Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips

Aapne AdSense performance report me bahut bar dekha hoga ki ads click hone par bhi earning nahi hoti hai. Iski wajah Invalid click hoti hai. Or AdSense invalid click ka ek bhi paisa nahi deta hai balki isse humara AdSense account disable bhi ho sakta hai. Isliye hume AdSense invalid click activity ko rokne ke bare me sochna shuru kar dena chahiye.  Mai is post me aapko isi ke bare me bta raha hu. So har us blogger ko iski jarurat padegi jo AdSense use karta hai.

Stop Adsense Invalid Click Activity

“Hello Sir mere AdSense account ki report me meri earning $5 show ho rahi thi. But kuch der bad ye $4.83 ho gayi. Earning kam kyo ho gayi plz give me some better information” Ye sawal mujhse Harsh Agarwal ne 24 feb 2024 ko pucha tha. Mai harsh ko thanks kahna chahunga kyuki iske bare me maine koi post nahi ki hai. So mujh harsh ke sawal se AdSense user ke liye ek achi post likhne ka idea mila hai.

Adsense income kam hone ki wajah hoti hai AdSense ads par Invalid Click Activity. Jab bhi koi visitors humare ads par galat click karta hai to wo click invalid click mana jata hai. Prevent Invalid click Activity yani invalid click konse click mane jate hai. Ise aap in 3 point se samajh sakte ho.

  1. Jab user ads me btaye link ki jagah or kahi par click kare.
  2. Jab user ads ko aapki site ka hi hissa samajh kar click kare.
  3. Jab user ads par click nahi karna chahato ho or galti se click ho jaye.

Adsense invalid activity se humari koi income nahi hoti hai. Ulta invalid click se humari income kam ho jati hai. Or ho sakta hai jyada invalid click hone se humara AdSense account hi disable ho jaye. Har AdSense user is problem ka solution pana chahata hai. Or janna chahata hai ki kis tarah wo AdSense invalid click activity se bach sakta hai.

Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips [Stop Invalid Activity]

In this post, Mai aapko AdSense invalid click activity se bachne ke kuch tips bta raha hu. Jo aapke liye helpful sabit honge. Or aapa apne AdSense account ko safe rakh sakoge. Isse pahle bhi mai Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tarike post me bhi AdSense ko safe rakhne ki bat kar chuka hu.

1. Read & Follow Adsense Policy: Adsense user ke liye sabse important bat hoti hai AdSense plocies ka palan karna. Iske liye aap AdSense policy ko weekly check karte rahe or AdSense policy ke anusar btaye place par hi ads lgaye. Iski janakri ke liye aap Adsense Ads Placment policy ko ache se padh or samajh le.

2. Stop Relation With Bad Habits: Sabse pahle aapko bad peoples, bad website or blog, bad social group se relationship todna hoga. Bad se mera matlab hai s*x, p*rn, hacking jaisi gandi aadat rakhne wale log, website or blog. Aapko in sabse se bachna hoga. Kyuki ayse log humesha dusro ka bura sochte hai. Or humesha kisi ka bura karne ki koshish me rahte hai. In sabhi jagah se aapko bekar traffic milega. Jo sirf time pas ke liye aapki site par aayenge or aapka nukshan kar ke hi jayenge.

3. Make Good Relationship With Your Reader: Apne audience ke sath acha rishta banaye or unhe AdSense invalid click ke bare me samajhaye. Iske liye aap apni site ke liye privacy policy bana kar usme AdSense policy add kar sakte hai. Jisse aapke reader aapki site par lage ads par invalid click na kar sake.

4. Don’t Click Your Ads: Mnta hu aap bahut smart or intelligent hai. But google ko bevkuf banane ka vichar apne dimag se nikal de. Kabhi bhi AdSense ke ads par click mat karo. Isse aapka AdSense accont block ho sakta hai. Or agar block nahi bhi hoga to aapki Adsense CPC bahut kam (Low) ho jayegi.

5. Don’t Share Adsense Ads: Adsense ads code ko other site par dikhane ki permission nahi deta hai. Aap sirf apni verify site par hi ads laga sakte ho. Isliye un logo se bache jo aapko jyada traffic ka lalach de kar AdSense partnership karna chahate hai. Sath hi AdSense ke bare me post karte time dhyan rakhe ki aapki personal information publish nahi honim chahiye. jaise AdSense ads ID, AdSense ads code etc.

6. Stop Spam Traffic: Agar aapki site par traffic ekdam se badh jata hai or aapko duable ads click milne lag jate hai to ye aapke liye pareshani ban sakti hai. Isse bachne ke liye aap spam traffic, comments ko block kar sakte hai. WordPress blog par ye bahut aasan hai. Agar aapka blog free blogger par hai to aap ayse time me turant AdSense ko iski report send kare. Iski jankari ke liye aap AdSense ke Create and manage custom alerts form par jaye.

7. Don’t Buy Paid Traffic: Adsense paid traffic allow nahi karta hai. Adsense only unhi visitors ko pasand karta hai. Jo apni marzi se aapke blog par aate hai. Agar aap traffic kharidna chahate ho to aap AdSense use nahi kar sakte hai. Isliye kahi se bhi traffic kharidne se pahle ache se soch le ki paid traffic se aapke blog par invalid click ho sakte hai. Or AdSense aapko ban kar sakta hai.

