Hindi blog par high traffic hona bahut mushkil hai. Kyuki hindi language all countries me available nahi hai. Hindi blog ka most target india hi hota hai or hindi blog par 70% traffic bhi india se hi milta hai. So important sawal ye hai ki Hindi Blog Par Traffic kaise Badhaye. Kya hindi blog par bhi hum high traffic bana sakte hai? Bilkul bana sakte hai but uske liye hume pahle hindi blogging ko ache se pahchanna hoga.

Jab maine blogging start ki thi to mujhe agle ek mahine me 300-500 pageviews per day milne lag gaye the. Mere blog par sabse jyada traffic search engine se aata tha or aaj bhi sabse jyada traffic search engine se hi milta hai.
Aaj mujhe blogging me 7 month ho gaye hai. Aaj 7 mahine bad mere blog par 8,000 to 10,000 pageviews per day hai yani in 7 mahino me mere blog ka traffic itna badha hai wo bhi ek hindi blog par. So mai si bat ko nahi manta ki hindi blog par high traffic nahi ho sakta.
- Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
Maine itne kam samay me apne blog ki traffic ko itna increase kaise kiya hai. Us sab ke bare me mai aapko is post me details se bta raha hu. I sure agar aap is post ko ache se follow karoge to aapke blog par mujhse bhi jyada traffic hoga.
Mai aysi ummid bhi rakhta hu ki mera har ek reader apne mission me success bane or meri mehanat ko safal banaye. To aayiye aaj hum bat karte hai ki ek hindi blog par high traffic kamane ke liye hum kya kya kar sakte hai.
Hindi Blog Par High Traffic Banane Ki 10 Important Tips
Is article me mai aapke sath aysi bate share kar raha hu. Jinhe follow kar ke maine https://www.supportmeindia.com ko yaha tak pahuchaya hai. But post padhne se pahle aap tay kar le ki aap achi mehanat karne wale ho kyuki bina mehanat ke aap kisi bhi trick se apni site ki traffic improve nahi kar sakte.
1. Choose Better Blogging Platform:
Jab maine apna blog banaya tha to mere samne sabse pahla sawal tha ki mai apna blog kis platform par banau. Maine iske bare me dusre blogger se pata kiya to sab ne mujhe google ki free service blogger.com or WordPress ko use karne ke liye kaha.
Ab mere liye ye sawal ban gaya ki in dono me se kounsa better hai or mai kis par blog banau. Mere dimag me ek idea aaya ki kyo na pahle google ki free servece blogger ko hi try kiya jaye or july 2015 ko maine blogger par apna free blog bana liya.
But 40-50 days me mai blogger ke bare me sabkuch jan gaya or mujhe ahsas hua ki blogger par hume apne blog ko control karne ki full permission nahi hoti hai. Isliye maine WordPress ko try kiya. Iske liye maine Digital Ocean 30 Days Free Hosting le kar WordPress blog banaya.
Fantastic, Wakai WordPress blogger se 1000 guna jyada better tha. Kyuki WordPress par unlimited features the or us par humara pura control tha. Bas maine apne Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer kar liya. Or aaj mai kah sakta hu ki agar blogger Silver hai to WordPress Gold hai.
Yani WordPress blogger se har tarah se better blogging platform hai. Aapko agar WordPress ki achi jankari hai to mai aapko suggest karunga ki aap WordPress par hi blog banaye. Or agar aap blogging me bilkul new ho to aap pahle blogger Free Blog bana kar kuch time blogging ko samajh le. Uske bad aap WordPress par move kar sakte hai.
2. Select Best Hindi Typing Tool:
Hindi blogging karne me sabse badi problem hoti hai ki hindi words me kaise likhe. Internet par aysi bahut si tools hai jin par aap hindi me typing kar sakte ho. But uske liye aapko bar bar hindi typing tool se copy paste karne ki problem hoti hai. Internet ne bhi aaj bahut tarakki kar li hai or aapko yaha aysi tools mil jayegi jinse aap offlines bhi type kar sakte hai.
Ji ha, Mai bat kar raha hu google ki Hindi Typing Offline Tools ki jisse aap bina internet on kiye apne computer ya laptop me kahi par bhi hindi me type kar sakte hai. Isse aapko hindi me blogging karne me aasani hogi or aapka waqt bhi west nahi hoga. Google hindi typing tool ko download karne e liye yaha click kare हिंदी भाषा में कैसे लिखे हिंदी में लिखने का ऑफलाइन टूल.
3. Select Best Blog Name & URL:
Blog ka badhiya name choose kare. Blog ka nae jitna Short, Simple, Eye Catching hona chahiye. Or sabse achi bat hogi agar aapke blog ke name se hi pata chal jaye ki aapke blog par kaisi jankari share ki jati hai. Blog ka jitna ho sake chota name choone or aysa name choose kare jise reader aasani se yaad rakh sake.
Jab maine blog banaya to mere blog ka name ajeeb tha. But ye bahut bada or isse mai apne blog par sirf helping articles hi likh sakta tha. Tab maine https://www.supportmeindia.com domain select kiya or mujhe lagta hai mai is name ke blog par blogging ke alawa other category ki jankari bhi share kar sakta hu.
4. Focus One Particuler Area:
Agar aap blog par har tarah ki jankari share kar rahe hai to savdhan ho jayiye. Aap galat raste par ja rae jo aapki manzil tak nahi jata hai. Blogging ki nahi aap koi bhi kaam karo to aapka ek focus topic hona chaiye. Aagar aap apne blog par har tarah ki jankari share karoge to aapko Regular Reader nahi milenge.
Examply jaise mai supportmeindia par blogging par post likhta hu, Mere regular visitors ko meri post ka daily intjar rahta hai ki is blog par roj koi na koi new post padhne ko milegi or agar me apna blogging ka topic chod kar jokes, shayari and other kisi topic par post karne lagu to koun meri site par regular aayega. Ulta mere regular reader mere blog par visit karna chod sakte hai.
