Mobile phone khone ya chori hone par humare deemag me ek hi bat hoti hai ki kaise mera phone wapis mil sakta hai.Hume phone se jyada phone me add personal data ki fikr hoti hai. But google ne iska bhi solution nikal liya hai. Aap remotely lost phone device ka data delete kar sakte ho. Yani ab aapke smartphone ka koi bhi data like photo, video, personal documents and all information phone khone ke bad bhi koi use nahi kar sakta. Aayiye jante hai ki kaise stolen phone ka data remotely clear kar sakte hai.
Agar aap khoye huye mobile ko block karna chahate hai to aap lost device me lock laga kar mobile number add kar sakte ho. Isse jise bhi wo sirf bina lock kiye aapko call hi kar sakta hai baki phone uske koi kaam ka naho higa. Iski jankari ke liye aap humari Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Use Lock Kaise Kare post padhe.
- Smartphone Ki Memory Badhane Ke 5 Badhiya Tarike
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
Aap google android devicemaanger ki help se apne phone ki location pata kar sakte hai, phone ko lock kar sakte hai or usme mobile number add kar sakte hai. Google device manager ki hel pse hi aap phone ka all data like photos, videos and other personal inforation documents ko delete kar sakte ho.
How to Delete All Data After Lost Your Android Phone in Hindi
Mobile Chori Hone Ya Khone Ke Bad Uska All Data Kaise Delete kare: Aap computer ya kisi other device ki help se help se google android device manager par ja kar pane smartphone ka all data delete kar sakte ho. Bas aapko ye step follow karne hai.
Step 1:
- Sabse aphle aap google Android Device Manager par jaye.
- Ab thodi der me google aapke phone ko track kar lega.
Step 2:
- Google ke phone trace karne ke apne phone ka model check kar le.
- Ab Ring, Lock and Erase me se Erase par click are.
Step 3:
- Ab ek popup page open hoga jisme google aapse device ko factory reset karne ke liye kahega.
- Yaha aap dek hsakte hai ki google aapke android phone ko reset kar dega jisse aapke phone ke apps, photos, music and settings sabkuch delete ho jayega.
- Finally Erase par click kare.
Is tarah se aap google android device maanger ki help se apne khoye huye android phone ko factory reset karke usme add all data photos, videos, movies, songs, music, phone settings, all application sab kuch remotely delete kar sakte hai.
- Computer Ko Mobile Se Control Karne Ke 10 Best Android Apps
- Apni Yaadon Ko Sambhal Kar Rakhne Ke 5 Best Android Apps
Agar aapka phone offline hai ya fir switch off hai to shayad uska data delete nahi ho payega but don’t worry aapke pas 2 option or hai. Ek aap phone ki location pata kar sakte hai jiske liye aap humari Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post ke step follow kare.
Second aap apne lost mobile ko lock kar usme apne mobile number add kar sakte hai iske liye aap huamri Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Usme Screen Lock Kaise Lagaye post check kare. Isse user jab bhi phone ko charge kar open karega to uske pas aapko call karne ke siwa koi or option nahi hoga.
Finally, i hope is post me aapko helpful jankari mili hogi, agar aapko ye post achhi lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Vikas Kumar bind
Sir esme 2 option hi aa raha hai
1 ring ka
2 secured and erase ka but koi kam nahi kar raha kyu
Rahul
Agar chori hue phone ka data off ho aur hum use erase krde toh kya jb vo data on kre ga sara data erase ho jayega
siwani
Sir meri pics meri frnd ke pas hai kya m unko delete kr skti uska mobile m le nhi skti hu plz sir btaiye plz
Jumedeen Khan
Nahi, bina mobile liye nahi kar sakte.
Meenu
Sir mere photos mre ek friend ne chura liye h ab wo photos ka miss use kar rha har jgh bhej rha h kuch aisa tarika jisse me wo photos delete kar saku har jgh se
bijender sain
mere memory card se kuch data delete ho gaya h kya me usko recover sakta hu kaise tell me plz
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho ye post padho Mobile Memory Card Ka Delete Hua Data Free Me Recover Kaise Kare
ajay gupta
Nice article hai. Jumedin bro mobile chori hone par data ko delate karne ki nice
Shahid afridee
Hello sir kya ye mobile se Sambhav Nahi Hai Ki hum Chori hua mobile data delete kar sake
Jumedeen Khan
Mobile me android device manager sahi se kaam nahi karega.
Haidar khan
Amazing post Very informative jankari.
YASIR KHAN SAQLAINI
awsm post bro.. u always rock in every post.. you have a creative mind thats why u are rocking in india.. and i also want to make my blog famous as you..
Jumedeen Khan
Yasir i pray to god made you more big than me.
Ankit Annad
Sir,
1.Maine apne blog ko google webmaster me submit kiya tha aur ye sahi se work kar raha tha but Maine Kuch din pehle Kuch posts delete kar diye aur 2 new posts like lekin ab WO posts index nhi ho rahe hain…
Maine fetch as google se v kiya lekin nhi hua hai….
Iske kya problem hai??
2. Webmaster se blog ko remove kar phir se add karne par koi problem v hogi??
Jumedeen Khan
1. thoda wait karo search me aa jayegi. blog par traffic badhao.