8. Adsense Ads Color: Aap AdSense ads ko apne hisab se customize karne ke liye free hai but iska ye matlab nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul apni site ke color me mila de. Adsense chahata hai ki visitor apni marzi se ads ko ads samajh kar ads par click kare.

9. Don’t Use Popup & Sticky Ads: Adsense invalid click se bachne ke liye aap apni site par sticky or popup ads lagana band kar dijiye. Kyuki AdSense popup or sticky ads par huye click ko invalid click manta hai or AdSense ise allow bhi nahi karta hai.

10. Report To Adsense Invalid Click Activity: Agar aapko lagta hai ki aapki site par invalid click kiye ja rahe hai to aapko iske bare me turant google AdSense team ko notification bhejni chahiye. Adsense ko invalid click activity ki report karne ke liye aap Invalid Clicks Contact Form par ja kar AdSense ko report kar sakte hai.

I hope aapko is post me google AdSense ke bare me good information milegi. Ho sakta hai aapko is ke bare me pahle se jankari ho. But fir bhi aapko kuch na kuch new sikhne ko jarur milega. Agar meri bat 10% bhi sahi hai to post ke bare me commnet jarur karke apne thoughts jarur share kare.

Adsense invalid click activity ko rokne ke liye koi fix way nahi hai. But hum is post me btaye or kuch or tariko se apne AdSense account ko invalid click se bacha sakte hai. Iske liye mera aapko yahi suggestion hai ki aap AdSense ke bare me jitna ho sake jankari prapt kare.

If You can like this post as give you helpful information, Then plz share this post with your friends on social networking sites.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (165)

  1. Avatar for Lokesh KumarLokesh Kumar

    Sir mera ek blog hai aur invalid click ki wazah se mera adsense account disable ho gya hai, apne blog me add kaise lgaye aur new adsense ke liye kya krna hoga,, kya mai apni blog ko delete kar doon

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Aap new adsense ke liye apply karo, ya dusre domain se approved adsense ke ad laga lo.

  2. Avatar for techs siettechs siet

    100% free adsense protector script

  3. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    Jumedeen Bhai kal se mere blog par traffic jyada aa rahi hai aur adsense par invalid click bhi aa rahi hai. Mai invalid click ko rokne ke liye kya karun?

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      कुछ समय के लिए अपने ब्लॉग से हटा दो

  4. Avatar for Deepak PatidarDeepak Patidar

    Sir invalid clicks ko rokne k liye y kr sakte he Kya ki uss website k ad ko kuch samay k liye delete kr de

  5. Avatar for ParasParas

    Sir mere blog par ad show ho rha tha
    Maine ek dusare sit par ad laga diya Jo approved nhi tha jisake wajah se mere ad
    Show hona band ho gaya h ab mai kya karu ki ad show hone large please help me,

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Us dusri site se ad hata do.

      • Avatar for Suraj harish chandraSuraj harish chandra

        Sir mujhe biography pe blog likhna hai, hindi me likhu ya english me kya better rahega.

  6. Avatar for TapanTapan

    Sir mujhe mere mail par ye message mila hai “Your Google Ads account was cancelled due to no spend” iska matlab google adsenese se hai ya google adwords se… please reply

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Wo adwords ke liye hai aap adwords par ad spend nahi kar rahe ho uske bare me bta rahe hai, ignore it.

  7. Avatar for wasimwasim

    Assalamo alaikum bhaijaan. Ramzan mubarak ho apko.
    Aaj ek problem hui mere sath please mujhe reply zarur karna aap.
    Actually baat ye hai ki meri ek blog hai . Aur main apni page open kiye hue tha aur 2 baar ads par touch hua galti se aur open ho gaya.
    Invalid click ho jane par main kya karu apne mobile se self click ho gaya. Isse mera adsense account disable to nahi ho jaaega aur gar disable hone se bachana hai to main kya karu.
    Please reply kare mujhe bhaijaan.
    I need your help.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      W/a no worry lekin next time ad par click mat karna.

  8. Avatar for Golu RajputGolu Rajput

    BHai post Bdiya he
    But Kuch log Jan bhuj Kar click krte he usse kaise bche
    Mere Adsense ko approve mile 3 din huwe or Invalid activity se Disable ho gya

    Kya blogger ke liye Koi script he Jisse invalid click Na Ho jese WordPress par

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Blog par traffic badhao agar koi janbujh kar click karega to problem nahi hogi bas traffic jyada hona chahiye.

  9. Avatar for sumit kumar guptasumit kumar gupta

    sir adsense ka auto ads use karne se bhi invalid click aayega kya hume adsense ka auto ads use karna chahiye ya nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Invalid click kisi bhi ad par aa sakta hai.

  10. Avatar for Pravin kumarPravin kumar

    Koi hamare blog ke ads par bar bar click karta hai to use kaise roke, uski report kaise check kare, matlab kis ip address se ads par jyada click ho rahi hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ad ke liye ad injection plugin use karo or us user ke ip address ko block kar do fir use aapki site par ad dikhayi nahi dega.

      • Avatar for Pravin kumarPravin kumar

        Ad Injection kaha milega, aur kaise lagana hai. blogger blog me.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Look here Blog Me Ad Injection Plugin Kaise Use Kare

  11. Avatar for Tarachand kyalliaTarachand kyallia

    sir mera ek Question h aapse mera adsense account 1 mahine ke suspense ho gya or mail aaya invalid activity ka lekin sir mera CTR 10 % se upper nhi gya h? Ab aage ka kru?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google team ko contact karo.

