Grammarly ek spell checker tools hai jo aapki english writing ko behtar banane me help karta hai. Iski help se aap apni post me spelling mistake, commas mistake and verb mistakes ko check or solve kar sakte ho. Agar aapki english loose hai to grammarly chrome extension aapki help kar sakta hai.
Maine apni pichli post Apni English Writing Ko Behtar Kaise Banaye – Perfect English Kaise Likhe me btaya tha ki kaise hum grammarly spelling checker se apni english writing ko better bana sakte hai. Is article mai aapko chrome browser me grammarly extension install karne ke bare me bta raha hu.
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
- Ab Ek Sath 200 Logo Ko Free Call Kaise Kare, 100% Free Service
Chrome Browser Me Grammarly Spell Checker Extension Tools Kaise Install Kare
Aapko Grammarly Spell Checker Extension chrome me install karne ke liye bas kuch simple step follow karne hai. Jinke bare me mai aapko yaha details se bta raha hu.
Step 1:
Sabse pahle aap apne computer me chrome browser open kare or Grammarly Spell Checker & Grammar Checker par jaye. Ab Add to chrome par click kare.
Step 2:
Ab ek choti si popup windows khulegi isme aapse grammarly extension ko chrome me add karne ke liye pucha jayega. Usme Add Extension par click kare. Iske bad grammarly extension download hoga. Isme kuch seconds lag sakte hai.
Step 3:
Downloading complete hone ke bad ye tools apne aap chrome browser me add ho jayegi. Or chrome browser ke link bar me right side me grammarly ka icon show ho jayega.
- Grammarly icon par click karke Check for grammer and spelling ko enable kar de.
Bas ab aapke chrome browser me grammarly extension install ho gaya hai. Ab aap chrome browser me kahi bhi jaise facebook, twitter, google plus and WordPress, blogspot post par likhoge to grammarly aapki post me huyi mistakes ke bare me btayega. Sath hi ye aapko uska solution bhi suggest karta hai.
- Google Chrome Top 8 Secrets Tips and Tricks
- Google Chrome Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare
Grammarly ko use karne ki puri jankari ke liye yaha click kare. How To Use Grammarly For Write More Better. Is post me aapko grammarly tools ko use karne ki puri jankari details me milegi.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath sahre jarur kare.
ARIF RAZA
sir aap ne internet se releted bohot sari jankari di h
pls agar aap yeh bhi bata den to bohot acha hoga
ghar bethe train ka onlin tecket kese karte h online tecket book karne ka account kese banate h?
agar yeh bhi jankari share karden to bhoht hi achi bat hogi
dusri bt sir aap kounse photo editer se photo banate ho?
Jumedeen Khan
Ok iske bare me bhi post karunga. mai photoshop use karta hu.
ashutosh singh
bhai ab mai sare copyright images ko delete kar raha to kya ab mera alexa rank kam hoga n jummedin bhai aur bhai mai aapse ye bhi puchna chahta hu ki kuch din pehle maine 2 ya 3 widget code wala post likha tha aur wo code maine copy kiya tha to kya mai unko bhi delete karu ya rehne du bhai
Jumedeen Khan
Ha jarur hogi. nahi code ko delete mat karo rahne do.
ashutosh singh
itna hankari dene ke liye bahut bahut dhanyawad bro ab mera sawal ye hai ki widget code copy karke use karne par copyright hoga aur dusra ye hai ki mujhe koi aisa site bataeye jo post se related aur post ke us step se releted free image deti ho aur last question ye hai ki kya hum apni site ko kahi par submit karke apni site ka rank kam karwa sakte hai ya nahi
Jumedeen Khan
Ha copyright ho sakta hai. Nahi aysi koi site nahi hai.
dev
Bhayi aap related post ke liye kon SA plugin use kr the ho ho agar nhi kr ho to mughe koi aisa plugin batao jisme me apne hisab SE jitni chahe utni related post add karu saku image ka thumbnail kam kar saku or kitne words show hone chahiye wo.. Plz
Jumedeen Khan
yet related post plugin
prakash
sir
me apne blog ke every blog post ke niche facebook share and google ka button lagana chahta hu woh kaise lagau woh button every post share ke liye hona chahye jaise aapne lagata hai facebook share and google share
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Post Ke Niche/Upar Social Share Buttan Kaise Lagate Hai
ashutosh singh
to sayad isi liye mere site ka rank bahut kam mere site par per day 500+ page viewer aate hai lekin ranking crore me hai aur mere se kam traffic wale site ki ranks lakhs me hai mai kya karu Bhai laghbhag maine sare posts me images copy karke use kiye hai aap koi aisa tricks bataeye saap bhi mar jaye aur lathi bhi naa tute aur agar mai apne copy images ko delete kar dunga to mera alexa rank kam ho jayega n jummedin Bhai plz aur agar mai images ko delet bhi karta hu to us post aur us post ke step se related images kaha se lau mai
Jumedeen Khan
Ashutosh aap agar copyright images ko delete kar donge to aapka koi nukshan nahi hoga sirf fayda hoga. Isse aap AdSense bhi use kar paoge or search engine se aapko jyada traffic bhi milega. aap free stock images site se photo download kar sakte ho.
ashutosh singh
aapne jo site diya hai free image dene wali site ka kya mai koi bhi image search karke use apne computer me save karke blog me use karu to koi problem to nahi hai n
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai aap unki koi bhi image use kar sakte ho.
mansuri imran
great post… keep it up
ashutosh singh
wow bahut atcha jankari hai bhai thanks
mai aapse ye puchna chahta hu ki mere site ke jo old post hai usme maine images copy karke use kiye hai lekin puri tarah edit karke to kya wo copy right hua kya mai un posts ko delete kardu bahut sare post hai bhai
Jumedeen Khan
Agar aapne kahi se copy kiye hai to unhe delete karna sahi hai. Kyuki copy karne se aapki search rank kam hoti hai.
dilip
mene ek template use kiya tha usme copyright 2014 likha tha air mene blog 2016 me banaya hai to copyright 2016 hona chahiye lekin template me 2014 h to template use kar lu
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard > template > edit html me ja kar 2014 search karo or uski jagah 2016 likh do.
vikram
sir m ek hi AdSense account se do website par add laga sakta hu kya …please sir reply karna
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho.
Arun Yadav
mane ek YouTube channal banaya h video bhi 20 upload kar diy h but view nahi aa rahe h kya iska karn yh ki mera YouTube channal ka name pahle se hi kisi chanel ka h
Jumedeen Khan
Yes, Agar aap kisi or ke name se channel banaoge to log aapke channel ko copyright samajhenge.
Amar Banshiwal
Bahut hi badhiya article hai. Grammarly writing skill improve karne ka best option hai. Thanks for article.