2. nahi aap aesa akr sakte ho.
Gopi
Great post .I am looking for this from many days
MD shahid
Sir jee mai ne freenom per ek saal ke liye free domain registrar kiya or usko blogger me custom domain me add kardiya hai or google webmaster se blogspot ke domain ko delete kar ke new domain add kiya hai lakin jab google me new domain address ko search karta hu to search me nahi aata hai or jab purana web address se search karta hu to vo search me ata hai pls help me
Jumedeen Khan
Aap blog ko sahi se search console me add karke submit karo.
vivek
Please suggest me, hindi blog ke liye .in better hai ya .com
Jumedeen Khan
.in
vivek
1. yadi koi same keyword .in par bhi hai aur .com wali site par bhi hai, aur google (india) me us keyword ko search karte hai to priority kisko milege .in or .com?
2. Apki website ka mostly traffic english keyword se ata hai ya hindi keyword se
3. Google me hindi keyword kon-kon se search kiye jate hai iski jankari kaha se le, keyword planner me to mostly english keyword ke bare me hi batata hai, yadi hindi keyword search karte hai to — show karta hai
Jumedeen Khan
1. Vivek domain .com best hai but country level domain kisi ek place se traffic lane ke liye achha hota hai. Content ki rank aapke .in or .co mse nahi qualitiy par depend karti hai.
2. dono se.
3. Use your mind.
Rupan Roy
Jdk sir, mai blogging field mai naya hi. Apke post porke ek blog banaya hai. Please aap check korke agar koi komaiya ho ta bataiye aur blog ko behtar banane k liye kuch suggest kore.
My Blog: http://www.hindiprotech.com
Jumedeen Khan
best blog.
vivek
popular post me jo description aa raha hai use remove karo wo achha nahi lag raha and duplicacy bhi ho rahi hai. popular post mai only post ka title hi rakho
iske alawa category ka widget bhi right sidebar me lagao
Barkat
Hello jumedeen bhai Mera Ek Sawal hai.
1) meri Ek Blog hai jo Hostgator par h use Godaddy Ki host par move Karna Chahta Hu…
Mera jo pahla Domain hai Wo h Jankarihindime.com jis se Mera avi Blog h….
Aur dusra Domain Findhindihelp.com
Muje is Domain Se Karna hai…..jo Dusra Domain Hai.jo pahla wala Domain h use Hatana h.
Par Kaise kare???
Please Details bataye…
Thank You
Smi
Jumedeen Khan
1. Aap new hosting par wordprss install akrke usme old WordPress blog ka data import karo. iske bare me main post bhi ki hai.
2. Dont worry dusre domain par bhi ho jayega. Aapko sirf backup le kar data import karna hai.
Deepak
Sir mene aap ko Facebook par hai ek photo Bheja Hai waise Ads blog me kaisa lagate hai mene page level ads to enable kar rkhe hai lekin wah aap ke blog ki trh footer me aate hai na ki wese
Sir mene aap ko ek or photo bheje hai wese ads kese lagai blog me
Jumedeen Khan
Ok main check karke aapko reply kar dunga.
Deepak
Sir me khud ads pr click nahi krta hu mera aaj click pakisthan se aaya fir bhi meri CTR 50%hai eska kya karan hai
Jumedeen Khan
Low traffic.
Deepak sahu
1-kisi ek particular post ko kisi ek particular country ke liye targeted kar sakte hai? kyu ki google webmaster tool me targeted copuntry select karne ke liye deta hai but wo sayad website ki sari post ke liye hota hai.
2- post me high cpc keyword use karte time sirf targeted keyword pe focus karna chahiye ya fir post me jitne bhi word likhe usme bhi high cpc wale keyword ke words ho?
3-google trend aur google insights same work karta hai ? kyu ki mujhe to dono ka kaam same hi lagta hai.
4- agar humari website hinglish me hai aur hum targeted country india ko select kare to kya sirf india ke visitors website pe ayenge? hinglish blog me targeted country kisko select karna chahiye jisse revenue increase ho.
5-kya hum sirf low monthly searches wale keywords pe post likh sakte hai jiska suggested bid high ho.?
Jumedeen Khan
1. Yes kar sakte hai. webmaster tool se nahi kar sakte keywords se kar sakte hai.
2. post me jyada keywords use karna dnager ho sakta hai, so main keywords par target karo.
3. aesa lagta hai but dono me different hai.
4. nahi other country ke bhi aayenge but india me aapki site ki ranking jyada hogi.
5. likh sakte ho.
Deepak sahu
maine ek aur admin se baat tkiya to unhone kaha ki hinglish blog me targeted country select karna sahi nahi rahega kyu pakistani visitors bhi ate hai so targeted country mat select karo.. mai kya karu?
aap ne targeted country select kiya hai? agar ha to kise?
Jumedeen Khan
Aap targeting country set karo kyuki pakistan ke mukable india bahut bada desh hai or pak ki tulna me yaha 50% jyada log internet use karte hai so pakistani traffic ke liye india ke traffic ko avoid mat karo. Simple words me 1 seb ke liye 100 annar ko avoid mat karo. Aapko jisne aesa kaha hai use bhi bta dena taki wo bh isamajh sake.