Blogging me daily 1000ro log shuruat karte hai but unme se sirf kuch hi log success blogger ban pate hai. Why, har koi success kyu nahi ho pata. Iske bahut sare reason hai jaise galat starting, bad work, bad experience and other wrong way jinki wajah se ek din aapki blogging ka The End ho sakta hai. Today, is post me mai aapko ek successful blog ki starting karne ki information step by step bta raha hu. I sure ise follow karke koi bhi newbie ek success blogging ki shuruat kar sakta hai.
Jab maine blogging ki starting ki thi to maine sabkuch ek hi din me kiya tha. Wo din tha 17 july 2025, tab se ab tak maine blogging ke bare me bahut kuch sikha hai or apne reader ko sikhaya hai. Aaj mai blogging ke bare me itna kuch samajh chuka hu ki aapko ek successful blog banane ke bare me achhe se explain kar saku.
- Website Blog Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
In my experience, Agar aap chaho to 1 month me ek badiya blog bana kar professional blogger ban sakte ho or next month me hi monthly 15,000 to 20,000 earn karne wale person ban sakte ho. Bas iske liye aap perfect way follow karna hoga or ek popular / famous blog create karna hoga.
Ho sakta hai aapko ye processing bahut badi lage par main ise only 7 part me batunga. In seven part ko follow karke aap easily ek success blog ki shururat kar sakte ho. Or mai gaurantee se kah sakta hu ki agle hi mahine log aapko top blogger me ginna shuru kar denge.
Starting a Blog in Seven Steps:
- Choose a better blogging platform, Domain name and a hosting service.
- Design your blog using a fast loading simple theme / templates.
- Modify your blog to get your desired look and feel.
- Make your blog more awesome using plugin and other method.
- Write meaningful and clear content that adds value to readers.
- Make sure you are not at fault.
- Promote your blog on perfect place.
Ye 7 tarike jis bhi blogger ne follow kar liye use safal hone se koi nahi rok sakta. I sure use kabhi bhi nirash hone ki jarurat nahi padegi. Blogging me ye 7 tips aapke liye master key sabit ho sakti hai. I know, aap inke bare me already jante ho par socho kya kabhi aapne inhe follow kiya hai. Shayad nahi agar karte to aaj aap bahut aage nikal chuke hote.
How to Start a Successful Blog Step by Step Guide in Hindi
Suppose, Aap abhi new blogger ho or aapko blogging ke bare me kuch bhi nahi pata and aap blogging start karna chahate ho but aapke pas blog banane or blogging ki shuruat karne ka koi idea / plan nahi hai. Don’t worry is post ko carefully read kare isme aapko w osab jankari step by step milegi jo sab aap janna chahate hai.
Jab maine blogging ki shuruat ki to mujhe iske bare me koi idea nahi tha, maine iske bare me internet par hi kuch english blog par isse related articles padhe or unki important bato ko focus kiya or aakhir me Support me india blog ko launch kiya. Aaj mai kis mukam par hu ye aap mujhse behtar jante hai but agar aap mujhe apna ideal mante hai to mai aapko suggest karunga ki koi bhi kaam ke jaldbaji na karte huye uske bare me achhe se pata kare or fir uski shuruat kare or sahi tarike se kare.
Jis tarah andheri rat ke bad ek sunhari subah hoti hai. Bilkul wese hi bahut kathin rasto se gujarne ke bad aapko safalta milti hai.
Maine bahut se blogger ko dekha hai ki wo kabhi bhi apne kaam ki post ko read nahi karte. Wo chahate hai ki koi memory card ki tarah sari files unke mind me transfer kar de or wo sabkuch sikh jaye. Ye kabhi nahi ho sakta aapko sabkuch khud sikhna hoga or sab kaam aapko hi karna hoga.