Isliye blog par ek hi topic ko focus kar article likhe. Ye ek free tips hai blog par high traffic banane ki or apne audience ka dil jitne ki. Pichle kuch time se mai sirf blog SEO ke bare me articles likh raha hu. Jisse mere blog ka traffic per day increase ho raha hai. Or aane wale time me bhi mai blogging par hi focus kar blogging karunga. Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek particuler area fix kar sakte ho.
5. Make Better Your Feeling:
Maine ja blogging me kada me rakha to usi waqt soch liya tha ki ek din mujhe apne blog ko india ka No.1 Hindi Blog banana hai. Yakin maniye ye trick 100% wok karti hai. Isse hume blogging karne ki power milti hai or ek tarah se ye humar mission ban jata hai.
Example ke liye aap supportmeindia ko dekh sakte hai ki maine apne blog ko last 7 month me kitna increase kiya hai. Ye bat mere reader yani aap mujhse behtar jante hai. Or mujhe wishwas hai ki ek din mai apni manzil tak jarur pahuch jaunga.
Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek mission ban lijiye or fir dekhiye blogging karne me kitna maza aata hai. I promise aapka andaz hi badal jayega. Or aapka sapna ek din hakikat ban jayega. Bas iske liye aapko hard work kadi mehanat karni padegi.
6. Make Best Talent:
Talent ka matlab hota hai aapka post likhne ka tarika or har blogger janta hai ki blogging me blogger ka talent kitna important hota hai. Reader sabse jyada aapke talent ko hi pasand karte hai. So apne post likhne ke tarike ko jitna ho sake effective banaye. Jisse aapki post padhte hi user aapke fan ban jaye or aapki site par bar bar visit karna pasand kare. I promise agar reader ko aapka talent pasand aayega to wo aapka continue visitor ban jayega. Jisse aapke blog ki traffic kam samay me increase ho jayegi.
Aapka talent only visitors ke liye hi important nahi hai, Balki search engine bhi ache talent ki post ko jyada like karta hai or aapki post ko jaldi index karta hai. Isse aapke blog ki search engine ranking improve hogi.
7. Use High Ranking English Words:
Manta hu ki aap ek hindi blogger hai but apni post me english word use na karne ki Kasam na khaye. Search engine se better traffic pane ke liye post me Top Keywords ki jarurat hoti hai. Or high ranking keywords hum english me hi use kar sakte hai. Isliye post likhte time important words ko english me hi use kare. Isse aapki post ki value badhegi or aap post me ayse keywords aasani se use kar sakte ho. Jinhe log sabse jyada search karte hai.
Jo log internet use karte hai wo thodi bahut english to jante hi hai or mostly use hone wale english words jaise Advice, Post Content, Blogging, Popular, High Rank, Top List Article, Best Tips and other bahut sare words hai. Jinke bare me har koi samajhta hai. Agar aap in words ko english me use karoge to aapke visitors ko post padhne me koi problem nahi hogi or aapki site ki search ranking bhi better ho jayegi. Or sabse badi bat aapko bta du ki log hindi me padhna jarur chahate hai but sabhi search english me hi karte hai.
8. Make Blog Simple Design:
Blog ka design bhi blog par high traffic banane me help karta hai. Maine iske bare me bahut se success blogger or website owner se bat ki sabhi ka ek hi jawab tha ki blog ka simple design SEO ke liye jyada better hota hai. Iski sabse badi wajah hai visitors or search engine dono bahut jyada colorful design ko pasand nahi karte hai. Mai aapko yaha point de kar samajha raha hu.
- Blog par deep color use nahi kare. Kyuki gahre color se reader ki aankho par asar padta hai jisse koi bhi aapki site par visit karna pasand nahi karega.
- Blog design me 3-4 color se jyada color use na kare.
- Jaha tak ho sake blog me fika color hi use kare.
- White, Black, Red and Blue color websites par sabse jyada use kiye jate hai. So aap bhi inhi me se apna color select kar sakte hai.
- Blog par extra bina kaam ke product add na kare.
Blog ko itna jyada design na kare ki reader ko samajh me na aaye ki kaha kya hai or kya kaha hai. Mai aapko highly recommended karunga ki aap simple design hi use kare.
9. Don’t Create Many Blog:
Agar aap apne blog ko ek din top blog me dekhna chahate ho to ek samay me ek hi blog banaye. Jisse aap us blog par 100% focus kar sako or aapko ek se jyada blog manage karne ki problem na ho. Mai dusro ki bat nahi karunga apni hi bat karunga maine hindi.supportmeindia.com, https://www.supportmeindia.com or mozedia.com 3 blog banaye huye hai. Mujhe 3no blog ko manage karne me kitni problem hoti hai. Wo sab mai aapke sath share kar raha hu.
- Humara talent kharab ho jata hai. Kyuki hum sabhi websites par ek hi talent me post nahi kar sakte.
- Ek se adhik blog hone par humara dhyan bat jata hai. Jisse post likhne me problem hoti hai.
- Sab me alag alag janakri share karni padti hai. Isliye humara interest bigad jata hai.
- Jyada blog bane se hum kisi ek blog par focus nahi kar pate hai.
- Sabse badi problem hume visitors ki choice samajhane me problem hoti hai.
Mera yaha ye matlab nahi hai ki aap ek se jyada blog bana hi nahi sakte ho. Bana sakte ho. But pahle apne ek blog ko top ranking me pahuchao. 100,000 se kam ranking ke blog or website success mane jate hai.