      • Avatar for chandanchandan

        BhaiEk help kardo main youtube chalata hu lekin invalid activity kisi ne kar di hai aur mera adsense 30 days ke liye suspend hogya hai lekin 30 din ke baad wapas sahi to ho jayega lekin firse koi invalid activity kar dega to kya karunga please help kijiye sir adsense ek mahine baad kaise bachayenge please kuchh btao sir

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap abhi youtube ko invalid click ki report send karo. next time bhi aesa hi kar sakte ho jab aapko lage ki aapke ad par invalid click ho raha hai to aap us time apni videos se ad hata do videos par se moenetize disable kar do.

  12. Avatar for Sumit kumar guptaSumit kumar gupta

    Sir mere blog par 7 days me 15 click huwe hai or o bhi different contry se or isse meri earning 1.63$ huyi hai to kya mai ise invalid click samjhu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi

  13. Avatar for Ankit kumarAnkit kumar

    Sir aap ki sari post Bhit achi hai main daily padhta hun.
    Sir mera sawal ye hai ki mere blog ke sare url google me index ho gaue hai par phir bhi mujhe google se traffic nahi mil raha hai iska kya karan hai sir please batane
    or mere blog me aisi kayi post hai jo sirf 1 hi hai yani google par usse milti koi dusri post nahi hai.Please sir iska solution batana.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ankti aapki sari posts inde hai bahtu achhi bat hai ab apni posts ko google me top par lane ki koshish karo traffic apne aap badh jayega.

      • Avatar for Ankit kumarAnkit kumar

        Sir google me apani post ko top par kaise lau please batayiye.Please

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          SEO optimizing karke iske liye apa humari SEO wali post padho.

  14. Avatar for awari simanchalawari simanchal

    hello sar
    mera website hindi tech content ke bareme he.

    me 175 content publish kaar chuka hu. hindi me.

    usme se 15 content english Language me publish kiya hu. kya adsense Apply karnese ye koi problem La sakta he kya.

    please Guide me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  15. Avatar for Bheru singhBheru singh

    Helo sir apki jankari bahut achi hai adsense ko safe rakhne ki
    But mera ek swal hai sir

    1. mene me ad per khud click nhi krta kabhi bhi or post ko Full SEO karke likhta hu na hi kisi ka Copy karta hu abhi tak mera 55url dala hai .

    2. blog me or console me submit hai lekin google index me 44 hi kyu hai mtlb kabse yhi index hai.

    3 . Search engine se Traffic bahut kam mil rha hai ekdum 0 eisa kyu please koi solutions dikhaye
    Mtlb muje website bnaye lag bhag 3 month ho gye hai
    Yha me Earning ki nhi Traffic ki bat kar rha hu
    4. Sir mene apko facebook page per massege kiya hai please reply dena jarur. Uske Important bat kiya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear maien aapse kaha tha ki logo ko thoda chota kar lo, Par nahi or na hi apane navigation menu ko sahi kiya hai. Sath hi aap sohrt content likh rahe ho wo bhi un topics par jinpe pahle s bahut se log likh chuke hai. Kuch naya karo taki google aapko pasand kare.

  16. Avatar for sachin vermasachin verma

    Namskar sir, maine kuch din pehle hi apna youtube channel banaya h. Or mera adsense account disebal ho gya h jabki mere channel par roj sirf 5-7 click hi hote h. Sir isse sambandhit mere kuch swal h. Sir agar aap mere sabhi swalo ke jawab de to aapki bhut-2 mehrbani hogi
    1.agr mera adsense acount permanently disebal ho jaye to kya mera channel bhi ban ho jayega.
    2.agr mera adsense account permanently desebal ho jaye to kya m dusra adsense acount bna skta hu usi channel ke liye.
    3.mere channel par kitni bar invalid click hone par adsense permanently desable hoga.
    Aasa karta hu sir aap mere swalo ka jawab jrur denge dhanyawad.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1.Yes ho sakta hai.
      2. Nahi alag se channel banana hoga.
      3. No limit aap khud ad par click mat karo no problem.

  17. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Hello Bhai, mujhe bhi bhai google adsense ki or se account suspension ka mail mila hai, kal mene aapki di hui un websites ki url ko block kia tha jo kam CPC deti hai aur aaj mujhe is tarah ka mail mila hai. I dont know what should I do to overcome this problem. I am new for Adsense. Please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko adsnese ka jo mail mila hai wo mujhe dikhao.

  18. Avatar for SameerSameer

    Bhai mera accouny suspend ho gaya h kuch din pehle mene apeal bhi ki or teh msg aaya..Thank you for your account suspension appeal. We have decided to keep your account suspended based on our Community Guidelines and Terms of Service. Please visit http://www.youtube.com/t/community_guidelines for more information.

