Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye – Top 10 Important Tips

Hindi blog par high traffic hona bahut mushkil hai. Kyuki hindi language all countries me available nahi hai. Hindi blog ka most target india hi hota hai or hindi blog par 70% traffic bhi india se hi milta hai. So important sawal ye hai ki Hindi Blog Par Traffic kaise Badhaye. Kya hindi blog par bhi hum high traffic bana sakte hai? Bilkul bana sakte hai but uske liye hume pahle hindi blogging ko ache se pahchanna hoga.

Hindi Blog Par High Traffic Kaise Banaye

Jab maine blogging start ki thi to mujhe agle ek mahine me 300-500 pageviews per day milne lag gaye the. Mere blog par sabse jyada traffic search engine se aata tha or aaj bhi sabse jyada traffic search engine se hi milta hai.

Aaj mujhe blogging me 7 month ho gaye hai. Aaj 7 mahine bad mere blog par 8,000 to 10,000 pageviews per day hai yani in 7 mahino me mere blog ka traffic itna badha hai wo bhi ek hindi blog par. So mai si bat ko nahi manta ki hindi blog par high traffic nahi ho sakta.

Maine itne kam samay me apne blog ki traffic ko itna increase kaise kiya hai. Us sab ke bare me mai aapko is post me details se bta raha hu. I sure agar aap is post ko ache se follow karoge to aapke blog par mujhse bhi jyada traffic hoga.

Mai aysi ummid bhi rakhta hu ki mera har ek reader apne mission me success bane or meri mehanat ko safal banaye. To aayiye aaj hum bat karte hai ki ek hindi blog par high traffic kamane ke liye hum kya kya kar sakte hai.

Hindi Blog Par High Traffic Banane Ki 10 Important Tips

Is article me mai aapke sath aysi bate share kar raha hu. Jinhe follow kar ke maine https://www.supportmeindia.com ko yaha tak pahuchaya hai. But post padhne se pahle aap tay kar le ki aap achi mehanat karne wale ho kyuki bina mehanat ke aap kisi bhi trick se apni site ki traffic improve nahi kar sakte.

1. Choose Better Blogging Platform:

Jab maine apna blog banaya tha to mere samne sabse pahla sawal tha ki mai apna blog kis platform par banau. Maine iske bare me dusre blogger se pata kiya to sab ne mujhe google ki free service blogger.com or WordPress ko use karne ke liye kaha.

Ab mere liye ye sawal ban gaya ki in dono me se kounsa better hai or mai kis par blog banau. Mere dimag me ek idea aaya ki kyo na pahle google ki free servece blogger ko hi try kiya jaye or july 2015 ko maine blogger par apna free blog bana liya.

But 40-50 days me mai blogger ke bare me sabkuch jan gaya or mujhe ahsas hua ki blogger par hume apne blog ko control karne ki full permission nahi hoti hai. Isliye maine WordPress ko try kiya. Iske liye maine Digital Ocean 30 Days Free Hosting le kar WordPress blog banaya.

Fantastic, Wakai WordPress blogger se 1000 guna jyada better tha. Kyuki WordPress par unlimited features the or us par humara pura control tha. Bas maine apne Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer kar liya. Or aaj mai kah sakta hu ki agar blogger Silver hai to WordPress Gold hai.

Yani WordPress blogger se har tarah se better blogging platform hai. Aapko agar WordPress ki achi jankari hai to mai aapko suggest karunga ki aap WordPress par hi blog banaye. Or agar aap blogging me bilkul new ho to aap pahle blogger Free Blog bana kar kuch time blogging ko samajh le. Uske bad aap WordPress par move kar sakte hai.

2. Select Best Hindi Typing Tool:

Hindi blogging karne me sabse badi problem hoti hai ki hindi words me kaise likhe. Internet par aysi bahut si tools hai jin par aap hindi me typing kar sakte ho. But uske liye aapko bar bar hindi typing tool se copy paste karne ki problem hoti hai. Internet ne bhi aaj bahut tarakki kar li hai or aapko yaha aysi tools mil jayegi jinse aap offlines bhi type kar sakte hai.

Ji ha, Mai bat kar raha hu google ki Hindi Typing Offline Tools ki jisse aap bina internet on kiye apne computer ya laptop me kahi par bhi hindi me type kar sakte hai. Isse aapko hindi me blogging karne me aasani hogi or aapka waqt bhi west nahi hoga. Google hindi typing tool ko download karne e liye yaha click kare हिंदी भाषा में कैसे लिखे हिंदी में लिखने का ऑफलाइन टूल.