10. Full Time Work:
Agar aap part time blogging kar ke success banna chahate hai to aap galat hai. Kyuki part time work kar ke aapko success hone me mahine nahi salo lag jayenge. Or 5-10 saal me success hona success hona nahi kahlta hai. Success hona use kahte hai jab hum saalo ka kaam mahino me kar ke success bante hai. Isliye meri aapko personal suggest hai ki koi bhi kaam karo to use puri mehanat or dil se karo.
Ye soch ke karo ki mujhe isme 101% pass hona hai. In my case mai jo bhi kaam karta hu yahi soch kar karta hu ki chahe kuch bhi ho jaye mai apne work ko pura kar ke hi chodunga. Agar aap bhi apne aap se kaam ko bich me na chodne ki kasam kha le to aap kabhi bhi or kisi bhi kaam me fail nahi ho sakte.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
- Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
I hope aapko ye article pasand aayega. Or aapko is article ki help se hindi blog par high traffic banane ki achi or important jankari milegi. Maine is post me sirf apna blogging exprience share kiya hai.
Aapko mera exprience kaisa laga iske bare me commnet me jarur btaye or is post ko social media par share kar ke or jyada motival banye. Thanks
Akash
Apne content Bahot Acha likha hai sir. Jo Bahot hi helpful raha. Mene bhi blogging suru kiya hai ap Ek bar visit jarur Kare aur bataye ki Kya Kya kami hai mere blog me.
Savrav
Bro agar main kaam kar raha hoon aur to kya main 4 Ghante blogging kar sakta hoon
Jamshed Khan
Kar sakto ho, lekin agar aapko blogging me success hona to full time blogging karni hogi.
Makhan Singh
Hi, I really enjoyed reading your post. Because I learned many things in this which is new for me.
संदीप
आपकी पोस्ट पढ़ कर अच्छा लगा। क्या में भी इसी तरीके से अपने ब्लॉग पे थोडा बहुत ट्रैफिक पा सकता हूँ की नहीं। बताएगा जरुर। धन्यवाद!
Gaurav Kumar
Hii sir
Mera nam Gaurav hai aur maine 1 mahine pahle ek health topic par blog banaya.
Lekin is par traffic increase nahi ho raha hai.
Mujhe kya karna chahiye ki mere blog par traffic increase ho sake.
Maine lagbhab sabhi bataye hue kam kar liye lekin koi jayada fark nahi mila.
Jumedeen Khan
achha content likho aur use apni social profiles par share karo.
Deepak Giri
बेहद ही उम्दा जानकारी देने के लिए आपका धन्यवाद. मैं कोशिश करूँगा की भविष्य में आपके बताये अनुसार ही कार्य करूँ. उम्मीद है आप आगे भी ऐसी ही जानकारी वाली पोस्ट लाते रहेंगे.
Ranjit Verma
Sir aapne kya information diya hai ummid karta hu yeh blog bahut hi apne country ka no.1 blog banegi keep it up bro.
Abubakar khan
aap jabardast ho
Muhammad Adil
nice article sir. thanks for sharing this informative post
Ankit kumar yadav
Sir aapne bahut acchi baat bataya thanks aaj agar aap nahi hote to mujhe lagta hai aaj ki samye me hindi blogger itna nahi hota . Aapki wajh se aaj bahut sare blogger ban rahe aur bahut sare blogging kar paisa kama rhe mai. Mai aapke bare me ek post likhna chahta hu. Esliye mai aapke bare me kuch janna chahta hu.
Abhishek tiwari
Accha article hai sir maine bhi apna blog start kiya hai 3 months huye usme mai traffic boost nhi kar pa rha 2000 ke ass pass page view hai kya mujhe adsense approval milega jarur bataye
Jumedeen khan
Mil jayega, adsense ab traffic nahi content dekhta hai.
satyamshivam
nice post sir is post se mujhe bahut kuchh sikhne ko mila he .focos only best work and run only one good traik. thanks sir apka article bahut badiya he.
Rakesh Verma
Thanks Sir aaj apka article padkar bahut hi jyada inspiration mili hai. or apne jo points bataye hai unko me apni blogging journey me jaroor follow karunga.
Rakesh Singh Rathod
Very nice post sir ji , I hope aap lagatar isi tarah ki post likhkar logo tak mahatvapurna jankari pahuchatein rahein.
Vishal pathak
Sir aapne bahot achhi information share ki hai.
akhilesh
bahut hi achchi jankari di hai aapne. isme shuru ke teen points mere dil ko chhu gaye
Ranveer Verma
hello sir mai Ranveer Verma maine pichhale mahine ek blog banaya hai.
sir apse yahi ek vintai hai ki please mere blog ko analysis krke batiye ki meri blog me koi problem to nhi hai na apke nazar me
Jumedeen khan
Aapke blog me koi kami nahi hai, aap bas achha content likho aur use sahi se promote karo.
Puneet Kumar
Bahut acchi post bhai it really helpful to me.keep up the good work.
Akash Yadav
Sir maine 2 month pahle se blogging start kari hai but meri traffice daily ki 80-100 hi mil rahi hai pls sir ap check kar ke bata do mera SEO sahi hai or muje abhi us par or kya work karna padega pls sir.
Jumedeen khan
Bro competition bahut hai aap custom domain use karo aur aesa content likho jo pahle se internet par na ho ya bahut kam ho.
Somnath
Sir,
Mera ek blog hai,uspar me hindi content likhta hu,lekin Traffic nahi mil raha.
1) Traffic kaise badhao..?
2)Sir, Please Mere blog me SEO thik hai ya nahi check karke batao.
3)Post content traffic milne ke liye thik hai kya?
Jumedeen Khan
Read our SEO articles and follow these techniques.
Arpit
Nyc content mujhe seo kisi company se krna chahiye website ke liye bro traffic bhut km aa rha he pls.
