Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare

Google search console no.1 best SEO optimization tools hai, Jise lagbhag har blogger or website owner use karta hai. Agar aapne abhi tak apne blog ko google webmaster tools me submit nahi kiya hai to aap search console me blog url add kar apni site ki search ranking improve kar sakte hai. Is post me hum bat karenge ki GWT me URL parameters kya hai or ise kaise use karte hai.

How To Use URL Parameters in Google Webmaster Tools

Mai google webmaster tools ke bare me How to set target countryFix Crawl ErrorsSubmit site google, bing, yahho or Submit siemap to GWT jaisi bahut post likh chuka hu. In this post, Mai aapko google search console me URL parameters use karne ki jankari de raha hu. Jisse aap google webmaster tool ke URL parameters feature ko ache se samajh sakoge.

URL Parameters Kya Hai?

URL parameters kya hai. Iski koi nishchit paribhasha nahi hai. But fir bhi mai aapko kuch simple step bta raha hu. I hope aapko aasani se URL parameters ki jankari samajh aa jayegi.

Humari website blog ki post ka permalink iss tarah se hota hai.

  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html

But jab koi visitor refferals sites facebook, google, twitter, feedburner and other se humari site par aate hai to site ke permalink me kuch extra words add ho jate hai or post ka url is tarah ho jata hai.

  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online?utm_source=facebook
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html?utm_source=facebook

Is extra links se google ko ye pata chalta hai ki humari site ko kis refferal site se traffic mil raha hai. Google analytics me isi ki help se google humari site ka refferals traffic result show karta hai. Inhi links ko URL Parameters kahte hai.

Ab problem ye hai ki google search robot social sites se mile refferal trafficURLs ko index kar leta hai or search result me ye links bhi display hone lagte hai. Jisse site ki search ranking par asar padta hai. Google search console me URL parameters ko hide karne ka features bhi hai. Aap URL parameters ko google me index hone se band kar sakte ho.

Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL Parameters]

URL parameters feature google webmaster tool ka bahut acha feature hai jo aapki crapet refferal links ko indexed and deindexed karne me help karta hai. GWT URL parameters me UTM url ko control karne ke many features hai. Iski jankari ke liye aap niche diye step follow kar sakte hai.

Go to Google Webmaster Tools and log in by your gmail ID and click on CRAWL>>URL Parameters. Ab yaha par dekhiye aapko kuch parameters links dikhayi denge.

URL Parameters

In above image, clear ek message show ho raha hai. “Use this feature only if you’re sure how parameters work. Incorrectly excluding URLs could result in many pages disappearing from search.” Iska matlab aap URL parameters features ko tabhi use kare jab aapko iski puri jankari ho. Warna aapki site ki search ranking par bura asar pad sakta hai. So mai aapse kahna chahunga ki is feature ko dhyan se ache se samajhne ke bad hi use kare.

Mai aapko yaha par aysa tarika bta raha hu jisse search engine aapki site ke URL parameters ko index nahi kar sakega. Iske liye aap links ke samne Edit/Reset me se Edit par click karo.

  1. Yes: Changes, reorders, or narrows page content select karo.
  2. Other select karo.
  3. Ab No URLs ke samne tick karo.
  4. Ab aap dekhenge ki sabhi url disable ho gaye hai. Iska matlab hai ki ab search robot aapki site ke utm links ko index nahi kar payega.
  5. Finaly save par click are.

URL Parameters Settings

Isi tarah aap sabhi Parameters ki setting kar sakte ho. Or agar aapse kahi koi galti ho jati hai to links ke samne reset par click karke aap setting default kar sakte ho.

Bahut jyada URL parameters links or crawls link aapki site ki search ranking ko low kar sakte hai. Isliye inhe fix karna SEO ke liye important hai. Aap weekly crawl error or parameters link ko check karte rahe or fix karte rahe jisse aapki site ki search ranking good bani rahe. Crawl links ko fix karne ki jankari ke liye How to fix crawl errors in google webmaster tools article padh sakte hai.

Agar aapko is article me share ki gayi information helpful lage to is post ko apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (114)

  1. Apni blog ka mobile aur pc URL ko kaise fix kare

  2. Sir maine blog google search console mai submit कर diya hai or sitemap भी submit kar diya है
    Post ko search mai kaise laau mobile से
    Please help me

    • wait थोड़े समय बाद अपने आप search में आ जाएगी

  3. sir phali baar mai apke site ke jariye is parameters ki problem ko solve kiya iske liye mai bahut dino se paresan tha.

    thanku so much sir

    • Sir jin jin keywords ko target krta hu vo search console me update nai hote pr unki ik do headings show hoti h iesa ku hora h?

      • search console में वोही keywords शो होंगे जिनसे आपकी साईट पर ट्रैफिक आता है

  4. sir mere Google Console account me aisi post ke url par 404 not found bata raha hai jo post mene kabh bhi apne blog par publish kiya hi nahi.me is parkar ki url ko remove bhi kar deta hu lekin fir kisi dusre post ke url par 404 not fount dikhai deta hai.me ri problem yah hai ki jo post kabhi bhi mene mere blog par publish kiya hi nahi uska 404 error kyu dikha raha hai.sir kya aap meri help kar sakte ho me is problem ko kaise thik karu

    • Aap jo domain use kar rahe ho use pahle koi aur use kar raha hoga.

