Blogspot blogging ki starting ke liye bahut badhiya blogging platform hai. But jab bat aati hai blogging ke online business ki to WordPress sabse pahli choice hota hai. Iska sabse bada karan ye hai ki blogspot par humara full control nahi hota hai. Google hume sirf limit control deta hai. Ek tarah se hum google ka hi blog chala rahe hote hai. But WordPress par humara full control hota hai. Us par hum chahe jo kar sakte hai. Is tutorial me mai aapko blogger blog ko blogspot se WordPress par import karne ki information bta raha hu. I sure aapko jarur pasand aayegi.
Maine blogspot blog ko WordPress par transfer karne ke bare me complete information di huyi hai. Agar aapko blogger blog ko WordPress platform par migrate karne ki puri jankari chahiye to aap humara Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Karte Hai article padhiye.
Aap easily apne blogger blog ki posts, pages, comments and images ko WordPress platform par import kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne blogger blog ke backup ki jarurat padegi.
Agar aapko blogger blog ka backup lene ki jankari chahiye to aap Blogspot Blog Ka Backup Data Kaise Download Kare post padh kar pahle apne blog ka back up bana le.
Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Migrate Your Blog
Wese aap chahae to apne blogger blog ki only post ko bhi WordPress par move kar sakte hai. But agar aapke blogspot blog par acha traffic hai to aap full blog content hi WordPress par import kare.
Blogspot blog ko WordPress par import karna bahut hi aasan hai. iske liye sabse pahle aap apne blogger blog ka backup bana le ya fir aap niche diye image ko follow kare. Aapko sirf 2v hi step follow karne hai.
1. Download Backup Your Blogger Blog
Aap blogger dashboard > settings > other par jaye or Back up Content par click kar apne blog ka backup download kar le.
2. Guide To Import Your Blogspot Blog To WordPress
So ab mai manta hu ki aapke pas blogger blog ka backup bih hai or aap use WordPress par import karne ke liye ready hai. Ab aap apne WordPress par ja kar sign in ho kare. Uske bad niche diye step follow kijiye.
WordPress blog ke dashboard par jaye or Tools >> Import par click kijiye. Ab Blogger par click kijiye.
Jaise hi aap blogger option par click karoge to ek pop upplugin page khulega. Jisme aapko blogger importer plugin install karne ke liye kaha jayega. Yaha par Install Now par click kare.
Plugin install hone ke bad “Activate Plugin & Run Importer” par click kare. Ab yaha par aapko apne blogger blog ka backup import karna hai. Iske liye Choose File par click kare or apne computer me se blogger blog ka back up select kare. Uske bad “Upload file and import” par click kare.
Bas ab ek bar aapka data WordPress par import ho jaye. Isme kuch time lag sakta hai. Kitna time lagega ye aapke blogger blog ke backup par depend karta hai ki backup kitne MB ka hai. Uploading complete hone ke ad aap apne all data ko WordPress platform par use kar sakte ho.
By the way, Agar aapko koi data jaise age or commets WordPress par import na ho to aap blogger importer plugin ki jagah koi dusra plugin use kar sakte hai.
To friends dekha kitna aasan tha blogger ke blogspot blog ko WordPress par import karna. Hum is choti si techniq se ye kar sakte hai. Agar aapke pas isse bhi better koi or information hai to aap comment me humare sath apne thoughts share kar sakte ho.
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
- Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
Kya aapko is post me blogger blog ko WordPress par import karne ki complete jankari mili hai or aap is post ko padhne ke bad aasani se WordPress par apna blog import kar sakte ho.
Agar aapko ye article helpful lage to ise social sites facebook, twitter or google+ par apne friends and other blogger ke sath share jarur kare.
md ali
sir mere WordPress dashboard par import ka option open nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
WordPress blog ko ek bar update karo ho jayega.iske liye aapko WordPress sidebar me tools par click karna hai.
solanki
sir meri site ko google Search engine me 1 se 10 page me lane k liye kya karu post ka titel search karne par bhi search engine me nahi show hoti hai seach engine me site ka name likhna padta hai
Jumedeen Khan
Solanki aap SEO ko ache se samajh kar quality content likho.
dharmendra
feature image post me bhi show ho raha hai matlab dubble image ho ja raha hai
Jumedeen Khan
Aap post me se hi kisi image ko feature image me choose kar sakte ho.
dharmendra
feature image choose karne ke bad isme image bhi upload karna padega kiya
Jumedeen Khan
Nahi aap post ki koi bhi image choose kar sakte ho.
dharmendra
post to on sunmary ho gaya hai par usme image show nahi ho raha kaise hoga ye
Jumedeen Khan
Aap post edit option me ja kar feature image choose karo.
dharmendra
mene rohit mewada ke blog par comment kiya par koi reply nahi aa raha hai. Agar aap chek kar ke bata sakte hai to bataye mujhe
Jumedeen Khan
Mai aapki 6 tarikh ko help kar sakta hu, becoz abhi mai ghar par nahi hu.
dharmendra
mene 3 theme use kiya par fir bhi home page par full post show ho raha hai
Jumedeen Khan
Aap jo theme use kar rahe ho. Usme post expert ka option hai. Aap customizing me ache se check karo ya fir aap rohit mewada se pucho wo bhi yahui theme use karte hai. Agar wo bhi na btaye to mai aapko theme check karke bta dunga.
dharmendra
sab chekkar liya full post disai
able ka option nahi mil raha h
Jumedeen Khan
Aap koi dusri theme use karo.