Jumedeen khan
Wright quality content agar wo nahi kar sakte to SEO karne se bih fayda nahi hoga.
Vandna Namdeo
Nice article sir,
Main sabHi kuch kr rhi hu lekin mere blog pr zero traffic hai 4 month old blog hai
Vandna Namdeo
Nice article sir thanks for sharing
VIJENDRA SINGH
hii sir
sir mujhe ek call and message aaya hai or wo bol rahe hai ki apne blog par hamare ads ladd karo aapki site promote hogi aapki site ka traffic badhega and earning hogi sir mujhe ean ka lalach nahi lalach hai traffic ka kyo ki sir mere blog par traffic bahut kam hai or sir me adsense bhi use kar raha hu us site se connect hone se adsense me koi problem to nahi aayegi us site se connect hone se pahle me aapse confirm karna chahta hu or uska message dekh lijiye.
Jumedeen Khan
Avoid it warna aapka adsense to block hoga hi traffic bhi kam ho jayega.
shivam shakya
bhai mera blog six month se bhi jyada purana ho gaya lekin mere blog ka trafic daily ka 50 se 100 hota hai apna jo tarika bataya hai kya usse trafic increase hoga
Jumedeen khan
You can try its free.
dhani bhatt
mene 2 month pehle hi website bnayi hai aur daily 1000 to 1200 visitots aate hai to kiya mujhe ye soch lena xhahiye mera seo complete ahi aur ab bus post daalni hai…..
Jumedeen Khan
Bina aapki site ka content dekhe nahi bta sakta.
ajay
maine recently wordpress pe blog banaya hai and mujhe ye janna hai ki wordpress pe seo title, meta description, url ye sab kya hindi me likhne hain ya english me ..kis tarah ke steps lene honge..kis tarah ke kewords use krne hain ..
Jumedeen Khan
Agar aapka bog hindi me hai to aap hindi ya hinglish me use karo.
Akshay
Sir Traffic 10000+ per day hai pr Kmayi achhi nhi ho pa rhi…mai achhe se traffic ka use nhi kr pa rha…give me advice
Jumedeen Khan
Aa pad placement sahi se karo earning badh jayegi.
gufran khan
Sir mai bilkul nya hu last month se blogging start kia hai post content par mujhe aur kaam karna hai.
Kya mai sahi raaste jaa rha hun.
Pageview 0 hi rahte jabki maine apne site ko search console me submit bhi kar dia traffic bilkul nhi mil raha.
Jumedeen Khan
Aapki post me koi kami nahi hai bas aap thoda long content likha karo.
Deepesh pandole
Sir pnb bank ka swift bic code kaha se le
Jumedeen Khan
Google me search kar sakte ho ya apni branch se.
sarfraj
Sir bahut hi useful jankari di hai aapne
mere blog ki traffic nahi bad rahi hai. ek baar sir check kar lijiye koi problem to nahi hai.
Jumedeen Khan
Good blog but aap short content likh rahe ho.
kamlesh Parihar
Jumedin sir 10 din pahle mere blog par karib 40 – 50 visitors aate the. lekin ab 6-7 meri 7-8 post google ke first page par show ho rahi thi. lekin ab 3 – 4 par show hoti hai. kya iska koi technical issue hai. meri post search me aati hi nahi mujhe fetch as google karna padta hai. plz help. mein kya karun.
Jumedeen Khan
7 fevruary ko google algorithms update huyi hai uski wajah se traffic kam hua hai.
deepak
sir Apne Blog Post Me Ek Line Me 4-5 Word Hi Show Hote He. Or Fir Nichli Line Me Aa Jate He Plz Konsa Setting Kiya He Batao.
Jumedeen Khan
Blog ki template change karo problem solve oh jayegi.
Ashutosh Pandey
Sir mera ye blog hai jara dekh ke bata dijiye ki mai isko kaise theek karu please sir mai desh ki sewa karna chahata hu isliye aap ke talent ki help chahata hu please.
Jumedeen Khan
Blog ko achha design karo..
Sachin
Sir aap hindi font kyun nahi use karte ho likhane mein
Jumedeen Khan
mere pas hinglish user jyada hai.
Rishikesh Mishra
Nice post thanks Sir newspaper ka Baisc setting kaise kare
Jumedeen Khan
Kuch bloggers ne iske bare me post ki hai wo padho.
suresh
Sir mera bhi ek blog hai jo autocadhindi.blogspot.com ke naam se liken usme view nahi mil rahi 10’12 view ek din ki milti hai kabhi vo bhi nahi milti
Jumedeen Khan
check my SEO related post
Rupa Roy
jumedeen sir, rare post hindi blog par high traffic lana lohe ke chane chabane jesa kaam he lekin aapne is post me bade hi sahjata se is topic ke bare me samjhaya he jissey hindi blog par traffic badhana easy ho jayega.
you may also like:- best Hindi blogs
Rajesh
Thank you for sharing such a wonderful information.
Pawan kumar gautam
Sir WordPress pr transfer karne ke bad puri sitting phir se karni padti hai sir or jo purane Visiter milenge ya nahi .
Jumedeen Khan
pawan main is sabke bare me article likh chuka hu aap humari WordPress wali post check karo.
akhilesh kumar
bahut achhi topic likhi hai aapne ise padhne ke baad man me josh utpann ho jata hai
thanks
mukesh
Sir me bhi blogger me nya hu kya sirf post likhte rahne se blog ka trefik bad jayega ya kuch or kre mere blog ko ful dekhne ke liye web varjan dekhe par click karna padta h ise band kese kre
Jumedeen Khan
Aap social media par apne blog ka promotion kare.
thakor naresh
Sr mene chitika ka ad lagaya hai par
Mera trafick social media se jyada aata
Hai or social media mera post click
Karte hai to said page mobile ke browser
Me khulta hoga jaise crome ya google
Me to usme ad nahi dikhata hai sr ji
Kaya karu or pura blog bhi nahi dikhta hai dusre kisi site ka fecebook me click karta hu to uska pura blog khulta hai or ad bhi
dikhta hai mera yesa nahi hota hai kya karu sr
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard par jao or template par click karke right side me mobile preview ko off karo. Isse aapka blog responsive open hoga or ad bhi show honge.
