Internet par kuch bh isafe nahi hai. Agar aap internet user hai to aapne Hacking ka name suna hi hoga. Ye ek aesa reason hai jiski wajah se humara bahut nuksan ho sakta hai. Net par kab kiski site, account, ID hack ho jaye koi nahi janta. Agar koi humara online account hack kar le to sabkuch barbad ho sakta hai. Gmail ID jo ki sabke pas hoti hai or iski hume har online work me jarurat padti hai. Aaj hum iski google 2 step verification ke bare me bat karne wale hai. Jise gmail account ki security duable ho jati hai.
Internet par oi bhi work karne ke liye humare pas gmail ID ka hona bahut jaruri hai. I mean net par koi bhi account banane, website banane, blog banane, social media facebook, twitter par account create karne, kisi bh isite ko subscribe karne and other sabhi online account banane ke liye gmail account ki jarurat padti hai. Iska matlab gmail aacount sabse jyada important hota hai.
- Google Gmail Account Ka Mobile Number Kaise Change Kare
- Kisi Bhi Account Ke Password Bhool Jane Ke Baad Reset Kaise Kare
Socho agar aapka gmai laccount koi hack kar le to kya hoga? I sure aapke internet par se sare account hack kar liye jayenge. Isiliye google gmail account ki security sabse jyada important ho jati hai. Example, agar hum kisi bh isite par apna username ya password bhool jate hai to use recover karne ke liye hume gmail id par password rset karne ka OTP (One Time Password) ka mail aata hai. Agar aapki Gmail ID afe hai to baki sabhi account secure hai.
So agar aap nahi chahate hai ki aapki gmail ID kabh ihack ho to main aapko suggest karunga ki aap aj abhi apne google gmai laccount me google 2 step verification enable kar le. Google two step verification feature activate hone ke bad jab bhi aap apni gmail ID se laptop, compouter ya apne mobile phone me sign in karoge to aapke mobile number par 2 step verify wala OTP code aayega or aapko har bar ye confirm karna padega.
Aese me agar aapki gmail ID se koi chedkhani karega to aapko is bare me pata chal jayega. Main already Google Gmail Account Ke Password Secure Kaise Kare post me gmail account ki security ke bare me tips bta chuka hu. Aesi or jankari ke liye aap humari dusri post padh sakte hai.
Table of Contents
Google 2 Step Verification Active Kar Gmail ID ki Security Duable Kaise Kare
Agar aap already online koi kaam karte ho or aapki koi website ya blog hai to aapke liye gmail account ki security or jyada jaruri ho jati hai. Ek simple person jo sirf social media or gmail account use karta hai ki tulna me ek online marketer ke liye ye most important part hai.
Step 1:
Sabse pahle aap Google 2-step verification page par jaye or apni gmail ID (username and password) se log in kare.
Step 2:
Ab two step verification enable karne ke liye GET STARTED par click kare.
Step 3:
Ab ek bar fir se password re-enter kare.
Step 4:
Ab jo pagwe open hoga usme aapko nimn jankari bharni hai.
- Apna mobile number darz kare. Jis par aap 2 step verification chalu karna chahate hai.
- Aap OTP code Text message ya phone call kis tarah receive kanra chahate hai. Wo choose kare.
- TRY IT par click kare.
Step 5:
Aap jo method choose karoge, usse aapke pas ek OTP code aayega wo aapko yaha verify karna hai.
- Aapke mobile par jo OTP code aaya hai wo add kare.
- NEXT par click kare.
Step 7:
Ab jo page open ho usme TURN ON par click kare.
Bas ab aapka google 2 step verification active ho chuka hai. Aap chahe to ek bar difference browser me sign in kar ke dekh sakte hai. Ab aapke gmai laccount ki security duable ho gayi hai. Future me aapka lagta hai ki aapko 2 step verification ki jarurat nahi hai or aap ise off karna chahate ho to ye step follow kare.
Google Two Step Verification Ko Off Kaise Kare
Turn off google two step verification ke liye aap first Google 2-step verification page par jaye or TURN OFF par click kare.
- Aap 2 step verification disable karna chahate ho to Turn Off par click kare.
- Agar aap apne mobile number change karna chahate ho to
Is tarah aap jab chaho google gmail account 2 step verification option ko disable kar sakte ho. Iski jarurat aapko tab padti hai jab aapka mobole kho gaya ho ya aapki sim kharab ho gayi ho ya fir aapko iski jarurat nahi ho.