3. Select Best Blog Name & URL:

Blog ka badhiya name choose kare. Blog ka nae jitna Short, Simple, Eye Catching hona chahiye. Or sabse achi bat hogi agar aapke blog ke name se hi pata chal jaye ki aapke blog par kaisi jankari share ki jati hai. Blog ka jitna ho sake chota name choone or aysa name choose kare jise reader aasani se yaad rakh sake.

Jab maine blog banaya to mere blog ka name ajeeb tha. But ye bahut bada or isse mai apne blog par sirf helping articles hi likh sakta tha. Tab maine https://www.supportmeindia.com domain select kiya or mujhe lagta hai mai is name ke blog par blogging ke alawa other category ki jankari bhi share kar sakta hu.

4. Focus One Particuler Area:

Agar aap blog par har tarah ki jankari share kar rahe hai to savdhan ho jayiye. Aap galat raste par ja rae jo aapki manzil tak nahi jata hai. Blogging ki nahi aap koi bhi kaam karo to aapka ek focus topic hona chaiye. Aagar aap apne blog par har tarah ki jankari share karoge to aapko Regular Reader nahi milenge.

Examply jaise mai supportmeindia par blogging par post likhta hu, Mere regular visitors ko meri post ka daily intjar rahta hai ki is blog par roj koi na koi new post padhne ko milegi or agar me apna blogging ka topic chod kar jokes, shayari and other kisi topic par post karne lagu to koun meri site par regular aayega. Ulta mere regular reader mere blog par visit karna chod sakte hai.

Isliye blog par ek hi topic ko focus kar article likhe. Ye ek free tips hai blog par high traffic banane ki or apne audience ka dil jitne ki. Pichle kuch time se mai sirf blog SEO ke bare me articles likh raha hu. Jisse mere blog ka traffic per day increase ho raha hai. Or aane wale time me bhi mai blogging par hi focus kar blogging karunga. Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek particuler area fix kar sakte ho.

5. Make Better Your Feeling:

Maine ja blogging me kada me rakha to usi waqt soch liya tha ki ek din mujhe apne blog ko india ka No.1 Hindi Blog banana hai. Yakin maniye ye trick 100% wok karti hai. Isse hume blogging karne ki power milti hai or ek tarah se ye humar mission ban jata hai.

Example ke liye aap supportmeindia ko dekh sakte hai ki maine apne blog ko last 7 month me kitna increase kiya hai. Ye bat mere reader yani aap mujhse behtar jante hai. Or mujhe wishwas hai ki ek din mai apni manzil tak jarur pahuch jaunga.

Isi tarah aap bhi apne blog ke liye ek mission ban lijiye or fir dekhiye blogging karne me kitna maza aata hai. I promise aapka andaz hi badal jayega. Or aapka sapna ek din hakikat ban jayega. Bas iske liye aapko hard work kadi mehanat karni padegi.

6. Make Best Talent:

Talent ka matlab hota hai aapka post likhne ka tarika or har blogger janta hai ki blogging me blogger ka talent kitna important hota hai. Reader sabse jyada aapke talent ko hi pasand karte hai. So apne post likhne ke tarike ko jitna ho sake effective banaye. Jisse aapki post padhte hi user aapke fan ban jaye or aapki site par bar bar visit karna pasand kare. I promise agar reader ko aapka talent pasand aayega to wo aapka continue visitor ban jayega. Jisse aapke blog ki traffic kam samay me increase ho jayegi.

Aapka talent only visitors ke liye hi important nahi hai, Balki search engine bhi ache talent ki post ko jyada like karta hai or aapki post ko jaldi index karta hai. Isse aapke blog ki search engine ranking improve hogi.

7. Use High Ranking English Words:

Manta hu ki aap ek hindi blogger hai but apni post me english word use na karne ki Kasam na khaye. Search engine se better traffic pane ke liye post me Top Keywords ki jarurat hoti hai. Or high ranking keywords hum english me hi use kar sakte hai. Isliye post likhte time important words ko english me hi use kare. Isse aapki post ki value badhegi or aap post me ayse keywords aasani se use kar sakte ho. Jinhe log sabse jyada search karte hai.

Jo log internet use karte hai wo thodi bahut english to jante hi hai or mostly use hone wale english words jaise Advice, Post Content, Blogging, Popular, High Rank, Top List Article, Best Tips and other bahut sare words hai. Jinke bare me har koi samajhta hai. Agar aap in words ko english me use karoge to aapke visitors ko post padhne me koi problem nahi hogi or aapki site ki search ranking bhi better ho jayegi. Or sabse badi bat aapko bta du ki log hindi me padhna jarur chahate hai but sabhi search english me hi karte hai.

