Hindi blog par high traffic hona bahut mushkil hai. Kyuki hindi language all countries me available nahi hai. Hindi blog ka most target india hi hota hai or hindi blog par 70% traffic bhi india se hi milta hai. So important sawal ye hai ki Hindi Blog Par Traffic kaise Badhaye. Kya hindi blog par bhi hum high traffic bana sakte hai? Bilkul bana sakte hai but uske liye hume pahle hindi blogging ko ache se pahchanna hoga.

Jab maine blogging start ki thi to mujhe agle ek mahine me 300-500 pageviews per day milne lag gaye the. Mere blog par sabse jyada traffic search engine se aata tha or aaj bhi sabse jyada traffic search engine se hi milta hai.
Aaj mujhe blogging me 7 month ho gaye hai. Aaj 7 mahine bad mere blog par 8,000 to 10,000 pageviews per day hai yani in 7 mahino me mere blog ka traffic itna badha hai wo bhi ek hindi blog par. So mai si bat ko nahi manta ki hindi blog par high traffic nahi ho sakta.
- Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
Maine itne kam samay me apne blog ki traffic ko itna increase kaise kiya hai. Us sab ke bare me mai aapko is post me details se bta raha hu. I sure agar aap is post ko ache se follow karoge to aapke blog par mujhse bhi jyada traffic hoga.
Mai aysi ummid bhi rakhta hu ki mera har ek reader apne mission me success bane or meri mehanat ko safal banaye. To aayiye aaj hum bat karte hai ki ek hindi blog par high traffic kamane ke liye hum kya kya kar sakte hai.
Hindi Blog Par High Traffic Banane Ki 10 Important Tips
Is article me mai aapke sath aysi bate share kar raha hu. Jinhe follow kar ke maine https://www.supportmeindia.com ko yaha tak pahuchaya hai. But post padhne se pahle aap tay kar le ki aap achi mehanat karne wale ho kyuki bina mehanat ke aap kisi bhi trick se apni site ki traffic improve nahi kar sakte.
1. Choose Better Blogging Platform:
Jab maine apna blog banaya tha to mere samne sabse pahla sawal tha ki mai apna blog kis platform par banau. Maine iske bare me dusre blogger se pata kiya to sab ne mujhe google ki free service blogger.com or WordPress ko use karne ke liye kaha.
Ab mere liye ye sawal ban gaya ki in dono me se kounsa better hai or mai kis par blog banau. Mere dimag me ek idea aaya ki kyo na pahle google ki free servece blogger ko hi try kiya jaye or july 2015 ko maine blogger par apna free blog bana liya.
But 40-50 days me mai blogger ke bare me sabkuch jan gaya or mujhe ahsas hua ki blogger par hume apne blog ko control karne ki full permission nahi hoti hai. Isliye maine WordPress ko try kiya. Iske liye maine Digital Ocean 30 Days Free Hosting le kar WordPress blog banaya.
Fantastic, Wakai WordPress blogger se 1000 guna jyada better tha. Kyuki WordPress par unlimited features the or us par humara pura control tha. Bas maine apne Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer kar liya. Or aaj mai kah sakta hu ki agar blogger Silver hai to WordPress Gold hai.
Yani WordPress blogger se har tarah se better blogging platform hai. Aapko agar WordPress ki achi jankari hai to mai aapko suggest karunga ki aap WordPress par hi blog banaye. Or agar aap blogging me bilkul new ho to aap pahle blogger Free Blog bana kar kuch time blogging ko samajh le. Uske bad aap WordPress par move kar sakte hai.
2. Select Best Hindi Typing Tool:
Hindi blogging karne me sabse badi problem hoti hai ki hindi words me kaise likhe. Internet par aysi bahut si tools hai jin par aap hindi me typing kar sakte ho. But uske liye aapko bar bar hindi typing tool se copy paste karne ki problem hoti hai. Internet ne bhi aaj bahut tarakki kar li hai or aapko yaha aysi tools mil jayegi jinse aap offlines bhi type kar sakte hai.
Ji ha, Mai bat kar raha hu google ki Hindi Typing Offline Tools ki jisse aap bina internet on kiye apne computer ya laptop me kahi par bhi hindi me type kar sakte hai. Isse aapko hindi me blogging karne me aasani hogi or aapka waqt bhi west nahi hoga. Google hindi typing tool ko download karne e liye yaha click kare हिंदी भाषा में कैसे लिखे हिंदी में लिखने का ऑफलाइन टूल.
