Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024

Har blogger or website owner chahata hai ki wo AdSense se adhik se adhik income kar sake. But aysa karna bahut mushkil hai. Iske liye aapko AdSense ki policy or terms ko ache se samajhna hoga. Agar aapke blog par daily 3000 pageviews hai to ye post aapke bahut kaam ki hai. Kyuki is article me mai aapko bta raha hu ki sirf 3ooo PVs se per day 10 dollar kaise kama sakte hai.

Adsense Se $10 Daily Kaise Kamaye

Google AdSense se 10 dollar per day earn karna har ek new blogger ka sapna hota hai. But AdSense se achi income karne ke liye aapko AdSense ke bare me puri jankari honi chahiye. Mai aapko suggest karna chahunga ki AdSense se income karne ke liye aap AdSense policy ko ache se padh or samajh le.

Adsense Ki Terms Ko Samjhe:

Google AdSense CTR (Click Through Rate), RPM (Revenue per Thousand impressions), CPC (Cost Per Click). In sabki jankari honi chahiye. Agar aapki AdSense ki achi CPC or CTR hogi to RPM bhi good hogi. Or agar aapki CPC high hai or CTR bahut low hai to RPM bhi bahut kam ho sakti hai. RPM ka matlab hota hai ki aapka blog kaha par good hai or kaha par bad hai. Yani aapki kis page se kitni income hoti hai.

So, Adsense CTR, CPC or RPM kya hai. iske bare me mai abhi aapko short me bta raha hu. Aane wale time me AdSense terms ke bare me details se bat karenge.

Agar aap 3000 pageveiws se roj $10 earn karte ho to aapki RPM hogi (10 / 1000) * 1000 = $10.  Ise hum is example se samajh sakte hai.

Ad RPM = (Estimated earnings / Ad impressions) * 1000

Ab imse important ye hai ki aapki impressions kitni hai. Adsense se daily 10 dollar kamane ke liye aapki RPM kam se kam $3 honi chahiye.

Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye

Option 1: Adsense RPM

Mai man leta hu ki aapki AdSense RPM $3.5 hai. Jiska matlab hai ki aap 1000 pageviews se 3.5 dollar earn kar rahe ho. 3000 pageviews per day hone par aapki income $10.5 hogi. Jo ki 1o dollar se $0.50 jyada hi hai. So aapko pata chal hi gaya hoga ki AdSense se daily $10 income karne ke liye aapki AdSense RPM $3 se jyada honi chahiye to ab sawal ye hai ki apne AdSense ki RPM $3.5 kaise ho sakti hai.

Hum har us blog se $10 earn nahi kar sakte jis par 3000 pageviews bahut sari post hone ke bad hote hai. Iske liye aapka blog Micro- Niche blog hona chahiye. Adsense RPM increase karne ke liye aapke blog par niche btayi bate honi jaruri hai. Tabhi aapki AdSense RPM 3 dollar se adhik ho sakti hai.

  1. Aapke blog par 30 posts aysi ho jin par per day 100 pageviews hote ho.
  2. Aapke blog par 60 posts aysi ho jin par per day 50 pageviews hote ho.
  3. Aapke blog par 120 posts aysi ho jin par per day 30 pageviews hote ho.
  4. Aapke blog par 15 posts aysi ho jin par per day 200 pageviews hote ho.
  5. Aapke blog par 3 posts aysi ho jin par per day 1000 pageviews hote ho.

Agar aapka blog inme se koi bhi topic ko follow karta hai to aapki 3000 per day PVs se daily $10 se jyada income hogi. Ab aapko jarurat hai apne blog par 3000 pageviews recieve karne ki uske liye aapko apne blog par Top list high ranking article likhne honge. Jo internet par pahle se na ho. Agar aap aysi 20-30 post bhi likh sakte ho to aane wale time me aap monthy $300 to $500 earn karne lag jaoge. Examply mai yahi trick se supportmeindia se achi income kar raha hu. Iske liye aap meri income report bhi check kar sakte ho.

