Hum sab jante hai ki google search engine se high traffic pane me google webmaster tools (
GWT) humari kitni help karti hai. Google search console me itne features hai ki sabhi blogger or website owner ko inke bare me pata nahi hota hai. Is post me mai aapko google webmaster tool ke ayse hi ek feature Geographic International Targeting Country ke bare me bta raha hu. Jisse aap apni site ke liye right target choose kar sakte hai.
Geographic targeting google search console ka best feature hai. Jo hume apni site ke liye Particular Loaction or Country select karne ka option deta hai. Ye feature aapke tabhi kaam ka hai jab aap ki site ka adomain generic top level domain ho, Jaise .com, .net or .org etc. Baki country level domain se aap other country ko target nahi kar sakte. Examply agar aapke pas .in domain hai to aap india ke alawa kisi or country ko target nahi kar sakte.
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
Jab hum apni site ke liye kisi international country ko target karte hai to google search engine us country me humari site ko jyada show karta hai. Simple shabdo me kahu to us desh me aapki site ki search ranking badh jati hai.
Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare – Geographic Target Set up Guide
Internation targeting setting karne se pahle aapko btana chahunga ki other country ko target karne se dusre country me aapki site ki search ranking low ho jati hai. So soch samajh kar hi apne blog ke liye targeting country select kare. In my case, Mai apne hindi blog ke liye India or English blog ke liye USA targeting use karta hu.
Sabse pahle aap Google Webmaster Tools par jaye or apni gmail ID se log in kare.
- Search Traffic select kare.
- International Targeting par click kare.
- Country choose kare.
- Target usersin ke samne tick kare.
- Ab aapko jo target country set karni hai. Wo select kare.
Target country select karne ke bad “Your changes were successfully saved.” Message show honga. Uske kuch time bad google search console me target country confirm karne ka message aayega. Us message me diye link ko open kar ke check kar le ki aapne jo country select ki hai wo sahi hai ya nahi.
- Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare [GWT Guide]
- Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai
Targeting country set kar ke aap apni site ki search ranking boost kar sakte hai. Yedi aapki site par generic top-level domain hai to aapko QWT ka targeting country feature jarur use karna chahiye. But agar aapke pas country-coded top-level domain (such as .in or .uk) hai to aap google search console me aapki site ka target automatic domain country set ho jata hai. Use aap manualy international geographic target country set nahi kar sakte hai.
Agar aapke liye is post ki jankari helpful hai to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
mamta
Agar Main Subdirectory Domain use kiya h toh iski jrort hai sir?
Natural Poonam
सर आप बहुत ही अच्छे तरीके से जानकारी देते हैं आप ही से सीख कर मैंने भी एक नया ब्लॉग स्टार्ट किया है।
Thank you so much
Vinod
Sir new blogger ke liye bahut helpful post likhi hai
Sir ek confusion hai
Maine apne blog pe target country india select kiya hai kyunki meri blog post hindi me hai
Jab mai language set karna chahta hu to…..
Your site has no hreflang tags.
Google uses hreflang tags to match the user’s language preference to the right variation of your pages.
Sir plz help ye kaise solve karu
Jumedeen khan
hreflang tag multiple language site ke liye use hota hai, aapko iski jarurat nahi hai, avoid it.
nityanand
Bhai..You are Great.
deepak sahoo
india set kardenge to out of country ke users to aa ni sakte blog pe
Jumedeen Khan
yes out of country se bhi user aayenge.
Dipak vasava
Blog ke liye Domain Lena jaruri hai?
Agr hum Domain na le to Kya koi nuksan ho Sakta hai?
Jumedeen Khan
Jaruri to nahi hai or na lene se koi nuksan bhi nahi hai but domain lena behtar hai isse aapki site ki alag pahchan or value banti hai.
Saransh srivastava
Aapka blog dekh ke mujhe bahut khusi hui ki koi aise bhi batane wala hai jise hum aasani se samajh sake, kya aap meri choti si help kr sakte hai, darasal mai ek technology blog chala raha hu jo smartphone, gadget se sambandhit hai aur maine international targeting me india select kar rakha hai, lekin mai janta hu ki gadget , smartphone and technology se related search pure world se aate hai to kya mai ise change kar sakta hu pure world ke liye? Aur yadi ha to kya select karu geo targeting me? Batana chahuga ki mai .com domain use kr raha hu.. Kripya madad kare, dhnyawad
Jumedeen khan
apka blog enlish me hai to aapko USA ya UK select karna chhahiye ya aapko jis country se jyada traffic chahiye wo choose karo.
Asif
Agar website internationally target karni ho tou google Webmaster mei unlist karna kaisa hay. I need you help
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho but ye english site ke liye better hai. Hindi blog hai to target country india hi rakho.
Nilesh verma
mera blog hinglish hai aap ki blog ki traha to,,kya muje target county india choose karna padega..??ya for globle use karun…mujhe confution ho raha hai…ap ne apne supportmeindia par target country kaun si ki hai details me bataye..??
Jumedeen Khan
Maine india select kiya hai. Aapka blog hindi me hi hai aap bhi india select kar sakte ho.
Saeed Saiyad
sir, mujhe aap ki help chahiye
mere google webmaster tools me aap jesa set kar ne ka bata rahe he wesa koi bhi option hi nahi or sab kuch alag he pehle mene ise ek bar khola ta tab pata nahi tha ke iska us kya he.
plz help me .
me ye sab kese set karu.
Jumedeen Khan
Seed post me maine sabkuch clear btaya hai or abhi goole webmaster tool ke feature me koi changes nahi hua hai same option hai. Aap web version use kar rahe ho to ache se try karo option mil jayega.