Vishal
में कुश दिनों तक अपनी comment का reply चेक करने के लिए daily पेज ओपन करता रहा । फिर मुझे लगा आप इस सवाल का जवाब देना उचित नहीं समझते होंगे । लेकिन आपने reply किया और satisfied answer दिया । इसके लिए बहुत बहुत धन्यवाद ।
thakor naresh
Sr mera alexa renk 4329,609 hai
or muje backlinks 7 mila hai or mera dayli 200 karb visitors aate hai to kaya
Sr mera blog kam kar raha hai accha
Jumedeen Khan
Ha dheere dheere hi aage bada jata hai.
Vishal
Bhai aapne jab blog banaya to kya aapko blogging and other blogging base knowledge Seo aur blogging ke bare ne jankari this .
New bloggers KO yo 1 se 2_3 sal lag jate hai success hone me to aapne itna jaldi kaise success achieve kar li
Jumedeen Khan
Vishal log chahe kuch bhi kahe par mai abhi apne aapko success nahi manta kyuki abhi mujhe bahut kuch karna hai. Ha maine sabkuch internet se hi sikha hai.
Aardy Kumar
hello bro,
maja aa gaya post padhkar. aap aise hi post likhte rahiye or ham padhte rahenge. blog ko monetize kaise kare or apni earning kaise badhaye in par bhi article likhiye.
Jumedeen Khan
In par mai already article likh chuka hu.
Abdullah
Great suggestions Khan Bhai,
Pichhle ek saal se lagataar mehnat kar raha hoon aur ranking bhi improve ho rahi hai… you are right dedication aur lagan bahut zaroori hai blogging ke success ke liye.
Thanks again bhai … Hum sab ko aapki help ki bahut zaroorat hai.
bhupal bhakuni
Sir mere Blog par bilkul bhi traffic nhi aa rha h ab me kya karu aap plz blig chack karke bta skte h ki kya problem h.
Jumedeen Khan
Sabse pahle aap blog ki template change karo. wo responsive nahi hai.
praveen
hi admin apki advice ko karke kuch dino pehele hi mene ek blog banaya hai.
hindimetrickss.blogspot.in/?m=1
dekhkar bataye kaisi hai.
aur isko WordPress me transfer kaise karu plz bataye.
Jumedeen Khan
ye post padho
1. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
2. Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
Preet
bhai aap ki income ka source kya hai.
Jumedeen Khan
pril month ki income check kar lo.
raj
bhai mujhe apki post pasand aayi he mene 3 mahibe bad fir blogging par kadam rakha he jissse me bahut peche reh gya hu meri page views 20-30 aa rahe hein roj ke 3 mahine kam na karnba merii mazboori thi mene kam ish liye nhi kar paya mere pas apna khud ka pc nhi tha or meine 3 mahine emin apna khud a pc bhi kareed liya he meri apse request he mujhe kya karna chahiye me abhut paresan
Jumedeen Khan
Welcome back raj, Aapko kuch nahi karna hai. Bas fir se blogging start karni hai or post likhni hai.
Ibrahim
Sir blog me ek view pr kitni income hoti hai
Jumedeen Khan
Blog par page views se nahi ads par click hone se income hoti hai.
MS Rawat
Very informative post. Brother Kya aap mujhe batayenge ki aap jo social media FB ke liye pop up wala widget use kar rahe hain wah kaun sa hai? badi mehrbani hogi.
Jumedeen Khan
Uska koi plugin nahi hai. Mai uske liye coding use karta hu.
nitesh
sir mera blog ka home line type me search hota hai google pr aapki website ki tarah kyu search ni hota label jaise
Jumedeen Khan
Jab aapki site par traffic jyada hoga to sitelinks show hone lag jayenge.
Pankaj Kumar
Bhai jaise main you tube chennal banana chaahta hoon. Uske liye main swayam apne dwara banaya huwa video dalna chahats hoon. Is me to koi sandeh nahi hai.
Bhai jaise main film ka serial ka Jo best comedy wise seen , romantic seen, fighting seen. Aadi hota hai chaahe wo Hindi film ho ya English kya in filmo ke best seen ko record karke main apne you tube chennal par daalun. To kya issue website ke block hone ki sambhawna rahti hai ya nahi..
Batayiye please.
Jumedeen Khan
Aap kisi bhi TV serial or movie ke part video record kar YouTube par upload nahi kar sakte ye post padho Youtube Par Kis Kis Tarah Ke Videos Copyright Mane Jate Hai
Abhi
Mai apke btaye tarike jarur follow kruga.
dhanyavad in tariko ke liye Sir
Manish
(1)jume deen sir agar me YouTube se google AdSense a/c banata to baad me blog ko kaise add kar sakta hu AdSense me or aapne AdSense a/c kis website se banaya hai mozedia support me india ya hindi.supportmeindia.com in teeno blog me aapki templet same or aap kya teeno blog me 1 hi AdSense ke ad code use kar rahe to ham 1 AdSense kitne blog ya website par ad laga sakte or aapne sabhi blog par hosting li hai kya
(2)sir mene ek blog banaya hai jissme mene 5-6 post ki hai main apne blog me apne blog ka pura naam jaise blogspot.com lagakar liktha tha to blog google search me aa jata tha lekin mene meta tag description code add kiya blog or blog ko google search console add kiya or sitemap submit kiya lekin ab mere blog ka pura naam likhkar search kar raha hu to vo google search me nahi aa raha hai or sitemap bhi pending bata raha sitemap kab tak add hoga or meri post kab indexed hogi plece jaldi reply kare
Jumedeen Khan
Youtube se banaye AdSense ko blog me connect karne ke liye ye post padho. AdSense ko blog se kaise connect kare.
maine YouTube ke throw AdSense banaya hai. hum ek AdSense account se 3-5 site par ads laga sakte hai. maine hostgator se bussiness plan liya hai jis par hum kitne bhi blog use kar sakte hai.