- Google Par Gmail Account Kaise Banaye or Internet Se Kaise Jude
- Google Me In 5 Cheezon ko Search Karna Khatarnak Ho Sakta Hai
Agar aap abhi bhi apne gmail account ki security ko le kar satisfied nahi hai to don’t worry google ne 2 step verification ke alawa bhi kuch or feature diye huye hai. Jo gmail account ki security me aapke aapke kaam aa sakte hai.
Google 2 Step Verification Advanced Features: Yaha aapko Backup codes, Google prompt, Authenticator app, Backup phone, Security key and Devices you trust ke option milnenge. Jinse aap apne gmail account ko or adhik secure kar sakte ho.
Finally, ab aap jab bhi apne mobile, laptop, computer, tablet me apni gmail ID se log in karoge to aapke mobile number par ek one tipe password (OTP) ka message aayega. Jisme 4 number ka ek code hoga jo aapko verify karna hai.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Rajesh Sharma
Mera Gmail account delete ho gaya hai recover Nahin ho raha hai kaise hoga
Dhg sachin
Jdk sir mere Google account me 2 step verification code enable tha but mera phone aur sim dono lost ho gaye hai
Ab bina verification code ke google account open nahi ho raha hai.
Maine bahut try kiya google recovery form bhi fill kar ke submit kiya but kuchh bhi nahi ho raha hai
Please help me
Mere liye woh google account bahut hi jaroori hai
Us google account me maine ek blog bhi banayi hai
Aur AdSense bhi approved hai
Saath saath us AdSense me 50$ bhi hain
To muje woh kaise bhi karke google account open karna hai please help me sir
Muje mere google account ka password aur e-mail dono pata hai but sim lost hai
Kuchh kare please help me sir jdk
Jumedeen Khan
Itni tension mat lo aur usi number ki nayi sim nikalwa kar google password reset karke account recover kar lo.
Sandeep
Sir mere gmail pe 2 step verification laga tha aur mera sim kho gaya ab kya Kare hum. Sir mera sab data khatam ho gaya.please sir reply
Jaiprakash chauhan
Sir mera gmail account dusare ke mobile me bhi chalu hai wo mobail mere pass hai kaise band karu kyoki uske me ek aur account h Mai apni mobile me chala raha hu but us mobail se kaise band karu koi solution hai to bataiye
Jumedeen khan
google account security me ja kar login details me other login device se logout kar lo.
jiya
mujhe apna account 3 4phone me login kiya h usko sab phone ne se band kaise kru bata skte i need ur help
Jumedeen Khan
Account setting me ja kar all other devices ko remove kar do ya password change kar lo.
Rahul
Bhai muje meri clash of clan ki gmail or password bdlne ha to btao me kya kru
Jumedeen Khan
Forgot password par click karo or aapne jis ID ya mobile number se sign up kiya wo enter karo us par new password ka mil aa jayega.
INDERJEET SINGH
jumedeen bro hindimeseekhna webiste ka owner inder hoon mai bro jou tumne add laga rakhe hai ish post me unka size kya hai batana mujhe .
Jumedeen Khan
700×300
Ajij seraj
Sir copypastework.com ki ek site h jisme mujhe uski post ko online olx jaisi site par paste krna Hota h mujhe process acha lga aur har post k RS 10 deta h
but prolem is pehle wo Rs600 register k leta h..
bro kya AP is site ko jante h …mera 600 Dena aur time ka waste to nahi hoga na ….i need ur opinion bhai
Jumedeen Khan
Aesi sites ko avoid karo jo payment karne ke liye kahti ho.
Shayam
WordPress me agar subdomain se blogging karu.
jaise….mysite.WordPress.com to kya isme bhi hosting leni padegi
Jumedeen Khan
Aapka main domain jis hosting par host hai usi par subdomain se blog bana sakte ho. alag se hosting ki jarurat nahi hai.
S K Pathan
Jumedin bhai jab ek baar kisi ki comment ko approved kar di jati hai to uske baad uski agli comment auto approved ho jati hai use kaise roke please tell me.
Jumedeen Khan
Aapka blog WordPress par hai to aap WordPress dashboard >> settings >> discussion me ja kar all comment are manual approved ke samne tick karo.