    Sincerely,
    The YouTube Team.to bhai ab mujhe kya krna hoga jisse mera account mujhe return mil jaye…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      इसका मतलब है की अब आपका account re-active नहीं होगा।

  19. Avatar for sameersameer

    Bhai usme temporaly Suspend dikha rha h email me.to yeh kb tk Suspend rhega…Yar lekin me sirf apni khud ki shoot ki hui video upload krta hun fir yeh log ne suspend q kr diya mene to inki terms ka koo violation nhi kya balki mene inki terms kafi acchi tarike se padhi or smjhi h .yeh YouTube wale bhi Middle Class People ko Aahe badhne hi nhi dete h mujhe itna struggle krne ke baad mere account me clicks aane lage thy daily 50k se 60k views traffic tha.lekin yeh **** Youtube wale To puri mehnat ki what laga di ek dm Dsmptd kr diya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sameer agarapaen YouTube policy violation nahi kiya hai to don’t worry main kal iske bare me details article likhunga ki YouTube account suspend hone ke bad bakc kaise kare. I hope aap us method se apna channel fir se pa sakoge.

      • Avatar for sameersameer

        Thanks bhai jb post kriyga to uska link isi post me mere msg me send kr diyega.please

  20. Avatar for SunnySunny

    Hlo bhai…
    Kuch dino se mere AdSense ki earnings nhi ho ri na pageviews badh rahe he…
    Or naaa hi click.
    I think self click ki wajah se..
    To bhai koi solution he kya ab iska…
    Dubara se traffic or click laane ka ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap dusra AdSense approve karwa kar earning kar sakte ho.

  21. Avatar for AmeenAmeen

    Bhai meri cpc 1 show hoti h..or me platform pe check krta hun to zada tr log phone se watch krte h or usi se adds pr click krte h kya isse to nhi h ki mobile se click huwe ads ki cpc bhot km hoti h aisa mene note kya h laptop destop se click huwe adds ki cpc 10.tk ho jati h lekin.mobile se.1 se aage hi nhi badti.aisa q bhai..i am very disapointed

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mobile me CPC kam hi hoti hai or desktop me jyada. Second user ad apr click karke usme interedt leta hai to CPC or jyada milti hai. Aap high paying keywords use kiya karo taki high level ad show ho.

  22. Avatar for Amir HussainAmir Hussain

    Sir ….meray adsens pr CPC 0.03 ho gai hai …pehly 0.04 thi plz help .
    or
    kiya meray ads pr invild calik ho rahy hain jis ki waja say CPC kam ho gai hai ??????

    or ayk bat …main YouTube pr kam krta hon YouTube pr mery earning 2.25 doller thi .
    aglay din mainay check kiya to 2.24 doller thi …
    plz bataye k meri earning km kiun hoi plz reply reply
    ..plz reply my all massege

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi 2017 me sabhi ki AdSense cpc low ho rahi hai.
      Sabki earning kam jyada hoti hai its not matter. Maine YouTube CPC ke bare me post ki hai latest post check kar lena.

  23. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Sameer mostly google YouTube channel ko 30 day ke liye hi suspend karta hai. I hope aapka account bhi 30 day ke liye suspend hua ho warna aapko kabhi channel nahi mil sakega. Aapki earning wapis milegi ya nahi is bare me kuch nahi kah sakte.

    • Avatar for SameerSameer

      Ok bhai thanks ab dekho kya hota h 30 days bad re enabled hota h ya parmantly disabled hota h.

  24. Avatar for SameerSameer

    Bhai Aaj subaj jb me soh ke utha to dekha mera AdSense account bhi Disabled ho gaya h or YouTube accouny bhi 2no on nhi ho rhe h kal tk to on to ho rhe thy abhi AdSense account disapproved show ho rha h on nhi ho rha ek mail aaya usme likha h ki invalid activity or bhi bhot kuch likha h bhai mere add pr na hi me clicl krta hun na koi asal me to mere adds pr koi click bhi nhj krta h daily ka 4.se.5 click aate h bs.Ab usme bhi invalid activity hd ho gye bhai..batao yar ab kya kru me.

  25. Avatar for SameerSameer

    Bhai Mere YouTube Channel pe me video upload krta hun to upload nhi hoti h show krta h your video is currently not upload & channel pe jane ke baad Uploading Video Disabled Show hota h red colour ki line nechay hoti h bhai mera channel kaose thik ho ga please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sameer iski wajah loose internet connectino ho sakta hai. Aap mujhe full error message dikhate to or clear bta deta.

      • Avatar for SameerSameer

        Nahi Bhai Internet to bhot mazboot h..Acutaly me Meri Camunity guidline.Or copyrigjt strike 2 .2 ho chuke h .Or iski wajah se..Shayad Video uploading disabled ho gaya h.Jaise Kbhi kabhi Google hmara monetize disabled kr deta h waise hi uploading disabled ho gaya h .Or Koi Video upload nhi hoti 1 per% baad direct Yeh show hota h you are not currently upload video.ab bhai aap bataiye.Ki video uploading enabled kaise hoga..Or Bhai Yeh bhi bataiye ki 3 copyright strike Hone ke bad mera channel disabled ho jayega..Agr ho jayega to kitne din ke liye..or usme Copyright strike expire bhi dikhata h 15 march dikha rha h 3 mahine baad Meri Copyrigjt strike hat jayegi kya Bhai Bataiye.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          yes sameer YouTube par aapko 30 day, 3 month ya 6 month ke liye suspend kiya jata hai. Its your good luck ki aapko 3 month ke liye suspend kiya gaya or humesha ke liye nahi. Aap 15 march ke bad video upload kar sakoge.