Kisi bhi type ka blog banane se pahle user ke dimag me ek sabse bada sawal aata hai ki mujhe sabse pahle kya karna chahiye. Iski A to Z guide ke liye ye post achhe se padhe:-
1. Choose Better Blogging Platform:
Is time blogging me WordPress or Blogspot 2 most important blogging platform hai. User ko isme kafi confusing hoti hai ki use kis par blog create karna chahiye. Actually, iska simple se jawab hai aapko WordPress par blog banana chahiye kyuki isme aap wo sab kar sakte hai jo kuch aap chahate hai but blogger par aapka full control nahi hota hai. Yaha mai aapko WordPress Vs Blogspot ke kuch point bta deta hu.
- WordPress par aap blog ko chahe jaise handle kar sakte ho but blogspot par aapka limited control hota hai.
- Blogspot google ki service hai or wo aapke content ko remove ya delete kar sakta hai par WordPress par aapke blog ko google only searchgengine se remove / hide sakta hai use delete nahi kar sakta.
- WordPress par aap plugin ki help se koi bhi feature add kar sakte ho but blogger par aesa karne ke liye aapko coding ki jankari honi jaruri hai.
- WordPress par aap uske kisi bhi feature ko optimize kar sakte ho but blogspot par aapko kuch hi feature ko handle karna allow hai.
- Simple language me WordPress aapko sabkuch karne ki power deta hai but blogspot nahi.
Mai aapko suggest karta hu ki agar hosting buy kar sakte ho or monthly 500 to 1000 rupees pay karne ki power rakhte ho to aapko WordPress par blog start karna chahiye. Kyuki blogger par aap jo kaam 1 year me kar sakoge wo sab aap WordPress par shayad 3-5 month me kar sakte ho.
2. Domain and Hosting:
Jaha tak mujhe pata hai WordPress ke liye Bluehost web hosting sabse better hai. Iske alawa mai aapko Hostgator hosting suggest karunga. Starting me aap shared hosting use kar sakte ho. Jise aap bad me blog par adhik traffic hone par upgrade kar sakte hai.
Blog Ke Liye Custom Domain Name Kyu Jaruri Hota Hai post me maine btaya tha ki blog ke liye domain kyu or kitna important hai. Agar aapko apni pahchan banani hai or bahut jald famous hona hai to aapko ek behtar domain ki jarurat hoti hai. Iske liye aap humari blogging se related other post read kar sakte hai. In my case, maine godaddy se domain liya hai. Aapke domain or hosting ka total charge 1000 per month hoga jo ki aap aasani se pay kar sakte hai.
3. Theme & Templates:
Blog ki success me uska design kafi asardar hota hai. Agar aapke blog ka achha design hoga to har koi aapke blog ko like karega or next time bhi aapke blog par visit karna pasand karega. I sure internet par aapko bahut sari colorful theme mil jayegi but mai aapko suggest karunga ki aap simple or fast load hone wali theme hi use kare.
Agar aapko HTML, CSS, PHP etc. coding ki thodi bahut jankari hai to aap apni theme khud design kar sakte hai warna aap paid theme use kare. In my case, mai genesis framework use karta hu jo ki world ki popular theme framework me se ek hai.
Genesis framework sabse better hai or sabse jyada log ise hi pasand karte hai. Genesis framework ke bad aapko ek child theme ki jarurat hogi. Jisse aap apne blog ko jarurat ke anusar design kar sakte ho.
4. Modify Your Blog:
Ek bar aap hosting, domain, theme le kar apna blog ready kar le to aapko jarurat hoti hai use modify karne ki jisme blog ka look or reality most important hoti hai. Apne blog ke header, layout, sidebar and footer me sabhi jaruri links and widget add kare jo blog ke liye jaruri hote hai.
Blog ke liye email subscribe like Feedburner service enable kare or usme blog ki achhe se setting kare. Iske liye aap humari email marketing wali post read kare.
Sath hi blog ko googge analytics se connect kare. Feedburner or google analytics ye dono google ki free service hai or har blog ke liye bahut jaruri hai. Iske alawa apni site ke liye ek achha logo design karke use blog par achhe se set kare.