3. Select Best Blog Name & URL:
Blog ka badhiya name choose kare. Blog ka nae jitna Short, Simple, Eye Catching hona chahiye. Or sabse achi bat hogi agar aapke blog ke name se hi pata chal jaye ki aapke blog par kaisi jankari share ki jati hai. Blog ka jitna ho sake chota name choone or aysa name choose kare jise reader aasani se yaad rakh sake.
Jab maine blog banaya to mere blog ka name ajeeb tha. But ye bahut bada or isse mai apne blog par sirf helping articles hi likh sakta tha. Tab maine https://www.supportmeindia.com domain select kiya or mujhe lagta hai mai is name ke blog par blogging ke alawa other category ki jankari bhi share kar sakta hu.
4. Focus One Particuler Area:
Agar aap blog par har tarah ki jankari share kar rahe hai to savdhan ho jayiye. Aap galat raste par ja rae jo aapki manzil tak nahi jata hai. Blogging ki nahi aap koi bhi kaam karo to aapka ek focus topic hona chaiye. Aagar aap apne blog par har tarah ki jankari share karoge to aapko Regular Reader nahi milenge.
Examply jaise mai supportmeindia par blogging par post likhta hu, Mere regular visitors ko meri post ka daily intjar rahta hai ki is blog par roj koi na koi new post padhne ko milegi or agar me apna blogging ka topic chod kar jokes, shayari and other kisi topic par post karne lagu to koun meri site par regular aayega. Ulta mere regular reader mere blog par visit karna chod sakte hai.
Isliye blog par ek hi topic ko focus kar article likhe. Ye ek free tips hai blog par high traffic banane ki or apne audience ka dil jitne ki. Pichle kuch time se mai sirf blog SEO ke bare me articles likh raha hu. Jisse mere blog ka traffic per day increase ho raha hai. Or aane wale time me bhi mai blogging par hi focus kar blogging karunga. Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek particuler area fix kar sakte ho.
5. Make Better Your Feeling:
Maine ja blogging me kada me rakha to usi waqt soch liya tha ki ek din mujhe apne blog ko india ka No.1 Hindi Blog banana hai. Yakin maniye ye trick 100% wok karti hai. Isse hume blogging karne ki power milti hai or ek tarah se ye humar mission ban jata hai.
Example ke liye aap supportmeindia ko dekh sakte hai ki maine apne blog ko last 7 month me kitna increase kiya hai. Ye bat mere reader yani aap mujhse behtar jante hai. Or mujhe wishwas hai ki ek din mai apni manzil tak jarur pahuch jaunga.
Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek mission ban lijiye or fir dekhiye blogging karne me kitna maza aata hai. I promise aapka andaz hi badal jayega. Or aapka sapna ek din hakikat ban jayega. Bas iske liye aapko hard work kadi mehanat karni padegi.
6. Make Best Talent:
Talent ka matlab hota hai aapka post likhne ka tarika or har blogger janta hai ki blogging me blogger ka talent kitna important hota hai. Reader sabse jyada aapke talent ko hi pasand karte hai. So apne post likhne ke tarike ko jitna ho sake effective banaye. Jisse aapki post padhte hi user aapke fan ban jaye or aapki site par bar bar visit karna pasand kare. I promise agar reader ko aapka talent pasand aayega to wo aapka continue visitor ban jayega. Jisse aapke blog ki traffic kam samay me increase ho jayegi.
Aapka talent only visitors ke liye hi important nahi hai, Balki search engine bhi ache talent ki post ko jyada like karta hai or aapki post ko jaldi index karta hai. Isse aapke blog ki search engine ranking improve hogi.
7. Use High Ranking English Words:
Manta hu ki aap ek hindi blogger hai but apni post me english word use na karne ki Kasam na khaye. Search engine se better traffic pane ke liye post me Top Keywords ki jarurat hoti hai. Or high ranking keywords hum english me hi use kar sakte hai. Isliye post likhte time important words ko english me hi use kare. Isse aapki post ki value badhegi or aap post me ayse keywords aasani se use kar sakte ho. Jinhe log sabse jyada search karte hai.
Jo log internet use karte hai wo thodi bahut english to jante hi hai or mostly use hone wale english words jaise Advice, Post Content, Blogging, Popular, High Rank, Top List Article, Best Tips and other bahut sare words hai. Jinke bare me har koi samajhta hai. Agar aap in words ko english me use karoge to aapke visitors ko post padhne me koi problem nahi hogi or aapki site ki search ranking bhi better ho jayegi. Or sabse badi bat aapko bta du ki log hindi me padhna jarur chahate hai but sabhi search english me hi karte hai.