  26. Avatar for Ameen khanAmeen khan

    bhai yeh likha h mail me
    Action required: Your Google Account is temporarily disabled
    Hi,

    Google has suspended your Account, ameenk45 @gmail.com, because of a violation of our Terms of Service.

    Using a web browser, Sign in to your account or to any Google service as soon as possible, to reactivate your account.

    If you are unable to login into your account via the web browser and would like to try to recover your account, please contact us.
    If you don’t take any action soon, your account and all of its contents will be scheduled for deletion.
    Best,
    The Google Accounts team
    bhai aap mere is mail pe hi ans reply kr diyega plz or bhai bataiye ab me kya kru bhot pareshan hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka account suspend ho chuka hai. aap adsense.com par log in karo agar hota hai to setting icon par click karke google ko feadback send karo ki aage se aap policy violation nahi karoge.

  27. Avatar for Ameen khanAmeen khan

    Bhai comments gayab ho jate h kabhi kabhi or bhai isme attach photo system nhi h screen short kaise bheje bataiye or bhai waise me screen shot kahe ka dun.google ka jo email aaya h mere ko suspend ka uska ya.Youtube account ka Youtube account to khul hi nhi rha h dikha rha h account terminated ab bhai aap hi kuch kr skte ho puri ummed aap hi se h.plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok aap mujhe google ka jo mail aaya hai wo dikhao.

  28. Avatar for Ameen khanAmeen khan

    Bhai koi upaye bataiye mera account pehle jaisa kaise hoga please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine aapko screenshot dikhane ke liye kaha tha. Aap send akroge to hi main bta sakta hu.

  29. Avatar for Ameen khanAmeen khan

    Bhai abhi mera YouTube account suspend ho gaya h apne aap or yeh mail aaya h iska kya mtlab huwa kya mene aisa kya jiske wajah se aisa huwa
    Hi,

    Google has suspended your Account, because of a violation of our Terms of Service.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ameen aapne YouTube terms ka violation kiya hai isliye aapka channel suspend kar diya.

  30. Avatar for Ameen khanAmeen khan

    Bhai mere YouTube ke accouny me 32 doller thy badi mehnat se kamaye thy 2 din me sare apne aap hi ky gaue kamane me 2 mahine lage thy.ktne me 2 din..aisa q bhai abhi.80 cents hi bache h.bhai batao me kya kru…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ameen check revenue report carefully.

  31. Avatar for SaifSaif

    Bhai 2 AdSense account 1 bank account access krega…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi.

  32. Avatar for Rowdy rathoreRowdy rathore

    Bhai mere AdSense account me doller to nhi katte h lekin add clicks sb kat jati h jaise ki 100 clicks mili to 1 ghante me 0 ho jati h jiske karan kuch earn nhi hota iska ilaz h kuch

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check my AdSense related other post and read carefully.

  33. Avatar for asifasif

    bro jo ad code mene sidebar text widget se hataya tha.. usko vapis same jagah paste kardun kya.?? jisse mujhe AdSense team se reply mile.. kyu ki ab 12 days hogaye ab tak koi response nhi aaya .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap first blog par traffic badhao or kuch or content likho tab tak AdSense code blog se remove kar do uske bad jab traffic 500+ ho to hi add code add karna.

  34. Avatar for mohd faizanmohd faizan

    I am mohd faizan

    We recently detected invalid activity in your AdSense account. As a result, we’ve temporarily suspended your account for 30 days. During this time, no ads will be served on your sites.

    bhai kya karu…
    We found that you were clicking on your own AdSense ads, which is prohibited by the AdSense Program Policies.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense placement sahi se karo or khud ads par click mat karo.

    • Avatar for Prince tiwariPrince tiwari

      Aapko waise case me sabse pahle apne ads code apne site se remove kar dena chahiye, Then ak form aata hai google AdSense invalid clicks contact form usse turant fill kar ke google ko submit kar de. then google se response aane ke baad ads fir se laga de.
      is link se aap us form ko dekh sakte hai. http://support.google.com/AdSense/contact/invalid_clicks_contact

      Invalids click ko pata karna ka sabse better idea jab page impression ka 30-40% se above CTR ( Click through rate) jaane lage to usse AdSense invalid click maanta hai.

  35. Avatar for MamtaMamta

    18 sep ko mere site mai total click 229 show ho rahe the , or19 sep ko total click 221 show hone lage or aaj 20 sep ko 207 show ho rahe hai ,or dollar kal 19 sep ko 0 .60 thaa aaj 0.61 show ho raha hai meri site 29 July ko shuru hui thi mai song lyrics, content leekhti hu please mujhe bataya kya kami hai, dia24.in mai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      aapne site ka url mention nahi kiya mai aapko site check karke hi suggest kar sakta hu.

  36. Avatar for pradeep rajputpradeep rajput

    Adsense Payment History me “Invalid Traffic – AdSense for Content” hai kya ???

    aur, Payment Generate hone par Kuchh Dollars “Dedits ($)” kar liya jata hai …

    Suggestion please….!!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye invalid click ka charge hota hai. Sabke sath aesa hota hai.

  37. Avatar for Abid khanAbid khan

    Jumedeen bhai ye sawal maine apse kuch din pahle picha tha par apse koi reply nhi mila. Aaj maine ye post padhi aur kuch achha solution mila onvalid click activity se niptne ka. Thanks for thse suggestion.