Option 2: Organic Search Traffic

Adsense se $10 kamane ka ek or bih tarika hai. Agar aapke blog par per day 2000 pageviews search engine se hote hai to bih aap AdSense se achi income karte ho. Kyuki search engine se 70% visitors new hote hai jinko AdSense ads ke bare me kuch bhi pata nahi hota hai. Ayse me aapko jyada ads click mil sakte hai. Or sabse achi bat AdSense organic traffic ko jyada pasand karta hai. Jisse aapko  per click kyada paise mil sakte hai.

Simple basha me kahu to AdSense se paise kamane ke liye search engine yani organic traffic bahut important hai. Agar aapko search engine se 2000 pageviews bhi mil jate hai to aap AdSense se $10 to $30 per day kama sakte ho. Search engine se adhik traffic pane ke liye aako Blogging SEO ki achi jankari honi chahiye. Blogging SEO ke jankari ke liye aap supportmeindia ki SEO se related post padh sakte ho.

Option 3: Ads Placement

Adsense se achi income karne ke liye AdSense ke ads sahi jagah par use karna bahut important hota hai. Hum apni marzi se post me kahi bhi ads nahi laga sakte. Isse humari AdSense CPC low ho jati hai. Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte post me maine iske bare me details se btaya hai.

MUjhe blogging me aaye kafi waqt ho gaya hai or starting se hi mai AdSense use kar raha hu. Mere exprience se blog post content se pahle ads lagane se hum jyada earning kar sakte hai. Kyuki maine isi place par ads laga kar only 5 click se $16 earn kiye hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aap bhi ise ek bar try kar sakte ho.

Option 3: Target Country

Maine Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips post me btaya hai ki AdSense india me bahut kam $0.10 to $0.20 pay karta hai. But USA or UK jaise country me AdSense per click $5 to $20 tak pay karta hai. Ye jan kar aapko wishwas nahi hoga. But ye 100% sach hai. Maine khud USA se achi income ki hai. So agar aapko USA se daily 5 to 10 click bhi mil jaye to aap aasani se saily $10 se bhi jyada earn kar sakte ho. So kuch post USA ko bhi target kar ke bhi likhe. Hindi blog par USA ko target karna mushkil hai but aapke pas english blog hai to aap aasani se USA ke liye article likh sakte ho.

Ummid karta hu aapko is post me btayi bate samajh aayegi. Or aap AdSense ke bare me kuch behtar sikhoge. Maine is post me aapko 4 tarike btaye hai aapki kisi bhi ek tarike ko follow kar ke AdSense se daily 10 dollar kama sakte ho.

Agar aapko ye article helpful lagta hai to ise apne friends ke sath share jarur kare. or post ke bare me comment me apne thoughts jarur share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (62)

  1. Avatar for rojgar bharatrojgar bharat

    Thank u sir ..
    aaj mai bahut hi inspire hua hun.

  2. Avatar for Kunal jadhavKunal jadhav

    Link ads ki size kya honi chahiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Responsive.

  3. Avatar for RawatRawat

    Apni latest income report daalo bhai…..ab kya hua…..maheeno beet gaye report nhi aayi..

  4. Avatar for Yash mehtaYash mehta

    Bahut acchi jankari mili thanks jume deen bhai

  5. Avatar for SUKHDEO PRAJAPATISUKHDEO PRAJAPATI

    khan bhai mera youtube channel adsense se connect hain:::::::::
    lekin main ek website add karna chahta hoon google adsense ::::::::::::kiase karoon

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense me apni site ka link add karo or ads code pani site me add karo. Uske bad google aapki site ka review karega or aapki site par ad show hone lag jayenge.

