Hum sab jante hai ki blog subscribers blogging me kitne important hote hai. Blog subscriber blog ke purane visitor ko return apne blog par bulane ka sabse aasan or free tarika hai. Jisse aapke blog ki traffic badhti hai or ranking increase hoti hai. Iske liye aap google ki free RSS feed service feedburner use kar sakte hai. Jo free hone ke sath sath sabse better bhi hai. Blogspot free blogger ke liye ye sabse achi service hai.
RSS feed service apne visitors ko apni new post ki notification send karne ka sabse achcha tarika hai. Aapke blog par jitne jyada subscribe honge aapko utne jyada rss clicks milenge or aapke new post par utna jyada traffic badhega.
Agar aap RSS feed service ke bare me new ho or aapne abhi tak rss feed service apne blog par start nahi ki hai to Apne Blog Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye post padh kar agle 2 se 5 minutes me apne blog par feedburner ki free service shuru kar sakte ho.
RSS Feed Subscribers Increase Kaise Kare ?
1. E-Mail Subscription Form
E-Mail subscription form adhik subscriber pane me sabse jyada kaam aata hai. Ek designed subscribe form ki jagah ek simple subscription form jyada better hota hai or aapko jyada subsribers mil sakte hai. Isliye ho sake to simple or clear subscribe widget use kare.
Blog Right Sidebar or blog post ke Top Page par subscription widget lagane se sabse jyada subscriber milte hai. Iske liye mai aapko suggest bhi karna chahunga ki aap isse wastav me jyada subscribers recieve kar sakte ho or apne blog par rss fedd subscribers increase kar sakte ho.
Blog ke sidebar me aap subscribe widget lagane ke sath agar social media icon bhi use kare to or bhi better hoga.
2. Change Emal Delivery Time
Bahut se bloggers se ye galati hoti hai. Blog par fedburner, awebar ya kisi or email service start karne ke bad wo email delivery time change karna miss kar dete hai. Isse unhe uchit email clicks nahi milte hai.
Koi bhi morning me aapka email padhna nahi chahega. Ek servey ke anusar 6PM to 10PM ke bich sabe jyada user internet use karte hai. Ayse mai aapki site ki new post ki notification aapke subscriber ko evening me milegi to aapko jyada visitors milne ke chance badh jayenge.
Iske bare me adhik jankari ke liye aap humari Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare post padh kar apna email delivery time change kar sakte ho.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
3. Blog Heading and Description
Apka jo new post ka mail aapke visitors ko milta hai. Usme aapki site ka name or site ke bare me 1-2 lines show honi chahiye. Jisse user aapke mail ko pahchan sake. Kyuki kai bar user ko message samajh nahi aata or wo use ignore ya spam kar dete hai.
So agar aap apne rss feed par ja kar pulize setting me apne blog ka title or description set kar le ki post se pahle message me kya show hona chahiye.
4. RSS Subscription Placement
Agar jyada email subscribers pane ki jagah ki bat ki jaye to mai aapko suggest karunga ki aap apni site ki post ke first page or last page me subscribe widget add kare. Isse aapko or jyada subscribers milne ke chance 50% badh jate hai.
Blog sidebar me subscribe widget add karna to aam bat hai kyuki har ek site ke sidebar me subscribe widget hoti hai. ayse me visitors us par kam dhyan dete hai. Kyuki sidebar subscribe widget sabhi sites me common ho gaya hai.
Isliye mai aapko suggest kar raha hu ki aap sidebar ke sath sath blog ke page me bhi subscribe widget add kare. Jis se aapko or jyada readers mil sake.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips & Tricks
Ummid karta hu. Aap is post me btaye step follow kar ke apne blog par RSS feed subscribers badha sakoge or apne old visitors ko fir se apne blog par return kar sakoge.
By the way post achi lage to share jarur kare.
Shivam
Sir maine feedburner use kar ke rss feed banaya.
Wo ban bhi gaya par sir jab mai use open karta hu to pura post usme show hota hai. Mujhe waisa show karwana hai jaisa aspki website par show hota hai sirf summary. Mera blog WordPress par hai
जुमेदीन खान
इसकी जानकारी यहाँ है, Feedburner Feed Me Post Ki Only Summary Kaise Show Kare
prakash
jab email delivery ke time zone set kar lete hai.to mere subscriber badhata hai but anchank kam bhi ho jate hai aisa kya.jab ki main continue upadate karta hu.
जुमेदीन खान
इसका मतलब आपके कुछ सब्सक्राइबर न्यूजफीड को अनसब्सक्राइब कर देते हैं
priyanshu Sharma
sir Thanks for great tutorial
Ravi Kumar
bhaiya mai aap old templates use kar raha hu, but usme bahut sare template ke hi feature hai ,jo mere kam ka nahi, jaise menu bar please ek bar aap open karke dekh le, ye template ke features ke jagah hum apna features dalna chahte hai
Jumedeen Khan
aap blogger ki template par jao or aapko jo bhi change karna hai wo search karke change kar sakte ho.
Ravi Kumar
bhaiya maine soch liya, godaddy se hosting lunga,
Q…..kya hum hosting aur domain ek sath ke sakte hai,
Q….2….dono ko alag-alag buy karna hai,dono ka charge alag hai, ya fir hosting ke sath domain bhi mil jayega,
Q…3….lagbhag ye kitne ruppes me aa jayegi,
Jumedeen Khan
Aapko jaha se acha lage waha se hosting le sakte ho.
1., 2. or 3. ha le sakte ho. godaddy ki site par ja kar plan check karo. sabke bare me pata chal jayega.
Mo Aziz
jumedeen bhai
comment avatr ki jagah apni image kaise karu
Jumedeen Khan
Wo apne aap add ho jayega aap bas gravatar par apna photo or email set karo. uske bad jab aap us emal se WordPress par commnet karoge to aapka photo set ho jayega.
prakash
hello sir
1.WordPress me apni new site par meri dusri site ki only post ko kaise transfer karu sirf post aur kuchchh nahi
2.aur agar meri google blogger ki site ki post WordPress par kaise transfer karu only post aur kuchchh nahi
Jumedeen Khan
Aap sirf post ka backup lo or use WordPress blog par upload karo. ye post ache se padho Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
Aalam
Maine apne blog par blogger ka hi Siple template lagaya hua hai
Read more ka option jodne
Ke liye iske HTML me mai
Ye code
Search kar raha hoo Jo ki
Mil hi nahi raha hai kyo
Jumedeen Khan
Aap koi aysi template use kar sakte ho jisme pahle se read more ka option ho.
Dharmendra
Brother apki theme paid hai ya free theme ko edit kiya hai
Jumedeen Khan
Mai free theme use karta hu.
dev
Bhayi apne mughe jyada Hi old blogger samgh liya tabi apne aise Hi bata diya about us contact us privacy policy ye banau kese likh to dunga apne blog ke bare but kaha par likhu ye to batao plz..
Jumedeen Khan
Dev mai allready bta chuka hu ki new page banao or usme apne bare me or apni site ke rules ke bare me likho.
Ravi Kumar
jaise bhaiya maine ek site dekhi, hai, usme kai domain hai, jaise site.pe,site.in,site.com aisa kaise ek hi website ka kai domain name, kya ye hosting lene ke bad hi hoga, ya fir
Jumedeen Khan
Alag alag domain le kar unhe main domain par redirection kar sakte hai.