  38. Avatar for Manoj kumarManoj kumar

    hame kaise pata chalega ki hamari site par invalid traffik/activicty ho rhi hai………….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap google AdSense total earning report me check kar sakte ho. Waha clear likha hota hai ki itne paise invalid click ke cut kiye hai.

  39. Avatar for Bhaskar JoshiBhaskar Joshi

    hi, thank you for sharing this article to us…

  40. Avatar for Faisal ZourFaisal Zour

    plz plz plz hlep AdSense account not ad show 1 account AdSense site 1

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apni site par ads lagao or AdSense ka message ka wait karo. ads show hone lag jayenge or nahi bhi honge to iske karan ka aapko message mil jayega.

  41. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    sir mere AdSense account ki Account information me time zone (UTC-08:00) Los Angeles dikhay de raha hai vo sahi hai ya nahi…. agar koi sujav ho batayega…..pls sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Glat hai aap use change karke india ka time set kato (UTC+05:30)

      • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

        sir 05-00 to kuch alag dikha raha hai… india ke liye (UTC+05:30) Kolkata ka time hai…. vo hi set karu to chalega

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ham maine 05:30 hi btaya hai.

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir mene AdSense account ki Account information me time zone change to kar liya lekin niche jo likha hai vesa msg aata hai… to iska matlab kya hai aur muje kya karna padega….

            You have just changed your time zone and may notice discrepancies in estimated earnings on the homepage. Your payments will not be impacted.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Iska matlab hai ki aapne abhi AdSense ka time change kiya hai. ab AdSense me usi time ke hisab se report show hogi.

  42. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    sir mene mere blog ka domain name change kiya hai to ab me AdSense me vo naya domain name kaise ad kar sakta hu…. pls help me…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense.com par jao or right side me setting gear icon>>setting par click karke left side sidebar me site management par click karke apna new domain add karo.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      sir mene apne blog ka name change karne ke bad sitemap generate karke google webmaster me add kiya tha total 760 url submit ho gayi hai lekin index nahi huvi hai esa kyu…. abhi google me bhi mera blog name change karne ke bad search me nahi aa raha hai…. pls help me..

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Aapka blog search me bhi aa jayega or google aapki site ke urls ko index bhi kar lega. isme thoda time lag sakta hai.

        • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

          mene apne blog ka domain name change kiya hai… aur sitemap bana kar google me submit kiya hai… 4 din ho chuke hai fir bhi mera blog google me search nahi ho pa raha hai aur url bhi index nahi ho rahe hai….

          mera purana domain name “www.infoguru24.com” tha aur jo change kiya hai vo naya nam “www.CareerGujarat.com” hai

          abhi bhi google me sare url purane domain se search ho rahe hai… pls sir help me… mera traffic kar ho chuka hai…

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Apne old domain ko search console me se remove karo or new domain ko add karo. Site ka domain change hone par bhi 1-2 month tak old domain bhi search me aayega. iske liye aap old domain ka ek blog bana kar use new domain par redirect karo. new domain ko search me aane me time lagta hai. Isme 10+ day bhi lag sakte hai.

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir old domain ka blog to bana liya hai…. par sir use redirect kaise karu…. pls help me…

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir ye code dalkar me apna blog redirect karu to AdSense me koi problem hoga ya nahi… redirect karne par traffic meliga vo AdSense ki policy ke hisab se sahi hai ya nahi….

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Nahi AdSense ko isse koi problem nahi hai.

        • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

          sir mene jo site map submit kiya hai use me muje niche di gaye ek error dikhay gayi hai.. to iska kya matlab hai aur iska kya solutions hai…..

          We encountered an error while trying to access your Sitemap. Please ensure your Sitemap follows our guidelines and can be accessed at the location you provided and then resubmit.

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir mene google webmaster tools me se crawl errors 2 din pahele hi fix kari thi abhi koi error dikhay nahi de rahi hai aur sitemap bhi fir she submit kiya hai fir bhi ye error aa rahi hai…..

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Maine aapko jo post btayi hai. Usme btaye anusar sitemap greate karo. Kyuki webmaster tools ki report bta rahi hai ki aap humariguidelines follow karke sitemap nahi bana rahe ho. or ha apni site ke samne www laga kar sitemap banao. example. http://www.xyz.com

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir mene aapke post padhkar usme aapne jesa bataya hai usi ko follow karke he sitemap banakar submit kiya hai fir bhi ye problem aa raha hai….

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap ye step follow karo.
            1. google webmaster tools me check karo ki aapki site verify hai ya nahi.
            2. agar aapki site www se open hoti hai to www se hi sitemap create karo.
            3. Google search console me se crawl erros or parameters ko fix karo.
            4. Uske bad google search console me se sabhi sitemap ko remove kar do.
            5. Ab fir se sitemap bana kar submit karo. ho jayega.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      sir me google me site:careergujarat.com likhkar apne site ke kitene url index hai vo chek kar raha hu…. to kai url ke niche muje niche diya gaya msg dikhay deta hai… ye domain name change karne ke bad problem aaya hai… to iska kya matlab hai….

