“Adsense se aapki kis page se kitni earning ho rahi hai” Agar aap ye janna chahate hai to ye article aapke liye hi hai. Aapko iske liye apna AdSense account google analytics account se connect karna hoga. Uske bad aap google analytics par apni AdSense ki full earning report dekh sakte hai.
Google AdSense ko analytics account me add karke aap apni AdSense revenue ki details check kar sakte hai. Jisse aapko ye pata karne me aasani hoti hai ki aapke blog par kis type ke content par high cpc hai or achi income ho rahi hai.
Adsesne earning increase karne ke liye aap analytics me AdSense ki report check kar AdSense ads ko optimize kar sakte hai, Agar aapke pas analytics account nahi hai to aap Google Analytics Par Account Kaise Banaye post padh kar pahle apna analytics account bana lijiye.
Table of Contents
Why To Link Analytics and AdSense?
Analytics ko AdSense se jodne ke kei fayde hai. Jaise.
- Aapki kis page or post se kitni income huyi hai ki jankari pata chalti hai.
- Kis type ke ads se kitni earning ho rahi hai. Exaple: Riched media, text, display and ads product.
- Aap analytics par AdSense earning ki full details dekh sakte ho or optimizing kar AdSense earning improve kar sakte ho.
Adsense Account Ko Google Analytics Account Se Connect Kaise Kare
Google analytics ko AdSense se jodne se pahle confirm kar le ki aap google.com/AdSense par already sign in kiye huye ho. Uske bad ye step follow kare.
Step 1:
- Sabse pahle aap Google Analytics site par jaye or log in kare. Ab Admin par click kare.
- Ab Account section me apni wo analytics account select kare jiski AdSense earning aap analytics par dekhna chahate ho.
- Property section me Adsense Linking par click kare.
Step 2:
- Adsense Linking par click kare.
- New Adsense Link par click kare.
Step 3:
- Adsense for content par tick kare.
- Aap google analytics me kya kya dekhna chahate hai wo select kare. Agar aap puri information dekhna chahate hai to “All Web Site Data” select kare.
Step 4:
- Ab Enable Link par click kare or uske bad Done par click kare. Ab aapka analytics account AdSense se connect ho chuka hai.
- Ab aap Google Analytics > Reporting > Behavior > Publisher par ja kar AdSense earning report dekh sakte hai.
Is tarah se aap google AdSense ko analytics se jod kar analytics par apni AdSense ki income report dekh sakte hai. Or aapki jin post se jyada income huyi hai. Unko dhyan me rakh kar new post kar sakte hai or apni AdSense earning ko improve kar sakte hai.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips
Aage hum bat karenge ki hum kaise google analytics ki help se AdSense se jyada paise kama sakte hai. Or iske liye kya kya customizing karni hogi.
Agar aapko ye article pasand aaye to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Bhai Mein Adsense Mein Site add krdia aur AdSense Fully Approved hai and ads site par bhi show horre.
Earning Bhi Horahi only 0.05$ aur 0.14$ Tak hogya but meko ye Nhi samajra ki RPM Page Vivws kya hai ispar bhi dekhra hai earning par Finalezed ni hora current balance mein 0.00$ hi hai
RPM Batara hai 1.45$ Aur 7days phle ka 0.46$ Lekin Kya ye bhi earning Milegi ya fer bus yuhi Batata hai.??
RPm ki jankari ke liye ye post padho Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare What is RPM or apne blog par AdSense ke ads sahi se lagao sath hi kisi or ke ads mat lagoa. ye post padho.
1. Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
2. Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
Bhai Me dusre ads nikaldiya hu par Mujhe bus itna jann na hai ki kya RPM se b paise aayenge jaise AdSense pe dikhra hai RPM 1.46$ Matllab ye 1.46$ bhi Earning hoga ya fer bus ye only show krta hai?
Bro rpm ke paise nahi milte. maine iske bare me details se post likhi hai uska link aapko btaya hai wo padh lo sab samajh aa jayega ki RPM kya hai.
Sir pratidin kam se kam kitane post likhne chahiye kaha jata hai ki post copy paste nahi kiya gaya ho aisa kyo, kitane mahine bad blog se AdSense approved kiya jasakta hai aur blog ya AdSense , AdWords se kitna aur kis rasio se kamayi hoti hai please reply
Rakesh aap humari blogging or AdSense se related or bhi post padho kuch post padhne ke bad aap sabkuch samajh joage.
Mera blog blogger par hai kaya aap bata sakte hai best templat ke baare mai kaha se download kare..
ye post padho Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites
Lakin bhai abi tak maine domain ni liya blogspot hi hai kya hum bina domain ke kar sakte
Jab aapke blog me AdSense ka option enable hai to kar sakte ho. Aryan bro mai aapse request karta hu ki ek hi sawal ka bar bar repeat na kare plz.
bhai meri site ko 28 din ho gye pehle mai dashboard me jo earning ka option aata tha wha pe ye likhe aata “your blog is not for success in goggle adsene ” lakin ab direct sing up ka option aane lga yani ab mera blog paise kamane ke kabil ban gya bhai kya mai ab goggle adsene pe account bna lu ya ni
Aryan agar aapki site pardaily 300-500 pageviews hai to kar sakte ho.
Kaya aap bata sakte hai mere blog mai 45 post hote huve bhee har roj 30 se 40 visit ho rahe hai , kaya problem hai dekh ke bata sakte hai…
Aakka blog slow open hota hai. fast template use karo.
Dear
sir mere blog me kuch warnings aur error hai.
Please unka koi solution btaye .
Kya error aa raha hai. wo btao jisse uska solution bta saku.
Sir,mujhe koi bhi page me aapka reply kyu nahi dekh raha hain?
Aapka reply post me sabse upar hota hai.
bhai ek baar meri site app check karo na template aur baki sab bate sahi hai kya waise to maine abhi shurwat ki hai mere blog me hi post hai Agar mai sahi ja raha hu to mai aur mahnat karunga koi problme hai to app batao please
Bahut acha aap ne sabse alag post likhi hai. Achi bat hai. Bas aap SEO ko ache se samajh lo. Jisse aapko jyada traffic mil sake.
thanks bhai baki template sab achha hai na ya koi changes karna padega
Bhai traffic ka batlao
SK is blog par traffic ke bare me bahut post hai. Unhe ache se padh kar follow karo.
sir mere blogspot blog me export ka option nahi aa raha hai karu muje apna blog WordPress me change karna hai kya karu
Pramod ab blogger par feature change ho gaye hai. Ab export ki jagah back up content ka option aata hai. Ye post follow karo Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare
Abhi to AdSense a/c bnana hai. Kher thx bro. Baad me kam ayga
bhaiya ab mujhe ye bataye AdSense ke liye mai apply karu, post-80
pageview-1300-1800
unique visitors-360
alexa- 975786
blogging time- start De- 26- 2015
hame aap suggest kare, aur kya Kami hai,
Ek aur bat maine contact us page banane hai, wo kaise banau
Aapki btayi jankari ke anusar AdSense ke liye apply kar sakte ho. Pahle privacy policy page bana lo. Apni site ke bare me koi bhi rules bana lo.