Divu Khare
Bhai main ek blogger hu
Mujhe blogger ki achi JANKARI hai blogeer me AdSense v lage Hue hai Aur Maine Templates v achi laga rkhi hai looking as a site .
But ab m ek Olx ki trh classifieds website banana Chahta Hu Mujhe iski v thodi bht JANKARI hai To kya aap meri help karoge….
Jumedeen Khan
Ab aap hostgator par WordPress install kare. ye post follow karo Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
satyam kumar
brother kya mera blog blogger par hai mujhe coding ki jaankari bhi nhi hai. kya mujhko blogger chhodkar WordPress par jana chahiye ya nhi
agar mai WordPress par jata hun to mujhe kya paise bhi pay karne hoge .
blogger aur WordPress me se mujhe koun sa jyada behtar hai
2 maine domain kharid liya hai ab mijhe aage kya karna chahiye
hosting kya hai
Jumedeen Khan
bhi aap blogger hi use karo jab aapko blogging ki achi jankari ho jaye to WordPress use karna. WordPress full paid hai.
Mahendra
WordPress free service hai ya paid…? WordPress pe shift hone per sabkuch change krna padega jesi sitemap.blog address etc?
Jumedeen Khan
WordPress full paid hai. usme aapko sabkuch ke paise dene padte hai.
imran
Sir Agr ham aapse blogger blog ko WordPress par shift karwaye with domain and complete plugin setting. to aap kitna charge lete hain.mere paas domain hai hosting nhi hai.
Jumedeen Khan
imran ye personal message hai jo aap contact form me puch skte ho.
hari
hello khan bhai kya aap mujhe ek blog banake denge jaha main apne reffral link promote kr saku please
Jumedeen Khan
Hari aap hindi.supportmeindia.com par jao or waha simple step folow karke apna blog bana lo 1 minute me ban sakta hai.
farid khan
hello sir
kya hum wardpress ke thought online shopping site bna sakte hai use sb feature mil sakta hai jaise online payment option
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho. Online payment ke liye aapko alag se site join karni padegi.
md jamil akhtar
mai java programing ki baat kr raha hu vase java ot .net dono me jyada demand or brya konsa hoga
Jumedeen Khan
java programing ke liye aap kisi website developer se bat karo. Mujhe iske bare me jyada jankari nahi hai.
md jamil akhtar
Hi bro mujhe apse kuch knowlendge and dessison chahiye thi mujhe IT bahut pasand hai or mera field bhi hai to mai kuch krna chahta hu is field me to ap mujhe ye btayiye ki (JAVA) or (.NET) kya hai or abhi dono me jyada demand kiski hai or brya konsa hoga abhi ke time me please give me answer Thanx
Jumedeen Khan
Jamil javascript ek coding hai or .net ek domain hai. Dono important hai. Agar aap kisi or java ki bat kar rahe ho to sawal details me btao.
dev
Bhayi kya ham post title ke niche responsive size ka ads laga skte h shyad apko yaad hoga apne mana kiya tha post title ke niche responsive ads lagane ke liye pakka nhi bata skta par confirm karna chahta hu? Plz reply
Jumedeen Khan
Nahi laga sakte. kyuki responsive ads lagane se aapki post ki 3-4 lines hide ho jati hai.
dev
bhayi me apse kuch q karna chahta hu..
1. hamari kitni income ho gayi he wo kaha par check karunga AdSense me
2. agar ham ads kam lagana chahtu hu to kese agar ham hide karege to kya un hide add ko vapis phir la skte he lagane ke liye ya phir se add create karna padega
3. post title ke niche kis size ka adds lagau
4. post title ke niche only text add lagau ya – text/image lagau
plz ye 4 ans no by no dena plz ye charo ans mere liye bahut important he plz i am a request. bhayi
Jumedeen Khan
1. Current balace me. aap google AdSense ka mobile apps use karo. usme sabkuch simple show hota hai.
2. Jis ads ko aap hide karoge. Wo ek nishchit time ke bad apne aap expire ho jate hai. aap fir se ads bana sakte ho.
3. Ye koi fix nahi hai. aap apne hisab se kisi bhi size ka ads use kar sakte ho. Agar aapke blog par mobile users jyada hai to mobile ke liye kam size ke ads use karo. or desktop visitors jyada hai to big size ka ads use karo.
4. aap har jagah text and display ads use karo. Sirf text use karoge to aap display ads se vanchit rah sakte ho. Isliye dono type ke recommended ads use karo.
Altaf
mere blog me comment reply option show nahi karta hai jisse main apne visitor ko reply nahi kar paa raha hoon reply option kaise show hoga
Jumedeen Khan
Aapka blog blogger par hai to blogger dashboard > settings > posts and comments par ja kar who can comments ke samne anyone select karo.
or agar aapka blog WordPress par hai to blog dashboard > settings > discussion par ja kar “Allow people to post comments on new articles” ke samne tick karo or “Automatically close comments on articles older than 14 days” ke samne untick karo.
Sonu Rajput
Sir Mahine ki 1 tarik ko jab AdSense ki payment Credit hoti hai to kyu 1$ ya 2$ Dabit kiya jata hai invalid traffc ke naam par aisa kyu plz tell me about this information
Jumedeen Khan
Jab koi aapke ads par galat jagah par click karta hai to use invalid click mante hai. Google mante hai ki humne galat jagah par ads lagaye the or humari galti se user ne ads ko post content samajh kar click kiya hai. Isliye wo invalid click ke paise cut karta hai.