      “A description for this result is not available because of this site’s robots.txt”

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Aap galat robot.txt file use kar rahe ho. Ye post padho

        • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

          Sir par mene robots.txt file to add ki he nahi hai…. vo setinngs o blogger me mane default he vohi rakha hai…. jese pahele tha… lekin domanin name change karne ke bad ka ye problem hai….

          abhi jo blogger me settings hai vo niche diya hai…

          Custom robots.txt ? [Disabled] Edit
          Custom robots header tags ? [Disabled] Edit

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap google search console me ja kar robot.txt file check karo.

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            sir vo bhi check kiya aur vo ok hai… mene niche code diya hai….

            ser-agent: Mediapartners-Google
            Disallow:

            User-agent: *
            Disallow: /search
            Allow: /

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            It’s ok aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai. aapki problem apne aap solve ho jayegi.

  43. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Aisa Kuch Ho Sacta hai kya jissay mere site par USA or UK Ki Company ke Ads Show Ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap USA or UK se related post karo.

  44. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Alexa Rank ka koi Monthly Charge Bhi Hota hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi. rank free show hoti hai baki option paid hai.

  45. Avatar for prajapati vikramprajapati vikram

    hello sir aesi konsi website he jisme ragister karvake money kama sakte he…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi mere pas aysi koi site nahi hai. Aap khud ki site bana kar paise kama sakte ho.

  46. Avatar for Alpesh DesaiAlpesh Desai

    bro
    mujhe ek bahot bada problem ho gaya hai help

    problem –
    maine wo free net wala vpn use kiya tha to mera Adsense bhi 1-2 bar open kiya hu to ab koi mere site par visit karega or wo ip se usne ads par click kardiya to mera Adsense block ho jayega please koi solution do

    -VPN ke server mai IP kavi change nai hoga wo IP rahega to kya kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Alpesh aysa kuch bhi nahi hai. koi usi ip se aapki site open kyo karega. wo computer to sirf aap use karte ho.

  47. Avatar for Abhinav MishraAbhinav Mishra

    Helpful Article.

  48. Avatar for rajraj

    mere blog ka post ek blog ne copy kar rha he isko kse roke?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap us blog admin se iske bare me bat kar sakte ho.

  49. Avatar for kiranbhaikiranbhai

    View Page Source se koi Kuchh Copy karna Chahe tab Adsense code Bhi Kabhi Kabhi Copy ho jate hai. Aur Galati se Copy karne Wala Dusare blog me Paste kar Deta hai. Bro.. tab Invalid Click ka Kya Kare. claim your site Ka Option Adsense Ma hai Isake Siva Koi option Hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar koi views page source se aapka ads code copy kar ke apni site par publish kare to aap uske khilap google ko report kar sakte ho.

  50. Avatar for hari narayanhari narayan

    Bhai mai apne WordPress blog ka pageviews wagerh dekna chahta hu to kon sa plugin achha hai iske liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jetpack plugin

  51. Avatar for rohit guptarohit gupta

    jumedeen sir,
    agar mai.kisi bhi site me koi post dekhta hu. aur us post ko ham samjhkar apne words me blog me publish karu. toh wo copyright mana jayega aur usse hamara seo kharab ho jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi kar sakte, Copyrighting ho sakti hai. aap apne dimag se or apne hisab se apne tarike se post likho.

  52. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir koi ek best free blogger template btaiye jo seo freindly, mobile freindly aur AdSense freindly ho. Please sir koi ek hi btaiye bhut sare me to mai confuse ho chuka hu. Please sir btaiye.

  53. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir, ek question to mai aapse 8-10 bar kar chuka hu ki mere blog me domain add nahi ho raha hai kyoki maine galat detail dns zone file me bhar di thi. Wo domain save to ho jata hai but khulta nahi ab blog me wo error nahi aati jisse mujhe wo code dwara mil jate jo dns zone file me add karna hai. 1 mahine se zyada ho gya ab wo mujhe kaise milega please help me sir. Godaddy ke customer care me bhi call kiya tha but kuch nahi ho pa raha hai. Ab aap hi koi solution nikaliye please sir bahut pareshan ho chuka hu ab kya karu.

  54. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir aapse ek question aur hai ki aap screenshot kaise lete hai aur screenshot lene ka koi best computer software btaiye. Aur screenshot kaise lete hai ye bhi btaiye. Please reply sir.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap bina software ke windows+PrtSc key button daba kar screenshot le sakte ho.

  55. Avatar for DilipDilip

    me bahut badi musibat me hu mene Jo template upload kiya hai usame post ko open kare to last me author profile ati h jaise apki h to main baha par apne baare me likhna chahate h us jagah kisi or k bare me likha h ap mere blog ko open kar k post ke ander dekhkar bataye plz

  56. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir aapse ek question hai ki siteprice.org kya hai aur ispar apni website ko kase jode aur iska kya fayda hai aur jo do code milte hai wo hume kaha lagane hote hai please reply sir comment se hi bataye sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Siteprice ek website value check karne ki site hai. Is par hum kisi bhi site ki popularty check kar sakte hai. Ise blog me add karne se koi fayda nahi hai.

  57. Avatar for surendrasurendra

    maine 10 mahine pehle ek blog banaya tha okk or uske baad maine dusra blog bana liya he ab hamesha uspe hi blogging karta hu to 10 mahine wale par aaj bhi ache visitors aa rahe he ab kuch aisi tricks batao jisse saare visitors dusre blog par redirect ho jaye..?