8. Make Blog Simple Design:
Blog ka design bhi blog par high traffic banane me help karta hai. Maine iske bare me bahut se success blogger or website owner se bat ki sabhi ka ek hi jawab tha ki blog ka simple design SEO ke liye jyada better hota hai. Iski sabse badi wajah hai visitors or search engine dono bahut jyada colorful design ko pasand nahi karte hai. Mai aapko yaha point de kar samajha raha hu.
- Blog par deep color use nahi kare. Kyuki gahre color se reader ki aankho par asar padta hai jisse koi bhi aapki site par visit karna pasand nahi karega.
- Blog design me 3-4 color se jyada color use na kare.
- Jaha tak ho sake blog me fika color hi use kare.
- White, Black, Red and Blue color websites par sabse jyada use kiye jate hai. So aap bhi inhi me se apna color select kar sakte hai.
- Blog par extra bina kaam ke product add na kare.
Blog ko itna jyada design na kare ki reader ko samajh me na aaye ki kaha kya hai or kya kaha hai. Mai aapko highly recommended karunga ki aap simple design hi use kare.
9. Don’t Create Many Blog:
Agar aap apne blog ko ek din top blog me dekhna chahate ho to ek samay me ek hi blog banaye. Jisse aap us blog par 100% focus kar sako or aapko ek se jyada blog manage karne ki problem na ho. Mai dusro ki bat nahi karunga apni hi bat karunga maine hindi.supportmeindia.com, https://www.supportmeindia.com or mozedia.com 3 blog banaye huye hai. Mujhe 3no blog ko manage karne me kitni problem hoti hai. Wo sab mai aapke sath share kar raha hu.
- Humara talent kharab ho jata hai. Kyuki hum sabhi websites par ek hi talent me post nahi kar sakte.
- Ek se adhik blog hone par humara dhyan bat jata hai. Jisse post likhne me problem hoti hai.
- Sab me alag alag janakri share karni padti hai. Isliye humara interest bigad jata hai.
- Jyada blog bane se hum kisi ek blog par focus nahi kar pate hai.
- Sabse badi problem hume visitors ki choice samajhane me problem hoti hai.
Mera yaha ye matlab nahi hai ki aap ek se jyada blog bana hi nahi sakte ho. Bana sakte ho. But pahle apne ek blog ko top ranking me pahuchao. 100,000 se kam ranking ke blog or website success mane jate hai.
10. Full Time Work:
Agar aap part time blogging kar ke success banna chahate hai to aap galat hai. Kyuki part time work kar ke aapko success hone me mahine nahi salo lag jayenge. Or 5-10 saal me success hona success hona nahi kahlta hai. Success hona use kahte hai jab hum saalo ka kaam mahino me kar ke success bante hai. Isliye meri aapko personal suggest hai ki koi bhi kaam karo to use puri mehanat or dil se karo.
Ye soch ke karo ki mujhe isme 101% pass hona hai. In my case mai jo bhi kaam karta hu yahi soch kar karta hu ki chahe kuch bhi ho jaye mai apne work ko pura kar ke hi chodunga. Agar aap bhi apne aap se kaam ko bich me na chodne ki kasam kha le to aap kabhi bhi or kisi bhi kaam me fail nahi ho sakte.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
- Website Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
I hope aapko ye article pasand aayega. Or aapko is article ki help se hindi blog par high traffic banane ki achi or important jankari milegi. Maine is post me sirf apna blogging exprience share kiya hai.
Aapko mera exprience kaisa laga iske bare me commnet me jarur btaye or is post ko social media par share kar ke or jyada motival banye. Thanks
Rishikesh Mishra
Nice post thanks Sir newspaper ka Baisc setting kaise kare
Jumedeen Khan
Kuch bloggers ne iske bare me post ki hai wo padho.
suresh
Sir mera bhi ek blog hai jo autocadhindi.blogspot.com ke naam se liken usme view nahi mil rahi 10’12 view ek din ki milti hai kabhi vo bhi nahi milti
Jumedeen Khan
check my SEO related post
Rupa Roy
jumedeen sir, rare post hindi blog par high traffic lana lohe ke chane chabane jesa kaam he lekin aapne is post me bade hi sahjata se is topic ke bare me samjhaya he jissey hindi blog par traffic badhana easy ho jayega.
you may also like:- best Hindi blogs
Rajesh
Thank you for sharing such a wonderful information.
Pawan kumar gautam
Sir WordPress pr transfer karne ke bad puri sitting phir se karni padti hai sir or jo purane Visiter milenge ya nahi .
