai. Hum apni marzi se post me kahi bhi ads nahi laga sakte. Isse humari AdSense CPC low ho jati hai. Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte post me maine iske bare me details se btaya hai.
MUjhe blogging me aaye kafi waqt ho gaya hai or starting se hi mai AdSense use kar raha hu. Mere exprience se blog post content se pahle ads lagane se hum jyada earning kar sakte hai. Kyuki maine isi place par ads laga kar only 5 click se $16 earn kiye hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aap bhi ise ek bar try kar sakte ho.
Option 3: Target Country
Maine Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips post me btaya hai ki AdSense india me bahut kam $0.10 to $0.20 pay karta hai. But USA or UK jaise country me AdSense per click $5 to $20 tak pay karta hai. Ye jan kar aapko wishwas nahi hoga. But ye 100% sach hai. Maine khud USA se achi income ki hai. So agar aapko USA se daily 5 to 10 click bhi mil jaye to aap aasani se saily $10 se bhi jyada earn kar sakte ho. So kuch post USA ko bhi target kar ke bhi likhe. Hindi blog par USA ko target karna mushkil hai but aapke pas english blog hai to aap aasani se USA ke liye article likh sakte ho.
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
Ummid karta hu aapko is post me btayi bate samajh aayegi. Or aap AdSense ke bare me kuch behtar sikhoge. Maine is post me aapko 4 tarike btaye hai aapki kisi bhi ek tarike ko follow kar ke AdSense se daily 10 dollar kama sakte ho.
Agar aapko ye article helpful lagta hai to ise apne friends ke sath share jarur kare. or post ke bare me comment me apne thoughts jarur share kare.
rojgar bharat
Thank u sir ..
aaj mai bahut hi inspire hua hun.
Kunal jadhav
Link ads ki size kya honi chahiye
Jumedeen khan
Responsive.
Rawat
Apni latest income report daalo bhai…..ab kya hua…..maheeno beet gaye report nhi aayi..
Yash mehta
Bahut acchi jankari mili thanks jume deen bhai
SUKHDEO PRAJAPATI
khan bhai mera youtube channel adsense se connect hain:::::::::
lekin main ek website add karna chahta hoon google adsense ::::::::::::kiase karoon
Jumedeen Khan
Adsense me apni site ka link add karo or ads code pani site me add karo. Uske bad google aapki site ka review karega or aapki site par ad show hone lag jayenge.
faraz khan
Bhai sirf ek bar help kar do mai ab kabhi kuch nhi puchungaa promiss mai yahi puchh rahaa bt aap reply nhi kar rhe ho
A/w bhai
1-Bhai semrush par keywords search kiya to cpc 203 rupees aur volume 590 tha kaisa hai ye keyword
2-keyword serch me volume kaa kyaa role h kam acha hota hai ya zyada
3-keyword ko post title me use karna zaroori hai ya nhi?
4-Agr mai post content me sirf keyword use kru post title me nhi to kya effect hoga.
Jumedeen Khan
W/a
1. best hai. Jitna jyada CPC ho wo keyword use karo par dekh lena ki us par search traffic kitna hai.
2. Iska matlab hai ki is keyword ko kitni bar search kiya jata hai.
3. yes jaruri hai.
4. Yes post title me keywords use nahi karoge to us keyword se search me nahi aayegi.
Atul Kumar Rai
जुमेदिन भाई नमस्कार..मुझे आपकी एक हेल्प चाहिए थी..
मैंने सबसे पहले अपने ब्लॉगर वाले ब्लॉग से एडसेंस के लिए अप्लाई किया था..एडसेंस ने उसे रिजेक्ट कर दिया.फिर मैनें उसी जीमेल से यू ट्यूब चैनल बना लिया.और कुछ दिन बाद मुझे Hosted एडसेंस अकाउंट मिल गया..
इधर मैं ब्लॉगिंग का प्लेटफार्म चेंज करके अपने नाम का डोमेन लेकर वर्डप्रेस पर आ गया..
फिर मैंने अपने ब्लॉग http://www.atulkumarrai.com से Fully Approvel के लिए अप्लाई किया..
मुझे 12 और 13 को दो बार मेल आया की आपका अकाउंट fully Approved हो चूका है..लेकिन भाई आज तक मेरे इस ब्लॉग http://www.atulkumarrai.com पर एड शो नहीं हो रहे..जबकी मैनें कोड सही से लगाया है..
और हाँ मेरे ब्लॉगर वाले ब्लॉग पर एड आ रहें हैं.
ऐसे क्यों हो रहा..प्लीज कुछ बताये जुमेदिन भाई
Jumedeen Khan
Adsense site management me apni site ka link add karo or fir se code generate kar blog me add karo page level code ko blog ke head ya body me add karo uske bad AdSense aapki site ka review karega or ad show hone lag jayenge.
abhishek purohit
sir apne jo kam samay me tarakki ki hai ..salute hai, aap bahut hi saral or impressive likhte ho, keep it up
par plz hamare jese nosikhiyo ki help bhi kariye, mene ek website banayi hai is par traffic to thik thak aa jata hai par cpc 0.03 hi hai, is par ek samay to 20k page views the daily ke par ab 9-11k reh gaye hai sir or earning bhi 200-250$ hoti thi jo ab 100-150$ per month reh gayi hai, mene isko vps server par bhi upload kar diya he 10 din pahle, plz guide kare sir kese iski cpc 0.10 tak laya jaye
Jumedeen Khan
Welcome abhishek,
Hindi blog par AdSense CPC low hi hai. Traffic ke liye aap site ko thoda speed up kar lo traffic badh jayega or wp super cache ya wp3 plugin use kiya karo.
Syed Viqar Ahmad Naqvi
Bahut badiya information di hai. Ye mera ek blog hai Hindi me Jane-HTML CSS- svanhms.com main chahta hoon ki aap isko promote karne me meri help kare
Thanks
Rahul gupta
hum 500 per day page views par kitna earn kar skte h AdSense se. aur views se bhi much earning hoti h ya bus click se hi hoti h bus..
aur please meri website KO dekh kr Ap he bta skte h kya ki mai AdSense apply kr skta hu kya.
Jumedeen Khan
AdSense se pageviews se nahi click se income hoti hai. Ab ye aapke visitor par depend karta hai ki aapko kitne clicks milte hai. AdSense par apply karne ke liye ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
Vicky
hum isko kaisi ker sakte hai kya kya chahiye hota hai kya kuch payment bhi kerwani padti hai kya
Jumedeen Khan
Nahi aapko koi pay nahi karna hai. Bas ek free blog bana kar usme post likhni hai or AdSense se connect karna hai.
nitesh
sir meri website hindi me hai pr us pr do dino se india se visitor kam aur doosri contries se jyada ate hai kyu jinka koi matlab nahi hai
Jumedeen Khan
Visitors india se hi aate hai. Server ki wajah se country information galat show hoti hai.