5. Plugins:
Agar aapne WordPress platform par blogging ki shuruaat ki hai to aapko kuch jaruri plugins istall karne ki jarurat hoti hai. Jinse aapke blog me char chand lag jate hai but yaad rahe jarurat se jyada plugin use na kare or sirf jaruri plugin hi use kare.
In my case, mai only few plugins hi use karta hu. Becoz jyada plugin use karne se site speed down ho jati hai or blog par bad effect padta hai. Mai jetpack and yoast SEO plugin hi use karta hu. Agar aap cache ke liye plugin use karna chahate ho to WP super cache ya W3 total cachse plugin use kare.
6. Write Compelling content:
Sabse first aapko blog par about us, contact use, disclaimer, privacy policy and other jaruri pages create karne hai uske bad blog par post likhna shuru kare or content me aesi image add kare ko user friendly ho. I mean images aesi ho jise dekhte hi user ka post read karne ka man kare.
Yaad rahe images blog ke liye bahut important hoti hai. So jitna ho sake effective image create kare, copyright image and content se bache or jitna ho sake quality and original content write kare. Short content ko avoid kare or long and useful, helpful information share kare.
Is bare me maine bahut se articles likhe hai. Aap humari SEO related post padh sakte ho. Aapka content jitna effective hoga, reader use utna hi pasand karenge. Ab ye aap par depend karta hai ki aap visitor ko kitna impress kar sakte ho.
7. Promote your blog:
After writing some awesome content, jab aap blog par 10-15 ya isse jyada badiya content likh lete ho to ukse bad aapka sabse jaruri kaam hoga apne content ko sahi jagah par promotion karna. Iske liye social media sabse perfect way hai. Maine jab blogging ki shuruat ki thi to mujhe social media se hi jyada traffic milta tha. Jiski wajah se aaj mai blogging kar raha hu.
Bekar or unrelated groups, forums me apni site ka promotion karne se bache or apni site niche se related place par hi content ko share kare. Iske liye aap apne blog ki post me share button bhi add kare taki reader aapki post ko share kar sake.
Blog ki traffic badhane ke bare me mai already 100+ articles likh chuka hu aap adhik jankari ke liye humari baki post read kare.
Blogging Start Nahi Karne Ke 3 Reason:
Blogging start nahi karne ke kuch important karan hote hai jinki wajah se aap blogging ki shururat nahi kar pate hai ya fir aadha adhura kaam karke use bich me hi chod dete hai.
- Money: Kuch log hosting, domain buy karne se bachte hai or free domain or hosting choose kar blogging shuru karte hai ya fir start hi nahi karte. Its very bad thing, Aesa nahi karna chahiye. Koi bhi person monthly 1 thousand rupees aasani se spend kar sakta hai. Agar aap hosting nahi le sakte to only domain purchage kar blogger par free blog start kar sakte hai. Jisme aapko sirf domain ke yearly 100+ rupees pay karne hote hai. Mai aapko suggest karunga ki itne se paiso ke liye apna career na bigade. Ek bar aap blogging me success ho jao to aap lakho kama sakte ho.
- Notoriety: Some people, darte hai ki agar wo success nahi ho paye to unki badnami hogi or log unke bare me kya sochenge. Internet par famous hona bahut mushkil hai par impossible nahi koi bhi bina mehanat kiye mahan nahi ban jata, agar aapko famous hona hai to kuch karke dikhana hoga. Hume kuch blog and sites bahut pasand aati hai or hum unke jasi designed site hi banana chahate hai. Iske liye hum unse request karte hai, Why, aaj se hi ye sab chod dijiye or apna work khud shuru kijiye. Ek din aap unse bhi behtar kar paoge.
- Traffic: Jab koi site ki shururat karta hai to us par traffic 0% hota hai. Don’t worry aapki site par bhi itna hi hai, bas aapko jarurat hai sahi way follow karne ki fir dekhna aapki site par bhi ek din thousands traffic hoga.
Important thing, aap na sirf blog se apna name kama sakte ho balki aap isse bahut sara paisa bhi kama sakte ho or logo se achhe relation bhi bana sakte ho. Money earn karne ke sath sath blogging se aapko bahut kuch mil sakta hai.