Google aapki site ko index karne me thoda time leta hai. aap ye post padho Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
hari narayan
Bhai AdSense me apply karne ke liye minimum kitne traffic aur alexa rank chahiye..
Jumedeen Khan
per day 500+ pageviews ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
deep
Dear, mein janna chatla hua ki meri website deepgroups.com kya mein AdSense pr apply kar sakta hu. infolink pahle se hai.
Jumedeen Khan
aap ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Sanjay
Hello sir kya hum hamara Facebook page sell kr skte h. kisi ne mujhe bola tha ki hum hmare page ko Freelancer.com pr sell kr skte h .agar ha to mujhe aap income or puri process btaiye
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. original traffic hone par. man lijiye mujhe apni site ka promotion karna hai or aapke pas 100k facebook like ka page hai to mai aapka page kharid sakta hu.
Abhi
Bhai bahut badiya tarike hai . Shukriya
md ali
sir mere blog ko 4 mahine ho gaye hain lekin per day pageview 100 hi ho rahe hai mera blog dekhkar bataye ki kya kami hain. Please sir
rohitkumar
bro aap jab koi bhi HTML code ke bare me batate ho. toh aap jo code batate ho. wo code blogger ki post me kaise likha jata hai. mai bhi apne blog me Widgets ki post likhne wala hu lekin samaj me nahi aa raha hai ye code kaise likhe jate hai.
mai jab code add karta hu wo bilkul normal text me aate hai . lekin aapke code alag alag colours ke hote hai
Jumedeen Khan
Mi iske liye WordPress plugin use karta hu. blogger me code box add karne ke liye ye post padho. Blog Post Me Code Box Kaise Use Kare
ankit
agar ham koi bhi site ki post ko dekhkar apne words me likhe aur us site ka link bi add kar de toh copyrite hoga kya. Kya hame us website ke owner se permision lene padegi kya
Jumedeen Khan
Ha dono jaruri hai. site owner se permission bhi leni hogi or uski site ka link bhi add karna padega.
Modi School
sir “modischools@gmail.com” ke nam ka gmail id available nahi hai to kya me “help.modischools@gmail.com” ke nam se apna gmail account banavu to koi sahi rahega ya nahi…. aur koi suggestion ho to batayega….
Jumedeen Khan
Ha sahi rahega. bana sakte ho.
Modi School
hum gmail me kitne account bana sakte hai… google ka koi ruels hai ya nahi….
Jumedeen Khan
Ha google ke rules ke anusar aapko sirf ek hi email id banani chahiye.
Harshad Bataviya
Sir Aapne Uper Comment me bataya ke Gmail me ek hi account bana sakte hai… par sir mera ek personal email Id Gmail me hai aur mere 2 blog hai aur is dono blog ke reader ke liye mene 2 Gmail Id banaye hai.. kul milakar mere 3 Gmail ID hai… 3 no Id me username alag alag hai… lekin mera first name aur last name yani meri profile same hai… to kya koi problem aayega…. pls sir help me…
Jumedeen Khan
Problem to koi nahi hai. maine nahi btaya google ka kahna hai ki hume ek hi gmail account banana chahiye. but manta koun hai. mere pas bhi 2-3 gmail account hai.
Jumedeen Khan
Aapka likhne ka tarika acha hai. Mai aapko ek advice dena chahunga. jis english words ke bare me aapko jyada jankari na ho use post me use nahi karna chahiye. Kyuki hinglish me mistage chal sakti hai. But english me apealing mistake nahi chal sakti. english me jara si galti se word ka matlab hi badal jata hai. So writing with carefuly.
Ravi Kumar
bhaiya mere website ke niche design by alina agera bagera power by blogger usse hum template me kya search karke edit kar sakte hai,
Jumedeen Khan
Designed by alina hi likh kar search karo.
Vivek darji
Aapki post bahoti achhi he…
Aap Kuch step Pe blue color ki Patti Kaise lagate ho kya hum blogger me ye laga sakte he???
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho. but usse pahle aapko blogger ki coding sikhni padegi.
Mohammed
Hello Sir Me Kuch Keyword Google Adword Pe Search Kiye Waha Suggeted Bid Likha Hua Hai Uska matlab kya hai kuch istarh likha tha
example.com 1300( Monthly Search) , compititions Low Or Bad Me Suggeted Bid 5.2
To Ye Suggeted Bid Jiska Jyada Wo Accha Hai ?
Jumedeen Khan
Mai google adwords ke bare me post karne wala hu usme aapke sare sawalo ke jawab mil jayenge.
ankit
ribbon template free blog ke liye sahi hai ya ni aur ye seo frndly hai kya
Jumedeen Khan
Ribbon temlate nahi WordPress them hai jise aap WordPress blog par hi use kar sakte ho. ha SEO friendly hai.
Harshad Bataviya
sir me apne blog me google ke EK MUKTA font ka use kiya hai… par jab me apni post hindi aur english dono milakar likhta hu to vo post google crome me parfect dikhti hai par firefox me english ke font bade aur hindi ke font chote dikhte hai… to iska kya solution hai…
Jumedeen Khan
Ye koi error nahi hai. firefox me hindi words ayse hi dikhte hai. har browser ki alag style hoti hai.
dev
bhayi aap bolte the ki jo smgh na ayega wo me batauga plz aab btaiye me mere main page par only 4 post show ho rhi he jab ki mene 9 set ki hui he plz kya prblm ho gayi mene template b change karke dekh liye par same prblm.