8. Make Blog Simple Design:

Blog ka design bhi blog par high traffic banane me help karta hai. Maine iske bare me bahut se success blogger or website owner se bat ki sabhi ka ek hi jawab tha ki blog ka simple design SEO ke liye jyada better hota hai. Iski sabse badi wajah hai visitors or search engine dono bahut jyada colorful design ko pasand nahi karte hai. Mai aapko yaha point de kar samajha raha hu.

  1. Blog par deep color use nahi kare. Kyuki gahre color se reader ki aankho par asar padta hai jisse koi bhi aapki site par visit karna pasand nahi karega.
  2. Blog design me 3-4 color se jyada color use na kare.
  3. Jaha tak ho sake blog me fika color hi use kare.
  4. White, Black, Red and Blue color websites par sabse jyada use kiye jate hai. So aap bhi inhi me se apna color select kar sakte hai.
  5. Blog par extra bina kaam ke product add na kare.

Blog ko itna jyada design na kare ki reader ko samajh me na aaye ki kaha kya hai or kya kaha hai. Mai aapko highly recommended karunga ki aap simple design hi use kare.

9. Don’t Create Many Blog:

Agar aap apne blog ko ek din top blog me dekhna chahate ho to ek samay me ek hi blog banaye. Jisse aap us blog par 100% focus kar sako or aapko ek se jyada blog manage karne ki problem na ho. Mai dusro ki bat nahi karunga apni hi bat karunga maine hindi.supportmeindia.comhttps://www.supportmeindia.com or mozedia.com 3 blog banaye huye hai. Mujhe 3no blog ko manage karne me kitni problem hoti hai. Wo sab mai aapke sath share kar raha hu.

  1. Humara talent kharab ho jata hai. Kyuki hum sabhi websites par ek hi talent me post nahi kar sakte.
  2. Ek se adhik blog hone par humara dhyan bat jata hai. Jisse post likhne me problem hoti hai.
  3. Sab me alag alag janakri share karni padti hai. Isliye humara interest bigad jata hai.
  4. Jyada blog bane se hum kisi ek blog par focus nahi kar pate hai.
  5. Sabse badi problem hume visitors ki choice samajhane me problem hoti hai.

Mera yaha ye matlab nahi hai ki aap ek se jyada blog bana hi nahi sakte ho. Bana sakte ho. But pahle apne ek blog ko top ranking me pahuchao. 100,000 se kam ranking ke blog or website success mane jate hai.

10. Full Time Work:

Agar aap part time blogging kar ke success banna chahate hai to aap galat hai. Kyuki part time work kar ke aapko success hone me mahine nahi salo lag jayenge. Or 5-10 saal me success hona success hona nahi kahlta hai. Success hona use kahte hai jab hum saalo ka kaam mahino me kar ke success bante hai. Isliye meri aapko personal suggest hai ki koi bhi kaam karo to use puri mehanat or dil se karo.

Ye soch ke karo ki mujhe isme 101% pass hona hai. In my case mai jo bhi kaam karta hu yahi soch kar karta hu ki chahe kuch bhi ho jaye mai apne work ko pura kar ke hi chodunga. Agar aap bhi apne aap se kaam ko bich me na chodne ki kasam kha le to aap kabhi bhi or kisi bhi kaam me fail nahi ho sakte.

I hope aapko ye article pasand aayega. Or aapko is article ki help se hindi blog par high traffic banane ki achi or important jankari milegi. Maine is post me sirf apna blogging exprience share kiya hai.

Aapko mera exprience kaisa laga iske bare me commnet me jarur btaye or is post ko social media par share kar ke or jyada motival banye. Thanks

Reader Interactions

Comments (177)

  1. Sir aapne bahot achhi information share ki hai.

  2. bahut hi achchi jankari di hai aapne. isme shuru ke teen points mere dil ko chhu gaye

  3. hello sir mai Ranveer Verma maine pichhale mahine ek blog banaya hai.
    sir apse yahi ek vintai hai ki please mere blog ko analysis krke batiye ki meri blog me koi problem to nhi hai na apke nazar me

    • Aapke blog me koi kami nahi hai, aap bas achha content likho aur use sahi se promote karo.