Some Advice From My Experience:
Mere jaise aapko bahut sare blogger milenge jo apne andaz me aapko success tips btayenge. Actually, har ek blogger ka apna alag experience hota hai or wo usi ke hisab se apne reader ko guide karta hai. Kuch thinks hoti hai jo hume success banati hai jinke bare me aapko koi nahi btata. Par mai apni har success tips apne reader ke sath share karta hu.
- Find your Niche: Blogging me sabse important hota hai apne liye ek badiya site niche choose karna. Agar aapke pas koi niche nahi hai to aap abhi se sochna shuru kar dijiye or pata kijiye ki aapko kis topic ki jankari hai or aapko kis topic par work karna chahiye. Ek bat dhyan rakhe ki aapko money ke liye nahi passion ke liye blogging karni hai.
- Define your ideal readers: Apne reader ko apne bare me btaye taki wo aapke bare me jaan sake, Apne work ke sath sath apne bare me bhi article likhe or logo ke sath achhe relation banaye.
- Add value: Jitna ho sake quality content write kare or reader ki nazar me apni site ki value badhaye. Aap jitna achha likhoge log aapko utna hi pasand karenge.
- Be original: Sochne ki bat hai ki log aapke blog ko itna jyada kyu pasand karte hai jabki aapke blog jaise internet par bahut sare blog hai. Answer – Aap sabse alag hai or aapka blog sabse difference hai aapki bate or aapka talent baki sabhi se behtar hai. Aap wo karte ho jo baki blogger nahi kar sakte.
- Be Interesting: Awesome content write kare jise padhte hi log share kare or jyada se jyada logo tak content pahuch sake. Aap sabhi reader ke sath achha relation banaye taki wo aap me oro se jyada interest le.
- Be honest: Aapka blog real hona chahiye or aapke reader ko aap par bharosha.
- Be yourself: Har ek aadmi alag hota hai, aap bhi sabse alag hat kar kuch kare taki logo me aapko sabse alag najro se dekha jaye.
- Time: I sure ki aapke pas time nahi hai par apne reader ke liye time nikale taki wo aapse bat karke aapke or kareeb aa sake or aapko or jyada pasand kare.
- Active on social media: Social media ko time jarur de or kuch time apne reader ke sath online connect rahe.
- Ignore Negativity: Jab aap sahi rasta apnaoge to aapke samne bahut sari rukavate aayegi. Kuch log aapko nicha dikhane ki koshish karenge. Mai aapko kahunga ki in negativities ko avoid kare.
Aap jitna imandari se or simple tarike se kaam karoge log aapko utna hi jyada pasand karenge. Blogging me success hone ke bahut sare tarike nahi hai. Sirf kuch hi way hai bas aapko unhe follow karna padega. Agar aap ye nahi kar pate hai to inke alawa ek nahi ek hazar tarike apna le aakhir me aapko blogging chordhni padegi. So please avoid all other way and start following to real way.
- India Mein Blogging Kis Topic / Niche Par Shuru Kare 5 Best Tarike
- Blogging Me Fail Hone Ki 10 Sabse Badi Mistakes Aap Jaanana Chahoge
Now, ab aapko ye pata chal gaya hoga ki aap ek succesful blog kaise bana sakte hai or ek kamyab blogger kaise ban sakte hai. So please galat rasta na apnaye or humare blog ko abhi subscribe kare or next time blog par jarur visit kare. Sath hi is post ko social media par share jarur kare.
Share this post on social media with your friends.
yasir khan saqlaini
bahut achi jankari hai and m sure jo yaha se sikhega wo succesfull blogger hi banega
Himanshu Grewal
Refer a link which theme r u using and jesa apne btaya ki genesis ke sath ek or theme leni hogi to kya ye sch hai or agr ha to dono theme kese use karte?