Aman
Jume been bhai ek investment ki website h jo ki trusted h mujhe uski guest post lgani h
Us par hm 100 rupee se lekr 10000 tk invest kr sakte h hm jitna invest karte hai 1 month baad hame uska 25% milta hai jaise ki mene 1 tarik ko 10000 ka invest kiya to ek month baad mujhe 12500 milega ….
Kya aap investment se related post lga sakte h mene esse minimum 5000 rupee earn kiya h esse visiters ka fayda hi hoga or eski post kisi bhi blog par nahi h ….good news
Jumedeen Khan
Aap contact form me us site ka link btao or uski payment proof dikhao.
Akash Sharma
Bro mujha apne blog pe sitemap lagana hai main ne google webmaster main submit kr deya hai bs ap ne jaise site map lagaya hai mujha v waise he lagane hai help me……!
Jumedeen Khan
Aapke blog ke footer me do link hai blogger or template aap template >> edit html me ja kar inhe search karo or inke sath hi sitemap ka link add karo.
prince
aap jaisa email subscription kaha se laga sakte hai apne website me.plz help me
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ke Liye Top 5 Email Subscribe Widget
Rohitash
Sir worpress blog par Pingback ka option aata hai, isko disable kaise kare.
Jumedeen Khan
WordPress dashboard >> settings >> discussion par jao or pingback option ke samne untick kar do.
sudesh kumar
Bhai apne mera blog to dekha hi hoga mujhe lagbag 6 month hone bale he par pta nahi mujhe esa lag raha he ki mene acha trafic nahi mil raha. mujhe daily 100 se 150 ka hi trafic ata he . or meri alexa ranking nhi 11360530 ke kareb he .
apne meri bahut help ki he par pta nahi me thoda cofuse hu ki mujhe apna blog aage chalana chahiye ya nahi . abhi apne mera blog dekha kya ap kuch suggeson de sakte ho.
Jumedeen Khan
Iska sabse bada reason hai bad english, english blog me jara si bhi galti nahi chalti hai. Isi wajah se me mozedia par kam kaam karta hu. Apni wiritng sudharo mera yahi suggestion hai.
shital kumar
sir, lekin mai to isse pahle aapko ye comment nahi kiya tha, kyonki mere blog me ye samasya aaj hi huaa hai.
Jumedeen Khan
What, agar aesa hai to i am sorry wo comment kisi or ka hoga.
Mahtab
sir abhi bhi mera blog ka title pahle aa raha hai aur search result ajib tarah mera blog ho gaya hai plz aap check kr le
Jumedeen Khan
Aapka blog open nahi ho raha hai jise main check kar saku. Aapne only registered user ke liye blog allow kiya hai use publish karo.
shital kumar
sir, maine aapko kuchh der pahle comment me bataya tha ki mere blog me error 404 not found aa raha hai lekin aapne hame uska jabab nahi diya aur us comment ko delete kar diya.
Jumedeen Khan
Aapka is domain se koi blog nahi hai ya fir aapka domain work nahi kar raha aapne jaha se domain liya hai waha par bat karo. Aap yahi sawal mujhse already puch chuke ho or main reply kar chuka hu isiliye aapki comment delete ki gayi.
sudesh kumar
bhai mere blog me jo 1234 mumaric or ….. lagane ka option aata he jesa apne is post me lagya he bo lga raha hu to publish karne ke baad website me show nahi ho raha kya aap eska koi solution de sakte he .
Jumedeen Khan
Aap photoscape software use kijiye or usse image bana kar blog me use karo.
sudesh kumar
bhai photo ki bat nahi kar raha hu bo jo apne step 4 ke bad 12 lagya he na or ap apne alag post ke link ke aage jo black dot lagate bo mere blog me show nahi hota
Jumedeen Khan
Ye already mere blog ki theme me tha. iska mujhe nahi pata.
sudesh kumar
sorry bhai is post se alag question kar raha hu
bhai mere blog me anhi post keya he mene – Error 0x00000709. How to solve Printer is not set as default.
ap ese check karke mujhe bataye ki isme mene 5 se 6 image dali he kya ye sahi he kya me ese image dall sakta hu 1 post me isme koi problem to nahi he.
Jumedeen Khan
Yes, aapne image sahi use ki hai but kam ize ki image use kiya karo jo jaldi open ho.