  6. Avatar for faraz khanfaraz khan

    Bhai sirf ek bar help kar do mai ab kabhi kuch nhi puchungaa promiss mai yahi puchh rahaa bt aap reply nhi kar rhe ho
    A/w bhai
    1-Bhai semrush par keywords search kiya to cpc 203 rupees aur volume 590 tha kaisa hai ye keyword

    2-keyword serch me volume kaa kyaa role h kam acha hota hai ya zyada
    3-keyword ko post title me use karna zaroori hai ya nhi?
    4-Agr mai post content me sirf keyword use kru post title me nhi to kya effect hoga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      W/a
      1. best hai. Jitna jyada CPC ho wo keyword use karo par dekh lena ki us par search traffic kitna hai.
      2. Iska matlab hai ki is keyword ko kitni bar search kiya jata hai.
      3. yes jaruri hai.
      4. Yes post title me keywords use nahi karoge to us keyword se search me nahi aayegi.

  7. Avatar for Atul Kumar RaiAtul Kumar Rai

    जुमेदिन भाई नमस्कार..मुझे आपकी एक हेल्प चाहिए थी..
    मैंने सबसे पहले अपने ब्लॉगर वाले ब्लॉग से एडसेंस के लिए अप्लाई किया था..एडसेंस ने उसे रिजेक्ट कर दिया.फिर मैनें उसी जीमेल से यू ट्यूब चैनल बना लिया.और कुछ दिन बाद मुझे Hosted एडसेंस अकाउंट मिल गया..
    इधर मैं ब्लॉगिंग का प्लेटफार्म चेंज करके अपने नाम का डोमेन लेकर वर्डप्रेस पर आ गया..
    फिर मैंने अपने ब्लॉग http://www.atulkumarrai.com से Fully Approvel के लिए अप्लाई किया..
    मुझे 12 और 13 को दो बार मेल आया की आपका अकाउंट fully Approved हो चूका है..लेकिन भाई आज तक मेरे इस ब्लॉग http://www.atulkumarrai.com पर एड शो नहीं हो रहे..जबकी मैनें कोड सही से लगाया है..
    और हाँ मेरे ब्लॉगर वाले ब्लॉग पर एड आ रहें हैं.
    ऐसे क्यों हो रहा..प्लीज कुछ बताये जुमेदिन भाई

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense site management me apni site ka link add karo or fir se code generate kar blog me add karo page level code ko blog ke head ya body me add karo uske bad AdSense aapki site ka review karega or ad show hone lag jayenge.

  8. Avatar for abhishek purohitabhishek purohit

    sir apne jo kam samay me tarakki ki hai ..salute hai, aap bahut hi saral or impressive likhte ho, keep it up
    par plz hamare jese nosikhiyo ki help bhi kariye, mene ek website banayi hai is par traffic to thik thak aa jata hai par cpc 0.03 hi hai, is par ek samay to 20k page views the daily ke par ab 9-11k reh gaye hai sir or earning bhi 200-250$ hoti thi jo ab 100-150$ per month reh gayi hai, mene isko vps server par bhi upload kar diya he 10 din pahle, plz guide kare sir kese iski cpc 0.10 tak laya jaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome abhishek,
      Hindi blog par AdSense CPC low hi hai. Traffic ke liye aap site ko thoda speed up kar lo traffic badh jayega or wp super cache ya wp3 plugin use kiya karo.

  9. Avatar for Syed Viqar Ahmad NaqviSyed Viqar Ahmad Naqvi

    Bahut badiya information di hai. Ye mera ek blog hai Hindi me Jane-HTML CSS- svanhms.com main chahta hoon ki aap isko promote karne me meri help kare
    Thanks

  10. Avatar for Rahul guptaRahul gupta

    hum 500 per day page views par kitna earn kar skte h AdSense se. aur views se bhi much earning hoti h ya bus click se hi hoti h bus..
    aur please meri website KO dekh kr Ap he bta skte h kya ki mai AdSense apply kr skta hu kya.