Jumedeen Khan
Genesis them nahi framework hai jiske liye aapko child theme ki jarurat hoti hai. Studiopress par check karo iske bare me puri jankari mil jayegi.
vishal
jumedeen bro
me is site ka regular reader hu.
or mujhe aapse bahut kuch sikhne ko mila…iskeliye me aapko dil se dhanyawad manta hu…
bro mujhe ab tak yeh samaj me nahi aaya ki aap “ek hi template par 3 website Kaise manage kar lete ho…
Jumedeen Khan
Main genesis framework use karta hu jise hum kei sites par use kar sakte hai.
Abhishek Meena
Bahut achi post hai Jume deen ji,
Me aapke Supportmeindia ka regular visitor hu. aap logo ki achi help kar rahe ho. by the way mere blog ko check karke btayiye ki mai apne blog ki traffic badhane ke liye kya karu.
Jumedeen Khan
Aap blog par logo, header widget set karo or sidebar me widget kam use karo.
Abhishek Meena
Ohk bro. thanks…
Ab mene Logo bhi add kr liya hai aur sidebar se bhi kuch widgets kam kr di h ab plz aap ise ek baar aur check karke bata do ki ab theek h ya koi kami rh rahi h….
Jumedeen Khan
blog menu ki width kam karo or logo ke sath description ko hide karo and footer me kam widget add karo.
Abhishek Meena
bro. mene ye bhi kr liya h ab bs last baar check krke bata do ki aur kuch bhi karu ya ab koi kami ni h blog me
thanks…
Jumedeen Khan
abhi aap header widget add karo or sidebar me sirf itni widget add karo ki post layout or footer me space na rahe.
rahul mallick
Bhai ek baat batao maine bhi ek blog banaya hai but me post kaha se likhu uska dashboard mujhe pehle dikhta tha abhi kuch din se nahi dikh raha hai kya Google ne the and kar diya kya bhai plz bataiye kaha se log in karu apna blog
Jumedeen Khan
Aap blogger.com par jao or apne blog ka dashboard open karo or agar koi issue ho to mujhe btao.
SHAH
Bhai,may is blogging me naya hun.
.
Aapke posts se bohot kuch seekha hun.
.
Mayne mywapblog.com se free register kya hai.
Because mere mob me blogspot support nahi hai.
.
Aur ye use bhi bohot bahtareen horaha hai.
.
Q1 .To mujhe ye jaanna tha k mywapblog.com ke baare me aapka kya kehna hai ?
.
Q2. Url change kaise karen apne blog ka ? I mean mayne shairi k lye blog name bnaya tha. . . .ab may us naam (url) ko change kaise karun ?
.
Help me
Jumedeen Khan
1. Shah is time blogger or WordPress do hi platform jyada popular hai or jyada feature de rahe hai. So main aapko inke liye hi kahunga.
2. URL aap WordPress par hi change kar sakte ho.
veerendra
bahot hi achchha post hai in sabhee ko mai apply jarur karunga thanks
deepesh
hello jumedeen sir mere blog par 60 post hai or page view 400 hai or 60 post me se 30 par achha traffic hai or 30 par na ke barabr to kya mai in 30 post me dobara se or content ad kr ke publish kr sakta hu
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho, kar sakte ho nahi karo.
Rahul sharma
App khte ho ki 2000 word ki post jayda tar google me achi ranking pati hai lekin google ke webmaster se puch to bol rhe hai ki content wadiya hona chahiye 2000 word se koi bhi post achi ranking nhi pa skti hai.
Jumedeen Khan
Rahul main humesha kahta hu ki content long ho but quality content ho. Agar aap bekar me 2000 words ki post likhoge to uski koi value nahi. Aap koi bat ko sahi se samajha karo.
Sanjay
hello maine adult ke samne no select kar diya h fir b same problem hi h. kuch or tarika btao bai plz
Jumedeen Khan
Yahi tarika hai. Aap kar nahi pa rahe ho.
Sanjay
hello bhai maine abhi bloging shuru ki h or maine apne blog par 7_8 post b lhikhi h . or ek ACHIHELP.com ki domain b kharid li h . lekin jab b m kisi b browser m apni site open krta hu to wo open hone se pahle email se login karna padta h . maine dusre mobile or pc se b open karke dekhi h same problem h . aap ek bar open karke dekho or koi solution btao plz bhai ji
Jumedeen Khan
Sanjay main aapko is issue ka already solution bta chuka hu blogger setting >> other par jao or adult option ke samne no select karo.