  5. Hello Bro. Webmaster tool pr abhi kuch dino se mujhe ye msg. bar bar aa rha h

    and jb me us link pr gya to vaha mujhe (Indexed, though blocked by robots.txt) ki report me 29 pages affected dikha rha h to bro. ye problem kaise solve hogi ??

    • Aapne robots.txt me double code kiye huye hai unhe theek karo.

  6. Sir Maine Check Kiya, Yahaan Par ‘Id’ ke nam se parameters hain jisme 800 url hain. crawl me ‘Let Googlebot decide’ likha hain. jab maine ise edit kiya to example url me mere blog ke post url hain. aur ek hi url ke kai page bane hain. bas url ke last me /?id=441467. is tarah ka number hain. to sir ise kaise fix kare.

    • ‘Let Googlebot decide set karo apne aap fix ho jayega.

  7. Sir mere google search console mr problem aa rhi isme likha hai “severe health iissues are found in your property” check health property
    sir check health property par click krne par ” is robots. Txt blocking important pages – some important page is blocked by robots.txt
    Is problem ko kaise fix kare sir.
    aur jo bhi new post publish kar rha hu vah bhi index nhi ho rhi hai. Please guide me sir.

    • aap robots.txt file se extra code lines ko remove karo.

  8. sir mene google console me mera blog add kiya or sitemap bhi submit kiya he. fir bhi mera blog google me nahi dikh raha he.

    sir aap ek bar mera blog chek karke dehona mujse kiya glti hui he . mene new blogger hu.mene abhi tak 3 post hi publish ki he.

    pls sir aap ek bar mera blog chek kariye. plsssss

    • Aapka blog google me dikh raha hai aapke blog ke google me 12 URL bhi index hai. check as site:example.com

      • sir kaha check karu ? konsi site pe? muje kuchh samaj ni aa raha he me kiya karu ..mene to srif 3 hi post publish ki he fir kese 12 url index ho rahe he? google me to meri site dikh hi nahi rahi he sir plsssss help me…

          • lots of thenq sir .. ab ho google me show ho rahi he meri site .. sir mera blog kesa he pls bata ye usme abhi or kitna kam karna baki he .. me kab mere blog se paise kama sakta hu.?

  9. maine google search con. me 20 post index ki hai par sow ek bhi nahi ho rahi shif ek hee ho rahi hai plzz help kya karu

    kya mai google search consol account ko delet karke fir se bna sakta hu

    • Aapka blog public nahi hai apane settings me private kar rakha hai use public karo.

  10. Thanks for Response ,kush queiries jo aapse puchna hai

    1 .search console me Fetch as google and fetch and render kya hota hai.

    2. kya hum apne blog me kisi software ya application ke bare me likh sakte hai, jaise me tally accounting sotfware par kush article and Tips likhna chahu to indendently likh sakta hu.

    3. blog me image use karne ke liye play store me jo ploto editor app hai unme se image likar unhe edit karke apne blog par publish kar sakte

    • 1.Ye kisi bhi content ko jaldi index karane ke feature hai. Like news sites kel yie best hai.
      2. yes likh sakte ho.
      3. Dusro ki image use karne me risk hi hota hai.

  11. Bhai mere blog par 200 se bhi jayda post hai but srif ek post par hi search hota hai , baki post ke bare me search resutl me kush bhi nahi aata hai. Aisa kyo. me har post ko ab SEO optimise bhi kar raha hu. kush dino se page view aur bhi kam ko gaye hai daily 200-300 hi aa rahe hai.please mera blog check karke bataiye kya problem hai

    • Learn more about SEO. Google ki terms badla gayi hai ab google pahle ki terms par kaam nahi karta.

  12. Helo bhai jaan Search console me “Google index” option me (index status ) 0 शून्य show kar rha hai mtlb sitemap me to index hai post or page lekin
    Google index=index status =zero eisa kyu or googlee par site search krta hu to bus 1 2 post or privacy policy show hoti hai bua baki ki sari post show nhi hota sir koi idea do na yr kis wajah se eisa ho raha me kaha galti kar rha hu
    https://www.hindisites.com/
    Aap dekh sakte hai isme post to 30 se upar hai

    • Aapke google me 54 URL index hai check carefully.

  13. sir.search console me se property ko delete karne ke liye kya kare.please sir bata dijiye

    • Very simple search console par jao or uske smane manage property par click kar delete property par click karo.

  14. Sir mujhe ye bata dijiye ki mere website ka URL pahle http:// se tha baad me Maine secured ke liye https:// kiya hai to search console me add a property change karne ke liye kya kare
    Aur pahle add ki hui property detete karna hai .

    • Aap http wali property ko delete kar https ke sath new property add karo.

  15. Bhai apne sahi bataya , Mai Qaulity wale Post Likhta hu uske bad Bhi Traffic nahi Increase ho rha hai, Maine Iske bare me pta lagaya, to Mujhe pta chala Site Slow Open ho rha hai, Jiske wajah se Google Post ko jaldi Index nahi kar rha hai.
    Kya aap Baata sakte hai mai Site ko Optimize kaise karu, jisse iska Response time Kam Ho jaye

    • Iske bare me aap mozedia.com par post padho.

  16. Sir mairey blog pr traffic bohot km hai or mai social media pr bhi.share krta huin maira blog ka link lekin fir bhi traffic nai mil rha hai plzz bhai aap jra check kr key batayen

    interestingcoolfacts.blogspot.com

    • Abhi aapko bahut kcuh karna hai. First aap blog ko achha design karo or blog ko website ka jaisa look do.