      • Avatar for VickyVicky

        hum isko kaisi ker sakte hai kya kya chahiye hota hai kya kuch payment bhi kerwani padti hai kya

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi aapko koi pay nahi karna hai. Bas ek free blog bana kar usme post likhni hai or AdSense se connect karna hai.

  11. Avatar for niteshnitesh

    sir meri website hindi me hai pr us pr do dino se india se visitor kam aur doosri contries se jyada ate hai kyu jinka koi matlab nahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Visitors india se hi aate hai. Server ki wajah se country information galat show hoti hai.

  12. Avatar for siddheshsiddhesh

    meri site google ke 5th page par hai mere keyword ka search volume 680k hai aur long tail pro competition score 23 hai
    meri site ki age 7 months hai or uski domain authority 20 hai but mere competitor ki domain authority and backlinks bhi kum hai but mere most of the competitior ke site ka age 1 year hai .
    Ab mujhe site age badne ka wait karna chaiye ya aur kuch karna chahiye?
    Help ME

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @siddhesh
      bro mai aapki site ko check kar ke hi aapko suggest kar sakta hu so apni site ka link btao.

  13. Avatar for RoomaRooma

    sir mne blogger pr id bna li h g plzz aap muje btaye ki m iska use kse kr skti hu

  14. Avatar for bhadreshbhadresh

    AdSense aprrove hone ke liye 6 month hi lagta he hum use jaldi 1 month me approve nahi kar sakte

  15. Avatar for AmishaAmisha

    Hey,
    You tell me about Alexa Ranking

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      You can read my aleaxa’s related post

  16. Avatar for Shaikh muneerShaikh muneer

    Behtreen article hai ye aapke blog ka bhut hi impress karne wali jankari hai or helpful bhi bhut hai new AdSense user ko Thank you to share this.

  17. Avatar for PrahladPrahlad

    Sir,mere blog ke daily page view 2000-2500 hair lek in earning 0.50$ bhi nahi hoti hai?plz ap mera blog check kerke batayie is me kya problem hair?

  18. Avatar for Ravi ParwaniRavi Parwani

    hi,sir. aap ek achhe blogger ho. jis tarah se aap dusro ki help karte ho use aapke blog ka traffic bhi badega. main apke blog ka daily viewer hoon. mera sawal ye hai ki
    (1) mujhe bhi aapki tarah achha blogger banna h to starting kahan se karu WordPress se ya blogspotse.
    (2) blogspot se AdSense pe apply kiya ja sakta hai?
    (3) facebook aur twitter pe apna post dalne ke liye kya karna padta hai?
    (4) ek achhe blog main kya requirement raheti hai.like ,page ke bare main.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aap fist blogger par free blog banao or jab aapko blogging ki achi jankari ho jaye to WordPress par blog transfer kar lena.
      2. Ha but 6 mahine ke bad. usse pahle aapko domain lena padwega.
      3. iske liye aapko facebook or twitter par account banana hai or blog post me share button lagane hai.
      4. ye post padho Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye

  19. Avatar for Ammi singhAmmi singh

    sir mere blog par hai 2000 pageviews per day but income 1$ bhi nahi ho pati aisa kyo ?? aapko mai fb pe apne blog ke page views and site ki link send karunga fir aap check karna ki ads sahi lage hai ya galat plz msg seen kar dena sir plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok, mai aapki site check kar ke hi aapko guide kar sakta hu.

  20. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    bhai aap ke is link samet baki sab link bhi jode diye hain.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks sahil aapka bahut bahut dhanyawad and welcome.

  21. Avatar for devdev

    Mene template change ki h or mera Google search console or meri site same Gmail account h to mughe verify phir se krna padega ya nahi ya phir automatic work karega same ID hone ki wajah se..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko blog template me fir se verify code add karna padega.