  58. Avatar for surendrasurendra

    Ab Last sawaal

    Q:1 – Maine freedom book karne ke liye jo post likhi thi wo ekdam true thi . Ab toh mujhe koi problem nahi hai naa ?

    Q:2 – mere blog par 1000 pageview par 4$ – 5$ ki Income hoti hai . Google AdSense ke hidab se yeh rate sahi hai kya . Kahi baad me mera AdSense disble ho jaye .

  59. Avatar for SurendraSurendra

    Ab aapko meri ek baat manni paregi.

    18 Date ko maine freedom wali post likhi toh mujhe ( 18 ,19 ,20 ) Teen din me total google search engine se 75000 Page view mile Aor iski wajha se 3 Din me meri income 100$ se bhi jayada hui .

    Ab yeh bataye ki yeh income fake hui thi kya , agar fake hui hai toh mera AdSense kabhi bhi band ho sakta hai kya.

    Ab aap meri confusion durr kare ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      kuch important time par jyada traffic mil jata hai. Jaise happy new year ya fir koi or important topic. Nahi aapke AdSense account isable nahi hoga. But aapne ho 251 wali post ki hai wo true honi chahiye.

  60. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Maine to domain le li, ab Google search me lane ke liye kya – kya karu jisse jaldi Google search me aajayega , bhaiya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap supportmeindia ki SEO se related post padho.

  61. Avatar for DilipDilip

    blogger par Jo me apne blog k page view karta hu bo bhi count ho jate h koi upay hai jisase ye ROK sake or count n ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi. blogger par aapke dwara huye pageviews bhi show honge.

  62. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    thanks bhaiya, aaj aap hi ke wajah se, domain lene me success hua hu, jus avi hi blog me add kiya hai, but meri blog nahi khul rahi hai, kyu bhaiya,
    1…..Aur aap ye bhi bataiye mera domain name kaisa hai, please reply bhaiya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      acha domain hai. thoda wait karo domain active hone me 24-48 hours ka time lag jata hai.

  63. Avatar for Rakesh kumar BatuRakesh kumar Batu

    Hello bro 1 question hai.
    wo ye ke aap ne post ke end mein jo 2 ad unit lgaa rkhe hai wo aap ne kaise bnaye .?
    hope you reply soon as possible

  64. Avatar for surendrasurendra

    bhai Point No. 6 Samaj Nahi Aaya kyu Ki Spam Traffic Ka kya Matlab Hai .

    agar Suppose Mante hai Ki Aaj mere blog par 1000 pageview hai Aor Next day 20000 Pageview ho jaye ( Jabki puraaa traffic Search engine se aaya hai ) . ab jo bhi AdSense se income hogi wo real hogi yaa fake

    kyu ki AdSense toh search engine se aaye huye readers ko like karta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Spam traffic wo traffic hota hai. Jab aapke blog par wo visitors aate hai jinhe aapke blog me koi interest nahi hai or wo sirf self promotion ke liye aapki site par visit karte hai. Aaj kal robot se bhi auto commnets ki jati hai.
      Surendra search ranking ek dam se increase nahi ho sakti hai. aapko kabhi bhi 1000 se 2000 pageviews search engine se nahi mil sakte. agar aysa hota hai to wo fake traffic hi hai.

  65. Avatar for KiranbhaiKiranbhai

    Kai bar naye blogger copy paste se apni post dalte hai isame copy na hoto to source html code ko copy karke content ya kai gadget use karte hai.. Isame kaibar AdSense code bhi copy ho jata hai.. Isase Invalid click hoti hai.. Isase bachne ke liye claim your site ke siva koi dusara option hai..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Copy paste se koi bhi aapke ads code ko copy nahi kar sakta. Bas aap kisi ko apna ads code email ya other message me send mat karo.

  66. Avatar for साहिल कुमारसाहिल कुमार

    Invalid click rokna bahut hi jaruri hai, ye aur bhi jaroori tab ho jata hai jab click hamate elaake se aa rahe ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry sahil ummid karta hu AdSense team bahut jald iska solution nikal degi.

      • Avatar for Ameen khanAmeen khan

        Bhai Mene reactive appel form usi din submit kr diya tha jis din suspend huwa tha & now i am very happy my account is today reactive..but 1 problam abhi h .mere account me 32 doller thy abhi 1 doller h 31 doller q kat gye bhai mene sb revenue sahi se check kr liya h 1 doller hi bacha h 32 thy ab bhai iska kya samasya h batao

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ameen shukr manao ki aapko AdSense account wapis mil gaya. dollar google ne kat liye kyuki apane AdSense policy ka violation kiya tha.

          • Avatar for Ameen khanAmeen khan

            Bhai wo to thik h lekin mere doller suspend home se 4.5 din pehle kte thy jiske bare me mene aap se bataya tha…aage bhi aisa mere saath kahi na ho to is liye aap hme is bare me koi upaye bataye..Plz.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Ameen uski wajah yahi thi aage se aesa nahi hoga aap khud apne ads par click mat karna or kisi se kah kar click mat karwana.

  67. Avatar for Chakradhari kumarChakradhari kumar

    Thank you bhaiya Iski jankari share karne ke liye kyu ki mare AdSense me bhi ye problem ho chuka hai…..

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...