Jumedeen Khan
pawan main is sabke bare me article likh chuka hu aap humari WordPress wali post check karo.
akhilesh kumar
bahut achhi topic likhi hai aapne ise padhne ke baad man me josh utpann ho jata hai
thanks
mukesh
Sir me bhi blogger me nya hu kya sirf post likhte rahne se blog ka trefik bad jayega ya kuch or kre mere blog ko ful dekhne ke liye web varjan dekhe par click karna padta h ise band kese kre
Jumedeen Khan
Aap social media par apne blog ka promotion kare.
thakor naresh
Sr mene chitika ka ad lagaya hai par
Mera trafick social media se jyada aata
Hai or social media mera post click
Karte hai to said page mobile ke browser
Me khulta hoga jaise crome ya google
Me to usme ad nahi dikhata hai sr ji
Kaya karu or pura blog bhi nahi dikhta hai dusre kisi site ka fecebook me click karta hu to uska pura blog khulta hai or ad bhi
dikhta hai mera yesa nahi hota hai kya karu sr
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard par jao or template par click karke right side me mobile preview ko off karo. Isse aapka blog responsive open hoga or ad bhi show honge.
Vishal
में कुश दिनों तक अपनी comment का reply चेक करने के लिए daily पेज ओपन करता रहा । फिर मुझे लगा आप इस सवाल का जवाब देना उचित नहीं समझते होंगे । लेकिन आपने reply किया और satisfied answer दिया । इसके लिए बहुत बहुत धन्यवाद ।
thakor naresh
Sr mera alexa renk 4329,609 hai
or muje backlinks 7 mila hai or mera dayli 200 karb visitors aate hai to kaya
Sr mera blog kam kar raha hai accha
Jumedeen Khan
Ha dheere dheere hi aage bada jata hai.
Vishal
Bhai aapne jab blog banaya to kya aapko blogging and other blogging base knowledge Seo aur blogging ke bare ne jankari this .
New bloggers KO yo 1 se 2_3 sal lag jate hai success hone me to aapne itna jaldi kaise success achieve kar li
Jumedeen Khan
Vishal log chahe kuch bhi kahe par mai abhi apne aapko success nahi manta kyuki abhi mujhe bahut kuch karna hai. Ha maine sabkuch internet se hi sikha hai.
Aardy Kumar
hello bro,
maja aa gaya post padhkar. aap aise hi post likhte rahiye or ham padhte rahenge. blog ko monetize kaise kare or apni earning kaise badhaye in par bhi article likhiye.
Jumedeen Khan
In par mai already article likh chuka hu.
Abdullah
Great suggestions Khan Bhai,
Pichhle ek saal se lagataar mehnat kar raha hoon aur ranking bhi improve ho rahi hai… you are right dedication aur lagan bahut zaroori hai blogging ke success ke liye.
Thanks again bhai … Hum sab ko aapki help ki bahut zaroorat hai.
bhupal bhakuni
Sir mere Blog par bilkul bhi traffic nhi aa rha h ab me kya karu aap plz blig chack karke bta skte h ki kya problem h.
Jumedeen Khan
Sabse pahle aap blog ki template change karo. wo responsive nahi hai.
praveen
hi admin apki advice ko karke kuch dino pehele hi mene ek blog banaya hai.
hindimetrickss.blogspot.in/?m=1
dekhkar bataye kaisi hai.
aur isko WordPress me transfer kaise karu plz bataye.
Jumedeen Khan
ye post padho
1. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
2. Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
Preet
bhai aap ki income ka source kya hai.
Jumedeen Khan
pril month ki income check kar lo.
raj
bhai mujhe apki post pasand aayi he mene 3 mahibe bad fir blogging par kadam rakha he jissse me bahut peche reh gya hu meri page views 20-30 aa rahe hein roj ke 3 mahine kam na karnba merii mazboori thi mene kam ish liye nhi kar paya mere pas apna khud ka pc nhi tha or meine 3 mahine emin apna khud a pc bhi kareed liya he meri apse request he mujhe kya karna chahiye me abhut paresan
Jumedeen Khan
Welcome back raj, Aapko kuch nahi karna hai. Bas fir se blogging start karni hai or post likhni hai.
Ibrahim
Sir blog me ek view pr kitni income hoti hai
Jumedeen Khan
Blog par page views se nahi ads par click hone se income hoti hai.
MS Rawat
Very informative post. Brother Kya aap mujhe batayenge ki aap jo social media FB ke liye pop up wala widget use kar rahe hain wah kaun sa hai? badi mehrbani hogi.
Jumedeen Khan
Uska koi plugin nahi hai. Mai uske liye coding use karta hu.
nitesh
sir mera blog ka home line type me search hota hai google pr aapki website ki tarah kyu search ni hota label jaise
Jumedeen Khan
Jab aapki site par traffic jyada hoga to sitelinks show hone lag jayenge.