  4. Bahut acchi post bhai it really helpful to me.keep up the good work.

  5. Sir maine 2 month pahle se blogging start kari hai but meri traffice daily ki 80-100 hi mil rahi hai pls sir ap check kar ke bata do mera SEO sahi hai or muje abhi us par or kya work karna padega pls sir.

    • Bro competition bahut hai aap custom domain use karo aur aesa content likho jo pahle se internet par na ho ya bahut kam ho.

  6. Sir,
    Mera ek blog hai,uspar me hindi content likhta hu,lekin Traffic nahi mil raha.

    1) Traffic kaise badhao..?
    2)Sir, Please Mere blog me SEO thik hai ya nahi check karke batao.
    3)Post content traffic milne ke liye thik hai kya?

    • Read our SEO articles and follow these techniques.

  7. Nyc content mujhe seo kisi company se krna chahiye website ke liye bro traffic bhut km aa rha he pls.

    • Wright quality content agar wo nahi kar sakte to SEO karne se bih fayda nahi hoga.

  8. Nice article sir,
    Main sabHi kuch kr rhi hu lekin mere blog pr zero traffic hai 4 month old blog hai

  9. Nice article sir thanks for sharing

  10. hii sir
    sir mujhe ek call and message aaya hai or wo bol rahe hai ki apne blog par hamare ads ladd karo aapki site promote hogi aapki site ka traffic badhega and earning hogi sir mujhe ean ka lalach nahi lalach hai traffic ka kyo ki sir mere blog par traffic bahut kam hai or sir me adsense bhi use kar raha hu us site se connect hone se adsense me koi problem to nahi aayegi us site se connect hone se pahle me aapse confirm karna chahta hu or uska message dekh lijiye.

    • Avoid it warna aapka adsense to block hoga hi traffic bhi kam ho jayega.

  11. bhai mera blog six month se bhi jyada purana ho gaya lekin mere blog ka trafic daily ka 50 se 100 hota hai apna jo tarika bataya hai kya usse trafic increase hoga

    • You can try its free.

  12. mene 2 month pehle hi website bnayi hai aur daily 1000 to 1200 visitots aate hai to kiya mujhe ye soch lena xhahiye mera seo complete ahi aur ab bus post daalni hai…..

    • Bina aapki site ka content dekhe nahi bta sakta.

  13. maine recently wordpress pe blog banaya hai and mujhe ye janna hai ki wordpress pe seo title, meta description, url ye sab kya hindi me likhne hain ya english me ..kis tarah ke steps lene honge..kis tarah ke kewords use krne hain ..

    • Agar aapka bog hindi me hai to aap hindi ya hinglish me use karo.

  14. Sir Traffic 10000+ per day hai pr Kmayi achhi nhi ho pa rhi…mai achhe se traffic ka use nhi kr pa rha…give me advice

    • Aa pad placement sahi se karo earning badh jayegi.

  15. Sir mai bilkul nya hu last month se blogging start kia hai post content par mujhe aur kaam karna hai.
    Kya mai sahi raaste jaa rha hun.
    Pageview 0 hi rahte jabki maine apne site ko search console me submit bhi kar dia traffic bilkul nhi mil raha.

    • Aapki post me koi kami nahi hai bas aap thoda long content likha karo.

  16. Sir pnb bank ka swift bic code kaha se le

    • Google me search kar sakte ho ya apni branch se.

  17. Sir bahut hi useful jankari di hai aapne
    mere blog ki traffic nahi bad rahi hai. ek baar sir check kar lijiye koi problem to nahi hai.

    • Good blog but aap short content likh rahe ho.

  18. Jumedin sir 10 din pahle mere blog par karib 40 – 50 visitors aate the. lekin ab 6-7 meri 7-8 post google ke first page par show ho rahi thi. lekin ab 3 – 4 par show hoti hai. kya iska koi technical issue hai. meri post search me aati hi nahi mujhe fetch as google karna padta hai. plz help. mein kya karun.

    • 7 fevruary ko google algorithms update huyi hai uski wajah se traffic kam hua hai.

  19. sir Apne Blog Post Me Ek Line Me 4-5 Word Hi Show Hote He. Or Fir Nichli Line Me Aa Jate He Plz Konsa Setting Kiya He Batao.

    • Blog ki template change karo problem solve oh jayegi.

      • Sir mera ye blog hai jara dekh ke bata dijiye ki mai isko kaise theek karu please sir mai desh ki sewa karna chahata hu isliye aap ke talent ki help chahata hu please.

        • Blog ko achha design karo..

  20. Sir aap hindi font kyun nahi use karte ho likhane mein

    • mere pas hinglish user jyada hai.