  22. Avatar for md alimd ali

    main AdSense ka code apni post title ke niche lagana chahta hun or post ke middle main bhi lagana hai kaise lagaun

  23. Avatar for akshayakshay

    1] Aap ne Blog Worldpress me banaya hai kya?
    2]Aap Ne Hosting Kharidi Hai Kya ?
    3]Aap Ne Website Khud Design Ki Hai Kya?
    4]Kya Me Without Hosting Se Blog Nahi Bana Sakta ?

  24. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya maine domain nahi liya hai, kuchh problem ki wajah se , but mai apna website abc.blogspot.com se xyz.blogspot.com kiya, uske bad maine jub dono link banake bari bari se link pe click kiya to abc wale blog blog ke link pe click kiya to open nahi hua, aur naya yani xyz.blogspot.com se open ho jata hai, aise phir maine Purana hi name dal diya hai, avi but change karne je bad dono link se kaise open hoga taki mere Purana visitors aa sake

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne old blog ke url se new blog banao or usme aap new xyz.blogspot.com kaa redirection code dalo. Aapke old visitors new blog par asa jayenge. redirection code ke liye aap Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare post par jao or isme btaye second redirection code ko use karo.

  25. Avatar for devdev

    thanks for sharing this article bhayi kya mera template seo friendly he ya nhi..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dev aapka template seo friendly hai ya nahi ye aapko hi bta hai. Kyuki usme meta tak or verify code aap hi ne add kiya hai. Koi bhi aapke blog ki secret information ke bare me nahi bta sakta. So mai sirf aapka dil rakhne ke liye ye nahi kahunga ki ha seo friedly hai. Aap seo ko ache se follow karo tabhi seo friendly template ban sakegi.

  26. Avatar for Mangal deepMangal deep

    hello bro, aapne isse pahale backlink check karne ke liye openlinkprofiler ke bare me bataya tha, usme mere pahale 12 backlink dikha rahe the but 2-3 din se bahut jagha comment bhi kiya hai or apna back link bhi banaya hai but aaj jab usme check kiya to isme 12 back link hi dikha rahe hai aisa kyu ? or mene jitne bhi jagha comment kiye the sab jagha approve ho chuke hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap jab kisi sitye par comment karte to comment karne ka tarika sahi hona chahiye. jisse user aapki site par visit kar sake. uske 2-5 din bad aapko us site se backlinks milta turant nahi milta. ye post padho Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai

  27. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Aap ne mere comments ko spam kiya hai, bhaiya please mujhe us comments ka answer chahiye, Mai avi problem me hu sorry bhaiya please, ek to aapne help nahi ki, ab isme bhi spam laga rahe hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ravi mai kisi ko spam nahi karta. Aapko pata hoga ki mai ek din me kitni commnets ka reply karta hu. So ho sakta hai mujhse delete ho gayi hai. Aap fir se puch sakte ho.

  28. Avatar for Ashok SainiAshok Saini

    Very good information of Adsense for new Blogger like me. thanks.
    Brother apko manna padega aap daily kisi na kisi topic par new poat lekar ate ho. jo ko bahut hi knowledge hoti hai aur solid bhi. Apke blog se bahut sare new blogger ko knowledge mil raha hai. bahut badiya.

  29. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya Mai apne blog ka url change kar,hu ab usse redirected kaise karna hai, us blog ke visitors is blog pe kaise aayebge

      • Avatar for gaurav srivastavagaurav srivastava

        hello dear admin
        kya aap mere blog ko cheak karke bata genge ki abhi usme mujhe or kya karna chahiye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapka blog acha hai. abhi aapko bahut kuch sikhna hai. Mai aapko yah isuggest karunga ki aap blog SEO ko ache se samajho. or ha post title ka first word capital likha karo. jaise make money online ko Make Money Online likhna hai.

  30. Avatar for RoyRoy

    hum apne blog par minimum kitne AdSense ads unit use kar sakte hai ?

  31. Avatar for DilipDilip

    sirf layout ki bhasa Indonesian hui h agar ise ESE hi rhne de to ko problam to nhi h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...