Jumedeen Khan
Dev agar aap template change karke blogger setting me show post ke samne 9 set karoge to home page par 9 hi post show hongi. Iske siwa iska koi solution ahi hai.
ankit
agar ham news paper ki news scan karke photo apne blog me use kar le aur saurce image “newspaper” likh du tab bi copyrights hoga
Jumedeen Khan
Aapko image ke sath us newspaper ki site ka link add karna padega. sirf name likhoge to copyright ho sakti hai.
zishan ali gulzar
bhaii mera blog me ad show nhi krta he , AdSense approved he, but hosted account likhta he, plz aap mera blog chek kijiye to koi prblm he kya ya koi other prblm,,,ur apka nmbr do na plz
Jumedeen Khan
Aap ye post padho. sabhi problem ka pata chal jayega. Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
zishan ali gulzar
sir mera blog chek kijiye to kuchh prblm he ya thik he,
Jumedeen Khan
Sahi hai. dheerev dheere sab sikh jaoge.
surendra
bhai kya Adsense me naya features updated hua he kya (Optimization)??
Jumedeen Khan
Nahi ye aapko AdSense promotion hone ke bad milta hai. Ye mere AdSense account me bhi kuch day pahle add hua tha so iske bare me puri jankari hone ke bad hi post karunga.
abdul khan
good mrng sir ji……aapko to mene bataya tha sir ji kal hi ki addsense mera approve hogaya hai aap sabki dua se aur guidence se,, mujhe ek information ye chahiye tha ki agar mere website ka link me apne frnd yaa koi aur website pe pramoted karta hun ..wo website ka page rank bhi achha hai 3page rank hai…..agar waha se kuch log visit krte hain aage chalkar to koi problm hosakta hai kiya…ya AdSense ke liye koi problm hosakta hai kiya plz faast reply den aap…
Jumedeen Khan
Kar sakte ho koi problem nahi hai. bas s*xy, p*rn or baki bad site ka link add mat karna.
abdul khan
Thankyou so much bhai……………….subha se hi aapke cooment ka intijaar tha subha se 50 baar cooment dhekh chuka hun ki aapka kab reply aayega….bahut sukhriya sir ji……..
Coolz
Aur bhi aise hi apne blogging experience hamare sath share kiya kro bhai aur ek question hai maine aapka august 2015 ka income report dekha 14,500 tha aur aapka blog 14 june ko start hua aur bhai upar bata rahe ho ki next month se aapke blog pe 300-500 pageviews per day milne lage to kya aapko 300-500 pageview se hi 14,500 rupay AdSense se kamaye ?
Jumedeen Khan
Yes becoz AdSense ko kaise handle karna hai. ye mai aaj ache se jan gaya hu.
nimi verma
Thanks thanks thanks frnd jankari ke liye
Dosat maine samajikjankari.com ke nam se blog bnaya huaa hu or iko banaye hua karib 5 monts hi gye maine google webmaster or google analystic me bhi iiska account bna rkha hai. Har post ko google webmaster me bhi submit krta hu, yoast plugin use krta gu lekin in sab ke babjud visitor nhi aa rhe bilkul bhi 50 ke karib hi aate hai
Plz plz aap ek bar mera blog chek kr lo or mujhe iska karan btao apki bhut mehrbani hogi
Replay jarur krna dost
Jumedeen Khan
@Nimi
aapko har post ko google searcj console me submit karne ke jarurat nahi hai. or mai aapko visitors pane ka sabse aasan or free tarika bta raha hu. aap follow kar sakte ho. “apne blog par aysi post share karo jo pahle se internet par na ho.”
Nitesh Nayak
Bahut aachi post hai thanks for sharing jummedin sir…
Sir apne sidebar me kaun se size ads lagaya hai
vikram
सर मैंने एक डोमेन ख़रीदा है गो डेडी से myhinditube .in अब मैं इसे मेरे ब्लोगेर पर लगाना चाहता हु ….क्या मैं ऐसा कर सकता हु ??
या मुझे कोई नयी वेबसाइट बनाने के बारे मैं बता दो
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho ye post padho Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
vikram
सर नही लगा पा रहा आप लगा के दे सकते हो प्लीज ….जो आपने अपने ब्लॉग मैं तरीका बताया है उसके अनुसार नही हो रहा है
Jumedeen Khan
Kya error show hota hai.
dev
bhayi mughe bataiye ki me apni site par post alag alag ho or kuch keywords pichli post se milte ho to kya ye copyright hoga
Jumedeen Khan
Nahi.
hari narayan
Bhai mera blog dekh ke bataye ki isme kuchh kami hai kya..aur ek bat maine apne blog me computer,internet,security tips aur webdesign ke bare me post likhta hu to ye sahi hai na ki mai alag-alag chizo ke bare me post likh ke galat to nahi kar raha hu na.
Jumedeen Khan
Post to aap sahi likh rahe ho. but bro aapke sawal ka jawab aapke hi pas hai kyuki ye aapko hi pata hai ki aapke visitors aapki site par kis jankari ko sabse jyada pasand akrte hai. Aap apne readr ki pasand ki post karo. I promise bahut aage pahuch jaoge.
rohit
google web,master me target india kaise set kare
Jumedeen Khan
Iske bare me meri next post padh lena.
Sahil kumar
100% Quility post hai ye bhai. pahle to socha tha ke isme wahi purani wali battein hogi par jab ek bar padhna shuru kiya to end tak khatam kar dala.