Shakeel Ahmed
Sir main GoDaddy par domain register karna chata hun. Magar debit card se payment ni ho Rahi. Bank b gya tha wo Keh Rahy hain k yahan koi problem ni hai.
Ab muje samjh ni a Rahi kia karon. Mery pass HBL ka debit card ha.
Jumedeen Khan
Payment karte time error kya aata hai.
Shskeel Ahmed
Payment ni ho rahi Ye error ata hai. Godaddy ki domain registration k time
There was a problem authorizing your credit. Please verify your payment information or use an alternate form of payment
Jumedeen Khan
Yaa tro tumhare bank account me balance nahi hai ya fir tum sahi tarike se payment nahi kar paa rahe ho.
Raju
Hey shakeel, ye problem hota agar aap mobile version se koi discount coupom apply krke payment karte ho to, so me apko suggest karunga PC version se karo jarur ho jayega
Sa
hello bai kal maine wo achihelp.com ki problem ke liye pucha tha aap ne btaya nahi. or na hi mera comment show kiya aap check kar sakte ho kal raat ko kiya tha
Jumedeen Khan
Aap full name se comment nahi karoge to wo delete ho jayegi. Aap fir se puch sakte ho or full name se comment kiya karo.
anil
hello Sir
mere 3 blog hai jo abc@gmail.com hai woh bhi without domain ke yeh teeno blog .blogspot par hai me unhe xyz@gmail.com par laana chahta hu apne dusre email par uske liye kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Bahut simple hai blogger setting me ja jar new autohr add karke use admin bana do or old admin wali email ko delete kar do.
Anil
author banane me kitna time lagata hai
maine author add kiya jab mail aaya toh accept bhi kar liya usme bata raha hai
exprires on 17 October 2016
Jumedeen Khan
Anil aap new author create karne ke 5-10 se pahle email address confirm karo.
karan jethwa
Mr.Jumedeen Aaj ki date me aapke baas blogging se realated itna knowledge and experiance hai ki aap ek badhiya hindi book likh sakte hai new bloggers ko help karne ke liye.So mai yeh chahta hu ab aap apni blogging journey ko lekar ek badhiya book publish karne ke bare me zarur soche.
Jumedeen Khan
Thank you karan, mai is bare vichar karunga.
Haidar
Jume deen bhai apne meri guest post read ki ya nahi?
Jumedeen Khan
Nahi abhi nahi, check karke aapko reply kar dunga.
Mahtab
mai apne blig ka 2 url webmaster me submit kr diya hu 1ko mai remove krna chata hu lekin remove ka koi optiin hi nhi hai kaise remove kre bhai
Jumedeen Khan
http://www.google.com/webmasters/tools/ Is link ko open karo or maange property par click karke delete property par click karo.
Junaid tawaf
Bhai meko kuch Janna hai
a) AP direct post ko WordPress ke post editor me likhte ho ya koi software me agar software me to uska naam bataiye.
b) apka kon sa font use krte ho
c) kis font ki size me post likhte ho.
d) blogger me kon sa font reader friendly hota h
Jumedeen Khan
1. WordPress post editer me.
2. normal
3. normal
4. 13pz.
Mahtab
sir webmaster toll me featc as render kya hai iska uses kya hai
Jumedeen Khan
Ye apne content ko jaldi index karane ke liye hai.
navratan
Bro me eske bare me aapko pahle bhi bataya tha
Ki blog par ki mrablog add Galt bata raha hai jabki me pahle 2post pakasit kar chuka hu 1navratan
2rsldc ko Jane
Lakin ab blog add galat kaise jara aap Mara blog check karke bataye nayaknavrTan.blogspot.com
Plz bro help me
Jumedeen Khan
Aapka blog work nahi kar raha hai. Mai kise check karu.