Sagar Patel
Namaskar bhai
Bahot achi post hai specialy writing is very good.
Mai meri site me hindi aur English dono post alag alag topic pe dalna chahta hu to muje country selection default rakhana chahiye ya india set karna chahiye.
Jumedeen Khan
Jis country se aap traffic pana chahate ho wo country select karo. Mere hisab se india
aman gupta
YouTube pe sirf video load Karne se paisa kama sakte hai kyonki Aapne monetize ke bare me bataya hai magar YouTube account se AdSense ko kaise jode nahi bataya hai please Replay me
Jumedeen Khan
Bro Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode post me sabkuch btaya hai ache se padho.
Prince
Bhai kese karna hai, add a property me click karke…???
Aur bhai kya sitemap bhi fir se dena padega…???
Jumedeen Khan
Price kah chuka hu sabkuch fir se karna padega. Ha add proparty par hi click karke karna hai. Means sabkuch fir se karo.
Prince
भाई मेने अपना domain name लिया है , क्या उसको भी गूगल webmuster टूल में अपडेट करना पड़ेगा क्यों की मेरा जो ब्लागस्पाट वाला यूआरएल है वो ही webmuster में दिखाता है
Jumedeen Khan
Ha karna padega.
Prince
Bhai mera abhi AdSense account hai, aur me mere dusre blog me AdSense ads lagana chahta hu, to kya me dusre email id se AdSense ke liye new apply kar sakta hu…???
Ya fir google ye allow nehi karta…???
Kyu ki agar mene abhi jo account hai usse AdSense ke liye apply kia aur baad me koi problem aai to fir mere dono blog se AdSense disable ho jayega
Jumedeen Khan
Aap sirf ek hi AdSense account bana sakte hai or usi se 2-5 site par ads laga sakte ho. Iske liye aap AdSense par ja kar setting par click kar site management me apni dusri site ka link add karo or us par bhi ads laga lo.
dev
pata nhi bhayi mene bahut baar dekha he ki mughe har baat ne 1 alg se pareshani atai he or us pareshani ko solve karne me bahut time lag jata he ye mere sath bahut baaar hua h pata nhi kyo mere sath jayda prblm hoti he kuch na kuch prblm aa hi jati he ..par bhayi apke hote huye thodi bahut chinta kam ho jati he..
Sahil kumar
mujhe to iske bare me ab pata chala. lage hath manie to language wala tag bhi jode diya blog me.
Jumedeen Khan
Sahil mai aapko humesha thanks kahna chahunga kyuki aapke blog se mujhe 10+ visitors daily milte hai.
Shaikh muneer
Is jankari ki mujhe bhut jarurat thi thanks. Mera aapse ek sawal hai ager mai koi bhi country ko target nhi karo to kya hoga kyuki meri site ki india rank 38000 hai.
Jumedeen Khan
Agar aap GWT me target country me koi bhi country select nahi karoge to aapki target country USA hoga. jabki hindi blog ke liye target country india hona chahiye.
Sandeep kumar
mai kya karu . Apne website ko kaise sahi karu. Mughe AdSense ke liye kab apply karna chahiye
Jumedeen Khan
Aapke har sawal ka jawab aapko supportmeindia par mil jayega. ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips but sirf post ko padhna nahi hai. post me btaye step follow bhi karne hai.
Harshad Bataviya
sir aaj mene ek mere blog pe ek post dali to vo full post home page pe dikay deti hai… to kya problem aaya hog pls mera home page check karke batayega
Jumedeen Khan
Ye aapke blog ki template ki coding problem hai. Aap dusri template use kar sakte ho.
Sandeep kumar
Site does not comply with Google policies: We're unable to approve your AdSense application at this time because we feel that your site does not comply with Google AdSense policies or webmaster quality guidelines. It's our goal to provide our advertisers sites that offer rich and meaningful content, receive organic traffic, and allow us to serve well-targeted ads to users. We believe that currently your site does not fulfill this criteria. For more details, please read the webmaster quality guidelines at google.com/support/webmasters/bin/answer.py?answer=35769 and the AdSense program policies at google.com/support/AdSense/bin/answer.py?answer=48182.
Please batao kaya problem hai mere website me mughe samagh nahi aa raha hai. Kya problem hai
Jumedeen Khan
आपकी साईट ने गूगल AdSense और वेबमास्टर टूल दोनों की पॉलिसी का उल्लंघन किया है। आपकी साईट पर बढ़िया कंटेंट नहीं है जो visitors को आसानी से समझ आ सके और AdSense ads को टारगेट कर सके, न ही आपको गूगल सर्च इंजन से सही ट्रैफिक मिल रहा है इसलिए गूगल टीम को लगता है की आपकी साईट AdSense अकाउंट इस्तेमाल करने के लायक नहीं है तो आपका AdSense अकाउंट डिसएबल कर दिया गया है अगर आपको भविष्य में AdSense चाहिए तो अपनी साईट में ऊपर बताई गयी कमिया दूर करे उसके बाद AdSense के लिए अप्लाई करे
Sandeep jab aapki site par traffic hi nahi hai to jaruri nahi hai ki aap AdSense use karo. Wese bhi mujhe bahut bura lagta hai jab koi mera visitors meri help ke bavjud bhi google AdSense policy ka ullghan karta hai.
Roy
Mera domain .in se hai toh iska matlab kya mera website india ke alawa kisi aur country mein nahi dikhega ?
Jumedeen Khan
Yes, aap sirf india ko hi target kar sakte ho.
murari
blog banane ke kitne din bad .com kharide
Jumedeen Khan
Jab aap chaho domain kharid sakte ho.