Bhai par yadi ek topic par focus karne ki baat ki jaye to isme mera blog to nahi aata na, kyu main future me aur bhi sections add karunga,
Jumedeen Khan
Sahil,
Aapka work hai dusri site ka link add kar unka promotion karne ka, Show aap kisi bhi topic par jankari share kar sakte hai. Sabse achi bat aapka domain bhi aapke kaam par jamta hai.
Ravindra
Wow great post jume deen je
Apki yahi baat mhujhe achhi lagti hai Jo blogging secret log chupate hai usko aap etni asani shear kar dete Ho
Aap shai me apna fayda na dekhte huye jankari de rahe Ho….’ Great ‘ ..
Mo Aziz
JUMEDEEN Bhai
mere ads mobile me sho nahi ho rahe kya karu pls bataye
mai wait kar raha hoo
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard>>template par jao ro mobile preveiw disable karo. ads show hone lag jayenge. or ha bro aap 3 display ads ke sath 3 links add bhi blog me me laga sakte hai. links ads se jyada income hoti hai. Or ek suggestion aapko dusre blog par commnet karna chod kar blogging ko time do or traffic badhao. achi achi post likho warna AdSense disable ho jayega.
Mo Aziz
batane ke liye Thanks.
ye baat to apki theek but mai apki post ko jarur dekhta aur sonchta shayad aaj jumedeen bhai ne fir koi nayi post ki hogi jo mere aur hum sab ke kam aa sakti hai.
isliye mai comment bhi kar deta hoo.
fir bhi mujhe itna batane ke liye thanks.
surendra
impression post bro.
mujhe ek baat bataye agar ham ek blog me 1 post ko 2 bar public kare aor dono post me keyword bilkul alag – alg ( dono post ke keyword ek dusre se nahi milte hai )ho toh google AdSense isko copyright manta hai kya (
Jumedeen Khan
Ha copyrighting hogi. isse aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai. Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai post me maine iske bare me details se btaya hai.
Manish
Aap Apne blogging me safar me baare me likha kare usko padne me jyada maja aata hai
Jumedeen Khan
@Manish,
Mai apni har ek kamyabi apne readers ke sath share karta hu Monthly income report me. Just wait bahu jald ek special apne blogging exprience ke bare me post karunga.
Ashok Saini
Sir ji Muje apke jaisa Comment box banana hai apne Blog ke liye. Uske liye Blogger me konsa widget hai ya konsi setting hai,Plz links ke dwara bata dijiye plz..
Jumedeen Khan
Blogger blog par humara full control nahi hota hai. Isi ka ek hissa hai blogger commnet box jise hum change nahi kar sakte. Maine isi problem ki waja se WordPress par blog banaya hai.
Md ali
Mujhe apke blog jaisa comment box apne blog par lagana hai kaise lagau mera plateform blogger hai
Jumedeen Khan
Mera blog WordPress platform par hai blogger me hum aysa commnet box nahi laga sakte.
md ali
thanks sir
but fir mai aisa comment box blogger main kaise lagau
Jumedeen Khan
Aap disqus commnet box use kar sakte ho ya fir google+ commnets use kar sakte ho. ye post padho Blogger Ki Post Me Google+ Comment Enable Kaise Kare.
Md ali
Ok sir thanks very much main apne blog qureshiinfotech.com par disqus try karke dekhta hun
Ashok Saini
Thanks Sir. For Reply, Apki service bahut fast hai. apne to kuch second me hi Reply kar diya. Muje bahut kushi huyi.
Ashok Saini
Thank you Very Much Sir ji. Apka Ye Artical padkar to Dil kush ho Gaya. Aj mai apke Blog me first Time Comment kar raha hun. Jabki maine apke Blog ko Book mark kar rakha hai aur mai apke blog ko Daily visit bhi karta haun. Sayad apko yaad ho maine 3 month Pahele apko call karke apse bat bhi ki thi. Ashok Etuor blog banae ki bare mai. Maine bhi mera Blog bana liya hai sir ji jiska name hai ashoketutor.com. Aap ek bar dekh lijiye aur koi kami ho to muje bata dijiye sir ji. Please.
Thank You
Jumedeen Khan
Ha mujhe yaad hai. apne visitors ko koun bhool sakta hai. aapka blog maine check kiya hai. Bahut achi bat hai aapne blogging ko ache se samajhne ke bad blog banaya.
Ravi Kumar
wah bhaiya, Aap aise hi kuchh na kuchh naya experience share karte rahe, isse humlogo ka hosla badhta hai thanks jummedin bhaiya,
Mo Aziz
Bahut accha likha hai jumedenn bhai aapne iss article ke jariye apne 7 month ka experience share kara bahut badiya. isse naye blogger ko kafi kuch karne ki chahat badegi aur wo mehnat bhi kar sakenge aur mai bhi apki posts shuru se padhta a raha hU. bahut hi acchi SEO post hai.
Thanks Bro
Alpesh Desai
Good article
Bro aap ne aaj bahot badiya information di hai.mai apni site ko top par lana chahta hu.aap mujhe bataye kya mai 1&1 company se hosting lunga to better hoga.
Jumedeen Khan
Jis tarah blogger or WordPress 2 blogging platform fomus hai. bilkul wese hi bluehost or hostgator fomus hai. aap in dono me se kisi se hosting lo. Jisse future me aapko problem na ho. Kyuki inse har koi hosting leta hai or problem hone par unme se koi na koi aapki help kar sakta hai. but agar aap sanse alag hosting company ki hosting provide karoge to aapki help koi bhi blogger nahi kar payega.
Akshay Dhiman
Please New Bloggers ko Sasti Hosting Btaya kro Jaise NameCheap 700Rs/per Year
Jumedeen Khan
Saste ke chkkar me kabhi kabhi puri mehanat bekar ho jati hai or sara data lsot ho jata hai or main nahi chahata ki kisi ke sath aesa ho.